Tumgik
#BadamMilkRecipe
sajirecipes · 13 days
Text
Badam Milk Recipe | बादाम मिल्क शेक बनाने का सबसे आसन तरीका | Almond Milk | Summer Drink
Badam Milkshake Recipe in Hindi | मिल्कशेक रेसिपी में  
Tumblr media
Badam Milk Recipe | बादाम मिल्क शेक बनाने का सबसे आसन तरीका | Almond Milk | Summer Drink
Badam milkshake Recipe: ek bohot hi mazaydar aur taqat se bharpoor mashroob hai. Yeh na sirf bachon ko pasand aata hai balke badon ke liye bhi ek behtareen drink hai, khas tor par un logon ke liye jo apne din ka aghaz energy se karna chahte hain. Is shake ka maza sardiyon aur garmiyon dono mausamon mein barabar hota hai. Badam, doodh aur kuch meethi cheezain mila kar ishe tayar kiya jata hai, jo sirf swad mein lajawab nahi hota balke seht ke liye bhi mufeed hai. "Badam milkshake recipe" ko follow karke aap ghar par asani se ye lazeez drink tayar kar sakte hain.
Khane ke Fayde:
Badam doodh ke saath mila kar aapko kafi sare nutrients milte hain jo aapke dimagh, jild aur dil ke liye faidemand hote hain. Badam mein mojood vitamin E, calcium, aur fiber aapko energy deta hai aur aapki sehat ko barqarar rakhta hai. Yeh shake na sirf body ko hydrate karta hai balke digestion ko bhi behtar banata hai. "Badam milkshake recipe" mein jo ingredients use hote hain, woh antioxidants se bharpoor hote hain jo immune system ko strong banate hain.
Istamal Hone Wali Chezein:
15-20 badam
2 cups doodh
1-2 tablespoons shehad ya chini
1/2 teaspoon elaichi powder
Thandi doodh ke liye ice cubes (optional)
Other Related Posts: ClickHere
Suji Appe Recipe:
Badam Shake Recipe:
Banane Ka Tarika:
Pehle badam ko garam pani mein 5-6 ghante bhigo dein ya raat bhar ke liye chor dein.
Subah badam ke chilke utar kar unhein mixer mein daal kar acha se paste bana lein.
Ab doodh ko mixer mein dal kar ache se blend karein taake doodh aur badam ka mixture ek ho jaye.
Ab elaichi powder aur shehad ya chini mila kar phir se blend karein.
Agar aap thanda milkshake banana chahte hain to ice cubes daal kar blend karen.
Aapka badam milkshake tayar hai, ab ise glass mein daal kar serve karein.
0 notes
wahrecipes-blog · 6 years
Link
Here is How to make a refreshing MilkShake that cools you When gulped in is Badham Milk Recipe.
0 notes