#hum or humare dukh
Explore tagged Tumblr posts
hosh-rubaa · 2 years ago
Text
Desi kids' most common escape plan:
"I'm just going to the library to study." proceeds to hide in a corner and cry.....
94 notes · View notes
iammiracl3 · 4 months ago
Text
HOW TO LET GO: EK NAYI SHURUWAT
Har insaan apni zindagi mein kuch aise lamhe jeeta hai jo uske liye bohot mushkil hote hain. Yeh lamhe dukh, gussa, ya pachtava ho sakte hain jo humein aage badhne se rok dete hain. Parantu, in jazbaaton ko chhodna aur apni zindagi ko nayi disha mein le jana zaroori hota hai. Is blog mein hum jaanenge kaise hum apne negative emotions ko release kar sakte hain aur apni zindagi ko ek nayi shuruat de sakte hain.
1. Allow the Negative Emotions to Flow Naturally
Jab hum kisi mushkil halaat se guzar rahe hote hain, tab humari pehli instinct hoti hai ki hum apne negative emotions ko dabane ki koshish karein. Lekin yeh approach galat hai. 
Apne negative emotions ko naturally flow hone dena bohot zaroori hai.
Negative Emotions Ko Samajhna
Negative emotions, jaise ki dukh, gussa, ya pachtava, humare mann ka ek natural reaction hote hain kisi bhi stressful situation ko. Jab hum inhe ignore karte hain ya dabate hain, toh yeh aur bhi zyada intense ho sakte hain aur humare mann aur sharir dono par asar dal sakte hain.
Express Karna Seekhein
Apne emotions ko express karna seekhna zaroori hai. doston se baat karein, likhne ki aadat daalein ya phir kisi therapist se salaah lein. Apne emotions ko words mein daalne se hum apne dard ko release kar sakte hain aur apne mann ko halka mehsoos kar sakte hain.
Meditation aur Mindfulness
Meditation aur mindfulness ki techniques humare negative emotions ko manage karne mein bohot madadgar ho sakti hain. Yeh humein apne present moment mein rehna sikhati hain aur humein apne emotions ko bina judge kiye observe karne mein madad karti hain. Jab hum apne emotions ko accept kar lete hain, tab unhe release karna aasan ho jata hai.
2. Bring Acceptance Towards the Situation
Jab tak hum kisi situation ko accept nahi karte, hum usse release nahi kar paate. Acceptance ka matlab yeh nahi hai ki hum haar maan rahe hain, balki yeh hai ki hum apni current reality ko samajh rahe hain aur usse deal karne ke liye tayaar hain.
Reality Ko Accept Karna
Acceptance ka pehla step hai reality ko accept karna. Humein yeh samajhna hoga ki jo kuch bhi ho chuka hai, usse hum badal nahi sakte. Jo cheez humare control mein nahi hai, uske liye dukh manaane se koi faayda nahi. Humein apne aap ko yeh yaad dilana hoga ki humne apni taraf se best kiya aur ab humein aage badhne ki zaroorat hai.
Positive Affirmations
Positive affirmations ka use karna bhi bohot madadgar ho sakta hai. Apne aap se positive baatein kahe, jaise ki "Mujhe apne aap par vishwas hai", "Main apni zindagi ko nayi shuruat de sakta hoon". Yeh affirmations humein positive mindset develop karne mein madad karte hain aur humein apne goals ki taraf focused rakhte hain.
3. Release All the Past Memories
Humari purani yaadein, jo humare liye painful hoti hain, unhe release karna bohot zaroori hai. Yeh yaadein humein bekaar ka bojh uthane par majboor karti hain aur humein aage badhne se rok deti hain.
Emotional Cleansing
Emotional cleansing techniques, jaise ki journaling, meditation, aur therapy, humein apni painful memories ko release karne mein madad kar sakti hain. Journaling ke madhyam se hum apne emotions ko likh sakte hain aur apne dard ko paper par utar sakte hain. Meditation aur therapy bhi humein apne dard ko samajhne aur usse release karne mein madad karti hain.
Letting Go Rituals
Letting go rituals, jaise ki likhna aur phir us paper ko jalana, humein apne painful memories ko symbolically release karne mein madad kar sakte hain. Yeh rituals humein ek closure provide karte hain aur humein mentally free feel karne mein madad karte hain.
4. Make Space for New Things to Enter
Jab hum apne purane emotions aur memories ko release kar dete hain, tab hum apni zindagi mein naye cheezon ke liye jagah banate hain. Yeh naye cheezein humein khushi, sukoon, aur satisfaction provide kar sakti hain.
New Hobbies and Interests
Nayi hobbies aur interests develop karna humare liye bohot beneficial ho sakta hai. Yeh humein apne mann ko busy rakhne mein madad karte hain aur humein nayi cheezein seekhne ka mauka dete hain. Nayi hobbies humein apne goals achieve karne mein bhi madad kar sakti hain aur humein ek positive direction mein le ja sakti hain.
Building New Relationships
Naye logon se milna aur naye relationships build karna bhi bohot zaroori hota hai. Yeh relationships humein support aur encouragement provide karte hain aur humein apne purane dukh bhoolne mein madad karte hain. Naye doston ke saath waqt bitaane se humara mann halka hota hai aur humein apni zindagi ko nayi nazar se dekhne ka mauka milta hai.
5. Engage in Self-Care
Self-care humare emotional aur mental well-being ke liye bohot zaroori hota hai. Jab hum apne aap ka dhyan rakhte hain, tab hum apne aap ko zyada pyaar aur respect karte hain.
Physical Self-Care
Physical self-care mein exercise, healthy eating, aur proper sleep aata hai. Exercise se humare body aur mind dono ko faayda hota hai. Healthy eating se humara energy level maintained rehta hai aur proper sleep se humara mind fresh rehta hai.
Emotional and Mental Self-Care
Emotional aur mental self-care mein apne mann ko relax karna, meditation, aur mindfulness techniques ka use karna aata hai. Yeh techniques humein apne emotions ko better tarike se handle karne mein madad karti hain aur humein mental clarity provide karti hain.
Pamper Yourself
Kabhi kabhi apne aap ko pamper karna bhi zaroori hota hai. Apne liye kuch accha kharidein, spa session karein, ya phir kuch time apni favourite activity mein spend karein. Yeh chhoti chhoti cheezein humein bohot sukoon aur khushi deti hain.
Conclusion
Release and let go karna asaan nahi hota, lekin yeh zaroori hai. Apne emotions ko naturally flow hone dena, situation ko accept karna, purani yaadon ko release karna, naye cheezon ke liye space banana, aur self-care mein engage karna yeh sab steps humein apni zindagi ko nayi shuruat dene mein madad karte hain.
Yaad rakhein, zindagi ek safar hai aur humein har mod par kuch naya seekhne ko milta hai. Apne dukh aur pachtava ko chhod kar aage badhne se hum apne liye nayi opportunities aur khushi ke raaste kholte hain. Isliye, apne aap ko ek mauka dein aur apni zindagi ko nayi disha mein le jaane ka prayas karein.
0 notes
mypreciousgirlkannu · 6 months ago
Text
Duniya chod kar tere sath udna chata hu
Itna duur udna hai ki
Koi hume alag na kar paye
Shor hume sata na paye
Pair humara zameen ko chu na paye
Roshni hume chu na paye
Ghadi ka kaata hil na paye
Waqt hi beet na paye
Bohot khud gharzi se hum pyar humare mein baate
Ye dukh bhari duniya ko chod kar
Aapna ek ghar banaye
1 note · View note
littlemellowwrites · 1 year ago
Text
Hum kehte rhe ki hum unse kitni mohabbat krte hai, Aur voh kehte the ki voh bhi humse mohabbat krte hai.
Par na jaane kyu humare dukh mein unhe kabhi dukh nai hua, Humara ghum unhe kabhi Nazar ni aaya, Humare aansu bhi unhe dikhai na diye, Aur humari khamoshi mein shor unhe sunai nai diya,
Na jaane kesi yeh unki mohabbat thi, Jo mohabbat ho kr bhi nai thi.
0 notes
purppleinara · 2 years ago
Note
ini ji, aap theek toh hai? hota hai, kabhi kabhi humare bade hume samajh nahi pate, par iske liye hum khud ke bhagya ko nahi koste. dukh hota hai, hum samjhte hai aapko. unhone hume janm toh diya, par fir humara khayaal nahi raha, iss baat aapka dukhi hona jaayaz hai. par ro kar hoga kya? karvi sacchai hai, kisi na kisi din aapko ye baat nigalni ho hogi. agar ro kar aapka dukh kam ho, toh zaroor. aap apni baat humse karna chahe, toh zaroor, hum haazir hai. bas khud ko dosh kabhi na de.
Khud ko dosh nahi dete, naahi unko. Haan bas itna dukh hota hai ki saaf saaf bolne ke baad bhi koi madad nahi mili
0 notes
the-breathing-pen · 3 years ago
Text
You loved me, Dont you?
Zamane mei kisi raanjhe ko, ae heer na sataana tum,
Maar dena bhale nafrat se, pr zhootha ishq naa jataana tum,
Suna hai pareshaaniya bujhana, bahut pasand hai tumhe,
Kabhi tassali se mere inn prashno ka, jawab zrur bataana tum,
Bhole bhaale mann ko, bahut rijhaya tha naa tumne,
Shyahi ke cheenton ko jaan dena, bhi toh sikhaya tha naa tumhe,
Zhoothi baatein manvaane mei, mere ganit ke adhyapak se kam kha thi tum,
Khuli aakhon zhootha sapna, kya khoob dikhaya tha naa tumne...
Kaafi waqt se baande hue ho, inn pankho ko azaad toh karo zara,
Bhool jaaye hum bhi tumhe, khuda se aisi fariyaad toh karo zara,
Maana ki kuch nhi rakkha, panne palatne mei kitaab ae zindagi ke,
Beete hai jo lamhe kabhi saath mei, do pal ko yaad toh karo zara..
Bhatke musafir ke haathon mei, janeman diya tha haath tumne,
Ki nahi jaati har kisi se jo baatein, mujhse kahi thi vo baat tumne,
They raj mahraaje, noor navaaze, toh ek se badkar ek veer kayi,
Ek maasom deewane ka hee, kyu sanam diya tha saath tumne..
Ae duniya walon bana mat lena, kisi shaks ko paribhasha ae yaarana tum,
Adaaon se behak naa jaana, kabhi palat kr naa muskuraana tum,
Kahu tumhe, tumhari aakhon ko, ya jaane kisi aur ko hee kaatil,
Zara batao toh, kisne kaha tha ki humara dil le churana tum...
Chlo maan liya ki humse, tha ae humnafas pyaar tumhe,
Reet gayi jo intezaar tumhare, unn akhiyon mei dikhta tha sansaar tumhe,
Kyu achanak rooth gayi tum aisi, jo manaye se bhi maane naa,
Lafzon mei thi kuch kami, ya kam kiya tha kuch ikraar tumhe...
Ishq ki pyaari baghiya mei, kyu ghan kaale ko chaane diya,
Kyu apne gusse ko tumhe, humare beech mei aane diya,
Roothna manana toh jese niyam sa hai, iss chalaynaan duniya ka,
Mud kr peeche tak nhi dekha, tumne mujhe kyu jaane diya...
Aaj shyahi bane hai ashq mere, inhe behne se uss pal kyu nhi roka tumne,
Bol raha tha jb koi teesra beech humare, usey uss pal kyu nhi toka tumne,
Aaj talvaaro se saje hote ye kalam dhaari haath humare, pr kya kare,
Jinhone kra khud se zyada bharosa tum par, de daala unhi ko dhoka tumne..
Chalte chalte rah pr ek din, kyu apna rasta humse mod diya,
Khilona toh nhi tha na ye dil, jo itni asaani se tumne tod diya,
Roz humse haath milakar ghar jaane ka silsila, tumhi ne shuru kia tha naa,
Waqt ne aise kya sitam dhaaye, achanak tumne milna hee chod diya,
Yaad hai uss din zhoole pr, sang baithkr kya khwaab sajaya tha,
Chup bhi skta tha jo ishq duniya se, uska tumne kya danka bajaya tha,
Shilpkaar kaho, kalakaar kaho, hum phir bhi pehchaan kr nhi paaye,
Resham samjha jisko humne, vo rishta tumne maum se banaya tha..
Mei poore hosh mei hu, ye parinaam naa kisi jaam ka hai,
Naa kabhi dil dukhaya kisi ka, toh naa hee kisi bure kaam ka hai,
Hasta hu, kabhi rota hu, par iss jaal ko kabhi samjh nhi paata hu,
Kya hasr ho gya hai mera, ye kaisa asar tumhare naam ka hai...
Roz chaand ki mehfil mei kavitaaye padhte, nij naino se pal pal ashq behta hai,
Puchna kabhi kalam se fursat mei humare, kitna gam vo sehta hai,
Aur ae zaalima! Kabhi toh taras aaya hoga, tumhe bhi iss masoom deewane pr,
Toot chuka hai, bikhar gya hai, phir bhi tumhare hee nagme kehta hai...
Ye prem koi vastr toh nahi, jo mann chaha toh pehen lia, mann chaha utaar dia,
Itna bikau toh ye zamana nahi, jab mann chaha kisi par bhi vaar dia,
Are ye samaaj surakshit rahe bhi toh kese rahe, ae duniya walon,
Khule ghumte h yha vo katil, jinhone haste gaate bacche ko maar dia..
Maan bhi lo, tumhe humse zyada parvah, humesha se thi zamaane ki,
Khilona tha naa dil humara, matr ek cheez thi tunhara mann behlaane ki,
Saaf saaf keh dia hota kbhi, toh aaj shayad ye geet na likhna pdta,
Aisi bhi kya rusvaahi sanam, kya zrurat thi bahaane banaane ki...
Banjar si padi thi dil ki dharti, ispar aa kyu hee lagaya mela tumne,
Dukh sehna pda yadi tumhe bhi, toh kaha kisi ka kyu hee zhela tumne,
Mei toh musafir tehra humnafas, haar jeet mei kyaa hee jaanu,
Itna zrur kahunga, dastaan ae dilon ka khel bahut hee nayaab khela tumne...🥀
6 notes · View notes
rohaniamalforlove · 5 years ago
Text
Har Qisam ki Pareshani se Bachne ki Dua
Is duaniya mein hum sochte hein ki pareshaniyan sirf humare hi ghar mein hein aur hum hi sabse jyada pareshan hein lekin aap akele paareshan nahin hein kai aise log hein jo alag alag tarah ki pareshaniyon se joojh rahe hein aur kuch log to itne pareshan hein ki wo apna dukh kisi ke saath baant bhi nahin paate hein. Jab aap khudko kisi ke saamne aise batate hein ki jaise saaari pareshaniyan aapko hi hein to vo aadmi aapko bewakoof samjhega aur yahi sochega ki aap kaise apni mushkilon ko suljhane ki bajay unhein doosron ko sunate ho. Har qisam ki pareshani se bachne ki dua ek bahut ki asardar upay hai jise aap apni mushkilon ko suljhane ke liye istemaal kar sakte ho aur unse nijat paa sakte ho. Agar aap  Pareshani se bachne ki dua ko pana chahte ho to aap humare Islamic scholar Molana Rahmat Ali Ji se raabta kar sakte ho aur unse har qisam ki pareshani se bachne ki dua ke baare mein guftogun kar sakte ho.
Tumblr media
Kai log sochte hein ki wo apni mushkilon ko doosron ko batane se unka bojh halka hota lekin aisa nahin hota. Jab apni pareshaniyon ka bakhaan dusron ke samne karoge to wo aapko ek haara hua aur hamesha mushkilon mein joojha rahene wala insaan samjhega aur kaii log to aise bhi hote hein jo aapki pareshaniyon ko sunkar sachet ho jate hein taaki aap kabhi unse kuch madad mongoge to vo mana kar denge. Missal ke tour par agar aap unse paison se sambandit kuch madad mangoge to vo mana kar denge. Wo sochenge ki aapki musibaton mein madad karke kahin unka paisa na doob jaye aur baad mein aap poori tarah se akele pad jaoge. Aise mein agar aap pareshani se bachne ki dua ko istemaal karein to vo aapke liye bahut hi asardaar sabit hogi. Aap har qisam ki pareshani se bachne ki dua humare Molvi Molana Rahmat Ali Ji se le sakte ho.
Name: — Molana Rahmat Ali Ji
Mobile: — +91– 7087885386
Website URL: — https://rohaniamalforlove.com/
Original Source: —https://rohaniamalforlovesite.wordpress.com/2019/11/09/454/
1 note · View note
anonymousqueen09 · 6 years ago
Text
Society ke log kehte hain,"Ladkiyo ki friendship zyada strong nhi hoti... Ladke ladai karne ke 5 min baad best friends hote hain... Ladkiyo ki ek baar ladai ho gyi, to wo life long friends nhi banengi..."😳 Arre o society ke logo😕, kabhi socha aisa hai kyu... Pata nhi... Maine socha... Boht socha... Ki main bhi ladki hu, agar ye sach hai to mere saath bhi to ho sakta hai.... But mere liye to friends boht important hain...😟 To maine socha ki aisa hai kyu?🤔 What's the reason behind this? The simple answer I got was Upbringing... Ladkiya jab tak friendship nibhane wali age mein aati hain, tab tak to unke dimaag mein ye cheez fit ki ja chuki hoti hai, ki aage unki life badal jaegi...Career, Shadi, whatever fuckall sa reason...🧐 To wo bilkul koshish nhi karti is relation ko bachane k liye. Hai to hai, nahi hai to nahi hai.... Isse pehle bhi life thi, iske baad bhi life hogi... Ye 5% soch humare 95%dimaag pe itna haavi ho jati hai ki fir hum apne dil ko yhi kehte hain,"Stop thinking about it, you'll get over it."😇 Rahi baat ladko ki, to unhe pata hai, jo hai jaisa hai, yhi unka dost hai, to ladai karne k baad usi se patch up karenge na... 80% chances hote hain ladkiyo ki life change hone ka, fir wohi 80% chance unki friend ke liye bhi honge... Jab confirm hi nhi hai ki aaj main uski help kar rhi hu to kal wo meri baat sunegi, to mujhe AWKWARD nhi lagega kya? Batao ab ladko ki mahanta, ki ek friend ki help lakh baar kar sakte hain, without expecting anything in return. To suno tumhe pata hai ki yhi dost tumhare dukh mein, sukh mein saath hoga.... But ladkiyo ke paas to sirf ek percentage hai na, that too 80%... Bas thodi si soch badlo, society apne aap badal jaegi...😊 Raise your hand if you think that society seriously needs a therapy...🙋‍♀️🙋‍♂️🙋‍♀️🙋‍♂️
1 note · View note
partnerspolar · 2 years ago
Text
Kuch kuch hota hai quotes
Tumblr media Tumblr media
Hamare sahas or himmat ko jagane ke liye aate hai jisse hamme dukho ka samna karne ka bal
Hamare jivan me jo bhi kasht ya dukh aate hai wo sab hame barbad karne ke liye nahi aate wo to.
Jaise ek badhiya or acchi book hajaro mitro ke saman hoti hai wese hi ek accha dost bhiġ000ro books yani liberary ke saman hota hai.
Teacher se sawal puchna student ki sabhi parkar se parmukh visheshta hai isliye students ko apne guru se sawal puchne me sharm nahi karni chahiye.
Agar aap duniya ko badalna chaahte ho to sabse pahle khud ko badlo.
Jo log intjar karte hai unko bas utna hi milta hai jitna pryatn karne vale baki chod jate hai.
Sapna use nahi kahte jise ham sote huye dekhte hai sapna wo hota hai jo hame sone hi na de.
Aasan rasta hume nakamyabi ki or le jata hai.
Aap safal is din banoge jis din aapke signature autograph me badal jayenge.
Here Are A P J Abdul Kalam's Top 100 Best Quotes in Hindi: Khud ke liye apni family ke liye har koi mehanat karna hi jindagi nahi hai.
Tumblr media
Zindagi sabhi jeete hai or ek din mar jate hai par main aapse kahunga ki jindgi jio to aese jio ki aapke marne ke bad sari duniya roye or sabhi aapko humesha yaad kare. Sirf itna hi unhone apni sari jindagi desh ke liye samarpit kar di. Unhone hi humare desh ko missile takat di jiski wajah se desh ki security badhi. Duniya ki itni badi hasti hone ke bavjud wo simple jindagi jeete hai. Hum unki life ke ek ek pal se kuch na kuch sikh sakte hai. Kalam ji ki puri jindagi ek motivational source hai.
500 Motivational Quotes Jo Kisi Bhi Insaan Ko Mahan Bana Sakti Hai.
Ek Successful Insaan Kaise Bane, Jise Sari Duniya Pasand Kare.
Abdul kalam jijinka pura name Avul Pakir Jainulabdeen Abdul Kalam hai aaj humare sath is duniya me nahi hai par fir bhi hume aesa lagta hai ki aaj bhi wo humare sath hai. Agar hum aesa karne me kamyab ho gaye to hi humare name ke aage mahan word lag sakta hai.
Tumblr media
Ye sari duniya humara ghar hai or isme rahne wale sabhi humara pariwar hai. Hare huye insan ko jeeta sakte hai or nakamyab ko kamyab bana sakte hai. Main dawe se kah sakta hu ki kalam ke ye anmol vichar kisi bhi insan ki life bana sakte hai. Jo aapke bahut kaam aayenge.Ī P J Abdul kalam ji ne logo ko bahut si inpirational speech di hai jinme se kuch ke bare me main yaha aapko bta raha hu. Aaj main yaha aapko inke 100 anmol vichar quotes ke bare me bta raha hu. A P J Abdul Kalam ji ne apni life me bahut si aesi bate kahi hai jo kisi ki bhi jindagi badal sakti hai. Inhone apni mehanat, lagan or apni willpower se apni manzil hasil ki or apne desh ke liye wo kiya jo aaj tak koi nahi kar saka. Bharat me ise sabse jyada young people pasand karte hai. Humare former Persident, Great Scientist and Teacher Sir APJ Abdul Kalam Aajad ke bare me koun nahi janta.
Tumblr media
0 notes
maziikeen92 · 6 years ago
Text
Hindi Attitude Dialogues for Fb Status
Attitude Dialogues in Hindi LanguageHer Mulaqat Per Waqt Ka Takaza Hua, Her Yaad Per Dil Ka Dard Taja Hua, Suni Thi Sirf Ghazalo Me Judai Ki Baaten, Jab Khud Per Biti To Haqiqat Ka Andaza Hua..
Koi nahi ruktaa is zindgi me kisi k liye Sab yuhi chalte rahte he Kaun detaa hai umar bhar ka sath Log to janaaze me bhi kandhe badalte rahte hai…
Jo nahi aata uski ka intezar kyun hota hai, kisi aur ke liye ye dil kyun bekarar hota hai. Waise to is duniya me kafi kuch hai pyara, Lekin jo nahi milta usi se pyar kyun hota hai… Read More Hindi Attitude Dialogues
Tumblr media
Attitude Dialogues in Hindi Language
Kya Khubsurat Apka Andaj Hai, Hakikat Hai Ya Khwab Hai, Khush Nashibo Ke Paas Aap Rahte Ho, Humare Paas Bas Apki Mithi Si Yaad Hai
dard jitna saha jaye utna hi sehna kisike dil ko lag jaye woh baat na kehna milte hain hamare jaise log bahut kam isliye hamse kabhi alvida naa kehna…
Sab kuch kehna hi pyar nahi hota, kisi ko haasil kr lena hi pyar nahi hota, yun to laakhon hai sath dene ko duniya mai magar sath dena hi to pyar nahi hota…
Khushi ke aansu rukne na dena, Gam ke aansu bahne na dena, Yeh zindagi na jane kab ruk jayegi, Magar ye pyari si relationsip kabhi tutne na dena..
Koi Aankho-Aankho Se Baat Kar Leta Hai.. Koi Aankho-Aankho Mein Mulakaat Kar Leta Hai… Bada Mushqil Hota Hai Jawaab Dena, Jab Koi Khaamosh Rehkar bhi Sawaal Kar Leta Hai…
Baarish ki bunde deewana banaye, Tan ko bhigoye mann ki aag bhadkaye, Aaj jai sajan dur humare waqt ki baat hai, Par dil ko hum kaise samjhaye… Bollywwod Dialogues
Pyar use karo jo tumse pyar kare, Khud se bhi jyada tum par aitabar kare.. Tum bas ek bar kaho ki ruko do pal Aur wo un do paloKe liye puri jindagi intezar kare…
Sham Hote Hi Dil Udaas Hota Hai Khwaabon Ke Ilaava Jaise Kuchh Na Paas Hota Hai Tumhe Bohat Miss Karte Hain Hum Yaadon Ka Har Lamha Mere Liye Khas Hota Hai…
Tumblr media
Hindi Attitude Dialogues from Movies
Mubarak Ho Tumko Ye Khushiyon Bhari Raat, Sajan Lene Aaye Hai Sajni Ka Haat, Salamat Rahe Dono Ki Ye Jodi, Rahe Dulah Dulhan hamesha Saath….
 Tumko Chupa Rakha Hai in Palko Main, Par in ko yeh Batana Nahi Aaya, Sote Main Bheeg Jati Hai Palke Meri, Palkon Ko Abhi tak Dard Chupana Nahi Aaya…
 Pyaar Aur Maut Se Darta Kaun Hai, Pyaar To Ho Jaata Hai, Isse Karta Kaun Hai, Hum To Kar De Pyaar Me Jaan Bhi Kurbaan, Par Hume Ye Pata To Chale Humse Pyaar Karta Kaun Hai…
 Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain, Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain, Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech, Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain…
 Hume Waqt Aur Teacher Dono Sikhate Hain Par Waqt Aur Teacher Me Sirf Itna Sa Fark Hai Teacher Sikha Ke Imtihaan Leta Hai Aur Waqt Imtihaan Lekar Sikhata Hai…
Tumblr media
Hindi Attitude Dialogues for Girlfriend
Insan Tab Samjhdaar Nahi Hota Jab Wo Badi Badi Baatein Karne Lage, Balki Samjhdaar Tab Hota Hai, Jab Wo Chhoti Chhoti Baatein Samjhne Lage..!!
Toofan mein taash ka ghar nahi banta, Rone se bigda muqaddar nahi banta, Duniya ko jitne ka hausla rakho, Ek haar se koi faqeer aur ek jeet se koi siqandar nahi banta…
 Kahte Hain Dukh Bantne Se Kam Hota Hai Par Insaan Apna Dukh Apnon Ko Isliye Nahi Batta Taki Wo Dukhi Na Ho, Aur Dusron Ko Isliye Nahi Batta Kyunki Unhe Woh Is Layak Nahi Samjhta…
Zindagi Haseen Hai Isse Pyar Karo… Har Raat Ki Nai Subha Ka Intjaar Karo 2017 Dialogues Wo Paal Bhi Aayega, Jiska Aapko Intjaar Hai Bas Apne Rab Par Bharosa Aur Waqt par Aitbaar Karna…
Log Dubte Hain To Samundar Ko Dosh Dete Hain Manzile Na Mile To Kismat Ko Dosh Dete Hain Khud To Sambhal Kar Chalte Nahi Jab Lagti Hai Thokar To Patthar Ko Dosh Dete Hain…
Unka Vishwas Mat Karo! Jinki Bhavnaye Waqt Ke Sath Badal Jaye! Vishwas Unka Karo Jinki Bhavnaye Waise He Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye..
Kash is jaate hue waqt ko hum rok sakte, apno ke saath guzra har lamha jod sakte, na jaane kitni yaadein jo apno ne di humein, kaash zindagi ko hum peeche mod sakte. ..
Kash is jaate hue waqt ko hum rok sakte, apno ke saath guzra har lamha jod sakte, na jaane kitni yaadein jo apno ne di humein, kaash zindagi ko hum peeche mod sakte. ..
Is Shaam Ne Deelayi Hai Yaad Kisi Khaas Ki, Jisko Paane Ki Mujhe Aas Thi, Woh Toh Na Mili Per Unka Ehsaas Saath Hai, Yaadon Mein Hi Sahi Per Woh Aaj Bhi Mere Paas Hai…
Zindagi Me Jo Hum Chahte Hai Wo Aasani Se Nahi Milta.! LEKIN Zindgi Ka Sach Ye Hai Ki.. Hum Bhi Wohi Chahte Hai, Jo Aasan Nahi Hota…
Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa, Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai, Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho , Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai..
Hasane ke baad kyu rulati hai duniya, Jaane ke baad kyu bhulati hai duniya, Zindgi me kya koi kasar baaki thi, Jo mar jaane ke baad bhi jalati hai duniya…
Tumblr media
Hindi Attitude Dialogues Shayari
Rulana har kisi ko ata hai Hasana kisi kisi ko ata hai Rula ke jo mana le wo sacha yaar hai Aur jo rula ke khud bhi ansu bahaye Woh apka sacha pyar hai…
Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai, Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai. Kaise Bhulaye Hum Aapko, Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai…
Aapka rishta mere suron ka saaz hai, Aap jaise apno par hamein naaz hai, Chahe kuch bhi ho jaaye zindagi mein, Ye rishta kal bhi waisa rahega jaisa aaj hai..
Chehre ki hansi se har gam chhupao, Bahut kuch bolo par kuch na batao, Khud na rootho kabhi par sabko manaao, Raaz hai ye zindgi ka bas jeete chale jao..
Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana, dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana, sath chalna mere tum dukh sukh mein bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana…
Mohabbat har Insan ko ajmati hai, Kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai, Mohabat khel hi aisa hai, Kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jati hai…
Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota, Koi Kisi K Bina Adhora Nahi Hota. Jo Chand Roshan Karta Hai Rat Bhar Sab Ko, Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota…..
Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samjhte Hain, Apna Banate Hain Mere Har Gam Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain, Khuda Har Ek Khushi De Aapko Har Ek Gam Humko Naseeb Ho, Bas Yahi Dil Mei Sochkar Har Ek Dua Karte Hain…
youtube
4 notes · View notes
ketans-poetry-world · 4 years ago
Text
Mujhe chhod sarif hai saare !!
Tumblr media
Hum logo ko samjhate rahe batate rahe ke ye sahi hai ye galat hai , kyoki kahi na kahi hum un raaho se chalkar hi age aaye the par kch log ese bhi the ke unhe humari bate samajh to ati thi par wo samjhna nahi chahte the , wo chahte the wahi galtiya karna unhi raaho par chalna par unhe ye malum na tha jin raaho me hum chale hai waha dukh kitna har dard or taklife kitni hai unhe to yahi lagta hai ke hum jaha se aye chalkr waha khusiya hi khusiya hai , tabhi aaj humare chehre par muskaan bani rehti hai ab unhe ye kon bataye ke kai dafa insaan nakhus hote hue bhi apne dard or taklifo ko chupane ke liye muskurahat ka sahara leta hai , wo shayad bhul chuke hai ke ab jab bhi kch galat hota hai ya koi jurm hota hai sabse pehle aaj humara hi naam ata hai kahi na kahi jese humare alava sabhi sarif hai jo humare aas paas hai !!
हर जुर्म पे ‎उठती‬ हैं ‎उँगलियाँ‬ मेरी ‎तरफ,
मेरे सिवा शहर‬ में मासूम हैं ‎सारे‬.
ये इश्क देता है तकलीफे बड़ी,
वक्त रहते संभल जा प्यारे।
Written by Ketan Shendey
Admin @unkahidaastaan
Wanna talk @itsketanshendey
0 notes
tomkhan323 · 6 years ago
Text
Love Shayari and Bewafa Shayari
This is my first post on Love Shayari collection for all the lovers around here i am Sharing Love Shayari in Hindi for my Friends. Select the love shayari below and share with your love.
Uske Ankhon Ke Khumar Se Dar Lagta Hai, Apne Dil-e-Bekarar Se Dar Lagta Hai, Baat Tumse To Hum Kabki Kar Lete, Par Aapke Inkar Se Dar Lagta Hai
Nafrat V Pyar Ki Buniyad Hoti Hai Mulakat Se Achi Kisi Ki Yaad Hoti Hai Risto Me Fashon Ka Wajud Nhi Hota Kyoki Dil Ki Dunia Khayalo Se Aabad Hoti Hai
Wo Behisab Jo Pi Ke Kal Sharab Aaya Agarche Mast Tha Main Par Mujhe Hijab Aaya Idhar Khayal Mere Dil Mein Zulf Ka Guzra Udhar Wo Khata Hua Dil Mein Pech-o-Tab Aaya Khayal Kis Ka Samaya Hai Dida-o-Dil Mein Na Dil Ko Chain Mujhe Aur Na Shab Ko Khwab Aaya!
Aapki Yaad Aaye To Dil Kya Kare, Yaad Dil Se Na Jaye To Dil Kya Kare, Socha Tha Sapno Mein Mulaqat Hogi, Magar Neend Hi Na Aaye To Hum Kya Kare..!
Now after this i am sure that you will be asking for Bewafa Shayari, so friends here it is check the collection below.
Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti Sath Hi Guzarta Har Lamha To Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti
Kaash Yeh Zalim Judaai Na Hoti Ae Khuda Tune Yeh Cheez Banayi Na Hoti Na Hum Unse Milte Na Pyar Hota Zindigi Jo Apni Thi Woh Parayi Na Hoti..! 
“Kismat” Per Aitbar Kisko Hai Mil Jaye “Khushi” Inkaar Kisko Hai Kuch “Majburiyan” Hain Mere Jaan Warna, “Judai” Se Pyaar Kisko Hai!
Aapka Dukh Hum Sah Nahi Sakte Kya Kare Majbur Hai , Isliye Kuch Keh Nahi Sakte Humare Girate Aanshu Pakad Kar Dekho Who Bhi Kehate Hai Ki Hum Aap Ke Bin Rah Nahi Sakte.
1 note · View note
lyrics2world · 4 years ago
Text
Vidhayaki Ke Chunav Lyrics - Khesari Lal Yadav
Vidhayaki Ke Chunav Lyrics :- Latest Bhojpuri Song Vidhayaki Ke Chunav sung by Khesari Lal Yadav, Antra Singh Priyanka & lyrics written by Akhilesh Kashyap.Music given by Shyam Sundar.This Song published by Aadishakti Films. 
Tumblr media
Vidhayaki Ke Chunav Song Details:-
Song Name: Vidhayaki Ke Chunav Singer(s): Khesari Lal Yadav, Antra Singh Priyanka Lyricist(s): Akhilesh Kashyap Music(s): Shyam Sundar Music Label: Aadishakti Films
Vidhayaki Ke Chunav Lyrics 
Presented By Aadishakti Films! Ae Chacha Arey Vote Diha Ho Ae Bhaiya Hayu Tohar Moliya Arey Ekar Ta Viah Hota Re! Jaat Baani Sasura Na Peeche Peeche Aaiha Humra Khaatir Jani Laar Tapkaiha Ulti Karab Laare Ke Phera Mein Badu Aaye Hey Ram! Jaat Baani Sasura Na Peeche Peeche Aaiha Humra Khaatir Jani Laar Tapkaiha Chhatal Lafuya Tu Ta Hauva Nahi Theek Ba Tohar Bartaav Shadi Badi Door Hota Bhula Jayiha Hokhe Da! Tohre Kashetra Se Bematlab Party Se Chunav Ladab Aayi? Ki Tohare Vidhan Sabha Se Ladab Hum Vidhayaki Ke Chunav Ki Dekha Tani Kaise Khatam Karbu Dilwa Ke Lagaav Pyaar Ham Kaile Baani Kaile Naikhi Paap Bola San Re! Bhaiya Ke Mohar Ha Bola Bola Bhatar Chhap! E Kauwan Mohar Ha Ho? Ki Tohare Vidhan Sabha Se Ladihein E Vidhayaki Ke Chunav Lorva Nikala Taate Oh Ho Ho Humra Ho Nain Se Bada Dukh Ba Lagata Ki Rahe Na Deba Piya Ghare Chain Se Tu Aisan Dekhle Na Hoibu Chaheta Pyaar Mein Pagla Ke Banab Neta Kahe Det Baada Bola Komal Dilwa Mein Ghao Kripya Apna Keemati Vote Dekar Mujhe Vijayi Banaye Ki Tohare Vidhan Sabha Se Ladab Hum Vidhayaki Ke Chunav Ki Dekha Tani Kaise Khatam Karbu Dilwa Ke Lagaav Diba Mein Diba Ah Dibba Mein Cake Khesari Bhaiya Have Humar Bola San Re Lakhon Mein Ek Aisan Jani Kariha Kabo Baate Request Ho Acha! Shadi Kar Ke Apno Life Kar La Jaake Set Ho Ah Tahra Se Jauvan Bhail Rahal Ha Ta Zakham Dehal Na Tohar Bhulayib Bhauji Bhauji Kahke Vote Mange Aayib Arey Jo Re Pagla Akhilesh Khesari Bombay Jaake Bechiha Bada Paaw Kahe Jeet Jayib Ta Tohra Duaar Par Inaar Khonwa Deb Ka? Na Pokhra! Ki Tohare Vidhan Sabha Se Ladab Hum Vidhayaki Ke Chunav Ki Dekha Tani Kaise Khatam Karbu Dilwa Ke Lagaav Haa Ha Ha Baada Pagal Premi Tuhu
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
Vidhayaki Ke Chunav Lyrics Video
youtube
  (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
from Blogger https://ift.tt/2K5FGxS via IFTTT
0 notes
purppleinara · 2 years ago
Note
aap sab kavita likhte ho? itna kitna dukh hai aap sab ki zindagi mai? (bura mat maniyega, mazaak kar rahe hai).
kaafi sach keh diya aapne. par hum khud se baatein kar kar ke thak chuke hai. kisi aur se baat kar nahi sakte, koi hume samajh nahi pata. shabdo ke saath toh hum janme, par shabd humare muh se bahar nahi aa pate. kabhi kabhi lagta hai ki hum inhi shabdo ke saath hi chale jayenge aur koi hume yaad nahi karega.
khair, bataiyein aap kaisi hai? imtehaan kareeb honge?
Saari kavita dukh bhari nahi hoti, kuch mein sar per hi nahi hote.
Aur shabdon ka kya hai? Hume hi bata dijiye. Madad kar paaye na paaye, sun(padh) zaroor lenge. Shayad aapka dil halka ho jaaye
Hum theek hai. Boards 27th se hai
0 notes
the-breathing-pen · 3 years ago
Text
Khushiyan hee nazar padti hai, are kaha gya dukh! Tumhare paas hai kya?,
Sabki nazarein ghadi pr jo jami h, are unke aane ki aas hai kya?,
Bematlab yuhin toh nahi jhoom rahe honge naa, tum, ae zamane waalon,
Ye jo chai ki mehfil sajaye baithe ho, are aaj kuch khaas hai kya?..
Badi bheed lagi hai aaj dware, zra dekho kisi ko koi zaruri kaam toh nahi,
Suna hai pralay vapas aane waali hai, kahi uske talne ki khabr ka anjaam toh nahi,
Apne mobile mei jaane kya dekh kar aaj bahut muskura rahe hai sab,
Are koi dekho toh zara, are kahi humnafas ka naam toh nahi...
Dhalte suraj ki kuch kirno mei, aapka ka deedar na ho, usey kya hee shaam kahiyega,
Jiska nasha aapki aakhon ke aage kuch naa ho, are usey kya hee jaam kahiyega,
Aaj ke din ko alag banane mei, poore junoon se laga hai zamana,
Arey aap hai toh din khoobsurat hee hoga naa, isey kya hee aam kahiyega...
Aaj hai toh kal nahi, are baaton ka kya hai, baatein toh hoti hee rahengi,
Aapki akhiyon se toh lagta h jese aakhri baar h, pr mulaqatein toh hoti hee rahengi,
Jo saal bhar nhi badla vo ab kya, aur jiska roz ka, uska aaj kya hee jashn ae galib,
Agni se kya khel karte ho, qurbaan karni h toh sanam pr kro, raatein toh hoti hee rahengi...
Ek aur vaar, dil-ae-dewaar par, ae jaa-nisaar, ab hum seh nahi paayenge,
Jaadein jaayengi, vasant aaega, pr tum chali jaogi, hum reh nhi paayenge,
Maan-ne manane ka chaav hume bhi h, hum koi udaas rehne walon mei se nhi,
Kya kre? Koshish? Samajh lena, Shayad dhang se hum keh nhi paayenge...
Suna hai ishq insaan ko udne ke liye pankh deta hai, jaan, pawan ki ye chaal mubarak tumhe,
Humara naam sunkar jo rukh khil uthta hai aapka, haaye! Bs vhi haal mubarak tumhe,
Are sadqa utaro koi pyaar ka humare, kahi humari hee nazar na lag jaaye,
Naya-purana kya hee kehna, khushiyon ka ek aur saal mubarak tumhe...🖤🥀
0 notes
cricketbettingtip · 5 years ago
Text
Kon hu mai.... Expertfreetips
Mai wo Bharosa hu jab ap ki har ummid dum todne lagti hai to ek himmat ban kar ata hu ki hum jitenge..
Jiyada time us waqt hum jeet ke uthte hai kam time humare hisse me haar aati hai...
Tumblr media
Mai wo Baazigar hu jo band dabbe se match utha ke le jata hu..
Mai wo Baazigar hu jo is market ko hold karta  hu jo khalifa hai is industry ka..
Mai wo Baazigar hu jo jiyada time apke hoto ki hasi bana jeet ki wajah bana aur kam time dukh ki haar ki wajah...
Mai wo Baazigar hu jisne is market ko sikhaya tipping kaise hoti hai..
Mujhse pehle is market ko sirf team dena ata tha but Rate ka gala aur scripted match se ru b ru karaya is market ko...
But in sab ke baad ek cheez hai ki insaan hu mai bhagwan nahi hu...
100% jaat sirf upar wale ki hoti hai.. Insaan hu galti hona lazmi hai...
Tumblr media
Mai apko har match pass nahi de sakta jitna mere match ka pass hona jaruri hai utna hi fail hona bhi jaruri hai...
Mere paas bhi kahi se kaam ata hai pta nahi wo report hoti hai calculation hoti hai ya fixing hoti hai..
Bus mere liye wo hi fixing hai wo hi report hai wo sab kuch hai...
Pichhle kai saal se sirf 2 bando ke sath kaam karta hu kabhi bohat behtreen kaam bhi ata hai kabhi bohat kharab bhi...
Mai bus dono condition me apne bande aur khuda ka shukr ada karta hu ki aise contact hai mere paas jinhone mujhe is market me ek alag rutba ek alag muqaam aur pehchan di hai..
Kash ap logo me bhi ye samjhne ka dil hota to ap haare hue punter nahi... Ap sab me ek Baazigar hota...
Ap sab ko sirf jeet chahiye haar ke liye tayyar nahi rehte ho...
Yahi wajah apki haar ki sabse badi wajah hai..
Tumblr media
Agar mere paas har match sirf jeetne ke liye ata to shayad tipping karne ki jarurat nahi padti aur ab tak naksha palat diya hota punter lobby ka..
Jaisa aur jitna kaam ap logo ko de pata hu khush hu apne ap se...
Baazigar naam kisi tarruf ka mohtaaz nahi hai na hi mujhe naam banane ki jarurat hai...
Fir bhi open ata hu sirf ap logo ki jarurat dekh kar dard dekh kar...
Khud se khel kar hafto haarte ho mahino haarte ho... Per jab ek din us insaan ke hatho haar jaate ho jo hajaar baar apki jeet ki wajah bna hai to apna girget wala rang dikhane lagte ho...
Saaf lafzo me sirf itna hi bolunga agar betting karne ka shok hai ya aib hai to meri haar ke kadwe zehar ko haste haste amrit samjh kar peena padega jeet apki gulaam hogi last result apka jeet hogi...
Tumblr media
Aur mujhe sirf mujhe follow karne wale se jua kabhi nahi khel sakta wo jue se humesha khelega...
Bus follow karne me thodi imaandari aur rules ke sath khelne ki jarurat hai..
World cup aa raha hai...
Wo chamatkaar wo karishme dikhane wala hu market daanto tale ungliya chabyegi..
Aisi aisi team ko top ki teams se jitaunga ki logo ki soch me bhi nahi hoga...
Bus dekhte jao open ka kaam kam dunga per jab bhi open aaunga match ke baad logo me ek hi charcha hogi Baazigar ye kiya kar diya aisa kaise ho sakta hai...
ICC Cricket World Cup 2019 Cup Winner | Title Winner |Stats |Playing XI | Dream11 Predictions & Tips
Jungle me sirf ek sher hota hai.. Aur shehar me sirf ek khalifa.. Baaki jo hote hai wo sirf hote hai...
youtube
2019 ICC world cup predictions | CBTF | Cricket Betting Tips | Dream11 Predictions | Today Match Predictions | Cricket Predictions
If you want to contact me for any help:-
·         Whatsapp https://wa.me/16318005284
·         Email [email protected]
·         Telegram Username https://t.me/NekiManager
·         For Business Query Telegram https://t.me/NekiManager02
·         Skype RNAND454
0 notes