Text
How to Unlock the Power of Daily Journaling
How to Unlock the Power of Daily Journaling: Nowadays everyone is trying to understand the ups and downs of their life, and one tool can be very helpful in this process—daily journaling. But the question is how to unlock the power of daily journaling? Chill, we are here to solve this mystery, that too in a lighthearted and engaging style. How to Unlock the Power of Daily Journaling Daily…
#daily journaling meaning#how to journal for self growth#how to unleash the power of darkness#how to unlock a journal lock#how to unlock day one journal#how to unlock diary#how to unlock the power of daily journaling#power of journaling#self improvement journal ideas#self improvement journal template
0 notes
Text
How to Unlock Hidden Features in Android
How to Unlock Hidden Features in Android: Android phones have a storehouse of features, but we do not know that some features are hidden in such a way that they work like magic! Now you must be thinking, “what are the hidden features of android?” And how to open them? Chill, today in this article we will tell you the hidden features of Android and the secret tricks to unlock them. Take a look at…
#android secret tricks and codes#android secrets and hacks#hidden features android#hidden features in android phone#hidden features of android 12#hidden features of android 13#hidden features of android 14#How to Unlock Hidden Features in Android#how to unlock hidden pictures on android#secret android features
0 notes
Text
How to Unlock a Locked Google Account
How to Unlock a Locked Google Account: It happens to all of us! One day we pick up our phone and read the message “incorrect password” and our eyes go dark. I mean Google does not trust its memories at all. But why worry, I am here, right? Today we will discuss all the tricks of “how to unlock a locked Google account“, that too in an easy and funny way. Want to learn more? Click here: How to…
#gmail account locked how to unlock#google account recovery#how to unlock a google account locked phone#how to unlock a google account without phone number#how to unlock a google locked android phone#How to Unlock a Locked Google Account#how to unlock a samsung phone that is locked with google account#how to unlock google account without password#how to unlock phone locked by gmail#locked out of gmail account can&039;t verify
0 notes
Text
How to Unlock the Secrets of Effective Time Management
How to Unlock the Secrets of Effective Time Management: Many times we all feel that 24 hours in a day are not enough and we got less time. And if you are also thinking this, then understand that “how to unlock the secrets of effective time management” is going to be your next Google search. Don’t worry, we are here with the knowledge of time management, that too in a friendly and interesting…
#4 time management techniques#5 tips for time management#how to manage time as a student#how to manage time at home#how to manage time at work#How to Unlock the Secrets of Effective Time Management#how to unlock the secrets of effective time management pdf#time management skills#time management tips for employees
0 notes
Text
How to Unlock Your Artistic Side Through Painting
How to Unlock Your Artistic Side Through Painting: Many times we try to explore our hidden artistic side but never know where to start. Doesn’t it feel good when our painting looks different and unique from someone else’s canvas? So let’s go, today we will explore how to unlock your creativity and fun ways to unleash your creative mind. Also understand how to make your artwork standout and create…
#artistic side#artistic side hustle ideas#artistic side hustles#artistic side meaning#how to discover your artistic style#how to make your artwork stand out#How to Unlock Your Artistic Side Through Painting#how to unlock your creative mind#how to unlock your creativity#unlocking painter scenery
0 notes
Text
How to Unlock the Power of Positive Thinking
How to Unlock the Power of Positive Thinking: Many times in life it feels like everything is full of confusion. But do you know how to unlock the power of positive thinking can be the ultimate game-changer? Positive thinking is not just a mind game; it is a way of life that can transform your mental and emotional health. Today we will discuss 3 great positive thinking techniques, 10 benefits of…
#10 benefits of positive thinking#100 positive thinking exercises#3 great positive thinking techniques#how to think positive when depressed#how to unlock the power of positive thinking#how to unlock the power of the mind#how to unlock the power of your subconscious mind#how to unlock your power within#positive thinking examples#positive thinking quotes
0 notes
Text
How to Unlock the Benefits of Meditation for Beginners
How to Unlock the Benefits of Meditation for Beginners: Many times we lock our mental peace in the hustle and bustle of life and then we do not understand how to open that lock. Meditation is such a tool that can become the key to opening this lock. If you want to know how to unlock the benefits of meditation for beginners, then this article is absolutely perfect for you. Here we will discuss the…
#how to meditate for beginners#how to meditate in bed for beginners#How to Unlock the Benefits of Meditation for Beginners#meditation benefits#meditation for beginners free#meditation unlocking potential#mindfulness meditation#types of meditation#unlock meditation
0 notes
Text
How to Unlock New Opportunities in Your Career
How to Unlock New Opportunities in Your Career: Sometimes in life it feels like we are in a phase loop, right? Same office, same work and same routine every day. But, what if I told you that with some small strategies you can unlock new opportunities? Yes, it’s possible! Whether you’re 20, 40, or 50, or even if you’re starting afresh with no experience, new paths of career growth can open up. So,…
0 notes
Text
How to Unlock the Secrets of Effective Communication
How to Unlock the Secrets of Effective Communication: Many times you must have seen that a new trend of communication is going on, but we do not understand what the real thing is. Just listening to each other and agreeing does not mean communication. Secrets of effective communication are like the taste of ginger in tea – without it the conversation itself seems incomplete. So let’s talk today…
#5 secrets to effective communication#communication tips for success#five communication secrets pdf#five secrets of effective communication examples#how to become a better communicator#how to improve communication skills#improve communication at work#secrets of effective communication#secrets of successful communication
0 notes
Text
How to Unlock Your Creativity for Writing
How to Unlock Your Creativity for Writing: Sometimes it feels like there is a crowd of ideas inside the mind, but when you sit down to write, nothing comes out. Don’t worry, in today’s article we will discuss How to Unlock Your Creativity for Writing. Let’s awaken the writer inside you. Must Read: Unlock an Android Phone with a Broken Screen How to Unlock Your Creativity for Writing Why…
#beat creative block#creative writing hacks#creativity for writers#freewriting#how to unlock creativity#improve writing#mind mapping tips#writing environment ideas#writing prompts#writing tips
0 notes
Text
How to Unlock Your Mind for Better Focus
Today’s will understand How to Unlock Your Mind for Better Focus. Many times it feels like the mind has become like a locked phone – full of random thoughts, and the focus has gone away from the real work. Now the mind has to be unlocked, focused, and the potential has to be tapped, so now you understand “how to unlock your mind” and “how to focus your mind on one thing”. Must Read: Unlock…
#brain potential#focus your mind#improve focus#meditation for focus#mental clarity#mind focus hacks#mind study tips#studying focus#unlock brain potential#unlock your mind
0 notes
Text
How to Unlock a Bootloader Easily {Best Way}
How to unlock a bootloader easily: In today’s digital age, smartphone customization has increased a lot. But the problem arises when someone has to unlock the bootloader of their phone and they do not understand whose help should be taken for this. If you are also one of those people who want to unlock the full potential of their phone and want to know everything about it, then there is no need…
#android bootloader unlock#bootloader unlock tutorial#bootloader unlocking guide#fastboot unlock#how to unlock bootloader#OEM unlocking#phone bootloader#unlock bootloader#unlock phone bootloader
0 notes
Text
Google Chrome se paise Kaise kamaye? 2022 | गूगल क्रोम से पैसे कैसे कमाए
Google Chrome se paise Kaise kamaye?
Google Chrome se paise Kaise kamaye (how to make money from Google Chrome): Doston Aaj Ham Baat Karne Wale Hain Google Chrome se paise Kaise kamaye Ja sakte hain. Google Chrome Jise ham har Din istemal Karte Hain Aaj Uske bare Mein samjhaie Ayenge ki Kaise Ham Ek web browser jaise ki Google Chrome ki madad se apne mobile se Hi Paise Kama sakte hain. Doston Aaj Ham vah tarike jaane Wale Hain Jiski madad se aap Google Chrome se paise Kama sakte hain Kyunki bahut se logon ka Sawal hota hai ki Google Chrome se paise Kaise kamaye. To Chaliye doston Jante Hain Ki Google Chrome se paise Kaise kamaye Ja sakte hain. गूगल क्रोम से पैसे कैसे कमाए: Doston Ham Sabhi Google Chrome web browser ko rojana istemal Karte Hain. Jab Bhi Hamen Kuchh search karna Hota Hai To Ham Har din Google Chrome open karke Use per Apne sawalon Ka Jawab dhundhte Hain. Per kya aapane Kabhi Socha Hai Ki Google Chrome se paise Kaise kamaye Ja sakte hain? Mujhe pata hai agar aap yah post padh rahe hain to aapane bhi Jarur liya Kabhi Na Kabhi Socha Hai Ki Kya Google Chrome se bhi paise kamaye Ja sakte hain? To iska jawab hi ji han Google Chrome ki madad se bhi acche paise kamaye Ja sakte hain. Bahut log Google Chrome ki madad se bahut hi acche paise Kama Rahe Hain To fir aap Kyon Nahin Kama Sakte? Aap bhi Google Chrome Ka prayog Karke acche paise Kama sakte hain. Aaj Ham kisi ke bare mein baat karenge. Main aapko vah tarike bataunga Jin ki madad se aap Google Chrome se paise Kama sakte ho. Aur aap yah kam kaise kar sakte ho aur paise Kaise Kama sakte ho UN Sabhi ke bare mein Ham Aaj aapko Jankari Dene Wale Hain To Chaliye baat karte hain Google Chrome se paise Kaise kamaye? गूगल क्रोम से पैसे कैसे कमाए
Google Chrome se kitne paise kamaye Ja sakte hain?
Doston sabse pahle baat karte hain Ki Aakhir Ham Google Chrome se kitne paise Kama sakte hain. To doston Jaisa ki Ham Sabhi Jante Hain Ki Google Chrome se paise kamane ka direct Koi Tarika Nahin Hai. Google Chrome Hamen paise kamane ka koi bhi mauka Nahin deta hai. Vah sirf ek web browser hai. Lekin hamare pass Kai Sare Aise tarike Hain Jis ki madad se Ham Google Chrome se paise Kama sakte hain. Ab yah aap per nirbhar karta hai ki aap is per kam Karke Kaise aur Kitna kama paogi. Jo kam aap Karoge aur Jis Tarah Se aap kaam Karoge Usi ke hisab se aapko paise Milenge. Lekin han Aap Yahan Se hajaron Se Lekar Lakhon rupaye Tak Kama sakte ho. Main Khud bhi Google Chrome ki madad se paise Kama raha hun isliye aapko bata raha hun.
Google Chrome se Paise kamane Ke liye kya kya hona jaruri hai?
Doston Google Chrome se Paise kamane Ke Liye aapko bahut jyada Kuchh Nahin chahie Hota. Aur jo Kuchh Bhi aapko chahie Hota Hai vah Pahle Se Hi aapke pass Hoga jaise ki ek mobile ya FIR computer aur ek Achcha internet connection. Jo ki aajkal Har Ek Insan ke pass Hota Hi Hai. Iske alava aapko Thodi internet ki jankari bhi chahie hoti hai jo aapko Google Chrome se Paisa kamane Mein madad Karega. Iske sath hi aap me Junoon bhi Hona chahie Kyunki agar aap kaam Karoge tabhi aap Google Chrome se paise kama paoge. Ine Sabhi Ke sath mein aapke pass bahut sara patients bhi Hona jaruri hai Kyunki Aisa Bhi hota hai ki Jab aap Aaj kaam karte ho to aap sochoge ki mujhe aaj ke Aaj Lakhon rupaye kamane hain lekin Aisa Nahin Hota aapko Paise kamane Ke Liye Samay Dena hota hai tab jakar aap apne use kam se paise Kama sakte ho. Agar aap Aaj Hi Paise Kamana chahte ho to Fir yah sab kam aapke liye bilkul Nahin Hai.
Google Chrome se paise kamane ka tarika
#1. YouTube se paise kamaye
Doston YouTube ke bare mein kaun Nahin Jaanta hoga. Aaj ke Samay Mein Har Insaan Din Mein apna bahut sara Samay YouTube per batata hai. Google ke bad agar aap Koi sabse Jyada search kiya jane wala platform Hai To vah Hai YouTube. Youtube ko Puri duniya mein istemal kiya ja raha hai aur Aane Wale Samay mein Youtube Aur Bhi Jyada Aage badhane wala hai. Doston yah bhi bahut hi accha Tarika Hai Jisko aap Google Chrome ki madad se bahut hi aasani se kar sakte ho aur paise bhi Kama sakte ho. Hajaron log yah kam kar rahe hain aur hajaron Se Lekar Lakhon rupaye Tak kam aa rahe hain. Google Chrome ki madad se YouTube se Paisa kamane ka yah Tarika bahut hi Kargar hai. Agar aapko YouTube channel Kaise banaye? YouTube se paise Kaise kamaye? Iski detailed knowledge chahie to aap Hamari website per Iske bare mein Puri information Le sakte hain.
#2. Blogging se paise kamaye
Doston ham Jis dusre tarike ke bare mein Ham baat kar rahe hain Hua Hai blogging. Doston blogging Ek Aisa kam hai Jise aap apne ghar per baith kar aaram se kar sakte ho. Iske liye aapka koi fix time Hona Jaruri Nahin Hai. Is kaam ko karne ke liye aapko 10 se Panch wali job bhi nahin Karni Hogi aur iska Koi Samay Bhi nirdharit Nahin Hai Ki aapko yah kam kab karna hai. Kyunki aap blogging Mein Khud Ke Boss Hote Ho yani aap apne blog ke Khud Ke Malik Hote Hain. Yah kam aap Jab Chahe tab kar sakte hain Din Mein Chaho to Din Mein karo Raat Mein Chaho to raat mein karo. Blogging Karke aap hajaron se lekar lakh rupaye Tak aasani se Kama sakte hain bahut sari log blogging karke bahut acche paise Kama rahe hain. Yah kam bahut hi trusted hai aur bahut se log Kisi bhi comment karte hain Google Chrome se Paisa kamane ka ek bahut hi genuine method hai. Is kam ko aap google-chrome ki madad se bahut hi aasani se kar sakte hain Main Khud bhi is kam ko karke Google Chrome kam se paise kamata hun. chuki yah kam Main Khud karta hun isliye aapko bata raha hun. Is kam ki sabse acchi baat yah hai ki is mein aap per Koi pabandi Nahin Hoti Hai aur aap is kam Ko Jab Chaho tab kar sakte ho. Ke bare mein detail Jankari aap Hamari is website per sakte hain iske liye aapko Techdhyan.in ke Menu section me Earn money category Mein Jana Hoga.
#3. Freelancing se paise kamaye
Doston Agar aapko koi bhi Aisa kaam aata hai jo ki agar aap Reliance inke chalya kar sakte ho to vah bhi aap Google Chrome ki madad se aasani se kar sakte ho. Google per aapko bahut sari Aisi freelancing website ke bare mein Jankari mil Jayegi. Aajkal bahut sari famous aur Sahi website se Google per maujud hai jo ki freelancing ka kam karne per aapko Achcha Paisa Deti Hai iske liye aap Ko Kisi freelancing website par jakar register karna hoga. Aur jab aap freelancing mein kisi customer ka kam Karke complete karte ho to aapko vah customer payment karta hai. Yah bahut hi genuine Tarika Hai Jiski madad se aap google-chrome ki madad se paise Kama sakte ho. Bahut Sare log silencing Ka upyog Karke Google Chrome se Lakho rupaye Kama rahe hain. Google Chrome se ya kam karne ke liye aap Ko Kisi skills Ka Hona bahut jaruri hai Jaise web designing, Android development, photography, videography, content writing, digital marketing etc. LATEST RECENT POST - Paise Kaise Kamaye Janiye 32 Tarike - Typing Karke Paise Kaise Kamaye? Best #9 Tarike - Computer Se Paise Kaise Kamaye? - Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye Jio Phone Se - Mobile Se Online Paise Kaise Kamaye? - Internet Se Kaise Paise Kamaye? Top 10 Tarike - Facebook Page Se Paise Kaise Kamaye 2022
#4. Google Play Store se paise kamaye
Agar aap Kisi bhi Android mobile ka istemal Karte Hain To fir aapke pass use mobile mein Play Store ka application Jarur hoga. Yah Hamare Android mobile mein isliye hota hai Kyunki Ham ISI ke dwara Apne man Pasand apps Ko download kar sakte hain. Lekin jo bhi Ham Apps Play Store se download Karte Hain vah Sabhi apps Google ke nahin Hote balki UN apps ko aap aur mere Jaise log Banakar Play Store par upload Karke paise kamate Hain. Mere Khyal se aapko ab pata chal gaya Hoga Ki Kaise aap Play Store ke Madhyam se paise Kama Payenge lekin Jitna yah sunane Mein Aasan lagta hai utna hi jyada Mushkil Hai Play Store se paise Kamana. Google Chrome Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me: Kyunki Play Store se Paise kamane Ke Liye aapke pass yah 4 chijon Ka Hona bahut jaruri hai: - Unique Idea - Android developer - Publish your app in Play Store - Promote your app Unique idea: Jab Baat Aati Hai Play Store se Paise kamane Ki to uske liye Hamen Ek Android app banana padta hai lekin Android app ko Banane se pahle hamare pass Ek unique Idea Hona jaruri hai. Yani ki agar aap khud ka Android app banana Chahte Hain To uske liye aapke pass Ek unique content Hona chahie jo ki uses ko bahut hi Achcha aur helpful Lage. Agar aapke pass Aisa Koi unique Idea Hai To fir aap use Idea ko convert kar sakte hain Apne Android app mein aur usse paise bhi Kama sakte hain. Android developer: ab Jab aapke pass koi unik idea hai Jiske bare mein aap ab banvana Chahte Hain To uske liye aap Kisi acche developers se Sampark kar sakte hain. Agar aap khud Android developer Hai To fir aap badh hi aasani ke sath Apne Android app ko bana sakte hain. Lekin Agar aapko Android app banana Nahin Aata to Fir aap Jarur Kisi Android developer se Sampark Karke apni app banva sakte hain. Publish your app in Play Store: Jab aap apni app bnao Ge to Uske bad aapko vah app Play Store publish Karni Hogi lekin Play Store Par Kisi bhi app ko publish karne ke liye 25 dollar dene Hote Hain. Is 25 dollar mein aap to Google Play console ko kharidna padta hai tabhi aap apne aap ko Play Store publish kar sakte hain. Note: Google Play console ko kharidne ke liye aapko one time 25 dollar dene Hote Hain Uske bad aap unlimited Apps Play Store par publish kar sakte hain. Promote your app: Jab aapka app Play Store publish Ho Jaega To Uske bad Baat Aati Hai Ki apps ke download Kaise Shuru Honge? Uske liye aapko advertisement chalana hoga. Jab aap apne App ka advertisement chalenge to Uske bad hi use app ke download shuru ho jaenge. Is Baat Ko Jarur Yad rakhega ki jitne Jyada aapke apps Mein download Honge to utani hi jyada aap apne App se paise Kama Payenge.
#5. Admob se paise kamaye
Agar Baat aati hai Google Chrome se Paise kamane Ki to usmein admob ka naam Nahin Aaye Aisa to ho hi Nahin Sakta Kyunki admob ki vajah Se Hi Ham Kisi bhi Android app ko monetize karke paise Kama sakte hain. Agar aap bhi admin ke dwara paise Kamana Chahte Hain To uske liye aapke pass Ek Android app Hona bahut jaruri hai Jab aapke pass apna Android app Hoga tabhi aap Uske dwara paise Kama sakte hain. Admob se paise Kaise kamaye? Admob se Paise kamane Ke Liye aapko admob.com per Jana Hoga jitni bhi main aapko points bataunga agar aap in points ko follow Karte Hain To fir aap Badi aasani se apne aap ko monetize kar Payenge. - Sabse pahle aapko admob ki official website admob.com per Jana Hoga. - Admob Ki official website per jaane ke bad aap ko apni email id se sign up karna hoga. - Sign up karte samay aapko apna detail sahi se bharna hoga. - Jab aap apna admin ka account banaenge to Uske bad aapko Apne app ke liye ad units Banane Honge. - Aap jo ad unit banaenge un ad unit ke codes aapko Apne app mein add karne Honge. Jab aap in points ko follow Karenge to Uske bad aapki app mein ads dikhna shuru ho Jaenge Jiske Madhyam se aap apne App se paise Kama Sakenge.
#6. Google AdWords se paise kamaye
Google AdWords bhi Google ka hi product hai aur Yahan per aap Iske dwara paise Nahin Kama Sakte balki aapko hi AdWords ko paise dene Honge. Mujhe lagta hai ki aap ke Man Mein Ek Sawal Jarur Aaya Hoga main kyon paise Dunga adverts ko? Aapane to heading mein likha hai Google Adword se paise kamaye? Besak maine heading mein likha hai ki aap Google Adword se paise Kama sakte hain lekin Adword se Paise kamane Ke Liye aapko thoda sa investment karna hoga tabhi aap Google AdWords Ka istemal Karke paise Kama sakte hain. Agar aap AdWords per invest karne ke liye taiyar Hai To fir baat aati hai ki Kaise aap adwords ke dwara paise Kama sakte hain? Example: aapane Khud ki book Banai hai aur aap use ebook ko bechna chahte hain. Lekin aap apne ebook ko tabhi bech sakte hain Jab ka aapke pass audience Hogi. Agar kisi ke pass audience Nahin Hai To fir aapko AdWords Ka istemal Karke audience ko khadna Hoga. audience ko kharidne ke bad aap vah ebook bech sakte hain. Note: Agar kabhi bhi aap AdWords istemaal Karte Hain To fir aap ko 2000 rupay ka promotional code bhi Google AdWords ki taraf se mil jayega. Lekin vah promotional code tabhi aap istemal kar Payenge Jab aap apne AdWords Mein 2000 rupay kharch Karenge.
Conclusion
Agar aapko Google Chrome se paise Kaise kamaye post helpful laga hai to aap is post ko Apne doston ke sath Jarur share Karen Taki vah bhi Google Chrome se paise Kama sake. Agar aapko is post se related koi bhi aur Jankari chahie to Fir aap Hamen niche comment box Mein Jarur bataen, main aapke comment ka reply Jarur karunga. Hamari website ko subscribe karne ke liye Hamen email dwara subscribe Jarur Karen. Aur Hamare post ki update turant pani ke liye niche Diye Gaye red bell icon ko Jarur press Karen. Taki Hamare post ki update Aap Tak Sabse pahle pahunche. Aise hi post padhne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahen. LATEST RECENT POST - Paise Kaise Kamaye Janiye 32 Tarike - Typing Karke Paise Kaise Kamaye? Best #9 Tarike - Computer Se Paise Kaise Kamaye? - Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye Jio Phone Se - Mobile Se Online Paise Kaise Kamaye? - Internet Se Kaise Paise Kamaye? Top 10 Tarike - Facebook Page Se Paise Kaise Kamaye 2022 Read the full article
#Admobsepaisekamaye#AdSensesepaisekamaye#Blogger.comsepaisekamaye#chromesepaisekaisekamaye#GmailsepaiseKaisekamaye#GmailsepaiseKaisekamayegooglesepaisekaisekamaye#GoogleAdWordssepaisekamaye#googleappsepaisekaisekamaye#Googlechromesepaisekaisekamaye#googlemepaisekaisekamaye#googleonlinepaisekaisekamaye#Googleopinionrewardsepaisekamaye#googleopinionrewardsmepaisekaisekamaye#googleopinionrewardssepaisekaisekamaye#googlepaisekaisekamaye#googleparpaisekaisekamaye#Googlepaysepaisekamaye#googlepepaisekaisekamaye#googlepesepaisekaisekamaye#googleplaybalancekaisekamaye#googleplaysepaisekaisekamaye#googleplaystoremepaisekaisekamaye#GooglePlayStoresepaisekamaye#googleseearningkaisekare#googlesekaisepaisekamaye#googleseonlinepaisekaisekamaye#googlesepaisekaisekamaye#googlesepaisekaisekamaye2022#googlesepaisekaisekamayehindime#googlesepaisekaisekamayeinhindi
0 notes
Text
YouTube Channel Monetize Kaise Kare? | Youtube Ko Adsense Se Kaise Jode
YouTube Channel Monetize Kaise Kare? Aur Google AdSense Se Kaise Jode
YouTube Channel Monetize Kaise Kare: Aaj ke Samay Mein YouTube paise kamane ka ek jariya ban gaya hai. bahut se log YouTube ke Madhyam se paise kama rahe Hain. doston aaj ki yah post Ham UN Logon ke liye likh rhe Hain Jo apne YouTube channel ko monetize karke Paisa Kamana Chahte Hain. is post main aapko YouTube channel monetize kaise kare iski Puri Jankari Dunga. YouTube par Har Tarah Ki Videos upload ki Ja sakti hai. Chahe Aapko Kisi bhi Tarah ki jankari prapt karni ho to aap YouTube ke dwara prapt kar sakte hain. YouTube per aap bhi videos ko upload Karke paise Kama sakte hain. lekin iske liye Youtube monetization ko ON karna hota hai. to Jante Hain ab YouTube channel monetization kaise kare Jiske dwara aap apne Youtube channel me Google adsense ki ads show Karke paise Kama sakte hain.
YouTube Duniya ki sabse badi video sharing website Hai. Jahan aap online apni video ko share kar sakte hain aur dekh bhi sakte hain. aaj ke Samay me bahut se log YouTube videos ki madad Se Ghar Baithe Lakho karodo rupaye Kama Rahe Hain. To Aise me aap bhi filhal ke liye Yahi Soch sakte hain YouTube se paise Kaise kamaye. lekin YouTube se paise Kamana Itna Aasan Bhi Nahin Hai Jitna aap soch rahe hain. jab tak aap apne YouTube channel Ko monetize Nahin Karte tab tak aap apne youtube channel se paise Nahin Kama Sakte.
YouTube channel monetize kya hai?
Monetization ka matlab Hindi mein hota hai mudrikaran. ab aap soch rahe hain Ki Monetization Kya Hota Hai To Main aapko Bata Dun yadi aap apni YouTube videos monetize karna chahte hain to Iske baad aapke videos Mein advertisement Dikhane shuru ho Jaenge. Jiske baad aap apne videos ki madad se Kuchh kamai bhi kar sakte hain. Agar aapko YouTube monetization ke bare mein jyada Janna hai hai to Aapko Hamari yah post Puri Padhni Hogi. Kyunki aaj ki post Me Main aapko detail mein bataunga ki YouTube channel monetize kaise karte hai. to Chaliye Shuru karte hain aur Jante Hain YouTube channel monetize kaise kare. Aage badhane se pahle main aapko YouTube se paise kamane ke bare mein Kuchh baten share karna chahta hun jo ki Aage aapko bahut madad Karegi. Yadi aapane Abhi YouTube me Apna career Shuru kiya hai to aapke liye yah janna bahut jaruri hai. Agar aap YouTube se paise kamana Chahte Hain To aapko kuch basic Jankari jarur honi chahiye. YouTube mein Success Hona Sabhi Ke bus ki baat nahin hai. isliye Aap Hamare bataye gye tips ko follow Kare tabhi aap ek successful youtuber Ban Payenge. Agar aapko YouTube channel banana Nahin Aata to sabse pahle Meri Yah post padhe YouTube channel kaise banate hain.
Youtube Channel Monetization Tips
1) YouTube par channel Banakar ekadam se monetization shuru na Kare. bahut se log YouTube channel Banane ke baad 500 se 600 Views aane ke baad hi monetization shuru kar dete Hain To aap yah Galti na Kare. 2) acche videos upload Kare Jo Jyada popular hai. isase aapke channel Mein subscriber aur views badhenge jo ki shuruaati YouTuber ke liye bahut jyada jaruri hai. 3) quality videos upload Kare bahut se YouTuber shuruaat mein bahut bekar videos upload karte hain. jisse aapko subscriber Nahin Milte aur aap ka Hosla kam ho jata hai. to jo bhi videos bnao dekhne Walon Ko Achcha Lagana chahie. 4) Hafte Mein kam se kam ek videos Jarur upload Kare Agar aapke channel Mein 10000 subscriber Hain aur aapane Abhi Abhi videos upload karna Shuru Kiya Hai To Jitna ho sake videos upload karte raho. 5) jo bhi videos aap banate hain us video mein channel ko subscribe karne ke liye Jarur Kahe. Kyunki channel ke subscribers bahut jaruri hai.
YouTube channel monetize kab Hota Hai
YouTube channel ko create karne ke Kuchh Samay baad hi YouTube monetization enable karne Lagte Hain. Apni YouTube channel per Thode Se views Aane per monetization ko on karne se paise Nahin Aate Hain. To jab tak Har din aapke 1000 Ya 2000 Views Nahin Aane Lage tab tak YouTube monetization on na Kare. aapke channel ke minimum 1000 subscriber hone chahie aur 10 se 20 videos aapke channel Mein hone hi chahie. tabhi aap apne YouTube channel ko monetize kar sakte hain.
YouTube channel monetize kaise kare:
1) Video manager per click Kare
YouTube mein Apne channel mein jaen aur vahan aapko video manager ka option Milega use per aapko click kar raha hai.
2) channel per click Kare FIR enable per click Kare
Video manager per click karne ke bad aapko channel per click karna hai uske bad aapko niche ki side bar Mein monetization option Milega use per click kar den.
3) enable my account per click Kare
Ab aapko enable my account per click karna hai usse pahle aap guideline aur information Jarur padhne Kyunki yah bahut jaruri hai Iske bare mein aap ko pata Hona chahie.
4) ab YouTube terms and condition ko select Kare aur FIR accept per click Kare
Jaise hi aap enable my account per click Karte Hain To ek page open Hoga jismein YouTube ki Kuchh saten hoti hain jinhen aap Ko Manana padega uske liye aapko 3 option ko select karna hoga FIR I accept per aapko click karna hai uske niche aapko channel Mein monetization enable ho jaega.
5) ab aapko apne channel video ke samne dollar ka sign Dikhai dega
Ab aap ko apne channel me video ke samne dollar ka sign Dikhai Dega iska matlab yah hai ki aapke channel per ab ads dikhne Lage Ayenge Agar Green colour ka Dollar sign Dikhai Nahin deta to aapko videos ke edit option per click Karke vahan se monetization enable karna hoga.
Ab aap apni YouTube channel monitise kar chuke hain Iske bad aapke channel Mein ads dikhne Lage aur aap hi kamai shuru ho jayegi Iske bad aapko Ek bahut Jaruri kam karna hoga Varna aapke bank account mein paise Nahin a Payenge aapko apni YouTube channel ko Google AdSense Se jodna Bhi Hoga tabhi aapke bank account mein Har mahine paise aaenge.
Youtube Ko Adsense Se Kaise Jode
Ab janenge Youtube Ko Adsense Se Kaise Jode aur YouTube channel monetize kaise kare:
1) channel per click Kare aur Fir Bhi View monetisation setting per click Kare
Ab aapko fir se channel per click karna hai uske bad Yahan per aapko pahle enable ka option dikh raha tha vahan per aapko ab view monetization setting ka option Milega use per click kar den.
2) how will I paid per click Kare aur FIR associate and AdSense account per click Kare.
Jaise hi aap view monetization setting per click Karte Hain To vahan per aapko guideline and information ki niche aapko how will I paid per click karna hai.
3) ab Gmail ID se sign in karna hai
Hai ab aapko apni Gmail ID se login karna hai ya FIR aap new Gmail account bhi bana sakte hain iske liye aapko create account per click karna hoga Dhyan Den Agar aapka Pahle Se Google AdSense account Hai Tabhi sign-in per click Kare Agar aapka Google AdSense mein kaun Nahin Hai to create account option per click Kare Jahan se aap Google AdSense ka naya account banaa sakte hain Kyunki Google AdSense Ke Bina aap YouTube channel monetize nahin kar sakte isliye Google AdSense account banana jaruri hai.
Yah sab karne ke bad Google aapke form ka review Karega Aapka Channel qualify karta hai to vah Google ki taraf se aapko Ek email aayega ki aapka Google AdSense account approved ho gaya hai ab aap YouTube ke paison ko Google AdSense ki madad se bank account mein bhej sakte hain to Is Tarah Se aap apne YouTube account mein YouTube channel monetize kar sakte hain aur apne YouTube account ko Google AdSense se Jod kar apni kamai Hui paison Ko Sidha Apne bank account mein bhi bhej sakte hain.
Conclusion:
To doston aap bhi isi tarah apne YouTube channel ko monetize karke Apne YouTube channel per ads Laga sakte hain. Isse aapki income Aur Bhi Jyada Hone Lagi bas is Baat Ka Dhyan Rakhen ki Jo rules aapko Upar Bataye gaye hain. unhen follow karne ke baad hi YouTube channel ko monetize karne ke bare mein Sochen ya FIR Apne YouTube channel Ke monetization ko enable Kare. Doston Hamari yah post aapko kaisi lagi Hamen comment Mein Jarur bataye. Agar aapka is post YouTube channel ko monetize kaise kare se latest koi bhi Sawal hai to aap Hamen comment box Mein poochh sakte hain. Agar yah post Youtube ko monetize kaise kare aapko Pasand aayi hai to ise Apne doston ke sath share Kare. Taki jinko bhi Janna hai ki YouTube channel ko monetize kaise kare unko is post ki madad se sari Jankari mil sake. Aur aise hi post padhne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahe. Read the full article
#apneyoutubechannelkomonetizekaisekare#youtubechannelkomonetizekaisekare#youtubechannelkomonetizekaisekitnedinmekare#YoutubeChannelMonetizationTips#youtubechannelmonetizekaisekare#YoutubeKoAdsenseSeKaiseJode#youtubevideomonetizekaisekare
0 notes
Text
Ebook Kya Hai | Ebook Kaise Banaye | Ebook Banakar Paise Kaise Kamaye
Ebook kya hai | Ebook Banakar Paise Kaise Kamaye
Hello guys, doston kya aap bhi Janna Chahte Hain ebook kya hai aur ebook kaise banaye jata hai. To aaj ki is post Me Main aapko detail mein bataunga ki ebook kya hai aur ebook Banakar paise Kaise kamaye Jaate Hain. Hamari is post ko padhne ke baad aap ebook ke bare mein Sabhi Jankari Haasil kar Payenge Aur Jaan Payenge kibook aur ebook mein kya Antar Hai. To Chaliye apni post start karte hain aur jante Hain ebook kya hai. Ham apni exam ki taiyari ke liye aur job ki preparation ke liye books ka istemal Karte Hain. Yahan tak ki hamari school se lekar college Tak Har Jagah Hame books se hi padhays jata hai. Aise Mein Books ke bare me to Sabhi Jante hain. lekin bahut se Aise log Hain jinhe pata nahin Hota ki ebook kya hai aur ebook kaise banate hain. Aise Mein yah post UN Sabhi Logon ke liye madadgar Hone Wali Hai Jo yah Janna Chahte Hain ki ebook kaise banaye jate hain aur Iske baad ebook Banakar paise Kaise kamaye jate Hain. Youtube Channel Kaise Banaye? | Youtuber Kaise Bane?
Ebook kya hai?
Ebook ka Sidha Sa matlab hota hai electronic book yani ebook 2 shabdo Se Milkar Bana Hai. jismein ki "e" ka matlab Electronic aur "book" ka matlab Kitab hota hai, Jise ham digital book ke naam se bhi Jante Hain. ebooks Kai Prakar ke hote hain jismein sabse Jyada popular digital ebook Hai Jise PDF ebook bhi Kaha jata hai.
Ebook Banakar Paise Kaise Kamaye
PDF ebook kya hai?
PDF ebook ka pura naam portable document format ebook hai. PDF ebook ka sabse Jyada istemal mobile, computer, tablet etc. se Padhne Me Kiya jata hai. PDF ebook abhi tak banaye gaye Lagbhag har Digital device me support karta hai. jise aap Kahin bhi, kisi bhi device mein open karke padh sakte hain aur ise dusron ke sath share bhi kar sakte hain. PDF ebook ko Apne computer device ya phir mobile me download karna Aasan Hota Hai. Aajkal jyadatar students padhaai karne ke liye PDF book ka istemal Karte Hain.
Book aur ebook me kya Antar hai?
Doston aapko Yahan per batana Chahunga ki book aur ebook main sirf Inki generations ka hi Antar hai aur inme koi Khas Antar Nahin Hai. Jaisa ki aap Jante Hain ki aap apni books ko touch kar sakte hain yani ki book 1 physical thing Hai Jise aap ek Jagah se dusri Jagah aasani se le ja sakte hain. Agar ebook ki baat ki Jaaye to ebook 1 physical thing hai Jise Touch Nahi kiya Ja Sakta isiliye ebook ko electronic book bhi Kahate Hain. Kisi bhi ebook ko padhne ke liye Digital device ki jarurat padati hai. Yahan Tak Ki Kisi eBook ko share karne ke liye Bhi digital device ki jarurat padati hai. ise aap sirf ek digital device se dusre digital device per hi share kar sakte hain.
Book aur ebook Me Samantayen
- Book aur ebook donon Mein Hi Ham cover ka upyog kar sakte hain. - Book aur ebook donon Mein Hi index ke liye table of content Diya Gaya Hota Hai. - Books aur eBooks donon Mein hi aap jis page per Jana Chahte Hain Use page per Ja sakte hain. Jaisa ki Ham Sabhi Bachpan Se Hi books padhte Chale aa Rahe Hain. Aur Jaise Jaise Ham Bade Hote chale gaye vaise vaise Technology bhi Badalti Chali Gayi aur ab ham mobile par PDF file download karke padhte hain ya phir Kisi website ko open karke direct Kisi subject ki knowledge Le sakte hain. Ebook 2 Prakar ke Hote Hain, jisme Ki paid aur free. Internet per aapko bahut sari ebooks mil Jaate Hain jise aap aasani se download karke Apne digital device Mein padh sakte hain.
Benefits of ebook
Ebook Ke Istemaal se aapke Paiso/Money ki bachat hoti hai. Yah Kisi Sadharan Kitab se bahut Sasti hoti hai. Ebook ko aap internet ki madad Se download kar sakte hain aur aasani se padh sakte hain. Sath hi ebook kharidne ke liye aapko market Nahin Jana Hota Hai.
Ebook Ke Upyog
Kisi ebook ka istemal karne ke liye aapko digital device ki jarurat Hoti Hai. iske liye aap mobile, laptop ya computer ka istemal kar sakte hain. Ebook ka sabse bada fayda yah Hai isase aap Kibhi bhi aur Kahin Bhi padh sakte hain.
Ebook Kaise Banaye?
Vaise to ebook banana bahut Aasan hai. lekin abhi jo log yah Nahin samajh Paye Hain ki ebook kaise banaye? unke Liye Main Yahan detail mein bataunga ki ebook kaise banate hain. Yahan per Main PDF ebook ke bare me bataunga Jise banana bahut hi Aasan hai aur aap bhi aise hi PDF ebooks banaa sakte hain. Jise aap apne mobile se lekar computer Tak Har Jagah yuz kar sakte hain. Agar aapko ebook banana hai to aap computer aur mobile donon hi tarike se banaa sakte hain. Jaisa ki maine aapko pahle bhi bataya ki ebook banana bahut Aasan Hota Hai. Bus iske liye aapke pass Kuchh basic tools honi chahiye jiski madad se aap apna ebook banaa sake. - Sabse pahla Agar aapko mobile se ebook banana hai to uske liye aapko apne mobile me Microsoft Word App ko install karna hoga. - Aur dusra Agar aapko Laptop/Computer Me ebook banana hai to uske liye aapko Microsoft Word software ko Apne computer me install karna hoga. Jab aapka Microsoft Word application aapke computer ya mobile me install ho jaaye to Uske baad aap jis bhi topic par ebook banana Chahte Hain Uske bare mein aapko Microsoft Word Mein acche se likhna hoga. Aap apne books Mein Jis format me text dekhte hain bas Usi format me aapko EBook mein bhi text ko likhna hota hai. jisme ki Heading, images aur paragraph sahi format me ho. Jab aap apne topic ke bare me Microsoft Word Me detail Me likh lete hain to Uske baad aapke pass PDF ebook banane ke do tarike Hote Hain. Pahla Tarika to yah hai ki aap internet par Kisi word to PDF converter Ka upyog Karke apni PDF ebook banaa sakte hain. Aur dusra Tarika yah hai ki aap direct Microsoft Word dwara likhe Gaye document ko .pdf extension se save karke bhi pdf ebook banaa sakte hain.
Yahan per bataye Gaye donon toriko me se aap Kisi Bhi Ek tarike ko follow karke apni PDF ebook bana sakte hain. Is ebook ka istemal aap apne mobile ya computer me aasani se kar sakte hain aur kisi ke saath digital device per Share bhi kar sakte hain.
Ebook Ke Nuksan
Doston EBook ek electronic book Hota Hai. Jise sirf electronic device Me Hi yuj Kiya Ja sakta hai. isliye agar aap Jyada electronic devices Ka upyog Kar ebook padhte Hain To isase Aapki Aankhon Ko nuksan hota hai aur Aap Ki Aankhon Mein Sujan aa sakti hai. Sath hi ebook ka sabse bada nuksan yah hai ki agar Kisi Karan se aapke pass digital device Na Ho To aap apni Ebook Nahin padh Sakte. Kyunki yah Kisi book Ki Tarah aapke Hath Mein Nahin rahti Hai, ise aap sirf Apne digital device Me Hi store karke rakh sakte hain.
Ebook Se Paise Kaise Kamaye?
Jaisa Ki Ab aapko pata chal chuka hai ki ebook kya hai aur ebook kaise banate hain to ab aapko yah Bhi Jaan Lena chahiye ki PDF ebook Banakar paise Kaise kamaye. Agar aapke dimag Me yah Sawal aa raha hai ki PDF ebook se paise a Kaise kamaye to Pareshan hone ki bilkul jarurat Nahin Hai. Kyunki agar aap apna khud ka ebook banate hain aur iske liye aap unique content writing Karte Hain. To aap apne ebook se acche paise Kama sakte hain Kyunki ki Jyada ebook selling karne ke liye aapko Kuch Alag Hatke likhna hota hai. jisse aapka content unique Rahe aur log use Pasand bhi Karen. Ab ebook se Paise kamane Ke Liye aapko Apne instamojo account mein login karna hota hai. Aur Iske dashboard me jakar aapko add product option per click karna Hota Hai. Add Product Ke option for click karne ke baad yahan se aap digital product ke option per click kar den. Ab Yahan per aap apni PDF files ko upload kar sakte hain aur aapka content Jis bhi topic par hai uske liye accha Sa cover Banakar upload karde Taki aapke ebook sale hone ke chances badh Jaaye. Instamojo account me apni PDF file upload karte samay aap jitne bhi detail Den vah Sabhi Sahi Sahi honi chahiye. Aap apni Ebook sale karne ke liye is per price bhi Rakh sakte hain ya phir aap Chahe to apni Ebook free bhi Rakh sakte hain, jise koi bhi download karke aasani se padh sakta hai. Jab aap sari detail Daal Lete Hain Uske baad me instamojo store per aapki ebook sale Hone lagegi aur uske baad Me jitne bhi ebook sales hongi Uske aapko paise Milenge.
Conclusion
Doston, is post Me aapane detail me jana ki ebook kya hai aur ebook Kaise banaye aur ebook Banakar paise Kaise kamaye. Vaise to ebook banane ke bahut sare tarike Hain Jaisa ki maine aapko Upar Bata Diya Hai. Agar aap online income karna chahte hain to ebook Ek bahut hi accha Tarika hai jisse aap apni online earning kar sakte hain. lekin iske liye aapko bahut mehnat Karni padh sakti hai Kyunki shuruaat Mein Aapki ebook Jyada sale Nahin Hoti Hai. Isliye book ki Jyada selling ke liye aapko ise Jyada Se Jyada logon ko share karna hoga kyuki jab tak log ebook ke bare mein janenge nahin tab tak vah aapke ebook ko kaise kharidenge. I hope ab aapko samajh me Gaya Hoga Ki EBook kya hai aur ebook Kaise banaye aur ebook Banakar paise Kaise kamaye. Agar Aapko Hamari yah post EBook kya hai aur ebook Kaise banaye aur ebook Banakar paise Kaise kamaye pasand aayi hai to ise Apne social media platform per share Kare aur Jin Logon Ko Bhi ebooks related koi bhi Sawal Hai unhen yah post share Jarur Karen. Sath hi aisi hi Jankari pane ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahe. LATEST RECENT POST - Janiye Paise Kamane Ke 10 Tarike - Paise Kamane Ke Tarike #32 Ways - Typing Karke Paise Kaise Kamaye? - Computer Se Paise Kaise Kamaye? - Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye Jio Phone Se - Mobile Se Online Paise Kaise Kamaye? - Internet Se Kaise Paise Kamaye? Top 10 Tarike - Khudka App Banakar Paise Kaise Kamaye? - Notes Bechkar Paise Kaise Kamaye? Read the full article
#BookaurebookmekyaAntarhai?#e-bookmeaning#EarnMoney#ebook#EbookBanakarPaiseKaiseKamaye#ebookbanakarpaisekaisekamayeinhindi#ebookbanakarpaisekaisekamayeonline#ebookkaisebanaye#ebookkyahai#ebookmarketingkyahotahai#ebookingkyahai#freeebook#howtomakeebookinhindi#makeebook#makemoney#makemoneyfromebook#अपनीबुककैसेपब्लिशकरे#इलाइब्रेरीइनहिंदीpdf#ईबुकलायब्ररी#ई-बुककेनु��सान#ई-बुकडाउनलोड#ई-बुकहिंदी#किताबकैसेबनतीहै#पुस्तककिससेबनतीहै#पुस्तककैसेबनाएं
0 notes
Text
Mobile Jaldi Charge Kaise Kare? | Mobile Ko Fast Charge Kaise Kare?
Mobile Jaldi Charge Kaise Kare? Tips in Hindi
Doston aaj ki post Mein Ham detail mein janenge ki mobile jaldi charge kaise kare Hindi Mein. Is post ko padhne ke baad Aap Bhi Jaan Payenge ki mobile ko fast charge kaise kare? Jaisa ki aap Sabhi Jante Hain ki aaj ke Samay Mein mobile Ham Sabhi ki jarurat Ban chuki hai. Aise mein agar mobile ki battery charge hone mein jyada Samay leta hai To Ham Intezar nahin kar paate. Aajkal bahut se Aise mobile market Mein a chuke hain Jo sirf aadhe se ek ghante Jitna Samay Lekar hi full charge ho Jaate Hain. Lekin bahut se Aise mobile bhi maujud Hain Jo Puri Tarah charge hone mein kam se kam 3 se 4 ghante ka samay Laga Dete Hain. Is Tarah Ki mobile ko jaldi fast charge karne ke liye Hame Janna Hoga Ki mobile ko fast charge kaise kare. To Chaliye apni post start karte hain aur Jante Hain mobile jaldi charge kaise kare iski Puri detailed information. Agar Kisi emergency mein aapko Safar karna pad Gaya ya Achanak Se Koi kaam Yad a Gaya to mobile charge Hona Kafi Jaruri ho jata hai. lekin bahut baar hamara mobile charge Nahin Hota aur hamare pass kaam karne ke liye time bhi kam Hota Hai. Aise Mein Hamen samajh Nahin Aata ki aage kya karna chahie. isliye Aaj Ham is post ko likh rahe hain Taki aapko mobile jaldi charge kaise kare iski Puri jankari De shken. Yahan per bataye Gaye Sabhi tips aajkal ki Sabhi mobiles Mein kaam Karegi aur kam se kam Samay Mein Hi aapke mobile ko fast charge Kar Degi.
Mobile jaldi charge kaise kare?
Mobile Jaldi Charge Kaise Kare? | Mobile Ko Fast Charge Kaise Kare? Yahan Hamne aapko Kuchh tips bataye Hain. jinhen agar aap Sahi tarike se follow karte hain to aapka mobile charge hone mein jyada Samay Nahin lega Aur aapka mobile jaldi charge ho jaega. Iske sath hi main aapko Kuchh Aisi Jaruri baten bhi bataunga Jo aapke mobile ki battery life ko badhane Mein Aapki madad Karega.
Apna Mobile switch off Kare
Kisi bhi mobile ko fast charge karne ke liye mobile switch off karke charge karna sabse Achcha Hota Hai. Kyunki is tarike se aapke mobile ke background me battery kharch Nahin Hoti Hai aur aapka mobile fast charge ho jata hai. Yahan tak ki Jab mujhe bhi kisi kaam se bahar jana pad jata hai aur mera mobile charge Nahin Hota tab main bhi esi trick ko Apnakar apna mobile fast charge karta hun. Doston, aapke Aisa karne se mobile ke background Mein Koi Bhi application ya service Kaam Nahin karti hai jisse aapka ka mobile jaldi charge hone lagta hai. Is tarike ka istemal aap keypad wale mobile ke sath sath Apne smartphone mobile ko fast charge karne ke liye bhi kar sakte hain.
Apne mobile mein airplane mode ya flight mode chalu Kare
Flight mode ko aap airplane mode bhi Keh sakte hain. yah feature lagbhag Har ek smartphone Mein Milta hai. Friends aapko jaankar Aascharya Hoga Ki flight Mode ko chalu karne se aapka mobile jaldi charge ho jata hai. Kyunki Aisa karne se aapke mobile ka network Kaam Nahin Karta. Jiske Karan mobile ka data transfer Nahin Hota aur battery kam se kam kharch hoti hai. Airplane mode ya flight mode ko band karne ke liye aap Kisi bhi mobile ki setting main jakar ise band kar sakte hain aur apna mobile fast charge kar sakte hain.
Mobile ka Bluetooth, internet, Wi-Fi aur GPS band rakhen
Agar aap apne mobile me airplane mood chalu nahin karna chahte ya phir apna mobile switch off nahin karna chahte. to aap bluetooth, internet, Wi-Fi aur GPS Jaise services ko Band Karke Bhi Apne mobile ko fast charge kar sakte hain. Kyunki background mein chal rahe internet, Wi-Fi, GPS aur Bluetooth services se aap ke mobile ki battery jaldi khatm Ho Jaati Hai. jisse aapke mobile ki battery charge hone mein jyada Samay Leti Hai. Isliye Jab Bhi Apne mobile ko charge Kare to is Baat Ka Dhyan Jarur rakhen ki yah Sabhi services band ho tabhi aapka mobile jaldi charge ho payega.
Mobile ka Original charger istemal Kare
Kai bar Jab Hamen mobile ka original charger Nahin Milta ya phir Kisi Karan se original charger Kho Jata Hai. To Ham jaldbaji mein kisi local charger ka istemal mobile charge karne mein karte hain. Aisa karne se mobile ki battery life Dhire Dhire kam hone Lagti Hai. Kyunki Jo charger aapko mobile ke sath Diya jata hai vah aap ki battery ki power aur capacity ko Dhyan mein rakh kar Banaya Gaya hota hai. agar aap Kisi local charger ya phir nakali charger ka istemal Karte Hain To isase aapki battery life kam hone Lagti Hai. Jisse mobile charge hone Mein Kafi Samay lagta hai aur mobile jaldi charge Nahin Hota.
Charge karte samay mobile na chalayen
Agar aapko bhi mobile charge karte samay video dekhne, Call karne, gane sunane ya phir game khelne ki Aadat Hai To yah bilkul hi galat Aadat hai. Aisa karne se aapka mobile garm ho sakta hai aur mobile ki battery Mein visfot hone ki bhi Sambhavna Bani rahti hai. itna hi nahi isase mobile ki battery bhi Dheere Dheere kharab hone Lagti Hai. Jiske Karan mobile charge hone Mein Kafi Samay leta hai. isliye kabhi bhi mobile charge karte samay mobile na chalayen.
Background apps band Kare
Mobile chalate Samay kabhi bhi 2 ya 3 apps Se Jyada apps Ek Sath Na chalaye. Kyunki isase aapke mobile ki battery per bahut hi Bura Prabhav padta hai. Jab aap Kai apps ko ek Sath apne mobile mein chalate hain, to mobile ke background mein Sabhi apps Ek Sath kam Karte Hain. Aise mein battery jaldi khatm ho jaati hai isliye Jab Bhi Apne mobile ko charge Mein lagaye To background mein chal rahe apps ko Hata Den. isase aapka mobile jaldi charge ho jayega.
Mobile pura charge Kare
Bahut se Logon ki Aadat hoti hai ki vah mobile ko kabhi bhi pura charge Nahin hone dete. Aur vah mobile charge Mein Lagane ke baad Jab Kuchh percent mobile charge ho jata hai to Aksar mobile ko charge se nikal Lete Hain. Doston ho sakta hai aapko pata Na Ho Lekin Agar mobile Sirf Aadha hi charge kiya jaaye to mobile ki battery life Kam Ho Jaati Hai Aur charging hone Mein Kafi Samay lagta hai. isliye Hafte mein kam se kam Ek Bar apna mobile pura charge Kare isase future main bhi aapka mobile jaldi charge hoga.
Conclusion
Doston aaj ki is post Mein Hamne Jana mobile jaldi charge kaise kare Hindi mein. Ummid hai aapko samajh aa Gaya Hoga mobile phone ko fast charge kaise kare. Aaj ki post Mein Hamne mobile jaldi charge karne ke Kuchh behtarin tips and tricks ko jana. agar aap ine tips ko Dhyan Mein rakhkar apna mobile charge karte hain to aapka mobile kam se kam Samay mein aasani se charge ho jayega. Agar aapke mobile mein battery jaldi khatam hone ki samasya hai To aap 5000 mAH Se Jyada power wali mobile khareed sakte hain. aajkal mobile Mein fast charging ka feature company ki taraf se Diya Gaya hota hai. jisse kam Samay Mein hi aapka mobile aasani se charge ho jata hai. agar aapko Hamara yah post Pasand aaya hai to ise share Jarur Kare. Aur aise hi post padhne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahe. Mobile Root Kaise Kare? Android Mobile Root Karne Ke Fayde aur Nuksan Read the full article
#bestfastchargingmobiles#fastchargingmobile#fastchargingmobileapp#fastchargingmobilephones#howtochargemobilefast#mobilejaldichargekaisekare#mobilekibatteryjaldichargekaisekare#mobilekofastchargekaisekare#mobilephonefastchargekaisekare#oppofastchargingmobile
0 notes