#kaam ki khabar
Explore tagged Tumblr posts
qalbofnight · 3 months ago
Text
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
Agar aap mard hain to yaha likhi hui baaton ko kahani , kisi novel ka hissa ,ya chand lines ke bajaye ek Amal ke taur pe tasleem kariyega agar aap aurat hain to yaha likhi baaton ko ek kadi naseehat samajhiyega ,
Aaj hmare ghr ek janab tashreef farmate Chand ghadiyan guzarne ke baad baaton baaton mein vo ye batate hai ki unke peshey (profession) ke barey mein unki biwi ko koi khabar nahin mohtarma ko nahin pata ki janab kya karte hain halaki unka pesha koi sharmindagi haram kaam se juda huwa nahi lekin bas janab ne zaruri nahin smjha ,
Meri ammi ki shadi kam umr mein hui amtaur pe us zamaney mein shadiyan jse huwa karti thi mere baba meri maa se umr mein kaafi badey the
Maine us waqt ghaur kiya ki meri maa ne shadi k baad graduation complete kiya baba ne ammi ko post-graduation ke liye bhi push kiya jabki unka koi dil nahin tha lekin baba ki koshishon se, sath se aur sabse badi baat apsi discussions se unki magazines, newspapers ,politics aur education mein dilchaspi badhi aur ammi ne pg k sath sath diploma bhi liya ,
hmare baba ka school tha jisko chalane me ammi ne Shana ba Shana 30 saal tak sath diya,
Lekin phir bhi kabhi apni maa ko baba se oonchi awazon mein baat krte nahin suna , na mere baba ne kbhi Aisa Kiya , meri maa kbhi mere baba ke dosto k samne ni gyi, hm 3 betiyon ko har cheez se parey tarjeeh aur taleem di ,
Aj chand mahino pehle mere papa ko brain hammeroage ho gya jis wajah se bistar pe paralyzed hain hmara school band hone ki kagar pe tha kyunki koi ladka uska waris ni logo ne baate bnani shuru kar di vo school hmari amdani ka eklauta zariya tha har shakhs ko yahi laga ki ye school band ho jyega, baba k bimar hone k bad insan ki shkl mein bhediyon ki nazrein hmari choti si family pe tik gyi lekin meri maa us saf me a k khadi ho gyi jaha mere baba khadey hote the unhone school ka management apne hath me liya aur kaha ki sabkuch wse hi continue hoga jse baba karte the, alhamdulillah hm us pareshani se bahar a gye ,
Meri ye Amal o naseehat un mardo k liye hai jo apni biwiyon aur behno ko ye samajhte ki iska hmare buisness me kya kaam, "tum kya jaan ke karogi"
" Tmhe kaha smjh ayega " agar mere baba ne 30 saal pehle ye bol k meri maa ko gharelu aurat k nam pe dayrw mein bandh diya hota to aaj shyd hum badtareen halaton ka samna kar rahe the ,
Ummed hai ki aapne ye padha hai to zindagi me iska
Amal zarur krengey ,
Ye baatein sochti hoon to lagta hai ki aurat bhi badey hi shafaqat aur classy tareeke se apne mazhabi dayron ko ikhtiyar kar ke bhi independent ban sakti hai ba shart uska baap o shauhar ek ache sathi ho
mainey ye isliye likha kyunki mjhse ehsas hua ki duniya ke kisi koney me, kisi blog mein kisi site pe ,kisi panney pe ye baat likhi honi chahiye.
39 notes · View notes
msbhagirathi · 7 months ago
Text
The Madhumati Gupta Buaji Weekly
Mugzeen Adison (Magazine Edition)
Namaste Nandkisore!
Aasaa karat hain ki, nandkisore, aap sab logan theek haai. Hum logan bhi theek haai, nandkisore. Sasi babua bhi ab theek hi haai bas pahile se tanik kamjor hui gaye, chhari ke sahare chalat haain ab. Aoor humka bataye rahe ki oo ki ee halat bhi oo Syaam ki kirpa rahi. Humra mann toh karat raha ki oo sasure ko ek ghumaai ke lagay de ki jindagi bhar phir aisan kucho karat ki jurrat naa karihe, haa.
Chalo choro babua/bitiya. Arre nandkisore ab tanik aapan baat bhi karau, ghar mein sab logan theek haai na? Tohre Amma-Bauji, tohri kauno humre jaisan Buaji hau toh oo sab theek haai na, nandkisore?
Ab kaa batyay tohka, nandkisore. Kal parso ki baat rahi, Sanka Devi aayi gayi phudakti-phudakti Laxminagar. Humka kahine lagi ki Arnav babua ke daftar mein kauno mugzeen-wugzeen ke khaatir humka kucho likhna haai. Hum kahe ki ab nandkisore humre jamane mein toh hum aoor tohre phuphaji itni chitthi likhat rahe ki bas pucho naahi. Toh oo kahi ki theek haai buaji aap chitthi likh ke humko bataay dena hum aa kar le jayenge, ab humri buddhi bhi umar ke kaaran mand pari rahi, oo ka jaaye ke baad, hum bhi bhul gaye nandkisore.
Saara kaam karke aaike baithe the, ki oo ka fone aayi gaya, humka puchi ki chhitthi likhe haai ki naahi, toh hum kahe, nandkisore, kaam mein thora byast hoyi gaye the, abhi likhat rahe.
Ab hum kaa bataay, nandkisore, humri jindagi mein kauno bataane layak khaas toh kucho haai nahi. Athaarah (18) ke the, amma-bauji ne byaah karaaye diya, tohre phuphaji un dino rail maashter kaa kaam karat rahe. Byaah ke baad humka liye eehan Delhi aayi gaye Laxminagar, ab nandkisore tabahu se hum idhar hi rahat haai.
[Buaji aur phuphaji honeymoon ke liye puri dilli ghume the. Phuphaji jab bhi kaam ke wajah se dusri jagah jaate toh wahan se buaji ko chitthi likhte the. ~Buaji ki pyaari SD ;)]
Sabahu theek chalat raha tha. Byaah ke teen saal baad, ek din khabar mili ki kauno train mein aag lag gayi haai, aoor bohut logan ki jaan gayi haai, a phir hum bhi chakkar kaat kaat kar thak gaye, nandkisore, daftar se aspataal aoor aspataal se phir daftar, phir unke daftar se ek din chhitthi aaye ki tohre phuphaji toh milat naahi toh unki penson ki raakam ab humko mila karegi, hum bohut roye oo din.
Bohut hi ache insaan the, nandkisore, hum behad prem karat the, ab kaa karaein, oo din ke baad se hum aapan nandkisore ke charno mein samarpit hoye gaye. Khair jaane do nandkisore. Ee sab toh bohut purani baat rahi.
Aye nandkisore, agar tumlogan ka kauno dikkat paresaani rahe toh humka bataayi dio, hum tohka tanik samajhaai denge, aoor baaki sab humre nandkisore ke haathon chor denge, theek haai naa? Bilkul kauno dikkat rahi toh bitiya humka aapan buaji samajh kar, eehan aaike bataai dena, mann bhi thora halka hoat jayi. Aoor hum toh waisan bhi jyaada kaam-kaaj naa kar sakat haai naa, toh pura din bas baith ke hi gujar jaat haai. Tohka chitthi likhan ke khaatir humra bhi tanik samay beet jaye.
Ab hum thehre bujurg, humse kaun baat karihe? Oo bhi chitthi likhke, nandkisore? Aajkal toh naa jaane kaa oosab bhatsup-discaard bhagwaan jaane aoor kaa-kaa aayi gaye haai, chitthi likhne ka phursat kaun ke paas rahai?
Khair choro. Humka toh aoor kuch soojh hi naahi rahat haai nandkisore, aoor kaa likhe? Chalao phir rakhte haai kuch batana hau toh likhat dena theek haai naa?
Aoor haan. Humka sunne mein aawat haai ki Sanka Devi ki kauno saheli ka aaj janam din raha? Ee baat sach haai ka, nandkisore? Janam din ki bohut bohut subhkamna tohka, nandkisore. Khub kaam karau, mehnat karau, Arnav babua aoor titaliya ke jaisan naam-paisa kamao, aoor tohka pati-parmeswar toh bohut hi bhagyawaan raha ki oo ka tohre jaisan patni milat rahi, nandkisore (byaah kee ho ki naahi, nandkisore?)
Aoor humri taraf se kauno meethaai wagerah khaa lena, tohka ghar ka pata (address) hota toh dukaan se jalebi aoor kucho dusri meethaai bhijwai dete par kauno baat naahi bitiya muskuraayete rehna. Jindagi mein rone ke bohut mauke milenge par muskuraaye ke mauke khud hi dhundne parat haai, nandkisore.
Chalao phir, ab rakhat haai. Garima ke saath mandir jaanat haai nandkisore. Namaste.
P.S. : Lol. I got this idea today like literally today and then thought of getting started but now I am kinda confused about something whether I should continue this one from buaji's POV only or I should write from all the characters' POV's. Let me know. And also ket me know ki yeh kuch samajh mein aaya bhi ki ekdum kachra kar diya hai maine. Lol :') Ok so I should have added this bit in the beginning but nvrmnd *shrugs* So I have considered double 'a' for आ sound, double 'o' for ऊ sound, double 'e' for इ sound and single 'a' is for अ sound, rest if you find any kind of confusion, please feel free to ask for help, considering this is not regular Hindi so :) Ok. Bye. God bless you.
18 notes · View notes
aaastarztimes · 2 months ago
Text
Income Tax देने वालों की टेंशन होगी खत्म: मोदी सरकार की नई स्कीम | Kaam Ki Khabar
Tumblr media
Income Tax payers worries will end Modi Government new scheme | Important News
भारत सरकार ने taxpayers को राहत देने के लिए एक special योजना की शुरुआत की है। अगर आप भी अपने income tax से जुड़े किसी dispute में उलझे हैं या इसे resolve करना चाहते हैं, तो आपके लिए एक golden मौका आ रहा है। केंद्रीय प्रत्यक्ष कर बोर्ड (CBDT) द्वारा विवाद से वि��्वास योजना 2024 की शुरुआत की ��ा रही है, जो 1 अक्टूबर से effective होगी। यह scheme वित्त मंत्री निर्मला सीतारमण द्वारा मोदी सरकार के तीसरे कार्यकाल के पहले budget में प्रस्तावित की गई थी। इस योजना के तहत taxpayers को अपने आयकर विवादों को शीघ्रता से settle करने का मौका मिलेगा। योजना का उद्देश्य और लाभविवाद से विश्वास योजना का मुख्य उद्देश्य उन taxpayers को relief प्रदान करना है जिनकी tax liability को लेकर dispute लंबित हैं। सरकार को उम्मीद है कि इस scheme से करीब 2.7 करोड़ direct tax disputes का समाधान होगा, ज���सकी कुल राशि लगभग 35 लाख करोड़ रुपये है। योजना के तहत maximum benefit उन taxpayers को मिलेगा जो 31 दिसंबर 2024 तक अपने disputes का समाधान करेंगे। जो करदाता इसके बाद file करेंगे, उन्हें कम settlement amount का फायदा मिलेगा। योजना के तहत प्रमुख forms और उनका उपयोगयोजना के तहत income tax department ने चार प्रकार के forms जारी किए हैं:- फॉर्म 1: इसमें declaration और undertaking देना होगा। - फॉर्म 2: इसमें authority द्वारा issued certificate जमा करना होगा। - फॉर्म 3: इसमें taxpayer द्वारा payment की गई राशि की जानकारी दी जाएगी। - फॉर्म 4: इसमें tax arrears के full और final settlement की जानकारी दी जाएगी।फॉर्म 1 और फॉर्म 3 सबसे important माने जा रहे हैं। फॉर्म 1 में आपको income tax से संबंधित सभी information भरनी होगी, जबकि फॉर्म 3 में payment से संबंधित details साझा करनी होंगी। taxpayers को यह forms आयकर विभाग के e-filing portal www.incometax.gov.in पर electronically जमा करने होंगे। किसे मिलेगा फायदा?इस scheme से वे सभी taxpayers लाभान्वित होंगे जिनके disputes Supreme Court, High Court, Income Tax Appellate Tribunal या Commissioner के समक्ष लंबित हैं। इसके जरिए taxpayers बिना किसी lengthy process के अपने disputes का settlement कर सकेंगे। योजना में शामिल होने वालों को dispute resolve करने का एक quick और transparent तरीका प्रदान किया गया है, जिससे judicial system पर भार भी कम होगा। योजना से जुड़ी अन्य जानकारीCBDT ने इस scheme से संबंधित rules की notification भी जारी कर दी है। योजना का benefit उठाने के लिए taxpayers को timely filing और forms जमा करने होंगे। यह scheme उन taxpayers के लिए एक excellent opportunity है, जो अपने income tax disputes का जल्द से जल्द समाधान करना चाहते हैं। निष्कर्ष विवाद से विश्वास योजना 2024 taxpayers के लिए एक important initiative है। इसका उद्देश्य न केवल tax disputes का resolution करना है, बल्कि taxpayer और सरकार के बीच mutual trust भी स्थापित करना है। अगर आप भी अपने income tax disputes से छुटकारा पाना चाहते हैं, तो इस योजना का लाभ उठाना न भूलें।Also Read:पितृ पक्ष 2024: Understanding the Significance and Key Dates of Shrad Read the full article
0 notes
lyricsssdotin · 3 months ago
Text
Aatish Lyrics
Singer:Shuja Haider, Aima BaigAlbum:Coke Studio Sitam kiye, bohat kiyeKis kis ko samjhaaun?Yeh kaam ki nakamiyanAao tujhe batlaaun Ishq hansaye ishq rulayeKabhi de pankhadiyanKabhi laa giraye Yeh naam ki badnamiyanYeh kaam ki nakaamiyan Yeh nazar ka dhokha..Yeh dilon ka sauda..Aatish mohabbat ka ye garm jhonkaTu janay na… (Ho..)Tujhe khabar nahiYeh aag aisi haiJo tod deti dilYeh baat aisi…
0 notes
choppeddefendorphilosopher · 10 months ago
Text
Allah k Hukam Sure Hujraat me
Allah aur Rasool k Hukmo se Aage Badh Kar Kaam mat Karo.Apni Aawaz ko Rasool k Samne Dheemi Rakho.
Momino:Agar Koi Jhoota Jhooti Khabar Laye Malomat Kar liya Karo.
Musalman Aapas me Ladh Padhe in me insaaf se Faisla Kar do.Musalman Aapas me Bhai Bhai hain.
Momino:Kisi Qhaum ka Mazakh mat Udhao.
Aapas me b Ek Doosre ka Mazakh mat Udhao.
Kisi k Bare me Apne Khayal se Koi Baat mat Banao.
Kisi k Raaz Janne ki Koshish mat Karo.
Aur Peeth Peeche Kisi ki Burai mat Karo.
Allah ne Tum ko Deene islaam me Paida Kiya.Allah ka Ahesan Mano.
Pure Momin Wo hain Jo Allah aur Rasool ka Hukam Mante hain.
Allah har Ek k Kaam Dekh Raha hai.
Part 160
Sure Hujraat Mukamal
1 note · View note
4uru · 1 year ago
Text
"Yaaram" from "Ek Thi Dayaan"
Hum cheez hain badey kaam kee, Yaaram
Humein kaam pey rakh lo kabhi, Yaaram
Hum cheez hain bade kaam kee, Yaaram
I am a very useful thing, O dear..
Put me to some work some time, O dear..
I am a very useful thing, O dear..
Sooraj se pehle jagaayenge
Aur akhbaar ki sab surkhiyaan hum gungunaayenge
Pesh karenge garm chai phir
Koi khabar aayi na pasand to, end badal denge..
I'll wake you up before the sun (rises),
and hum all the headlines of newspaper..
Then I'll present you with a hot cup of tea,
And if I don't like a news, will change the end of it..
Munh khuli jamhaai pe
Hum bajaayein chutkiyaan
Dhoop naa tum ko lage
Khol denge chhatriyaan
Peechhe peechhe din bhar
Ghar daftar mein le ke chalenge hum
When you open your mouth to yawn,
I'll tap my fingers in front of it..
So that you don't feel the heat of sun,
I'll open umbrella for you..
I'll keep walking behind you with one
at home and in office..
Tumhaari file-ein, tumhaari diary
Gaadi ki chaabiyaan, tumhaari eyenakein
Tumhaara laptop, tumhaari cap
Aur apna dil, kanwaara dil
Pyaar mein haara bechaaraa dil..
Your files, your diary,
keys of the car, your spectacles,
your laptop, your cap,
and my heart, this bachelor heart,
this poor, lost-in-love heart..
Yeh kehne mein kuchh risk hai, Yaaram..
Naaraaz naa ho, ishq hai.. Yaaram..
There is some risk in saying this, O dear,
Don't be angry, it's love, O dear..
Ho raat saverey shaam ya dopahari
Band aankhon mein le ke tumhein oongha karenge hum
Takiye chaadar mehke rehte hain
Jo tum gaye
Tumhari khushboo soongha karenge hum
Zulf mein phansi hui
khol denge baaliyaan
Kaan khinch jaaye agar
Kha lein meethi gaaliyaan
Chuntey chaley pairon ke nishaan
Ki un par aur naa paanv pade
Be it night, morning, evening or afternoon,
I'll keep you in my eyes, close them and take naps,
The pillows and sheets smell (of you),
now that you have gone,
I'll smell you (in them all)..
I'll open the earrings stuck in the hair,
and if your ear gets hurt,
I'll listen to the sweet curses..
I'll keep walking, picking up your footmarks,
So that no one puts foot on them again..
Tumhaari dhadkanein, tumhaara dil sunein
Tumhaari saans sunein, lagi kanpkapi
Haan gajre bune, juhi mogra to kabhi dil
Hamaaraa dil, pyaar mein haara bechaaraa dil
Hamara dil, humara dil..
I'd listen to your heartbeats, your heart,
your breaths.. I got a shivering..
I weaved flowers (for you to wear in hair),
of Juhi and Mogra (Jasmines), and sometimes, of heart,
my heart, poor, lost-in-love heart..
my heart..
1 note · View note
sufism786-blog · 2 years ago
Photo
Tumblr media
Gunahon ki aadat chura mere maula Mujhe naik insan bana mere maula Joh tujhko joh tere Nabi ko pasand hai Mujhe aisa banda bana mere maula Mujhe naik insaan bana mere maula Tu masjood mera mai sajid hu tera Tu maalik mai banda tera mere maula Mujhe naik insan bana mere maula Tu lega agar adl se kaam apne Mai hu mustahiq naar ka mere maula Mujhe naik insan bana mere maula Joh rehmat teri Shaamil e Haal ho toh Maula Maula Maula Maula Thikana hai jannat mera mere maula Tujhe to khabar hai mai kitna bura hu Tu aibo ko mere chupa mere maula Mujhe naik insaan bana mere maula Meri ta qayamat joh nasle ho Ya Rab Ho sab Aashiq e Mustafa mere maula Mujhe naik insaan bana mere maula Na mohtaj kar tu jahan me kisi ka Mujhe muflisi se bacha mere maula Mujhe naik insan bana mere maula Hai Kaabe pe nazre Ubaid e Raza ki Ho maqbool har ek dua mere maula Mujhe naik insaan bana mere maula Share your views in comments. TAG someone 💞 ___________________ Turn on your post notification 👉 @khudi.ki.pehchan 👈 👉 @khudi.ki.pehchan 👈 👉 @khudi.ki.pehchan 👈 ___________________ Follow ☑️ @khudi.ki.pehchan Like 👌 #nazeeri Share 👍 Spred #sufism #marifat #khudi #khudikipahchan #haqkipehchan #kamilpeer #rumi #imamali #urdu #urdushairi #urduliterature #sufi #اسلام #ishq #urduquotes #shayar #muhammad #awakening #urduadab #urduzone #tasavvuf #urdushayari #urdulovers #islamicposts #urdushayri #zikir . #hazratmohammadﷺ 🙏 #hazratali_کرم_اللہ_تعالی_وجھہ_کریم 🙏 #khwaja_gareeb_nawaz_786 🙏 @khudi.ki.pehchan @khudi.ki.pehchan @khudi.ki.pehchan (at Gunaho0n Sy Toba) https://www.instagram.com/p/CqBpkuABC4R/?igshid=NGJjMDIxMWI=
0 notes
vilaspatelvlogs · 4 years ago
Text
इस App के जरिए घर बैठे आसानी से चेक करें PF बैलेंस, ये हैं आसान स्टेप्स
इस App के जरिए घर बैठे आसानी से चेक करें PF बैलेंस, ये हैं आसान स्टेप्स
अगलीखबर UP पुलिस के सिंघम ने दी प्रत्याशियों को चेतावनी, कहा-अगर किया ये काम तो नरक बना दूंगा तुम्हारी जिंदगी Source link
View On WordPress
0 notes
santoshkukreti04-blog · 2 years ago
Link
दैनिक जीवन की छोटी-छोटी बातें कही बार बहुत महत्वपूर्ण होती है ,जिनका पालन करना समाज व् राष्ट्र व् खुद के जीवन के लिए अनिवार्य है तो आइये जानते है- बड़े काम की छोटी बातें |छोटी बातें, बड़े काम की| Choti Baten Bade Kam Ki
0 notes
khabarkaamki · 3 years ago
Text
Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana | स्वर्णजयंती ग्राम स्वरोजगार योजना
स्वर्णजयंती ग्राम स्वरोजगार योजना (एस. जी. एस. वाई.) Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana
स्वर्ण जयन्ती ग्राम स्वरोजगार योजना, (Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana) इस योजना की शूरूआत अप्रैल 1999 में की गयी है। स्वयं सहायता समूह एक अच्छे देश की सबसे महत्वपूर्ण विशेषताओं में से एक है और देश के सभी गरीब लोगों की मदद करने के लिए उन्हें ज्यादातर स्वयं सहायता समूह में पैक किया जाता है। आज हम आप सभी के साथ कुछ महत्वपूर्ण योजना साझा करेंगे जो राष्ट्र के लोगों की सहायता के लिए स्वयं सहायता समूह से जुड़ी है। योजना का नाम स्वर्ण जयंती ग्राम स्वरोजगार योजना है। आज हम योजना से जुड़े हर पहलू को स्पर्श करेंगे। यदि आप योजना का लाभ लेना चाहते हैं तो हम फंडिंग तकनीक और अन्य सभी विवरण भी साझा करेंगे जो आवश्यक हैं।
स्वर्णजयंती ग्राम स्वरोजगार योजना (Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana)
स्वर्णजयंती ग्राम स्वरोजगार योजना (SGSY) (Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana) आम जनता के आर्थिक रूप से अधिक कमजोर क्षेत्रों को लक्षित करती है और उन्हें स्वयं सहायता समूहों की रचना और न���र्माण करने के लिए प्रेरित करती है। इन छोटे पैमाने के प्रयासों को प्रशासन, गैर सरकारी संगठनों, विलक्षण परोपकारी, सीबीओ, बैंकों और फंड के विभिन्न स्रोतों का समर्थन प्राप्त है। यह योजना गतिविधि समूहों की स्थापना करती है, श्रमिकों को उनकी व्यक्तिगत योग्यता और उपहार के आधार पर इकट्ठा करती है। SGSY प्लॉट के तहत, इन स्वयं सहायता सभाओं और गतिविधि समूहों के लिए वित्तपोषण गैर सरकारी संगठनों, बैंकों और सामाजिक प्रयास कार्यक्रमों के साथ धन संबंधी संघों के माध्यम से निर्देशित किया जाता है।
Swarn Jayanti Gram Swarozgar Yojana
स्वर्णजयंती ग्राम स्वरोजगार योजना कैसे काम करता है ?
योजना का कार्य वास्तव में ��रल है, गरीबी रेखा से नीचे रहने वाले गरीब लोगों को एक समूह में इकट्ठा किया जाता है और फिर स्वयं सहायता समूहों में पैक किया जाता है ताकि वे अपनी मदद कर सकें और अपने परिवार के लिए रोजगार के कुछ अच्छे अवसर पैदा कर सकें। ये स्वयं सहायता समूह विभिन्न प्रकार के गैर सरकारी संगठनों और सरकार द्वारा न्यायिक रूप से वित्त पोषित संबंधित संगठनों द्वारा आयोजित किए जाते हैं। यह तंत्र सभी लोगों को अच्छी रोजगार की नौकरी पाने में मदद करता है और उन्हें रोजगार के अवसर पैदा करने में भी मदद करता है।
0 notes
bearwithh · 3 years ago
Text
"Hum cheez hain bade kaam ki, Yaaram
Humein kaam pe rakh lo kabhi, Yaaram
Hum cheez hain bade kaam ki, Yaaram
Ho suraj se pehle jagayenge
Aur akhbaar ki sab surkhiyaan hum gungunayenge
Pesh karenge garm chai phir
Koi khabar aayi na pasand toh, end badal denge
Ho munh khuli jamhaai pe
Hum bajaayein chutkiyaan
Dhoop na tum ko lage
Khol denge chhatariyaan
Peechhe peechhe din bhar
Ghar daftar mein le ke chalenge hum
Tumhaari filein, tumhaari diary
Gaadi ki chaabiyan, tumhaari enakein
Tumhaara laptop, tumhaari cap, phone
Aur apna dil, kanwaara dil
Pyaar mein haara bechara dil
Aur apna dil, kanwara dil
Pyaar mein haara, bechara dil…"
Song- yaaram from the movie Ek thi daayan
1 note · View note
choppeddefendorphilosopher · 11 months ago
Text
Allah k Hukam Sure Zakhraf me.
Aasan Kitaab Quran ki Qhasam.Humne Quran ko Arabi Zaban me Nazil Kiya.
Quran Hamare Paas Loohe Mahefooz me Likhi hui hai.
Agar Tum Quran se La Parwahi Bartoge.Hum Kabhi b Quran ko Utha Lenge.
Aur Tum Had se Aage Badh Kar Kaam Kar Rahe ho.
Jab b Humne Rasool Bheja Logo ne Onka Mazakh Udhaya.Phir Humne inko Tabah Kar k Rakh Diya.
Allah ne har Cheez k Jodhe Banaye.
Janwar Aise Banaye.Jis Par Tum Jam Kar Baith Sako.
Aur Tamam Janwaro ko Tumhara Ghulam Bana Diya.
Tum Sab ko Mar Kar Allah hi ki Taraf Lauth Kar Aana hai.
Logo ne Allah k Banddo ko Allah k Barabar ka Kar Diya.
Insaan Bada Na Shukra hai.
Allah ko na Beto ki Zarurat hai na Betiyo ki.Jab inko Ladhki Paida Hone ki Khabar di Jati hai.inka Dil Ghum se Bhar Jata hai.
Kahete hain:Allah ne Hukam Diya hai.in se Madad Mangne ka.Phir Kahete hain:Hamare Baap Dada b Yehi Kaam Karte the.
Rasool ne Kaha:mai Jo Deen Laya hoo.Wo Tumhare Baap Dada k Deen se Bahetar hai.
Logo ne Kaha:Hum Aap ki Baat Manne Wale nahi.
Hz Ibrahim Apni Aulaad ko Wasiyat ki Sirf Ek Allah ki Ebadat Karna.
Part 144
1 note · View note
visionteller · 4 years ago
Text
Call To Action
CALL TO ACTION "Ayesha, Muraad, Zeenat", yeh teen naam aapko ek typical traditional - muslim family ke samajh aa rahe hain jo ya fir jinke naam se aapko koi aisa khayaal aa raha hoga jaisa yaha koi mamuli teen muslim logo ki baat ki jaa rahi hai. Yeh teeno hi INDIA ke teen shehero mein rehne wale wale log hai , pehli hai AYESHA sidhe Allahabad se , dusra hai Muraad jo ki hai Delhi ke Muzzaffarnagar se , aur aakhir mein Zeenat jo hai Mumbai se, yeh teeno ka haav - bhaav bilkul common man jaise hai. Toh kaha se shuru kiya jaye, toh chaliye pehle sapno ke sheher se kickstart maarte hai. kyun thik hai na ? Toh chalte hai aapko lekar ,"Mumbai" = "City of dreams", yeh jagah toh sabko pata hai ki kisliye prasiddh hai, toh chaliye fir bhi main thoda sa , bataa hi deta hoon ki "Mumbai"="Bollywood" , arthaat hindi cinema ki adbhut duniya , jahaan aapko apne chahide sitaare milenge jo laakhon logo ki dil ki dhadkan hai  jaise SALMAN KHAN , SRK, AKSHAY KUMAR, etc. waise inn logo ke toh huge fan following hai puri duniya mein, aur kyun na ho bhai, inhone mehnat karke apna naam banaya hai , par meri story ki pehli character ki story ab shuru hone wali hai, toh dil thaam ke baithiye aur purey mann lagakar suniye . Mumbai ke Galaxy Apartments ka naam toh aapne suna hi hoga, woh toh famous kis liye hai hum sabhi jaante hai, par ab meri jo 1st character "Zeenat" hai, woh kis liye famous hai aaiye dekhte hai.. "ZEENAT" urf "Zeenat Ali Khan" , naam aapko thoda connected with "Saif Ali Khan" se lag sakta hai, but waisa kuch hai nahi. Humari "Zeenat Ali Khan", apne ammi - abbu ke saath unke 2 room flat mein , khushi khushi rehti hai , isko koi kaam chota ya bada nahin lagta, pure ghar ka saara kharch ka hisaab yeh apne paas hi rakhti hai, kehne ka matlab yeh hai ki, kahan pe kitna kharch karna hai, ya kitni cheezein kitni maatra pe chahiye , inko acchi tarah se pata rehta hai. Kabhi kabhi toh inki ammi - abbu soch main pad jate hai ki kaash unhone "Zeenat" ko science ke saath MBA bhi karwa diya hota toh sone pe suhaaga hi ho jaata . Par jis hisaab se "Zeenat" kharch ka dhyaan rakhti hai , unke liye toh woh jeeti jaagti computer se kum nahin hai. Dusri taraf "Zeenat" ka bhi bahut mann hai "MBA" karke acchi MNC mein naukri karne ka, par paiso ke kami ke kaaran uske graduation ke baad ki padhai maano jaise bandh hi ho gayi thi , dusri taraf "Zeenat" ko actress banne ka bahut shauk tha , yeh acting ka keeda usme bachpan se hi tha aur uski toh favourite actress thi /hai "KARISMA KAPOOR" aur favourite actor hai "GOVINDA" , arthaat "Hero no. 1" . "Zeenat apne khali waqt par inn dono ke hi gaano pe dance kiya karti thi aur khud ko unn jaisa mehsoos mehsoos karne lagti saral bhasha mein bole toh " living life king size ". Ab badhte hai, humaare kahaani ke dusre character pe, jo ki aati hai seedhe "Allahabad" se , ya fir kahe toh Allahabad University se , jaha ki woh one of the top brilliant students ke list mein , ya fir kahe ki merit list mein har baar 4th aane wali "AYESHA Saraf" , jo hai  sab ki chaheedi aur sabse dashing & studious & "no care attitude" waali MBA pursue karne waali student , thodi naughty & also quite smart & witty & of course a chashmish & a cutie. Toh yeh jo hai, inke college mein bade charche hai , aur kyun na ho yeh hai hi itni studious , etc. . Iske peeche college ke saare ladke paagal hai , but yeh na hi short skirts pehanti hai, aur na hi boys ko lure karti hai, yeh toh bas apne mein hi rehti hai, in a dungree with round specs , short hair with a pony tail & a charming but bold smile on her face , enough to make a heart skip a beat. Ab yeh jo hai "Ms.SARAF" yeh toh thehri mystery , detective , horror, thriller ke bade fan , inka adha waqt crime solving games, aur books related to all the above mentioned genres ko padhne meinhi waqt nikal jaata tha, jo thora waqt waqt bachta tha usko yeh mohtarma MBA ki pahai pe laga deti hai, nahin toh inke parents ka manna haiki agar woh pura dhyaan sirf MBA pe de toh woh 1st position laa sakti hai sivaaye 4th position ke, par inhe koun samjhaye ki thoda time MBA ke saath spend karke 4th aana bhi is a big achievement, aur woh kahawat hai na "An active mind & a racing heart is the greatest combination leading to success" , aur wohi aata raha tha "AYESHA Saraf" ke saath. Ab kuch door chalte hai aur batate hai aapko kahaani ke antim character ki kahaani jo "Delhi ke Muzaffarnagar" seshuru hone jaa rahi hai, aur uss shaks ka naam hai "MURAAD HOSSAIN", jo hai DU [Delhi University] ke geography & statistics ke top professor . Inka worldly knowledge itna achha hai aur yeh itne self confident hote hai har waqt ki duniya ki koi bhi musibat maano inke saamne haar mann hi jaegi, iska kaaran hai jaise ki maine pehle bataaya self confidence , proper knowledge, hard work, aur allah pe pura bharosa. Aap soch rahe honge , ki main yeh teacher ka concept kyun use kar raha hoon , toh main chota sa hint de deta hoon, "worldly knowledge" Inki age lagbhag 28 saal hogi, par yeh jaha ke teacher hai, arthaat D.U.  waha inke bahut charche hai, aur lakho ladkiyaan inpe line maarti hai, short mein kahe toh , yeh d.u. ke one of the sexiest , good looking masculine male hai,inka attitude bole toh ekdum "faadu" hai, aur khaas kar ke jab woh agar kabhi white shirt aur blue  mein college aa jate the toh college mein bawaal ho jaata tha aur ladke sharam se choor choor ho jaate they aur ladliyaan na jaane kitne corridoors mein line lagakar unki ek jhalak ko taras jaati hai aur unko bahut tohfe bhi mil chuke hai, kayi ladkiyaan ke taraf se , even proposals you know, par yeh jo "Mr.Hossain" hai inko koi farak hi nahi padta, yeh gifts toh hai par unka ek unique style hai, woh yeh gifts charity ya fir kahe old age home mein distribute karwa dete hai, kyunki inhe lagta hai ki yeh apne ammi abbu ki sewa kar rahe hai, aur agar naseeb mein hua toh allah kasam agle janam fir unke hi bete hokar janam lena pasand karenge. Toh yeh the humare kahaani ke teen characters. Ab aap soch rahe honge ki aagey kya hone wala hai. Abhi interval ka maza lijiye , thode snacks grehan kijiye kyunki interval ke baad hi toh maza shuru hota hai.       Ab inn characters ke updated version se aapko milwate hai, so mere priye audience 3,2,1....fast forward. Let me introduce you to 1. Captain Muraad Hossain [M.F. Hossain] [Captain of INDIAN ARMY] , 2. Madam ZAK / Zeenat Ali Khan [cyber expert ATS= Anti Terrorist Squad] , 3. Ms. One Woman Army/ Ms. Ayesha Saraf [top spy of IB & RAW]. Kyun chauk gaye na ? ek dialogue yaad aya "Tide hai toh white hai " but in this situation the dialogue goes "Jo Jeeta Wohi Sikandar" , kyunki yahaan sab connected hai, lekin koi ek dusre ko nahin jaanta, par teeno INDIA ke liye kaam karte hai apne tarike se, ya keh sakte hai yeh teeno apne tarike se desh ki raksha karte hai. Ab aapko main ek ghatne ke baare mein detail mein bataane ja raha hoon , jisme inn teeno ka bhut bada yogdaan hai, aur kahin na kahin yeh teeno ek dusre ke lifeguards bhi reh chuke hai varna aaj shayad teeno mein se koi bhi zinda nahin rehta. Toh baat hai 2011 ki , ek udti udti khabar aayi thi ki cyber cell dept. aur Indian Army mein tension ka mahol  utpann hua hai. Iska kaaran yeh tha ki achanak cyber crimes bhut zyada badh gaye the aur Indian Army mein se bhut se gopniya details leak ho jaa rahi thi , ab dono hi taraf tension ka maahol ban raha tha , aur saath hi kuch khabar udti udti aa rahi thi jo logo ke liye ya INDIA ke liye bhut haanikaarak saabit ho sakti thi . Toh jab aise haalaat utpann hue, tab inn teeno departments [IB , ATS[CYBER CELL],INDIAN ARMY] mein selection shuru ho gaya taaki crimes & terrorism in all forms ko tagda jawaab dene wale teeno department se 1 candidate select hoga is live/die mission ke liye. Toh teeno departments mein se 1 specialist ko chunna tha per team. Candidates toh bahut the par time kam tha , tph finally teeno departments ne apna task captain chun liya tha. Toh woh 3 koun they , any guesses ? arrei yaar , the best ko hi chuna hoga na, toh woh 3 hai :- 1. MURAAD HOSSAIN [ INDIAN ARMY ] 2.ZEENAT ALI KHAN [ CYBER CELL / ATS] ATS= ANTI TERRORIST SQUAD 3.AYESHA SARAF [IB] [ TOP SPY] Toh har department mein zoro shoro se kaam shuru ho gaya tha, har dept. ko unjke head dekh rahe the , taaki kahin bhi bhi bool se bhi bhool na ho, aur proper stragies apnaayi jaa rahi thi , aur execution plans bann rahe the, in return the hands were expecting full cooperation & support from their teams, aur full on details nikali jaa rahi thi against any type of attack in any form. virtual & physical weapons bhi taiyaar ki jaa rahi thi , aur top managements bhi bilkul tight lipped way mein iss mission ko anjaam dene mein lagey hue the. Toh teeno departments fully ready they with all the necessary equipments aur saath hi virtual & physical preparations bhi ready the , but to their shock pehle hafte mein kisi prakaar ka koi attack nhi hua,toh departments ke kaafi log jo chaukanne the , woh thoda sa lightly lene lage matter ko , par teeno departments ke hero's MURAAD, ZEENAT AUR AYESHA, ko daal mein kuch kaala lag raha tha jab 2nd week mein bhi kuch nhi hua aur sab normally guzar gaya. Fir 3rd week mein achanak se Mumbai ke mall road mein ek bomb blast hua , aur kaafi log injured ho gaye the , saath hi saath Delhi ke Sarojini Market mein do din ke antraal mein ek aur bomb blast hua, aur top companies ke data chori ki khabar bhi aane lagi , inn sab ghatnao ne desh bhar me breaking news ke zariye tehelka macha rakha tha. Ab  teeno depts. ke experts HOSSAIN , KHAN aur SARAF ne apne teams ko kaam pe laga diya tha, ki jald se jald inn terrors ka koi na koi suraag ya link mil jaaye toh tab iss case ko solve karne mein thodi maddad ho jaegi . Iss dauraan, Zeenat ke phone pe ek call aata hai aur woh bhi unknown number se, jiska daava tha , ki yeh jo bomb blasts aur cyber breach hua hai inn kuch dino mein , iske piche ke "MATERMIND" ki khoj karna bandh kar diya jaaye turrant,warna Zeenat ki jaan ja sakti hai , aur teeno departments ki badnaami bhi ho sakti hai , aur hokar rahegi agar yeh search operation turrant radh na kiya gaya toh , itna kehkar phone hang up ho gaya. Fir dobaara uss number ko call laga nhi , tab immediately uss number ko trace kiya gaya , but uss ka sirf laswt location hi pata chala jo KARACHI ka dikha raha tha , aur sim bhi bandh aa raha tha . Fir kuch der sochkar, "Zeenat" ne apne higher authorities ko yeh suchna dena zaroori samjha aur pure form mein jaakar puri baat bol dala. Tab waha bhi tension ka mahol utpann hone laga tha, immediately all 3 forces ke heads ko jaankari video calls ke sahaare de di gayi . Fatafat , ya phir kahe bina waqt gawaaye, INDIAN ARMY , IB aur ATS [ CYBER CELL] ko turrant kaam pe lagaya gaya, aur unka ek hi lakshya tha , ki kisi bhi tarah "MASTERMIND " ko dhoond nikaalna hai , jo iklauta zimmedaar hai cyber theft aur unn teeno blasts ke liye. Ab teeno departments high alert mein they, aur teeno ne search operation shuru kar diya tha apne tarike se. Fatafat KARACHI Govt. se contact kiya gaya aur jaankaari ki pushti karne ki koshish ki gayi, par unhone saaf inkaar kar diya ki , waisa koi bhi call unke state se nhi kiya gaya hai, fir bhi dept. mein asantushti bani rahi, tab top spy "AYESHA SARAF" ko contact kiya gaya , aur usko puri baat btayi gayi , aur uso unke strategy ki puri detail di  gayi , saath hi "ZEENAT" aur "MURAAD" ko bhi unke respective depts. se bhi aagha kar diya gaya. Ab unn teeno ke liye action time shuru ho gaya tha. Ab teeno ka ek hi mission tha "Mission MASTERMIND" . A b iske liye teeno ko karachi phuchna tha, toh teeno ne jaha the wahi se KARACHI ki flight pakdi aur KARACHI ke liye ravana ho gaye. Most importantly iss beechek co- incidental ghtana ghati ki teeno ne ek hi  brand ki flight mein boarding ki thi "INDIGO" , but tickets different thi toh timing bhi different thi, sabse pehle "Muraad" phucha, fir "Ayesha" phuchi , fir aakhir mein "Zeenat " mein phuchi, abb teeno "KARACHI " phuch chuke the. Ab ittefaq dekhiye , teeno ne ek hi hotel mein room bhi le liya, usme bhi timings thodi aagey peeche thi, aur hotel ka naam tha "HOTEL PARADISE" . Iss hotel ki khaasiyat yeh thi ki teeno ne apne sutro se pata kiya tha, ki "MASTERMIND" ka hotel , ya fir kahe iss hotel ka maalik "MASTERMIND" tha. Ab aapko lag sakta hai ki teeno fas chuke hai, aur baagh ke illake mein ghuss chuke hai , jisse nikalna asambhav hai , par case ulta bhi toh ho sakta hai. Teeno ne janbujhkar issi hotel ko apna hunting ground bana liya tha, kyunki  yeh jaha the waha se kuch na kuch jaankari toh praapt ho hi jaati aur hafte mein ek na ek din toh "MASTERMIND" ki ek jhalak dikh hi jaegi yahi soch kar mission  mein agey badh rahe the. Aaye toh teeno tourist banke , par jaise maano teeno hi detectives ban chuke the, koi ek dusre ko nahi jaanta tha , teeno ka mission ek tha , par kaam karne alag tha, aur teeno khud se zyaad aksis pe vishwas nahi karte the , halaki teeno mein se koi kisiko nahin pechaanta tha. KARACHI mein ,"MASTERMIND" ko lagbhag koi nhi jaanta tha, bahuto se pucha gaya par koi jawaab nahi mila , ya fir shayad log darr se kuch bata nhi rahe the, kyunki unko apni jaan aur apne pariwaar ki jaan pyari thi. Ab dono taraf search opration chal raha tha, ki "MASTERMIND" ki ek jhalak dekhne ko mil jaaye, dusra uske related kuch jaankari mil jaye. Teeno ko apne higher officials ko per day ka progress  report dena parta tha . Sab allah ko yaad kar rahe they aur duaa maang rahe the ki koi clue mil jaaye "MASTERMIND" ke related, ya koi link mil jaaye , toh unhe ",ASTERMIND" tak phunchne mein aasaani ho jaati. Isi beech ,ek number se "Zeenat "ko call aya aur phone ke dusre side se ek shaqs ne kaha ,mujhe pata hai aap "MASTERMIND"ko dhoondna bandh kar dijiye yeh meri aakhri warning hai., par zeenat ko koi farak nhi pada , aur usne sidha phone kaat diya. Inn logo ko pata mhi tha ki wha pehle se unke madad ke liye IB , CYBER CELL [ATS], INDIAN ARMY se log bheje gaye the , aur woh log bhi "HOTEL PARADISE" mein hi ruke huye the. Toh aapko samajh aa hi gaya hoga ki purey desh ko "MASTERMIND" chahiye tha zinda ya murda. Ab sirf tha ,"wait & watch" ka time aur kyunki laakho logo ke sentiments jude hue they toh success toh anyhow achieve karna hi tha iss mission mein . Achanak hotel stay ke 5th day mein ek shaks aata hai hotel ke reception pe , bilkul mamuli se kapdo mein , aur ek room ke details puch raha tha . Uske kapde dekh kar kisiko shaq nahi hoga  ki woh normal tourist nahi hai. Par pata nahi kyun "MURAAD" ko thoda khatka  laga aur uss aadmi ke jaane ke baad reception waale se uska id proof dikhaane ko kaha, dusrea koi hota toh shayad objection karta par kyunki receptionist Indian tha jo karachi mein kaam ke silsile mein reh raha tha 5-6 saalo se , toh usne bejhijhak uss shaks ka ID proof dikhaya, woh bhi jab "Muraad" ne apna ARMY ka badge dikhaya tab hi warna har desh ke liye yeh illegal hai dusre ke documents kisi unknown person ko dikhana. Ab ID Proof se kya pata chala hoga "Muraad" ko ? sochiye aur interval ka maza lijiye. Haan toh hum kaha they , ab uss ID Proof se uss shaks ka naam pata chala jo tha "Hamid Qureshi" . Koun tha yeh? yaha kyun aya tha ? kya yeh normal tourist tha? ya "MASTERMIND" se connected tha? yahi sab chal raha tha "Muraad" ke dimaag mein aur woh kisi bi tarah iss "Mr. Qureshi" ke baare mein aur jaankari nikalne ke liye kuch bhi karne ko taiyaar tha. Toh usne bina waqt gavaaye usne uske ID se apne team ko uski khoj mein laga diya , team ki details respective heads ko mail kar di gayi thi departments ke taraf se. "Muraad" ko "Qureshi" ki har waqt ki khabar chahiye thi , isliye usne waisi hi instructions de rakhi thi apni team ko. Ab yeh baat toh "AYESHA" aur "ZEENAT" ko khabar nahin thi, par jab unhone apne tarike se "MASTERMIND" ko dhoondna shuru kiya,tab unhe apne sutro se pata chala ki, "MASTERMIND" "KARACHI" ka sabse raees insaa hai, aur yeh khabar bhi thi ki "MASTERMIND" ka "KARACHI market" mein kaafi aana jaana tha. Toh inn dono ne apne log karachi market mein tainaat kar diye the, ab na yeh 'Qurseshi" ko jaante they aur na hi "Qureshi inko jaanta tha. Allah ka kamaal dekhiye, yeh dono mall road waley market mein they, par "Zeenat" ka bag churakar koi bhaagne laga, aur "Zeenat" bhi uske peeche bhaagi, achanak se "Qureshi" scene mein aa jata hai , aur chor ko pakad leta hai. Toh yeh dono bilkul anjaan ek dusre se , "Qureshi"  "Zeenat" ka bag use wapas kar deta hai, aur "Zeenat" toh raah chalte ko shaq karti nahin, toh unhe thank you treat dene pe tul jaati hai , jispe pehle toh "Qureshi" manta nahin , fir bola sirf coffee kaafi rahegi , jispe "Zeenat" ne haami bhar di. Fir dono ne kuch der yunhi baat ki aur shukriya adha kiya "Qureshi" ka , toh "Qureshi" ne "Zeenat" ko apne ghar bulaaya jispe woh pehle toh maani nahi , fir "Qureshi" ke bahut insist karne par woh mann gayi. "Qureshi" ka ghar "Karachi" airport se 4 kilometre door tha, aur "Zeenat" thi uski guest, "Zeenat" ne suna tha ki "Karachi" waley apne guests ki khoob khaatir karte hai , toh usey bhi mehmaan nawazi lene mein koi aapatti nahi thi. Issi beech "Zeenat" ki nazar "Qureshi" ke table top pe padi jisme ek photo mein "Qureshi" aur ek aadmi saath photo khichwa rahe they , toh pata nahi "Zeenat" ko kya laga ki usne "Qureshi" ko puch hi liya, ki uss tasveer mein unke saath woh shaqs koun hai ?, usey laga ki unka bade bhai honge , par jawaab toh kuch aur hi tha .. pehle toh "Qureshi" ne kuch socha , fir kaha ki uss aadmi ka naam  "AKBAR ALAM' itna kehke woh chup ho gaya. Ispe "Zeenat" ne thoda aur utsaah ke saath ke pucha ki "ALAM" ji karte kya hai , ispe bhi jab "Qureshi" sochne laga tab "Zeenat" ne bola ki agar woh nahi batana chahte toh koi baat nahin usne toh yunhi puch liya tha , koi zabardasti nahin hai , aur woh thoda flirt karne lagi "Qureshi" ke saath aur  "Qureshi" ko pata nahin tha ki kaise react kare , aur woh tha thoda sharmiley type ka insaan tha , toh usne jhatapat bataana shuru kiya "Zeenat" ke prashno ke uttar dena , "AKBAR ALAM" Karachi ka sabse raees insaan tha aur uska ek aur naam bhi tha , toh "Zeenat" ne socha ki koi nick name hoga jo gharwalo ne rakkha hoga , par "Qureshi" ka jawwab sunke "Zeenat" ka dimaag  chakkar khaa raha tha , kyunki woh  "Akbar Alam"  aur koi nahi balki  "MASTERMIND"  tha . Bahut uts chahiye iske baad kisiko jo bhi yeh prashna puche ya bole toh "Zeenat" ko hi uss  jagah rakh lijiye , usne bade himmatr se bina darre "Qureshi" se aur baatein ya information nikaalne ki koshish karte hue pucha ki "MASTERMIND" ka matlab kya hai , aur unka kaam  kya hota hai? Toh ispe "Qureshi" thoda soch vichhar karne laga , ki "Zeenat" ko "MASTERMIND" ke kaam ke baare bataana sahi rahega ya nahi , fir usne socha khamakha "Zeenat" darr jaegi aur unki bani banaati nayi dosti wahi khatam ho jaegi  isliye usne "Zeenat" ke prashno ko avoid karna shuru kiya aur baat ghumane ki koshish karne laga , kyunki  " Zeenat" ko woh mamuli guest samajh raha tha , aur aane wale khatre se usey bachana hi uska lakshya tha . Par "Zeenat" ke  baar baar zid karne par , usne kaha ki main zyada toh  nahi jaanta par "MASTERMIND" ka kaam bhut risky job hai aur khatarnak bhi. Ab "Zeenat" ko toh kisi bhi haal mein iss "MASTERMIND' se milna hi tha , toh usne "Qureshi" se pucha ki kya woh usey "MASTERMIND" se milva sakta hai ya nahi , kyunki usey aise dangerous logo se milna unke baare mein pata lagana bahut mazedaar lagta hai , ek alag sa thrilling wali feeling deta hai, aur bhi bahut kuch bola "Zeenat" ne jaise ki "Qureshi" uss se impress hokar usse "MASTERMIND" se milwa de. Ispe "Qureshi" ensocha aur kaha ki woh koshish kar sakta hai ki "Zeenat" ki mulaqaat "MASTERMIND" se ho jaaye , but kuch confirm nahi bataa pa raha tha, isme "Zeenat" ne usko thoda seduce karna shuru kiya uski taarif karni shuru ki ki wwoh kitna handsome tha aur mashallah kitna cute hai "Qureshi" aur sexy bhi wagera wagera , aur "Qureshi" apni taarif sunke na chahte huye bhi "Zeenat" ke baaton mein aa hi gaya, aur unhone kuch intimate moments bitaaye , "Zeenat " ne socha manzil ke itne karib aakar usey khina bewakoofi hogi , toh kya hua agar ek anjaan insaan ke saath kuch intimacy ho hi jaaye toh , waise bhi "ZAK" apni raksha karna acchi tarah se jaanti thi, arthaat woh hamesha ek condom apne saath apne purse mein carry karti thi , arthaat "all work no play makes ZAK a dull girl". Fir jab unki intimacy khatam hui aur "Qureshi" ghode bech kar so raha tha , tab usne uska pura ghar ko search karna shuru kiya , ki kahin toh kuch aur prrof mil jaye "MASTERMIND" ke khilaaf , usne sab jagah dhoond liya saboot ke liye , par kuch na mila , tab usne uss photonko gaur se dekhne ka socha jo table top pe tha par uspe bhi kuch nhi mila. Fir jab "Qureshi" ki aankh khuli toh "Zeenat' ne usey kiss kiya aur alvida kehkar waha se nikal gayi."Qureshi" ka toh "dil garden garden" ho gaya tha, aur "Zeenat" ko shayad "MASTERMIND" tak phunvhne ka raasta mil gaya tha. Dusri taraf "Muraad" tha jo apni sources lagaye baitha tha "MASTERMIND" ki khoj pe , aur ab toh woh Karachi police se toh puch nhi sakta tha "MATERMIND" ke baare mein toh usne socha ki chalo Karachi jab aa hi gaya hoon toh sheher kyun na ghom liya jaaye , ab uske paas toh "MASTERMIND" ki koi tasveer toh thi nahi jisse "MASTERMIND" ko dhondne mein aasaani ho , tab usne kya socha ki kyun na apne chief se contact karke unhise "MASTERMIND' ki tasveer maang li jaye , toh turant usne ARMY chief ko phone lagaya aur unse "MASTERMIND" ke kuch pics usey whatsapp karne ki darkhaast ki , par chief ne kaha ki unke paas "MASTERMIND" ki abhi ki photo nahi hai , par ek puraani photo hai jab woh apne mid 30's mein hua karta tha, unke paas jo photo tha usi ko bhejne ko kaha "Muraad" ne aur shukriya zaahir karke baat khatam ki aur unke message ka intezaar karne laga. Teesri taraf  "Ayesha" ke paas already "MASTERMIND" ki poori gutthi thi usne pehle se hi ikkatha kar rakha tha, kyunki SPY ka kaam hi hota hai ki woh apne target ki full details pehle se apne paas mauzood rakhte hai,taaki target pehchanne mein bhul na ho aur na hi apna kaam ko anjaam dene mein. "Ayesha" ne "MASTERMIND" ke baare mein apne team ke duara jo information ikkatha kiya tha , woh yeh tha ki "MASTERMIND" ek lamba chauda 6'2'' ka hattakattainsaan tha , jiska lifestyle raeeso jaisa tha , uska bahut sara dangerous ya fir kahe illegal karobaar tha, jaise ki jism faroshi , etc. . Unka behaviour ekdum kattar tha , unke family mein woh aur unke 2 biwi aur 1 bete aur 1 beti rehti thi. "Ayesh" ne shyad "MASTERMIND" ki gaadi ko dekhliya tha karachi bazaar se guzarte waqt uss waqt usey pata nahi tha ki yeh "MASTERMIND" ki gaadi thi, uss gaadi mein baithe shaqs ne apne driver ko bolke karachi market ke saamne se ek phalwale se kuch dozen phal liya aur gaadi ka seesha utarkar phalwale ko paise de diye , tab "Ayesha" ne dekha ki uss shaqs ke dihine haath mein bade bade stones se saji hue anguthiya thi , shayad woh astrology mein vishwas rakhte honge , fir usi haath mein ['right hand} mein ek khareoch ya fir koi purane chot ka nishaan bhi tha thik haatho ke nasso ke beech , jaha se doctor heartbeat measure karta hai , thik ussi jagah , toh "Ayesha" ne bade gaur se sab notice kiya , aur apne saamne se gaadi ko jaate dekha toh usne kya socha ki fatafat usne gaari ka number plate ka number yaad karliya , aur gaadi bhi kounsi thi woh bhi likh dala , tabhi se woh iss shaqs pe apni nazar jamayi rakhi thi, arthaat usey bhi pata nahi tha par uski gut feeling usey cheekh cheekh kar keh rahi thi ki ho na ho yeh aadmi hi "MASTERMIND" hai. Isliye usne iss shaqs pe pura dhyaan de rahi thi jis baat ka andaza bhi shayad uss shaqs ko nahi tha ki koi uski har waqt ki activity track kar raha tha . Aakhir yahi toh kaam hai ek Spy ka.   Dusri taraf "MURAAD" ke paas "MASTERMIND" ki puraani tasveer aa chuki thi , usme "MASTERMIND" ek wakayi ek lamba chauda handsome youth nazar aa raha tha , halaki yeh photo aaj se 20 saal pehle ki thi as mentioned by ARMY chief . Par uss photo mein "Muraad" ne kuch ajeeb cheez notice ki thi jo shayad kisisne nahi ki thi ya ki hogi , woh yeh tha ki picture mein "MASTERMIND" ne ek bhut alag type ki angoothi pehen rakhi thi, jiski baarik kaarigari dekh kar bahut log uske laalach mein pad sakte hai, woh tha hi itna behtareen ki uspe hi "Muraad" ki aankhein kuch der usi pe fix ho gayi, kyunki aisi kaarigari wali anguthi usne pehle baar dekhi thi, aur woh uske dimaag mein chapp gayi thi, aur woh ghar jo photo mein tha woh shayad "MASTERMIND" ka ghar hua hoga , isliye woh ghar uske mastishq mein chapp gaya tha . Ab "Muraad" ko sirf uss ghar ka pata lagana tha , toh woh photo usne apne team ko forward kar diya aur fatafat uss ghar ka pata lagane ka nirdesh de diya unko. Teesri taraf , thik do din baad "Qureshi" ne "Zeenat" ko "MASTERMIND" se milwane ki baat kar dali , kyunki thik do din baad  "MASTERMIND" ke ghar pe unke bete ka janamdin manaaya jaane wala tha arthaat "RAFI ALAM" ka janamdin hai, abse thik do din baad . "ZEENAT" ka khushi ka thikana nahi tha , aur usne issi baat pe "Qureshi" ko kiss kar diya , aur saath hi usne mann hi mann soch liya ki plan ko anjaam kaise dena hai, aur saathhi saath kuch intimate moments bhi dono ne bitaaye , aur ek jhoota wada bhi kar dala "Zeenat" ne ki aaj usko itni khushi ho rahi hai ki woh bayaan nahi kar sakti hai , aur usne "Qureshi" se nikaah karne ka jhoota wada kiya , jispe "Qureshi" ka dil garden garden ho gaya , par usey [ Qureshi] kaha pata tha ki ek anjaan shaqs ko trust karna usey bhaari pad sakta hai , yeh soch "Zeenat" mann hi mann hass rahi thi , bechara "Qureshi" bali ka bakra befaltu ka banne ja raha tha. Ab kehte hai na kuch paane ke liye , kuch bho sacrifice karna padta hai . Itni der mein "MURAAD' ne 'MASTERMIND' ka ghar ka pata laga dala tha . Ab intezaar tha D-DAY ka . Waise dekha jaaye toh ab sher khud fass chuka tha aur ghir chuka tha chaaro ore se , aur "MASTERMIND" ne apne security mein har kadam mein 2 security guards tainaat rakhe the . "Ayesha" ne saari taiyaari pe nazar rakha hua tha aur usse acchi tarah se pata tha ki plan ko kaise execute karna tha. Aur ab isi ka fayda uthana tha humare teeno characters ko . Aur ab bas D-DAY ka intezaar karna tha . Dusri taraf teeno ne apne headquarters ko bhi aagha kar rakha tha apne plan ke baare mein . Ab aakhirkaar woh din aa hi gaya aur humare  teeno jawaan ekdum taiyaar the. Yeeno ko pata tha apna apna role iss mission mein. Ab kaun kaisa dikhne wala tha aaiye dekhte hai, pehle toh baat yeh hai ki "MASTERMIND" ka bangla bada hi alishaan tha , maano bilkul chaand mahal jaisa , uff aisi sajawat ki gayi thi jiska koi jawaab nahi tha, iske aagey toh mughlo ki imaarat sharma jaaye. Waqayi lag raha tha 8wa ajooba ho duniya ka . Ab logo ka aan shuru ho gaya tha , sabko dekhkar lag raha tha maano , sab raees parivaar ke log hai, ab isis beech hamari teeno characters ki entry hoti hai. Thoda vistaar mein agar bataaya jaye toh , black kurte aur white pyjame mein "MURAAD" with a stylish beard entry aur woh bhi muslim they isliye unhe zyada takleef nahi hui iss getup mein sabke saamne aane mein, woh bade hi stylish , sexy aur macho lag rahe they. Unki entry mein janamdin ke function mein chaar chaand lag gaye the, woh they hi itne handsome ki sabki nazre bas unhi pe tiki ki tiki reh gayi, aur jitni ladkiyaan thi mehfil mein sab toh maano unki fan ho gayi ho , usne toh "MASTERMIND" ke bete ka show pura flop kar diya tha , woh "MASTERMIND' ke bete se kahi zyada handsome lag raha tha , maano lag raha tha koi film ka hero aa gaya ho , uff kya lag raha tha boss, ekdum bole toh "faadu", maano yeh akela hi sab ke dil ka chor bann gaya tha, ladkiyatoh jaise latoo hon gayi thi "MURAAD" par , aur kyun na ho ek toh waisi personality uppar se INDIAN ARMY , par insab ke beech "MURAAD' apna lakshya bhula nahi tha, aur kisiko shaq na ho isliye, usne khud ko "MASTERMIND" ke bete ka dost bataaya , aur door ka rishtedaar bhi. Ladkiya toh har waqt "Muraad" ke agey piche ghppm rahi thi, par woh kahaan kisko dekhta , woh bas apne kaam pe focus kar raha tha. Ab iss beech "Ayesha" toh apni nazar jamaye baithi thi "MASTERMIND" ke ghar pe , bole toh spying constantly, unke har movement ka track rakh rahi thi , aur sahi mauke ke talaash mein thi apne kaam ko anjaam dene ke liye . Teesri ore , "Zeenat " aur "Qureshi" ki entry hui mehfil mein , ab "Zeenat' ko pata tha ki plan execute kaise karna hai. "Qureshi' ko woh zid karne lagi ki "MASTERMIND" se mila de , toh "Qureshi" ne sahi waqt dekhkar "Zeenat" ko le gaya "MASTERMIND" ke paas , aur usne piche se awaaz di "jahaanpanah , zara iss sangi ko do baatein kehne ka muka mil sakta hai kya ? yeh sunn "MASTERMIND" piche ki ore mudew , toh jaisa description pehle bataya hubahu waise hi hai "MASTERMIND" ,lamba chauda , hattakatta, sir pe baal kum , lekin koi wrestler se kam nahi lag raha tha , aur waisi hi physique. "Qureshi' se toh far handsome la g raha tha "MASTERMIND", ek oomph factor tha unme jo bayaan- e - bahaar tha. Par kuch baaton ke baad "Zeenat" ko introduce karaya "Qureshi" ne , ab "mastermind' uske saamne khada tha aur usne "Zeenat" ka haath chuma aur uski taarif ki. Doosri taraf "Muraad" ki aankhen "MASTERMIND' ko dhoond rahi thi , toh wohapni nazre chaaro ore aur yahi karte waqt usne socha ki kyun na kisi ladki ki madad le li jaaye "MASTERMIND" ko dhoondne mein. yahi soch woh yunhi dusri taraf muda hi tha ki usne dekha ki ek ladki usse ek takk dekhi ja rahi  thi. "Muraad" dheere se uske taraf badh raha tha , aur uske karib pahuch gaya , woh ladki sharam ke maare maano kahin bhaag hi jaegi, "Muraad" ne uska haath piche se pakda, aur pucha ki kya woh usey "Akbar Alam" se milwa sakti hai, ispe woh ladki aur sharma gayi aur bola ji haan aap jinhe dhoond rahe hai woh mere abbu hai, yeh sunkar "Muraad" ki khushi ka thikana nahi raha, toh usne uss ladki ka naam puchte hue kaha, ki woh kaha mil sakti hai ? Ispe uss ladki ne bola ki uske abbu varanda mein kuch logo ke saath gappe lada rahe hai aur uska naam "Aaliya' hai , pura naam "Aaliya Alam" hai, "Muraad" janta tha ki ek yahi mohra hai jiske sahare woh "MASTERMIND" ko aasani se apne kaam ko anjaam de sakta hai. Ab isi beech "Muraad" ne apna plan shuru kar diya tha woh bilkul stranger ke tarah gaya "MASTERMIND" se milne aurjaisae hi pahuncha usne "MASTRMIND"ko uppar se niche pura nirikshan kar liya tha, aur usko kaisa counter attack ka plan bhi bana liya tha apne mastishq mein. Waha pahunvhkar uska khoon khaul raha tha par woh toh INDIAN ARMY isliye use apna kaam karna dimaag shaant karke apne objective poora karna tha ya fir kahe mission accomplish karna tha. Waha par usne unka haal chaal pucha aur unke bete ke janmadin ke liye shubkamnayein di. Ab itne logo mein "MASTERMIND" ne khyaal nahi kiya ki "Muraad' ek ajnabee tha , aur bina soche hi usey gala laga liya aur shkriya adha kiya , uss waqt fir "Muraad " ne apne gusse ko control kiya , warna agar woh dono akele hote toh abhi tak "Muraad' ne " MASTERMID" ka kaam tamam kar diya hota aur wahi dafna diya hota , ab woh bas "MASTERMIND" ke akele hone ka intezaar kar raha tha. "Ayesha" bhi sab par rakhi hui thi ki kab "MASTERMIND" thoda akela ko paya jaye toh  apna nishaana saadhkar "MASTERMIND" ka kaam tamam kiya jaaye. Ab sher teeno taraf se ghir chuka tha aur apne ghar mein fass chuka tha aur usey iss bat ki bhanak tak nahi thi, lekin phir bhi uski protection zabardast thi , kyunki sher ko bhi apni jaan pyaari hoti hai , isliye in teeno ko bahut chalaki se apne kaam ko anjaam dena hoga, ab issi beech "MASTERMIND" ko ek call ata hai aur dusre taraf se koi shayad unhe inform kar deta hai ki unki jaan shayad khatre mein pad sakti hai , aur unhe chaukanne rehne ki salah de raha tha , par "MASTERMIND" ne caller ki baat hasi mein uda diya aur kaha ki kisiko pata nahi ki woh kaha rehta hai , toh usey koi kaise attack karega , aur yeh bhi kaha ki allah unhe mehfoos rakhenge woh unki tension na le ,  aur bataaye ki kya haal chaal hai ? , yeh conversation sunkar "Muraad'  ko  thoda tension ho raha tha aur woh aur chaukanna ho gaya , par jab dekha ki woh matter ko maze mein le rahe the uska mann halka hua aur woh ab satark ho gaya aur mann mein thaan liya ki ab toh "MASTERMIND" ki khair nahi. Par thodi der mein kahase pata nahi par ek bullet aakar "MASTERMIND" ko lag hi jaati agar "Muraad' ne notice nhi kiya hota toh aur "MASTERMIND" ko kheech ke dusre taraf mud na gaya hota toh , aur iss dauraan goli "Muraad' ko chu kar nikal gayi , jisko "Mastermind' ne khyaal kiya aur usey dusra room mein le gaye apne saath , aur fatafat uski patti karne lage , saath hi apni praan bachane ke liye shukriya karne lagey , aur kaha ki woh agar na hota toh aaj "MASTERMIND" toh allah ko pyaare ho jata , ispe mann hi mann "Muraad" ne socha ki wohi toh karne ko usne chot khayi kyunki woh apne haatho se 'MASTERMIND" ko maut ke ghaat utaarna chahta tha. Isi beech "Muraad" ne puch hi dala ki koi kyun unpe attack karna chahega, ispe toh pehle "NASTERMIND" kuch bone se itra raha tha ,fir  kyunki "Muraad' ne unki jaan bachane ke liye goli khai thi aur socha unhe isse koi khatra toh hai nahi , tab kehna shuru kiya  ki bhai tumko shayad mere business nahi pata , toh suno yeh jo bomb blasts hue hai delhi mein aur baaki shehero mein woh sab mere hi order se hi hua hai, kyunki main inn hindustaniyo ko maarkar bada mazaa aata hai,yeh saale pakistaniyo ko anaab shanaab bolte hai aur samjhte hai ki khud hi sharif hai aur hum beimaan , bhut khoon kholta hai yeh sab sunn mera  isliye bhuto ko tapka daalta hoon , mujhe sach bolu toh jab inn logo ki  maut ki khabar milti hai tab mujhe aisA lagta hai ki duniya se kuch nasamhjo ko meri madad se allah apne paas bula lete hai, aur yahi log hi hume majboor karte hai terrorism karne ko , phir bhi aa jatehai hai marne ko. Yeh sunkar "Muraad" toh ussi waqt usse maar deta par socha ki uski khabar ko sach karne ka waqt aa gaya hai. Isi beech "Zeenat' ne inn dono ko jab "MASTERMIND" zakhmi "Muraad"  ko room mein le ja rahe the tab inn dono ko usne dekh liya tha. Toh woh "Qureshi" ke saath washroom jaane ke bahane usey washroom tak usey saath vchalne ko kaha aur jaise hi woh phuche "Zeenat" ne usko bhi andar kheech liya aur intimate signals dete huye  aur humara " Qureshi" waha apne aapko sambhal nahi paya , aakhirkaar "Zeenat" ke liye woh paagal tha . Toh dono hi washroom mein the aur washroom "MASTERMIND" ke room se bikul nazdeek tha i mean ekdum chipki hui thi . Isme "Zeenat" ko information  ya 'Muraad' se jo bhi baat uss room mein ho rahi ho rahi thi woh clearly usse sunayi pad raha tha aur samjhne mein koi dikkat bhi nahi ho rahi thi , aur waisa hi sochkar "Zeenat" ne washroom lock kar liya aur waha woh aur "Qureshi" apni intimacy enjoy kar rahe they , atleast "Qureshi" toh enjoy kar hi raha tha , aur "Zeenat bhi cooperate karte huye apna dhyaan "MASTERMIND" ke baaton pe hi fixed rakhi hui thi. Ab iss hamle se "MASTERMIND" toh tension se purey pasina se bheeg chuke they, uppar se A.C. toh chal raha tha par usmein bhi pasine ruk nahi raha tha "MASTERMIND" ka, toh "Muraad" ne unko relax karne ko kaha aur khidkiya khol di . Ab  pehli goli jo "Muraad" ko lagi , woh "Ayesha" ki rifle se chali thi, par galti se "Muraad" ko goli lag jaati hai. Saamne building mein "Ayesha" full focus lagaye usi khidki ke taraf ekk takk dekh rahi thi. Ab "Muraad" ne haav dekha na taav aur woh "MASTERMIND" pe goli chalane wala tha , usi waqt uska call baja aur dusri taraf se usko puri jaankari di gayi baaki do logo ke baare mein, yeh sunn uska josh aur badh gaya ab woh maar hi dalta "MASTERMID" ko , ki dusri taraf "Zeenat" ne "Qureshi" ko intimacy ke dauraan injection ke zariye uske sharir mein zeher inject kar diya , jisse uski sang sang maut ho gayi , aur isne wohi usey ek goodbye kiss dekar "Qureshi" ka chapter fully close kar diya. Dusri taraf "Ayesha' bilkul taiyaar thi , tabhi usne dekha ki "Muraad" ne usko dekhliya aur woh usse wahi shoot kar deti , par tab usne dekha ki "Muraad" usko kuch dikha raha tha , usne jab binoculars se dekha tab woh INDIAN ARMY ka badge tha aur woh samajh gayi ki woh INDIAN ARMY se tha , aur unn dono ka laskhya ek hi tha . Ab woh aaram se tamasha dekhne lagi. Aur issi beech "Zeenat" andar ghusi chali aayi aur aisa dhong karne lagi ki woh jaise dekhne aayi ho  goli ki awaaz sunkar ,ki "MASTERMIND" thik hai ki nhi kahi unhe koi haani toh nahi pahuchi ,tab "MASTERMIND" ne kaha ki unhe bachate bachate iss naujawaan "Muraad" ko goli lag gayi , warna aaj agat yeh na hota toh woh toh allah ko pyaare ho jaate. Yeh sunkar usko aur gussa badh gaya aur woh toh "Muraad" ko wahi maar dalti , par bahgwaan ka lakh shukar hai ki "Muraad" ko khabar mil gayi thi baaki dono ke baare mein , toh "Zeenat' ke haav bhav dekh kar usey pehle shaq tha fir confirm ho gaya ki ho na ho wohi woh dono mein se ek hogi  tab isi beech "Zeenat" ke pocket se ATS [cYBER CELL] ka id card gir gaya aur turant usey "Muraad" ne usey uthakar uthakar de diya isse pehle "MASTERMIND" usey dekh leta. Aur taaki "Zeenat" bhi jaan sake ki "Muraad" INDIAN ARMY se hai toh usne apne aapko usi jagah dobaar achot lagaya aur girne ka naatak kiya aur apna badge gira diya , jisko "Zeenat" ne dekh liya aur usko sab samajh aa gaya tha, aur first aid lene ke bahaane se "Muraad" ne usko khidki ke paaswale drawer se first aid box lane ko bheja , jaise woh phuchi usne "Ayesha" ko dekha rifle liye bilkul taiyaar , usko pura plan samajh aa gaya tha aur usne bhi "Muraad" ke hi tarah "Ayesha" ko apna id card dikha diya tha. Ab teeno ready the , teeno ne allah ko yaad kiya,aur countdown shuru ho gaya, niche toh sabko har team ke logo ne baaton mein uljha rakha tha , aur yeh log bhi guests ke tarah hi ghus aaye the mehfil mein . Uppar "Zeenat" ne jaise hi first aid karna shuru kiya tab woh samajh gaya tha ki "Zeenat" uske taraf attract ho rahi thi, aur usne isika mauka uthaya aur usle saath intimacy karni shuru kar di jispar "Zeenat" hairaan ho gayi aur "MASTERMIND" ko kuch samajh nahi aa raha tha ki kya kare, tabhi "Muraad" ne uske saath zabardasti karne ka jhuta naatak shuru kar diya aur woh samjh gyi thi ki yeh plan ka hissa tha , toh woh naatak asli lagey isliye woh "Muraad" se door jane ki koshish karne lagi par "Muraad" bhi kuvh kum toh tha nahi usne wapis aur zor se usey apni ore khichna shuru kiya,aur yeh dekh "MASTERMIND" ne "Zeenat" ko bachane ki koshish karne laga  aur bas yahi tha perfect moment aur khidki ke lagbhaag saamne hi khade the "MASTERMIND" ab isi khichatani mein bina waqt gawaye ayesha ne aim fix kiya aur fire kar diya aur rifle mein silencer fit rehne ke wajah se koi shor bhi nahi hua aur laga toh laga pura headshot , 1 second mein kahaani khatam. Ab yaha do baatein proof ho gayi ki "MASTERMIND" confusion mein marra aur inn logo ne usey uske ghar mein ghus kar uska kaam tamam kar dala. Terrorism ka "MASTERMIND" ab allah ko puri tarah pyaar ho chuka tha aur kisko kaano kaano kaan khabar bhi nahi hui . Ab yeh teeno apne teams ko lekar waha se aaram se nikal padi. Arthaat yeh mission pure teams ke effort ki success reult thi , aur iska shray ya credit all 3 heads aur unke pure teams ke joint effort ko jaata hai. Uss raat ke baad woh log Karachi emein kabhi fir dikhayi nahi diye aur koi unhe thik se janta bhi nahi tha isliye kisika shaq unpar gaya hi nahi, toh karachi ke logo ke liye "MASTERMIND" ki maut ej rahsya banke reh gayi. Fir agle din IB, ATS, INDIAN ARMY , heads apne apne teams ke saath INDIA wapis laut aayi aur congratulate kiya ek dusre ko , aur saath hi apne apne departments ke hero bann gaye. -x-
1 note · View note
shahbaz-shaikh · 4 years ago
Text
Tumblr media
Mujhe Masjidon ki khabar nahi
Mujhe Mandiron ka pata nahi
Meri Arziyo ko Qabool kar
Mujhe aur Dard o Malal de
Kisi Dard mand ke kaam aa
Kisi Doobte ko uchhal de
Ye Nigaah e mast ki mastiya
Kisi bad naseeb pe daal de
🔥⚰🎭🙏
5 notes · View notes
pirate-angels · 4 years ago
Text
Na hayar hai Na ghazal likhte
Na shayar hai na ghazal Iikhte
 Na shayar hai hm na ghazal Iikha krte,
Alfaazo se batein apni sirf bayaan krte.
Hamari halat se, shayad wo waqif nhi,
Unke jazbat ke bhi hum qabil nhi.
Mashoor hai dastan shaher ki har gall mai,
Unhe khabar nhi humein is baat se aitraaz nhi.
Na shayar hai hm na ghazal likha krte,
Dil ki baat ko bass aifaazo se bayaan krte.
Waqt our halat hamari mano thehar si gyi hai,
Gulab ke kate bade narmi se chubb si gyi hai.
Chubhan ki hume koi ehsas bhi nhi,
Hakeem ki dawa ab koi kaam ki nhi.
Numb hai jism hamara, Aur zakham ki parwa nhi,
Kisi bhi baat se hm unse khafa nhi.
Na shayar hai hm na ghazal likha krte,
Alfazo se batein sirf hum bayan krte.
~ MD.Sabiq
1 note · View note
phati-sari · 5 years ago
Note
Hey Phati Sari, I had a favor to ask. I speak Punjabi so usually I'm able to follow along with most Hindi serials and stuff but there's this line that Khushi has in ep 307 that goes way over my head. Khushi has to sing a song as the "t.v" since she doesn't want to be a biwi (lol). Could you translate the three lines of the little jingle she sings? Thanks :)
Hey :)
I’m an overachiever –
Arnav: Ek kaam karo, tum TV ban jao.
How about you become a TV?
Khushi: KYA?!
WHAT?!
Arnav: Haan. Biwi nahin banna chahti, TV banne mein koi problem hai? Mujhe entertain karo. Channel main choose karta hoon aur tum dikhao. Kuch creative bano. Business channel; stock markets. With a smile.
Yes. You don’t want to be a wife, do you have a problem in being a TV? Entertain me. I’ll choose the channel, and you show it. Be creative. Business channel; stock markets. With a smile.
Khushi: Humein apne darshakon ko bahot khed se bata pad raha hain ke aaj subha bazaar khulte hi, AR Designs ke shares ki keemat bahot buri tarah se gir gayi hain. Aur yeh sab company ke maalik Arnav Singh Raizada-ji bewakoofi ke vaje se ho raha hain, kyunki vo aaj kal kaam pe dhyan nahi de rahe … bal ke logon ko sataane mein lage hai–.
We regret to inform our viewers that as the [stock] markets opened this morning, the share price of AR Designs fell heavily. This is due to the idiocy of the owner, Mr Arnav Singh Raizada, as he has become very inattentive towards work … he instead spends his time pestering people–
Arnav: –Music!
–Music!
Khushi: Aaj mausam nahi hai suhaana; Tana shahi ka hai zamana; What the, what the, what the–
Today’s weather is unpleasant; It’s the era of tyranny; What the, what the, what the–
Arnav: –News! Suna nahin TV? I said news.
–News! Didn’t you hear, TV? I said news.
Khushi: Abhi abhi khabar mili hai ki ek dardnaak hadse mein ek majboor patni ne sugar ki bimari se grast pati ko cheeni wali chai pila ke unki … khabar ke anusaar yeh pata chala hai ki pati ne patni pe kuch aise sitam kiye ki bechaari patni ke paas aur koi chara nahin tha. Iss liye hum kehna chahte hain ki “what the”–
We’ve just received news that, in a deplorable incident, a helpless wife gave her diabetic husband sugar in his tea [implied: and tried to kill him] … According to reports, the husband had tortured her such that the poor wife had no other option. This is why I want to say that “what the”—
Arnav: –Dance!
–Dance!
Khushi: Dance?! Dance ka koi channel nahin hai!
Dance?! There’s no channel for dance!
Arnav: Iss TV mein hain. I said dance.
This TV has one. I said dance.
12 notes · View notes