#Khubsurat Manzar
Explore tagged Tumblr posts
Text
I read somewhere; "chehre badsurat nhi hoty, unhain dekhne wali ankh khubsurat ya badsurat hoti hay jo samne wale manzar ko apne zarf ke mutabiq rang deti hay" I couldn't agree more.
#aesthetic#writing#writers on tumblr#tumblrstuff#vintage#poets on tumblr#tumblrpost#quotes#urdu quotes#urduposts
5 notes
·
View notes
Text
Mohobbat khubsurat dikhni chahiye.. tumhari aankhon se..
Kalyug mein mijaaz toh sabka ek jaisa hai..
Agar honna hee hai fanaah kismat mein.. dekhe toh lage toh sahi... manzar khoobsurat hai.. maut ka irada toh ek jaisa hai..
0 notes
Text
40+Best Gulzar Shayari-Gulzar Ki Shayari.
(About गुलज़ार)
Sampooran Singh Kalra (Gulzar Sahab) ka janm 18 August 1936 mein Deena, Jhelum Jila, Punjab, British Bharat mein hua tha, joki ab Pakistan mein hai. unke pita ka naam Maakhan Singh Kalra aur maa ka naam Sujaan Kaur tha.Desh ke vibhaajan ke waqt inka parivaar Punjab ke Amritsar mein aakar bas gaya. Vaheen Gulzar Sahab Mumbai chale aae.
Mumbai aakar unhone ek Garage mein bataur mechanic kaam karna shuroo kar diya. Waha khaalee samay mein shaukiya taur par kavitaayen likhne lge. Iske baad unhone Garage ka kaam chhod aHindi cinema ke mashoor nirdeshak Vimal Rai, Hrshikesh Mukharjee aur Hemant Kumar ke sahaayak ke roop mein kaam karne lage.
Gulzar ka Hindi cinema mein career bataur geet lekhak S.D Barman ke film Bandhinee se shuroo hua. Saal 1968 mein unhonne film Aasheervaad ka sanvaad lekhan kiya. Is film mein Ashok Kumar Najar aaye the. Is film ke liye Ashok Kumar ko Filmfare Best actor ka Award bhee mila tha. Iske baad unhonne kai behatreen filmon ke song ke bol likhe jiske lie unhe hamesha aalochakon aur darshakon kee taareefeen mili.
Saal 2007 mein unhonne holywood film slumdog millionaire ka gaana jay ho likha. Unhen is film ke liye grammy award se bhi navaaja gaya. Unhonne bataur nirdeshak bhi hindi Cinema mein apna bahut Yogadaan diya hain.
Aur yha baat kisi se nhi cheepe hai ki unhone ne Aapni Khubsurat likhne ki kala se bhuto ka mann jeeta hai baat purane samay ki ho ya ab ki. To aaj hum aapke liye leke aay h kuch Gulzar shayari jo aapko bhut pasand aayngi.
Gulzar Shayari
“ यूँ भी इक बार तो होता कि समुंदर बहता कोई एहसास तो दरिया की अना का होता. “
“ Yu Bhi Ik Baar To Hota Ki Samundar Bahta Koi Ehasaas To Dariya Ke Ana Ka Hota.”
-(गुलज़ार)
“ आइना देख कर तसल्ली हुई हम को इस घर में जानता है कोई.”
“ Aaina Dekh Kar Tasallee Huee Ham Ko Is Ghar Mein Jaanata Hai Koee.”
-(गुलज़ार)
“ ज़मीं सा दूसरा कोई सख़ी कहाँ होगा ज़रा सा बीज उठा ले तो पेड़ देती है.”
“ Zameen Sa Doosara Koee Sakhee Kahaan Hoga Zara Sa Beej Utha Le To Ped Detee Hai.”
-(गुलज़ार)
“ वो उम्र कम कर रहा था मेरी मैं साल अपने बढ़ा रहा था.”
“ Vo Umr Kam Kar Raha Tha Meree Main Saal Apne Badha Raha Tha.”
-(गुलज़ार)
“ काई सी जम गई है आँखों पर सारा मंज़र हरा सा रहता है.”
“ Kaee See Jam Gaee Hai Aankhon Par Saara Manzar Hara Sa Rahata Hai.”
-(गुलज़ार)
“ सहर न आई कई बार नींद से जागे थी रात रात की ये ज़िंदगी गुज़ार चले.”
“ Sahar Na Aaee Kaee Baar Neend Se Jaage Thee Raat Raat Kee Ye Zindagee Guzaar Chale.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ कितनी लम्बी ख़ामोशी से गुज़रा हूँ उन से कितना कुछ कहने की कोशिश की.”
“ Kitni Lambee Khaamoshee Se Guzara Hoon Un Se Kitana Kuchh Kahane Kee Koshish Kee.”
-(गुलज़ार)
“ बदल जाओ वक़्त के साथ या वक़्त बदलना सीखो, मजबूरियों को मत कोसो, हर हाल में चलना सीखो.”
“ Badal Jaate Waqt Ke Sath Ya Waqt Badalna Seekho, Majbooriyon Ko Mat Koso, Har Haal Mein Chalana Seekho.”
-(गुलज़ार)
Gulzar Shayari on Love
“ जब भी ये दिल उदास होता है, जाने कौन दिल के पास होता है.”
“ Jab Bhi Ye Dil Udaas Hota Hai, Jaane Kon Dil Ke Paas Hota Hai.”
-(गुलज़ार)
“ हजारों ख्वाब टूटते है, तब कहीं एक सुबह होती है!.”
“ Hajaaron Khwaab Tootate Hai, Tab Kaheen Ek Subah HotI Hai!.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ वक़्त भी हार जाते हैं कई बार ज़ज्बातों से, कितना भी लिखो, कुछ न कुछ बाकि रह जाता है.”
“ Waqt BhI Haar Jaate Hain Kai Baar Zajbaaton Se, Kitna BhI Likho, Kuch Naa Kuch Baki Rah Jaata Hai.”
-(गुलज़ार)
“ कभी तो चौंक के देखे कोई हमारी तरफ, किसी की आँख में हम को भी इंतज़ार दिखे.”
“ Kabhi To Chaunk Ke Dekhe Koi Hamai Taraf, Kise ki Aankh Mein Ham Ko Bhi Intezaar Dikhe.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ हमने अक्सर तुम्हारी राहों में रुक कर, अक्सर अपना ही इंतज़ार किया.”
“ Hamne Aksar Tumhari Rahon Mein Ruk Kar, Aksar Apna Hi Intezaar Kiya.”
-(गुलज़ार)
“ सफल रिश्तों के बस यही उसूल है, बातें भूलिए जो फिजूल है.”
“ Safal Rishton Ke Bas Yahi Usool Hai, Baaten Bhooliye Jo Fijool Hai.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ महफ़िल में गले मिलकर वह धीरे से कह गए, यह दुनिया की रस्म है, इसे मुहोब्बत मत समझ लेना.”
“ Mahafil Mein Gale Milkar Vah Dheere Se Kah Gae, Yah Duniya Ki Rasm Hai, Ise Mohabbt Mat Samajh Lena.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ कौन कहता है की हम झूंठ नहीं बोलते, एक बार खैरियत तो पूछ के देखिये जनाब.”
“ Kaun Kahta Hai ki Ham Jhuth Nhi Bolte, Ek Baar Khairiyat To Puch Ke Dekhiye Janaab.”
-(गुलज़ार)
“ तजुर्बा बता रहा हूँ ऐ दोस्त दर्द, गम, डर जो भी हो बस तेरे अन्दर है खुद के बनाए पिंजरे से निकल कर तो देख, तू भी एक सिकंदर है.”
“ Tajurba Bata Raha Hoon Aey Dost Dard, Gam, Dar Jo Bhi Ho Bas Tere Andar Hai. Khud Ke Banay Pinjare Se Nikal Kar To Dekh, Tu Bhi Ek Sikandar Hai.”
-(गुलज़ार)
“ थोडा है थोड़े की ज़रूरत है, ज़िन्दगी फिर भी यहाँ की खुबसूरत है.”
“ Thoda Hai Thode Ki Zaroorat Hai, Zindagi Phir Bhi Yahaan Ki Khubsurat Hai.”
-(गुलज़ार)
Gulzar Ki Shayari
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ इतना क्यों सिखाए जा रही हो जिंदगी, हमें कोनसी यहं ज़िन्दगी गुजारनी है.”
“ Itana Kyu Sikhaey Ja Rahi Ho Zindagi, Hame Konsi Yahan Zindagi Gujaarani Hai.”
-(गुलज़ार)
“ तकलीफ खुद ही कम हो गई, जब अपनों से उम्मीदें कम हो गई.”
“ Takleef Khud Hi Kam Ho Gai, Jab Apno Se Ummeeden Kam Ho Gai.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ कभी ज़िन्दगी एक पल में गुज़र जाती है, कभी ज़िन्दगी का एक पल नहीं गुज़रता.”
“ Kabhi Zindagi Ek Pal Mein Guzar Jati Hai, Kabhi Zindagi Ka Ek Pal Nhi Guzarta.”
-(गुलज़ार)
“ तुझे पहचानूंगा कैसे तुझे देखा ही नहीं ढूँढा करता हूं तुम्हें अपने चेहरे में ही कहीं.”
“ Tujhe Pechanoonga Kaise Tujhe Dekhaa Hi Nahin, Dhoondhaa Karta Hoon Tumhe, Apne Chehare Main Kahin.”
-(गुलज़ार)
“ बहुत मुश्किल से करता हूँ, तेरी यादों का कारोबार, मुनाफा कम है, पर गुज़ारा हो ही जाता है.”
“ Bahut Mushkil Se Karata Hun Teri Yaadon Ka Karobar, Munafa Kam Hain, Par Guzara Ho Jata Hain.”
-(गुलज़ार)
“ आज हर ख़ामोशी को मिटा देने का मन है जो भी छिपा रखा है मन में लूटा देने का मन है.”
“ Aaj Har Khamoshi Ko Mita Dene Ka Man Hain.. Jo Bhi Chhupa Rakha Hain Man Me, Luta Dene Ka Man Hain.”
-(गुलज़ार)
“ कोई खामोश जख्म लगती है
ज़िन्दगी एक नज़्म लगती है ।”
“ Koi Khamosh Zaḳhm Lagti Hai
Zindagi Ek Nazm Lagti Hai.”
-(गुलज़ार)
“ मैन चुप करता हूँ हर शब् उमड़ती बारिश को
मगर ये रोज़ गई बात छेड़ देती है ।”
“ Main Chup Karta Hun Har Shab Umadti Barish Ko
Magar Ye Roz Gai Baat Chhed Deti Hai.”
-(गुलज़ार)
“ दिल पर दस्तक देने कौन आ निकला है
किसकी आहट सुनता हूँ विराने मे।”
“ Dil Par Dastak Dene Kaun Aa Nikla Hai
Kis Ki Aahat Sunta Hun Virane Me.”
-(गुलज़ार)
“ देर से गूँजते हैं सन्नाटे
जैसे हमको पुकारता है कोइ ।”
“ Der Se Gunjte Hain Sannate
Jaise Ham Ko Pukarta Hai Koi.”
-(गुलज़ार)
“ उसी का इमां बदल गया है
कभी जो मेरा खुदा रहा था ।”
“ Usi Ka Iman Badal Gaya Hai
Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha.”
“ एक ही ख्वाब ने सारी रात जगाया है
मैने हर करवट सोने कि कोशिश की।”
“ Ek Hi Khwab Ne Saari Raat Jagaya Hai
Mai Ne Har Karvat Sone Ki Koshish Ki.”
Gulzar Shayari on Life
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“दिन कुछ ऐसे गुज़ारता है कोई जैसे एहसान उतारता है कोई. “
“Din Kuch Aise Guzarta Hai Koi ,Jaise Ahsaan Utarta Hai Koi.”
-(गुलज़ार)
“खुली किताब के सफ़्हे उलटते रहते हैं हवा चले न चले दिन पलटते रहते है.”
“Khuli Kitab Ke Safeh Ultate Rahte Hai, Hawa Chale Na Chale Din Palatte Rahte Hai.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते.”
“Hath Choote Bhi To Rishtein Nhi Chhoda Karte, Waqt Ki Sakh Se Lamhe Nhi Toda Karte.”
-(गुलज़ार)
“कोई अटका हुआ है पल शायद वक़्त में पड़ गया है बल शायद.”
“Koi Atka Hua Hai Pal Sayad, Waqt Me Pad Gya Hai Bal Sayad.”
-(गुलज़ार)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“शाम से आँख में नमी सी है आज फिर आप की कमी सी है.”
“Sham Se Ankh Me Nami Se Hai, Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai.”
-(गुलज़ार)
“ख़ुशबू जैसे लोग मिले अफ़्साने में एक पुराना ख़त खोला अनजाने में.”
“Khusbu Jaise Log Mile Afsane Me Ek Purana Khat Khola Anjane Me.”
-(गुलज़ार)
“जिस की आंखों में कटी थीं सदियां उस ने सदियों की जुदाई दी है.”
“Jis Ki Ankho Me Kati Thi Sadiya Usne Sadiyo Ki Judai Di Hai.”
-(गुलज़ार)
“सहमा सहमा डरा सा रहता है जाने क्यूं जी भरा सा रहता है.”
“Sahma Sahma Dara Sa Rahta Hai Na Jane Kyu Jee Bhara Sa Rahta Hai.”
-(गुलज़ार)
“पलक से पानी गिरा है, तो उसको गिरने दो कोई पुरानी तमन्ना, पिंघल रही होगी!!”
-(गुलज़ार)
“Palak Se Paani Gira Hai, To Usko Girne Do Koi Purani Tamnna, Pighal Rahi Hogi!!”
-(Gulzar)
Gulzar shayari-Gulzar ki shayari
“ज़िंदगी यूँ हुई बसर तन्हा क़ाफ़िला साथ और सफ़र तन्हा.”
“Zindagi Yu Hui Basar Tanha, Kafila Sath Aur Safar Tanha.”
-(गुलज़ार)
“अपने साए से ��ौंक जाते हैं उम्र गुज़री है इस क़दर तन्हा.”
“Apne Saay Se Chowk Jate Hai, Umar Gujari Hai Is Kadar Tanha.”
-(गुलज़ार)
“आप के बाद हर घड़ी हमने आप के साथ ही गुज़ारी है.”
“Aap Ke Baad Har Ghadi Hamne Aap Ke Sath Hi Guzari Hai.”
-(गुलज़ार)
4 notes
·
View notes
Text
Mirasi Khandan Ka Aik Aur Khubsurat Manzar - Khabardar with Aftab Iqbal
Mirasi Khandan Ka Aik Aur Khubsurat Manzar – Khabardar with Aftab Iqbal
Mirasi Khandan Ka Aik Aur Khubsurat Manzar – Khabardar with Aftab Iqbal All latest happenings on Panama Case, Dawn Leaks, Maryam Nawaz, Imran Khan, Raheel Sharif, Nawaz Sharif, Qamar Javed… This video embed is sourced from Youtube’s Official page of the content producer. For any copyright claims or violation please refer to Youtube Copyright Notification at this…
View On WordPress
#*#Aftab#Aftab Iqbal#Aik#Aik Aur Khubsurat Manzar#Aur#best#Comedy#Express News#Iqbal#Ka#Khabardaar#khabardar#Khabardar Aftab Iqbal#Khabardar Express News#Khabardar Latest#Khabardar with Aftab Iqbal#Khandan#Khubsurat#Khubsurat Manzar#manzar#Mirasi#Mirasi Khandan#Mirasi Khandan Ka#Mirasi Khandan Ka Aik#Mirasi Khandan Ka Aik Aur#Mirasi Khandan Ka Aik Aur Khubsurat Manzar#Show#Top Pakistani Comedy#خبردارآفتاب اقبال
0 notes
Text
Muwakkil Ko Kabu Karne Ka Amal, “Allah ne is duniya me teen cheez paida ki hai, farisate, insan aur jinn. Hum apko bata de ki jinn hi muwakkil ka ek hissa hota hai. Yaki ki aap jinn ko muwakkil bhi kah sakte hai. Bahut sare amil muwakkil ko kabu me karke usse tarah tarah ki preshaniya ko door karwate hai. Aapne kabhi bhi zindagi me aisa muwakkil ko kabu karne ka amal kabhi nhi dekha hoga. Jo bahut hi asan aur chamtkari hai.
Muwakkil panch tarah ke hote hai, pahle muwakkil e alwi jamali, dusra muwakkil e alwi jalali teesra muwakkil e sifli jamali chhotha muwakkil e sifli jalali aur panchwa muwakkil e qudsi. Inn muwakkil me sabse jyda taqatwar aur achhe muwakkil e qudsi hote hai. Jo insan se jaldi dosti karke unke jaiz aur najaiz dono kaam karte hai.
Muwakkil Ki Hazri Ka Amal
Ab apko muwakkil ko kabu me karne ka amal batayege. Waise to muwakkil se dosti karna asan hai. Lekin jab aap galat amal karte ho, to apki jaan ko bhi kharta ho sakta hai. Jo logo ko dil ki bimari hai, wo log is amal ko bilkul na kare. Kyoki jab muwakkil apke samne hazir hoga. Tab apke samne bahut khofnak manzar hoga. Jise dikh kar aap dar jaoge. Ab hum apko bina khuf wala muwakkil ki hazri ka amal batayege.
Iss amal ko apne nochandi budhvaar ke din shuru karna hai. yeh amal 3 din ka hai.
Amal ko pak aur saaf libas pahan kar hi kare. Jyada achha yeh hoga, ki aap ek nai dress le aaye.
Jitna ho sake utna kam bolna hai, kisi se baat nhi karni hai. Apne kaam se kaam rakhna hai.
Yeh quran mareed ki ayat hai. Jise apko 5133 martba padhna hai. Al haqqu mirrabbika fala taku nanna minal mum tareen.
Muwkakil hazir hone ke baad uske samne khushboodar gulab ka itr dalna hai. Uske samne kuch mithai rakhni hai.
Amal mukmmal hone ke baad muwakkil apka diya hua sara saman le lega. Aur apka pakka dost ban jayega.
Waise to aap apne dost muwakkil se jaiz aur najaiz kaam karwa sakte hai. Lekin aap allah ke waste muwakkil se sirf jaiz kaam karwaye.
Humne khud is amal ko azmaya hai.
Jab muwakkil apke samne aayega. Tab apko usse bilkul bhi nhi darna hai. Wo ek khubsurat mard ki sakal me apke samne aayega. Apke liye bahut kimati tofe bhi sath lekar aayega. Apko apne sath chalne ke liye kahega. Lekin apne usko mana kar dena hai. Aur usko apne sath rahne ki kasam dilani hai. Uske baad muwakkil apko bina nuksan pahuchaye apke sath zindagibhar tak rahega.
Muwakkil Ko Hasil Karne Ka Tarika
Hum apko pahle hi bata de ki is amal me galati ki koi gunjaish nhi hai. Aaj muwakkil ko hasil karne ka tarika hum dege. Yeh amal apne kiya to apke samne ek muwakkil ka kafila hoga. Jisme ek muwakkil badshah apke samne chal kar aayega. Aur apse salam dua karega. Uske baad apko muwakkil se dosti kar leni hai. Aur sath rahne ki kasam bhi muwakkil ko de deni hai.
Bahut saare log muwakkil ka amal isliye bhi nhi karte hai. Wo sochte hai, ki muwkkil ka amal karna bahut khatarnak hota hai. Hum apko bata de ki muwakkil apke aur apke parivaar me kisi bhi vyakti ko nuksan nhi pahuchayega. jinn sirf suleman islam ke alawa kisi ke gulam nhi hote hai. Muwakkil insano ke vich hi rahte hai. Isliye inko hazir karna asan hota hai. Jinn insan ko nuksan pahucha sakte hai. Lekin muwakkil aisa kaam kabhi nhi karte hai.
Muwakkil ka amal karna baki makhlukh ke amal se asan hota hai. Kyoki isme apko kisi bhi tarah ka chila karne ki jarurat nhi hoti hai. Aap bina waqt kharab kiya ek din me hi muwakkil ko hasil kar sakte hai. Bas apke andar rohani taqat aur batni aankh ka khula hona bahut jaruri hai. Agar apke andar rohani taqat kam hai.
#Muwakkil Ko Kabu Karne Ka Amal#Muwakkil Ko Hasil Karne Ka Tarika#Muwakkil Ki Hazri Ka Amal#Muwakkil Ka Amal#Muwakkil Ka Wazifa
0 notes
Photo
Azad Kashmir Pakistan ka khubsurat manzar youtube.com/QadirBakhshAttari https://www.instagram.com/p/CQYVwuihOIy/?utm_medium=tumblr
0 notes
Video
Haram pak mein barish ka khubsurat manzar heavy rain in makah https://www.instagram.com/p/CQWaaUQhljI/?utm_medium=tumblr
0 notes
Photo
💞14 FEB 2019💞 Jo mangi thi maine khuda se woh dua ho tum Meri har khushi ki muskurati hui wajah ho tum Saanson mein chalti koi ravaanii ho tum Mere har khwab ki sachchi kahani ho tum Mere lamho se judi hui dastaan ho tum Meri pyasi zameen ka aasman ho tum Meri har tanhaai mein mila sukoon ho tum Mere har pakke iraade ka junoon ho tum Meri har tamanna meri har aarzoo ho tum Meri har khwahish ki koi justajoo ho tum Rehmat banke jo barsi hai woh baarish ho tum Ro ro ke jo mangi hai maine woh guzaarish ho tum Mere har aaghaaz ka pyara anjaam ho tum Meri har seher ki sunehri si sham ho tum Jo sawaal paheli the uska jawaab ho tum Andheron ko door karta hua aaftaab ho tum Mere har nazare ka dilkash manzar ho tum Mere har raaste ka khubsurat safar ho tum Meri hasrat Meri Kismat Meri ibadat ho tum Mera pyar Meri ishq Meri mohabbat ho tum BAS EK BAAR KEHDO KI MERI HO TUM BAS EK BAAR KEHDO KI MERI HO TUM #shayarindia #shayari #hindishayari #urdushayari #hindiwriters #hindiwriting #hindiwords #urduwords #shayarikedeewane #shayarilovers #bollywood #bollywoodwriting #gazal #instagramindia #instagramshayari #instagram #valentines #valentinesday2019 #happyvalentinesday #loveshayari #lovequotes #love #likes #follow #support #instagramquotes #instagramlove #srk #romantic #romance https://www.instagram.com/p/Bt1fSGwgT1J/?utm_source=ig_tumblr_share&igshid=cea1nqnkl5hz
#shayarindia#shayari#hindishayari#urdushayari#hindiwriters#hindiwriting#hindiwords#urduwords#shayarikedeewane#shayarilovers#bollywood#bollywoodwriting#gazal#instagramindia#instagramshayari#instagram#valentines#valentinesday2019#happyvalentinesday#loveshayari#lovequotes#love#likes#follow#support#instagramquotes#instagramlove#srk#romantic#romance
0 notes
Link
Vijay apne kaam mein fir se masroof hogaya. Kaam kuch eisa tha ke pura waqt ekdum chawkanda rehna parta tha finance ka maamla tha. Apne office mein se phir bhi Aisha se mail ke zarye baatein huwa karta tha aur kissi din apne Aisha ko bhi mail kar diya karta tha. Ek din ussko Pooja ka bhi mail aya. Bahot khush huwa Pooja ki mail pahrkar. Christmas aur naye saal ke din kareeb aarahe the to Pooja ne greeting cards bheji thi shubkaamnawon ke saath.
Vijay soch mein doob gaya kuch der ke liye yeh sochte ke yeh dusra saal tha jab ke woh apni Aisha se door hai Christmas aur naye saal ke mawke par. Do saal hogaye the donon ko juda huwe. Bahot khushion ke saath Vijay aur Aisha Christmas aur naye saal ke din bitaya karte the jinn dinon donon saath huwa karte the. 24th December ki raat ko donon late night shopping jaya kartey the aur sab ke liye gifts vaghaira kharidtey the aur dinner kissi ache restaurant mein kiya karte the. Badi khushi ka mahaul huwa karta hai Christmas ki eve wali raat. Pura sheher sheher, gaon gaon mein der raat tak roshni hi roshni rehti hai charon taraf aur khushi ki barsaat hoti hai chaaron taraf. Eise mein do pyar karne walon ka saath ho to manzar kuch aur hi hota hai. Ab eise mawkon par jo pyar ka mara hota hai, jiss ka dil tuta huwa hota hai unn ka to bus dard se bhara samaa hota hai chaaron taraf aur khaas kar eise mawkon par unn ka khoya huwa pyar behad, hadd se ziada hi yaad aati hai aur bahot tarpaati hai. Akelapan sa mehsoos hota hai aur dil roya karta hai. Unn se milne ko dil machalta hai aur rooh kaamp uthti hai eise mawkon par. Dil khoye huwe pyar se milne ko karta hai, unn ke saath kuch pal ek saath guzaarne ko dil karta hai, unn ke chehre ko apne enkhon ke paas rakhne ko dil karta hai…… unn sabhi pyar mein juda huwe logon ko mera salaam…
To hamara Vijay ka kuch eisa hi haal tha jab Pooja ki greeting card pahrli to…ussko Aisha ki yaad agayi, aur unn dinon ki yaadein jab woh donon saath huwa karte the Vijay ko satane laga. To gham ko bhulane ke liye kaam ko kuch der ke liye chor kar woh office wali Aisha ke paas gaya. Yeh Aisha office ke kaam se Canada gayi huwi thi ek high official ke saath thik jab Pooja ki shaadi ho rahi thi. To donon ne kuch der Pooja ki shaadi ke bare mein baatein ki aur phir Vijay Christmas aur New year ki baatein karne laga office wale Aisha se. Vijay ne yeh pooch dala Aisha se ke woh keise inn dinon ko bitate the jab usska boyfriend tha tab….. poochne ke baad Vijay ne socha ke ussko nahin poochna chahiye tha kyunke Aisha bahot udaas hogayi aur usski enkhen bhar aayi apne pyar ko sochkar….. Vijay ne phir kaha, “I am sorry mujhko nahin poochna chahiye tha, please forget it…” Magar Aisha ne kaha, “No its okay, I will tell you…” Aisha ne apni enkhon se chalakte ensoo ko ponchtey huwe kaha, “Bahot mazaa ata tha unn dinon ko Vijay…bahot khush rehte the hum donon Christmas aur New year ke dinon par….. Christmas eves ko hum aksar ‘Chez Selven’s’ jaya karte the aur wahin midnight tak enjoy kartey the. Woh ek Resto cum club and hotel bhi tha. Wahan sab kuch tha gana, bajana, peena, sab kuch. Bahot special bandobast kiya jata tha uss jagah har Christmas aur New year ke mawke par aur har saal wahan customers se jagah nahin hota tha…. Har eve ko hum intezaar karte ke kab midnight ho aur champagne ka bottle khola jaye aur sab ko free drinks milta tha phir pathakon ka phorna, khubsurat phooljhariyon ka aasmaan ko roshan karna, logon ka ek dusre ko wish karna, jhooma gana, dance karna…wah bahot hi fantastic din the woh sab gum huwe din Vijay…. Aur phir subha koyi 3 baje tak wahin hum ek room lete the aur raat guzaartey the ek saath Chritmas ka din phir New year ka din bhi…. 5 saal weise guzare hein main ne usske saath par sab lekar chala gaya woh apne sath aur chor gaya mujhko unn yaadon ke saath yaar”
Yeh sab kehtey kehtey Aisha ro pari aur Vijay ne ussko apne baahon mein liya aur sar ko sehlaatey huwe ussko emotional support diya….. Vijay Aisha ko baahon mein liye soch raha tha ke iss Christmas aur New year ko kyun na woh iss Office wale Aisha ki khushion ko ek baar phir wapas layein… apni Aisha ke saath to namumkin hai saath mein out jana par iss Aisha ke saath to woh Christmas aur New year celebrate kar sakta hai….bus woh itna soch hi raha tha ke company ka ek urgency wala alarm bajne laga…..yeh woh alarm tha jab director sabhi staff ko board room mein ane ke liye bulata hai… To Aisha aur Vijay nikle board room ke taraf rukh karte huwe…..
Company ke sab log ekathe huwe aur Director aur sabhi managers ek saath wahan aye….. yeh announcement karna tha ke end of year party kab, kahan aur kiss din ko celebrate kiya jaega …… date the 24th December- time from 3 pm to 5am of Christmas day! Venue: a certain hotel….. Ab jiss hotel mein ye end of year party hone wala tha bilkool uss jagah se bagal mein tha jiss ka zikr abhi Aisha ne kiya tha… “Chez Selven’s” Yeh woh jagah hai jahan Aisha apne khoye huwe pyar ke saath jaya karti thi inn celebrations ke liye….. Jab yeh chota sa meeting khatam hogaya to Aisha sar jhukaye chal rahi thi Vijay ke bagal mein apne office ke awr jaate huwe….. Vijay ne notice kiya ke woh kuch udaas si thi to ussne poocha kia baat hai tab Aisha ne bataya ke “’Chez Selven’s’ thik uss jagah ke bagal mein hai jahan company end of year party mana rahe hein……..” Tab Vijay samajh gaya ke Aisha ke liye kuch mushkil hoga wahan kyunke ussko apna pyar yaad ayega wahan….. phir bhi Vijay ne soch liya ke woh usske saath rahega….. magar Vijay ko darr tha ke kahin eisa na ho ke Aisha end of year party ko attend hi na kare to woh usski office tak gaya baat ko final karne ke liye….
Office mein Vijay ne sidhe munh yeh kaha, “Dekho Aisha main chahta hoon kyun ke naya hoon aur yeh mera pehla end of year party hai iss company mein, to tum aur main ek saath iss party mein jayein aur saath rahein ek couple ki tarah kia tumko manzoor hai?” Aisha ko kyun manzoor na hota woh to chahti thi Vijay ko aur usske liye to yeh ek anmol mawka tha usske saath eise waqt bitane ko to ussne khushi se han kaha. Vijay bhi khush huwa aur keise dress honguey uss raat ko donon ne yeh bhi tey kar liya aur iss bare mein kuch der tak baatein bhi ki donon ne….. Party 3 din baad tha…… aur jald hi woh din agaya…..
Vijay ne classic dress pehna aur sham 4 baje ghar se nikla. Ghar wali Aisha ko mail karke pehle hi bata diya ke party mein jana hai aur Aisha ne jane ko permission de bhi diya.
Office wali Aisha ko pick up karna tha office ke paas hi, woh tayaar hokar wahin Vijay ka wait karegi uss ne kaha tha. Beauty parlour se hokar aayi thi aur ekdum mast lag rahi thi ek black dress mein jo thik usske ghutnon tak thi. Vijay ussko dekhtey hi hakbaka gaya…..bilkool husn ki devi lag rahi thi woh…. Vijay ne muskuraakr apni baahein offer kiya aur Aisha ne apni baahon ko Vijay ki crossed bahon mein dala aur donon ek lovely couple ki tarah taxi ke taraf chal pade.
Thik waqt par donon pohonch gaye uss jagah jahan office ke sab log mawjood the…. Khushi ka mahaul tha, drinks aur snacks serve ho raha tha… aur Vijay ne ek whisky ka glass le liye par Aisha ne wine liya…. Donon chat karte ek koney mein chale gaye…bahot saari batein karne lage donon…. Drinks serve hota gaya donon peete gaye, snacks khate gaye, baatein karte gaye…… waqt aya to director aur managers ke taraf se speech huwi aur dinner serve bhi hogaya…. Open buffet tha to sabko apna apna khana khud select kar ke lena tha….. To be continued……..immediately….
The post Yeh Bhi Muhabat Hi Hai – Completed Update 65 appeared first on Desi Stories.
https://ift.tt/eA8V8J
0 notes
Text
Mohobbat khubsurat dikhni chahiye.. tumhari aankhon se..
Kalyug mein mijaaz toh sabka ek jaisa hai..
Agar honna hee hai fanaah kismat mein.. dekhe toh lage toh sahi... manzar khoobsurat hai.. maut ka irada toh ek jaisa hai..
0 notes
Photo
Khubsurat manzar youtube.com/QadirBakhshAttari https://www.instagram.com/p/CK_liX9FyMd/?igshid=1bd2gw9yiq0qt
0 notes
Photo
Khubsurat manzar youtube.com/QadirBakhshAttari https://www.instagram.com/p/CHnNGIBBSzR/?igshid=1b9e6l4tqs01w
0 notes
Photo
Masjid Nabvi Shareef Khubsurat Manzar https://www.youtube.com/channel/UC-g0F2ABzxudlKaaYBfnFnA https://www.instagram.com/p/CEZo73MFaLx/?igshid=1lpku718o733
0 notes
Link
Update 12 To Vinod chacha ki ahankaar ko thes ponchi thi aur uss ne Vijay ko Aisha lekin keise, woh soch mein pargaya. Kia woh yeh kar payega? Kia hoga agar Aisha ne Vijay jana chahegi? Aur agar Vijay ne virodh kiya to? Yeh sab baatein Vonod chacha soch raha tha. Koyi plan banana parega unn donon ko juda karney ke liye…koyi na koyi to raasta hoga…..
To dosto chalein aguey dekhtey hein kia hota hai….
Vijay aur Aisha to hamesha ki tarah subha subha uth kar , donon tayaar hokar university jaaney lage….. hota yeh tha ke, Aisha Vijay se pehley subha uthti thi, hamesha ki tarah, aur pehley woh ghar se nikalti thi aur Vijay ke ghar ati thi aur, Vijay ke kamre mein donon miltey the, pana kiss donon kabhi miss nahin kartey the, wohi, maathey par, phir donon gaalon par phir honthon par…. har subha shuruwaat eise hi hote the inn dono ki. Ue barson se Aisha eise hi Vijay ke yahan ati subha subha aur Vijay ke saath university jaatey donon sang sang.
Ab campus mein, donon behad mashoor the apney pyar ki kahani ki wajah se….. sarey campus ko pata tha ke Vijay aur Aisha ek dusrey ke liye baney hein… jab dekho donon ek saath rehtey the, koyi bhi waqt eisa nahin tha ke inn donon mein se kabhi ek akela dikhayi di ho kahin bhi campus par…
Bus ek din, Aisha ek lecturer se baat kar rahi thi aur Vijay ek bench par baitha tha to kuch doston ne Vijay se pucha tha, “Arey ye kia dekh rahe hein hum? Tum aur Akeley? Tumhari Aisha kidhar hai?” To vijay ne jawab diya that ke woh Lecturer se baat kar rahi hai, abhi ayegi……
To university mein manzar kuch eisa tha inn donon ko lekar.
Ab, mohalley mein, hota yun tha, ke raat ko dinner ke baad Vijay ek ghantey ke liye Club jaya karta tha jo main ne kabhi nahin likha hei yahan, lekin woh 16 saal ka tha tab se har raat 1 ghantey ke liye har roz club jaya karta tha…. llekin kabhi kabhi Aisha ke paas rehney ki wajah se nahin jata tha…. to raat ko sabhi mohalley ke doston ke saath, clubs ke memberon ke saath waqt bita kar tab apney Aisha ke paas jata tha.
Aur ek baat yeh hai ke donon ke paas mobile phones the, lekin kabhi bhi yeh zaroorat nahin pari thi ke donon ko sms karey ya phone kare kyunke dono ko sirf apne kamrey ki khirki khol kar baat karleni thi. Han bahot hi kam mawkey par kabhi ek call kar liya kartey the…. aur saal mein 1 ya 2 baar koyi sms bhi…. aur email ka bhi wohi haal tha….bahot hi kam mawke par agar koyi behad hi khubsurat mail ek dusrey ko milta to ek dusrey ko woh bhetey nahin to na to email na hi sms kartey the.
Phir har raat donon ek dusrey ke baahon mein pyar kartey paye jaatey Aisha ki kamrey mein, aur har raat, karib 1 baje Vijay apney ghar ko wapas lawtta. Kabhi kabhi to donon ko neendh ajatey aur bich raat ko Aish Vijay ko jagata wapas apney ghar bhejney ke liye…kabhi kabhi Aisha ki kamre ki khirki se gudkar wapas ghar jata. Aur har raat ki tarah apney kamrey mein wapas jaaney ke baad Vijay aur Aisha donon apney kamrey ki lights on and off kartey 7 baar, tab donon so jatey.
Yeh maamla saalon tak chalta raha.
Ab ek din Club mein election tha. Aur sab ne Vijay ko President ke post ke liye apply karney ko kaha tha. Vijay ke papa ne bhi uss ko kaha tha. To vijay ne apna naam likhwya tha President ki post ke liye…aur Vinod chacha ne bhi same title ke liye apply kiya tha….. election ke baad Vijay ki jeet huwi aur Aisha ki papa haar gaye…tb to Vinod chacha ko bahot hi ghussa aya aur unn gundey larko ke saath apna dukh bant raha tha…unn ladkon ne Vinod chacha ko Vijay se bad la leney ko uskaya. Unhon ne kaha yehi waqt hai Aisha ko Vijay se door karney ka.
To Aisha ke papa ab Vijay ko dekhna bhi nahin chahta tha. Vijay ko kuch bhi pata nahin tha ke uss ka chacha jisse woh apna dost bhi samajhta tha, ussko apna dushman manta hai ab. Vijay to hamesha ki tarah uss se mamool tawr par uss se batein karta tha. Vinod bhi baat karta tha lekin dil mein nafrat thi Vijay ke liye…….
Ek raat jab Vijay Aisha ki kamre mein tha, donon pyar kar rahe the, Aish ki blouse nahin thi us ski badan par, Vijay ka T-shirt bhi nahin tha, donon bistar par letey huwe the, kiss kartey huwe ke achaanak Aisha ke pap andar daakhil huwa aur Vijay se kaha, “Tum issi waqt apney ghar waapas jawao nahin to mujhse bura koyi nahin hoaga.” Jaldi se Aish ne apni blouse pehni, aur Vijay ne apna T-shirt liya, aur Voinod chacha ko samjhaney ki koshish kar hi raha tha ke Vinod ne Vijay ko ek zor ki thapar mara aur ghar se nikal jane ko kaha. Aisha khari ho gayi aur Vijay ko bahon mein lekar kaha, “Abhi tum jawo, ain papa se baat karungi.”
To Vijay wapas gaya, apney kamrey mein se ligt on off kiya, udhar se Aisha ne bhi jawab diya lights on off karke……
Dusrey din subha ko Vijay ko bahot tension ho raha tha ke ab kia hoga….. lekin thodi der baad Aisha bilkool araam se ayi aur Vijay ko har roz ki tarah maathey par, donon gaalon par aur honton par kiss kiya. Vijay wapas ussi tarah kiss kartey huwa pucha ke kia huwa kal raat ko uss ke waapas aney ke baad. To Aisha ne kaha ke, “kuch bhi nahin huwa. Sab thik hai.”
Phir university jaatey waqt bus mein Aisha ne Vijay so kaha,”Main ne papa se kaha ke hum donon bahot pyar kartey hein aur hum donon shaadi karna chahte hein to papa chup ho gaye aur apney kamre mein chale gaye.”
Lekin Vijay ko yeh bahot ajeeb laga aur kaha Aisha se, “Mujhko bahot fikar huwa, ke tumharey papa ne eisa kyun kiya? Kia usko itne dinon se pata nahin tha ke hum donon har raat ek saath kamre mein kia kartey hein? Itney dinon tak kyun kissi ne kabhi kuch nahin kaha? Aur kyun kal achaanak uss ne eisa kiya?”……. Aisha ne kaha, “Sab thik hojayega, aaj raat ko jab tum awo to unn se mera haath shadi ke liye mangna aur dekhna woh maan jayeinguey…tumko to woh inkaar karhi nahin sakta!”
To be continued…………..
The post Yeh bhi Muhabat Hi Hai – Completed Update 12 appeared first on Desi Stories.
https://ift.tt/eA8V8J
0 notes