Tumgik
#Yeh Jo Hai Zindagi
hannibalismos-jaaneman · 11 months
Text
just realised that hannigram is just a 60's and 70's bollywood film romance
30 notes · View notes
hi-avathisside · 16 days
Text
Trigger Warning: Mental health, indications of suıcıde
Sept aa gaya aur pata bhi nahi chala, aaj teachers day hai aur pichla teacher's day mujhe bakhoobi yaad hai. yaar yeh samay bhi na kitni ajeeb cheez hai jitni upma se upma karu kam hai, kahu ki yeh samay inn ghirte- hatte baadlon ki tarah hai aur inn patton ke girne ki tarah hai aur iss toofan ke jaane ki tarah hai. yeh samay woh pighalti ice-cream ki tarah hai, woh signal badalne ki tarah hai, achaanak aane waali modoslaadhar baarish ki tarah hai aur aasmaan mai. ek indradhanush ki tarah hai toh bhi shayad kam hoga. Yeh saal kaise beeta pata hi nahinchala, yoon bhadrapad aa gaya aur keval kuch mahine hi bache hain yeh saal khatam hone main. yeh samay bhi na bohot kamaal hai. Pichle septmeber mujhe laga tha, ki shayad nahi ho paayega. Yeh zindagi, mujhse nahi ho paayegi, kyonki yaar mushkil hota hai, har din hospital jaana aur phir kaam, kaam aur hospital, lekin humne kiya. September guzra, ek ek din gine the humne ungliyon par zaroor, lekin kab december aa gaya pata hi nahi chala. Naye saal ki kuch zyada khushi nahi thi, bas yahi dua thi ki yeh sal khishiyaan laaye. January, fervary ek aisi hawa ka jhonka laaye jisse hum aaj tak waakif hi nahi the. Aur yeh hawa ka jhonka jis dhara se aaya tha humari zulfe udane ke liye, waise hi chala gaya, shayad kuch bikhri zulfe chhod gaya. Yeh saal guzar toh raha tha, lekin aisa lag raha tha ki hum sthir haim kuch badal nahi raha tha. Jitni bhi koshish kar lo yeh patthar hil hi nahi raha, yeh dhakkan khul hi nahi raha. Phir kya, socha aise rote hue raatein guzaarna thik nahi hai, yoon ghar main band rehna thik nahi hai, kuch toh galat hai. Madad li, shayad kuch behtar hua, shayad nahi. lekin inn sab ke beech, maine bohot yaadein banayi. Woh ek baarish, woh ek sunset, aur na jaane kitne saari hassi joh shayad nahi hoti agar maine zindagi ka haath chhod diya hota. Kuch din aise bhi the jinmein mujhe laga ki isse khush toh main nahi jo sakti, kuch raatein iss kadar thi ki mujhe laga ki mujhse dukhi koi nahi ho sakta. Ho sakta ho ki aapka samay itna achha na chal raha ho, lekin phir bhi, samay kaisa bhi ho, yeh chhoti chhoti khudhiyaan zaroor laata hain. September aa gaya aaj aur pata bhi nahi chala. Shayad, woh dhakkan thoda dheela ho gaya.
सितंबर आ गया और पता भी नहीं चला, आज टीचर्स दे है और इससे पिछला शिक्षक दिवस मुझे याद है। यार ये समय भी ना कितनी अजीब चीज़ है, जितनी उपमा से उपमा कम है, कहू की ये समय इन घिरते-हटते बादलों की तरह है और इन पत्तों के गिरने की तरह है और इस तूफ़ान के जाने की तरह है। ये समय वो पिगलती आइसक्रीम की तरह है, वो सिग्नल बदलने की तरह है, अचानक आने वाली मूसलाधार बारिश की तरह है और आसमान में एक इंद्रधनुष की तरह है तो शायद काम होगा। ये साल कैसे बीता पता ही नहीं, यूं भाद्रपद आ गया और केवल कुछ महीने ही बचे हैं ये साल खत्म होने में। ये समय भी ना बहुत कमाल है। पिछले सितंबर मुझे लगा था, शायद नहीं हो पाएगा। ये जिंदगी, मुझसे नहीं हो पाएगी, क्योंकि यार मुश्किल होता है, हर दिन हॉस्पिटल जाना और फिर काम, काम और हॉस्पिटल, लेकिन हमने किया। सितंबर गुजरा, एक एक दिन गिनें थे हमने उंगलियों पर जरूर, लेकिन दिसंबर कब आ गया पता ही नहीं चला। नए साल की कुछ ज्यादा खुशी नहीं थी, बस यहीं दुआ थी कि ये साल खुशियां लाए। जनवरी, फरवरी एक ऐसी हवा का झोंका लाए जिसे हम आज तक वाकिफ ही नहीं थे। और ये हवा का झोंका जिस धारा से आया था हमारी जुल्फे उड़ान के लिए, वैसे ही चला गया, शायद कुछ बिखरी जुल्फे छोड़ गया। ये साल गुजर तो रहा था, लेकिन ऐसा लग रहा था कि हम स्थिर हैं, कुछ बदल नहीं रहा था। जितनी भी कोशिश कर लो ये पत्थर हिल ही नहीं रहा, ये धक्कन खुल ही नहीं रहा। फिर क्या, सोचा ऐसे रोते हुए रातें गुज़ारना ठीक नहीं है, यूं घर में बंद रहना ठीक नहीं है, कुछ तो गलत है। मदद ली, शायद कुछ बेहतर हुआ, शायद नहीं। लेकिन इन सब के बीच, मैंने बहुत यादें बनाईं। वो एक बारिश, वो एक सनसैट, और ना जाने कितनी सारी हंसी जो शायद नहीं होती अगर मैंने जिंदगी का हाथ छोड़ दिया होता। कुछ दिन ऐसे भी थे जिनमें मुझे लगा कि मुझसे ज्यादा खुश कोई नहीं है, कुछ रातें इस कदर थी कि मुझे लगा कि मुझसे दुखी कोई नहीं हो सकता। हो सकता है कि आपका समय इतना अच्छा न चल रहा हो, लेकिन फिर भी, समय कैसा भी हो, ये छोटी-छोटी खुशियां जरूर लाता है। सितंबर आ गया आज और पता भी नहीं चला। शायद, वो धक्कन थोड़ा ढीला हो गया।
wrote this at 8:30 am, first thought in the morning. It's because I never thought I could make it to September. I'm glad. Life throws shit at you, but please remember to breathe, and it'll pass on. Sept-Dec patch was very rough for me, but it passed and I'm glad it did. This is your reminder that it'll pass.
25 notes · View notes
hereisnxbiya · 5 months
Text
Zindagi ka sab se bara mazaq yeh hai ke insaan wohi karta hai jo usay nahin karna chahiye.
- Bano Qudsia
27 notes · View notes
ishuess · 8 months
Text
New beginnings ♾️
Shubman (in bathroom in front of mirror): this is it..this is the moment..Shubman Gill you can do this.
Ishan(from the bed): SHUBI MOVIE NIGHT PAUSED HAI JALDI AA
Shubman: AAYA..this is going to change everything and nothing for better. I know my lines and I am ready for it..but is he ready?
Ishan: JALDI AANA..
Shubman: AAYA EK MINUTE RUK...he better be ready.
Ishan: kitna taiyaar ho raha tha...it's movie night babyy.
Shubman: Haan haan pata hai but I will chose a movie.
Ishan: Ayye no hollywood na I am feeling desi rom coms.
Shubman: Yea yeaa..I know *picks movie*
Ishan: Jab we met?
Shubman: Yea..
Ishan: We have already watched this one and you find it stupid.
Shubman: I do love stupid *looks at Ishan*
Ishan: Tu mereko stupid bol raha hai?
Shubman: main tereko love u bol raha hoon ab dekhte hain.
Ishan: *huffs*
..........They start the movie...........
Ishan: *keeps on repeating lines from film*
Shubman: *watches Ishan with a smile*
Ishan: *sniffles* How can Anshuman do this?
Shubman: Paagal hai na
Geet (in T.V): Main tujhe bohot acchi lagti hoon na?
Ishan: Main tujhe bohot accha lagta hoon na?
Shubman: *pauses the movie*
Ishan: yaar kyun roka paagal!
Shubman: *pulls Ishan on his lap*
Ishan: Shubman? Kya hua?
Shubman: Phirse bol
Ishan: Kya hua?
Shubman: Nahi usse pehle?
Ishan: Yaar..kyun roka..
Shubman: Nahi usse pehle..
Ishan:....main tujhe bohot acchi lagti hoon na??
Shubman: Bohot par woh
Ishan: Teri problem hai?
Shubman: Meri problem nahi hai mere life ka sabse best decision hai..Tune mujhe har khushi ki vajah di..teri smile..tere nakhre..teri baatein..tere aansu..teri hasi
Ishan: Shubi..
Shubman: Smile kar na do minute...Uth ek second aur chal mere saath.
Ishan: Kahaan?
Shubman: Tu bas mainu follow kar.. *takes Ishan to the balcony*
Ishan: Kya kar raha hai..tu mujhe dara raha hai? Sab thik haina?
Shubman: Sab changa hai..Ab ruk.
Ishan: Shubi...kya kar rahaa..
Shubman: Sun toh pehle..
Ishan: Chhetti dass
Shubman: Thand rakh kaake..Ishh jab tujhse pehli baar mila tab yeh ehsaas nahi hua ki tu mere zindagi ka woh hissa ban jaayega jo mujhe khud se bhi zyada pyaara ho jaayega. I love you kab I love us ban gaye. Hum kab roommates se best friends se boyfriends ban gaye. Par ab boyfriends nahi reh sakte..I am sorry
Ishan: Kya...kya bol raha hai Shubman? *starts panicking and hyperventilating* Maine kuch kiya..Sorry na baby. Hum baat nahi kar sakte kya? Sab sort out nahi kar sakte kya..Shubi please i am sorry
Shubman: Ishan sun tu galat samajh raha hai..tu sun nahi raha
Ishan: I am sorry...I am so sorry Shubi..Shubi please..*starts crying*
Shubman: Oh shit!! *cups Ishan's face* Panic matt kar...look at me..Ishan look at my eyes. Breathe ok breathe
Ishan: Shubii...
Shubman: It's ok baby..do you feel my heartbeat...see I'm here..breathe..breathe
Ishan: Hum sab theek nahi kar sakte?
Shubman: Paagal tu sunta hi nahi...sab theek nahi main sab perfect karne waala hoon.
Ishan: Kya bol raha hai
Shubman: Pehle chal uth ke baith pehle paani pi
Ishan: Nahi tu suspense mat bana...please bolna.
Shubman: *picks up Ishan and carries him to bed*
Ishan: Kya kar raha hai..
Shubman: Ab chup bilkul chup..Main tujhse bohot pyaar karta hoon...sabse zyada pyaar karta hoon..isliye..*deep breath* tumerenaalvyaahkarega?
Ishan: Kya?
Shubman:*goes on one knee and takes out a ring* Will you Ishan Kishan marry me?
Ishan: *starts crying after wearing the ring*
Shubman: Oo tu ro matt..tere munh pe smile hi suit karti hai *sits beside Ishan and hugs him*
Ishan: Chup kar paagal.*punches him lightly on chest*
Shubman: Aah..maar matt..
Ishan: *kisses Shubman*
Shubman: *deepens the kiss*
Ishan: *moves away out of breath*
Shubman:*cups Ishan's face* Yahi chahiye for 7 janam tak ab bas tu hi chahiye
Ishan: *laughs with tears in eyes* daraya kyun tu pehle? *slaps him lightly*
Shubman: Tune pura bolne kahan diya? Tujhe sach mein lagta hai meri aukat tujhse breakup karne ki hai? Khudko dekha hai laanat hogi mujhpe agar tujhe jaane diya.
Ishan: Paagal..
Shubman: Tune jawaab nahi diya lekin..
Ishan: Ab teri permanent booking ho gayi hai.
Shubman: *kisses Ishan* I love us
Ishan: I love us more.
(This fic was requested by one and only @bimesskaira . Aaj toh jee bohot angst ho gaya. That's why this fic is to only and only happy beginnings. Ab itni acchi fic likhi hai toh ek hi aasha hai ki aap sabko pasand aayegi.
Aur sab milke bhagwan ji se pray karo ki ISHAN COMES BACK STRONGER THAN EVER aur nazar na lage mere cuties ko.)
🧿🧿🧿🧿🧿🧿🧿🧿🔱🔱🔱🧿🧿🧿🧿🧿🧿🧿🧿
32 notes · View notes
thecrazyinktrovert · 2 years
Text
Love English music all you want, but NOTHING, I repeat NOTHING, hits harder than desi music. Like every single singer has their own trademark genre which they can execute PERFECTLY?? 
Can we talk about Arijit’s Mai gehra tamas tu sunehra sawera main tera in Kalank? 
or his Tum sath ho ya na ho kya fark hai, bedard thi zindagi bedard hai in Agar tum sath ho? 
or Tujh sang sukhi roti bhaye in Mast Magan? Ok leave that. 
Lets talk about Atif’s Khayalon me lakho baaten yun toh keh gaya, bola kuch na tere saamne in Tu jaane na?
or Rafta rafta tera hua, tere bin mai hu benishan in Tera hua?
or Tenu lakhan ton chhupa ke rakhaan akkhaan te sajaa ke tu ae meri wafaa, rakh apna bana ke main tere layi aan yaara in Dil Diyan Gallan? Ok leave that
Let's talk about KK's Chaand Teri roshni ka halka sa ek saaya hai in Ajab Si?
Or dil kyun yeh mera shor kare, idhar nahi udhar nahi teri orr chale in Dil Kyu Yeh Mera?
Or lut Gaye hum teri mohabbat me in Tadap Tadap? Ok leave that.
Let's talk about Jubin Nautiyal's tum se jo mil gaye, Mausam khil gaye, khudse ladne Lage hum sawarne lage in sawarne lage?
Or Mausam mohabbaton ke, lamhe ye chahaton ke apne liya bane hai maan le in Gazab ka hai din?
Or tere bina main na rahu mere bina tu in raatan lambiyan? Fine, leave that as well. 
Lets talk about Shreya Ghoshal's kaise huzurji ye lab dikhlaaye, chuppi lagake bhi gazab hai yeh dhaye in saibo.
Or Ye ishq haaye baithe bithaaye jannat dikhaye hain in ye ishq?
Or Dil bharta nahi, aankhen rajjti nahi, chaahe kitna bhi dekhti jaaun, waqt jaaye main rok na paaun in Thodi Der?
And DO NOT get me started on Mohammad Rafi, Kishore Kumar, Lata Ji, Asha ji and Sonu Nigam. Desi songs are peak lyrics, romance, emotion and vocals. You're straight up wrong if you think ANYTHING can beat that. I love Taylor, 1D and all, but Hindi songs? Absolutely unmatched!
Comment/reblog you favourite lyrics below!
347 notes · View notes
sadaf-e-mohabbat · 1 month
Text
Aanewala pal, jaanewala hai, Ho sake toh isme, zindagi bitadoo Pal jo yeh jaane wala hai...
....
Ek baar waqt se lamha gira kahin, Wahan dastaan mili lamha kahin nahi... Thoda sa hasaake, thoda se rulaake, Pal yeh bhi jaanewala hai ho ho....
This song and its lyrics especially, heals me. ❤️‍🩹
Wish I understood its meaning earlier, but it's never too late ❤️‍🩹.
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, and Mohammad Rafi really dominate my playlist.
18 notes · View notes
his-heart-hymns · 15 days
Note
Kisi aise insan ke sath rehna jis se mohabat na ho mushkil hai ya kisi aise insan ke bager rehna jis se buht zayada mohabat ho mushkil hai ?
Kisi aise insaan ke bager rehna jisse mohabbat ho mushkil toh hain per ab kya kare zindagi hain apni.Aur apni zindagi ke sath daga toh nahi kar sakte na? Aur tumhara wajood bas ek insaan ke liye nahi hota.Bohot saare log hain duniya main jo tumhe chahte hain.Toh tumhe ek khush haal zindagi jeeni chahiye.Chalo tum uske bager nahi reh paa rahe.Kya pata woh bade maze se zindagi jee raha ho?
Agar insaan Acha hain aur tumhe usse Shurawaat main mohabbat na ho toh yeh bhi ho sakta hain tumhe usse mohabbat ho jaye.Akhir kaar insaan Acha ho toh mohabbat ho hi jaati hain.Yahi toh buniyad hain saari kamyaab aur khush haal arranged marriages ki.����
9 notes · View notes
zindagi-se-darte-ho · 2 years
Text
"Tum mujhse puchte ho ke mujhe tumhari kya baat achhi lagti hai. Mai tumse yeh kaise kahun ki mujhe tumhari kaunsi baat achhi nahi lagti? Apne ird-gird tumhara ghumna, mere wajood se na hatne wali tumhari gehri bolti nazre, tumhari har waqt ki tawajjo, tumhara jaan chhirakne waala haar andaz. Haar bar jab tum mere maa-baap ke liye ehtaraman khadey hote ho toh main tumhare samne jhukne lagti hoon.
Aur kya kuchh nahi jo mujhe tumhare samne moum nahi karta. Ek chhotey se ghar ke iss pankhe waley kamre mein tumhari yeh gehri neend, mineral water bottle ko dhundne ke bajaye nalke ka paani peelena, handwash chhorke ek saste sabun se haath dhona, apni plate ko meri maa ke haath ke pakey khaane se baar baar bharna. Par main yeh sab tumko kabhi nahi bataungi.
Tumhare haar wadey par hasungi, tumhare haar baat ka mazaak udaungi. Tum mujhe sang-e-marmar samajhte ho, toh samajhte raho. Main tumhare samne rait ki dewar nahi ban sakti. Mujhe toot janey se khauf aata hai."
- Kashaf Murtaza, Zindagi Gulzaar Hai
171 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 1 year
Text
Darakht
//
Tumblr media
maut ka ilaaj dhundh raha hai shayad, yeh darakht bhi meri tarah tanha hai shayad.
zindagi mein ab hariyali nahi hogi kabhi, bas lamhe apne gin raha hai shayad.
woh inteqal ki ghadi jo aankh micholi khel rahi, uske peeche peeche daud kar thak gaya hai shayad.
na paati hain saath, na chidiya ka ghonsla, sansaar ne faariq ise abhi se kar diya hai shayad.
hayaat ke haalaat apne bheetar samet ta hua, zindagi ka raaz kahin khoj raha hai shayad.
kya use gale laga loon main bhi? ya chum loon, mere saath use bhi khaai mein sulaa doon main shayad.
//
61 notes · View notes
harf-e-kun · 10 months
Text
Tumblr media
Meri Zindagi To Firaq Hai,
Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigah e Shouq Sey Dour Hen,
Rag e Jaan Sey Laakh Qareeb Sahi!
Humain Jaan Deni Hai Ek Din,
Wo Kisi Tarhan Wo Kahin Sahi
Humain Aap Khinchiye Daar Par,
Jo Nahin Koi To Hum Hi Sahi
Sar-e-Tour Ho, Sar-e-Hashhar Ho,
Humain Intazaar Qubool Hai!
Wo Kabhi Milain Wo Kahin Milain
Wo Kabhi Sahi, Wo Kahin Sahi
Na Ho Un Pr Jo Mera Bas, To Na Sahi,
Ke Yeh Aashiqi Hai Hawas Nahin!
Main Unhi Ka Thaa, Main Unhi Ka Hoon,
Vo Mere Nahin Tou Nahin Sahi!
Jo Ho Faisla Wo Sunaye, Usey Hashr Pe Na Uthaye
Jo Karen Ge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi Woh Yahin Sahi
Ussy Dekhne Ki Jo Lau Lagi,
Tou ‘Naseer’ Dekh Hi Lenge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Ho,
Wo Hazaar Parda Nasheen Sahi!
- Pir Naseeruddin Naseer
28 notes · View notes
whiskeywithart · 1 year
Text
Tumblr media
in dino, zindagi thori
ruk si gayi hai,
nahi pata kab chalna
hai aur kab bhagna hai,
shayad issi ko zindagi
kehte hai,
magar kya phir woh ek
khwaab tha jo mere
bachpan ke kirdaar ne
dekha tha?
zamana badal jata hai,
toh iska matlab hume bhi
waqt ke sath badalna ho
yeh baat kahi toh kahi kisne?
har baari umeed haar kar nayi
cheezo se umeede kyu laga
baithte hai hum?
ruki hui zindagi me bhi khud
ke liye do pal nikalne ki fursat
kyu nahi milti hai hume?
khud se khud ke liye jeena
kyu nahi sikhaya kabhi kisine?
khud se hi mooh mod lene
me hume kis baat ki khushi
milti hai?
kabhi is samay ke sath bhagna
na sahi chalna toh seekh hi jaayege na?
nahi pata kal me kya likha hai,
aaj ke aaj me do pal ka jeena
toh seekh jaayege na?
kya pata kabhi zindagi se dosti
hojaye toh shayad in sab sawalo
ke jawab mil jaye, aur nahi bhi
mile toh dheemi raftaar ke iska sath
chalna toh seekh hi jaayege.
-s
41 notes · View notes
scribblesbyavi · 5 months
Text
main ek bikhra hua insaan
tum ek nayaab sapna
main kuch giney chuney shabd
tum puri ki puri kabita
najane kaise hui yeh ek hadsa
tumse main aa mila
par zindagi hai hi ajeeb
jo do log milkar vi na mila
ab main aur mera toota dil
tum ek khwab,
mere muskurane ki bajeh
aur ek nayaab sapna.
avis
10 notes · View notes
bollywoodirect · 5 months
Text
Tumblr media
"Aanewala Pal Jaanewala Hai, Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh Jaanewala hai, Aanewala Pal Jaanewala Hai Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh Jaanewala Hai" 45 Years of #Golmaal (20/04/1979) Directed by Hrishikesh Mukherjee. Screenplay by Sachin Bhowmick. Written by Rahi Masoom Raza (dialogues). Music by R.D. Burman with lyrics by #Gulzar. Starring Amol Palekar, Utpal Dutt, Bindiya Goswami, David, Deven Verma, and Dina Pathak. Which is your favourite scene from the film?
10 notes · View notes
ipkkndlovescenes · 1 year
Text
Arshi Poolside moment
Arshi Poolside moment 1/ Epi 18
Disclaimer: All images and writing belong to Mysticaldivine. Do not use without permission...
Tumblr media
Tu Hi Bata Mere Maula
Tu hi bata mere maula, tu hi bata mere rabba  Tu hi bata mere maula, tu hi bata mere rabba
Faasle milaun ke hain, dono hain alag hi dishan Kabhi yeh mil payein ge, nahi kisi ko hai pata  nahi kisi ko hai pata
Tu hi bata mere maula, tu hi bata mere rabba  Tu hi bata mere maula maula maula re, tu hi bata mere maula
Ik baat us mai bhi hai, to ek baat us mai bhi hai Hai dhoop sa woh agar, woh chandni raat si hai
 Mill payein kabhi yeh dono, kya teri is mai hai raza, kya teri is mai hai raza '
Tu hi bata mere maula, tu hi bata mere rabba  Tu hi bata mere maula, tu hi bata mere rabba
Tu hi bataaa ... Na paas a sakein, na door ja sakein Na paas a sakein ho, na door ja sakein  Agar pyaar inko ko keeche, taqraar inko roke Agar pyaar inko ko keeche, taqraar inko roke
Rabaaa '
Yun to barhe hain inke kadam Inhe rasta tun hi dikha .. inhe rasta tun hi dikha
Tu hi bata mere maula maula, tu hi bata mere rabba Tu hi bata mere maula maula, tu hi bata mere rabba Tu hi bata mere maula maula, tu hi bata mere rabba Tu hi bata mere maula maula, tu hi bata mere rabba
Iss pyaar ko kya naam doon '. ? Iss pyaar ko kya naam doon ' ? '
Four transitioning images, young hearts getting into young thoughts, very intimate with their own dreams, desires, and hopes, along with some hidden fears, hesitations, and restrictions. The beauty in this is that the transitions mingled into each other show us the expressions of each state of mind and their habits. There were no words besides "Mere Maula."
Tumblr media
"Jab wo tumhari zindagi main ayegi, tumhain pata bhi nahin chalega aur wo tumhari zidagi ka hissa ban jayegi"
 You won't even realize it when that girl enters your life, and she will become a part of you,
His sister knew that he was looking for someone else, not Lavanya...Mr Raizada is smiling!!! With a slight upward tilt of the lips... a delightful smirk...with an amused indulgence listening to the revelation of her sister's pep talk of romance and all. At this moment, he does not believe that this will ever happen to him, but he will be the one who will confess later to his sister the same words...
"Wo larki Khushi hai di...jiske bhgair mujhe lagta hai meri sansain ruk gaye hain..."
That girl is Khushi, without whom I can't breathe,
A beautiful evening across the breezy poolside. He was immersed in his sister's words, a deep thought... Shaadi nahin karni ya Lavanya se nahin karni? [ You don't want to get married, or you don't want to get married to Lavanya?" 
A question he might never have thought about before from this angle. His face is stern with the poker-faced, kinda, austere person, standing while leaning onto the side of the door. Being immersed, focused with folded arms among the blue ambience of the water and the wind.
Tumblr media Tumblr media
While transitioning to a smiling face, a carefree, sitting and enjoying her victory to let ASR know that he was wrong and even today, he is wrong about her, she carries a winning attitude, to go and get done kind of spirit. She signed a contract without putting two cents about the consequences, but she will do whatever it will take to prove him wrong and give him back his 25000 rupees. Her smile never left her face as the wind tickled her to incite a strange feeling around her aurora. Well, Dupatta was playing a role here as well...
Two sisters were enjoying the weather under the open sky. The wind, thunder, a little drizzling and their intense contract chat turns into a wedding..."Kyon na hum un larko se shaadi karain jo bhai hon..."Let's get married to the boys who are brothers..."
Not much from Payal about weddings as she went through a lot after her first breakup...but Khushi thinks marriage is the most important thing in life. A naive, simple girl will meet the reality later during her forced marriage.
Tumblr media
A nice foundation for the upcoming story. Well, Khushi had no idea that Payal had met Akash sir today, who was the brother of her Sanky...paagal boss.
Tumblr media Tumblr media
Another love was developing and weaving its own path. Akash was smiling and thinking over his meeting with Payal. He bought her favorite dupatta as well and, of course, daydreaming about her. How ironic is that Akash's mother is looking for his bride, and he has already found one. A brother-sis moment where Anjali catches Akash with that pink dupatta..." mujhe bana rahe ho," you're making me fool?" 
Wasn't this dialogue reflecting that someone out there was making her fool?
Hai dhoop sa wo agar to wo chandini raat si hai [ He is like a sun and she is like a moonlight] fit here.
It feels as if Khushi was witnessing a miracle, as ever so slowly she raises her eyes towards the moon, watching herself drinking in sight, sensing the flood of memories she's unleashed and wanting nothing more than to let him know that she can do it, she will do it.  But instead, he stood where he was and stared up at the moon as well. And for the briefest instant, it almost feels like they're together. Two silhouettes in the moonlight.  The bewitching power of moonlight incites dark passions like a cold flame, making hearts burn with intensity.
The presence of the elements of intimacy like clouds as a soft murmuring feeling in their hearts, drizzling rain as the first rain on dry land like the meeting with this strange desire for the first time, a little striking light, as igniting the fire within them, in and out of moonlight in between clouds, trying showing them ways to each other, and the wind, taking and receiving unknown messages.
Tumblr media Tumblr media
His eyes searched into the sky, probably looking out for his mother in between stars, moon, clouds, and everything while she was the same. She believes in Stars as her parents are stars. She smiles even though she misses them, thinking of them looking at her while he wants his mother to look at him with questions.
Is she happy seeing him?
He will ask this question later, and Khushi will show him the way to this belief...
“The moon is the reflection of your heart, and moonlight is the twinkle of your love.”
― Debasish Mridha
Amid the moon and the stars, amid the quiet night, amid the magnificent silhouette of the moonlight, he was intoxicated by the pellucid beauty of innocent Khushi whose words circled him. 
"Hum yahan se kahin nahin jayengey kyuonke hum galat nahin..."
I won't go anywhere because I am not wrong...
Tumblr media
The blue and cold rays of the moon paid him absolute tribute tonight. He was a buffet of muscles and corded strength of his world, and she entered there with a unique attitude. Undoubtedly, she was different among vintage books, more like a pale moonlight, exotic thing, forbidden love and rainy night. 
He felt that jolt strongly...oh yes, he did...
What should I name this love?
30 notes · View notes
sajniiii · 1 year
Text
Tumblr media
tu hi mera dildaar, tu dil ka qarar, nahi iss baat sey mujhey koi inkaar
Tumblr media
sajdey mei bethey hai jitni dafa, woh meri mannat mei harr baar hai
Tumblr media
lagey jeet si mujhko, yeh haar hai kaisi?
Tumblr media
mei tera sarmaaya hun, jo bhi mei bann paaya hu
Tumblr media
itni be rang bhi, toh nahi zindagi, harr mulaqaat mujhsey yeh keh jaati hai
Tumblr media
mei tera hojau, jo tu kardey ishaara
Tumblr media
ishq ki chingaariyon ko phir hawa deney lagey
ahad raza mir and sajal aly as dr. asfandyar and dr. zubia in yakeen ka safar (2017)
humein itna pyaar// kalank (bonus track)//kuch khaas// tum se hi// teri jhuki nazar (film version)//tere sang yaara// ishq
26 notes · View notes
istoleherheart-3008 · 8 months
Text
Bhaisaab baat aisi hai ki mein zyada sochta nahi hu kyunki mein bohot zyada sochta hu... Jo bhi dil mein aata hai wahi bol deta hu.. lekin Jo dimag mein aata hai woh chupa ke rakhta hu kyunki yeh duniya iss layak nahi ki isse saari batein batayi jaa sake.. issliye kyuki koi saga nahi hota.. aur zindagi toh waise bhi hum kiraye pe leke aaye hai
11 notes · View notes