#ja rahi padhne wapas
Explore tagged Tumblr posts
abyssmita · 3 months ago
Text
Bhai lmao I was happy just now
7 notes · View notes
unlockcoding · 3 years ago
Text
टाइम और पैसा किसकी ज्यादा चलती है? | Importance of Time vs Money
Tumblr media
टाइम और पैसा किसकी ज्यादा चलती है?
Importance Of Time Vs Money: Time aur Paisa yah donon hi chij Hamari Jindagi Mein Ek bahut hi important role play Karti Hain. Agar Hamare Paas Paisa Hai To Ham uski madad se apni society Mein Ek Bada badlav Khada kar sakte hain. Achcha Ghar popularity apni dreams ko pura karna, ye Sabhi chijen paise Se Hi possible Ho pati hain. Per Agar Baat time ki Aati Hai To beshak time ki value paison Se Jyada Hoti Hai Kyunki Ham Kitna hi Paisa kharch kar len Ham Apne Beete Hue time ko Wapas Nahin La Sakte. Is Baat Ko Ek Chhoti Si Kahani Ke jarie samajhte Hain. 
Tumblr media
Top differences between time and Money Rakesh subah subah Hamesha Ki Tarah Shahar per nikalta hai. Vah Kuchh Dur Aage Jata Hai To vahan per Ek Nadi Dikhai padati Hai Jaise hi vah use Nadi Ke Pass se Gujara Hota Hai Tabhi usko Kuchh Awaaz Sunai Deti Hai Jo Ki Kisi Ke bachao bachao children ki hoti hai. Jaise hi vah Piche mud kar dekhta Hai Tu Pass wali Nadi Mein Ek bachcha Doob Raha Hota Hai. Rakesh daudte Hue use Talab ki aur jata hai aur vah pata hai ki use bacche ka sirf Hath hi Bahar Rah gaya hai. 
Tumblr media
टाइम और पैसा किसकी ज्यादा चलती है? Vah Jaise hi use bacche ko bachane ke liye Apna Hath Aage badhata hai to bus vah Apna Hath touch hi kar Pata Hai per pakdane se pahle Hi Hua baccha Doob jata hai. Ab Rakesh ko bahut jyada pachtawa Hota Hai. Vah Sochta hai ki agar vah ek second pahle Talab ke pass pahunch Jata to Shayad use Bacche Ki Jaan bachai jaati.  Importance of Time vs Money To is Chhoti Si Kahani se Humko yah Pata Chalta Hai Ki Hamari Jindagi Mein Ek ek second ki Kitni value Hai Kyunki Humko yah bhi pata nahin hai ki Hamare Bhavishya Mein Hamare sath kya hone wala hai. Isliye Jitna Bhi time Humko Milta hai usko Jaya na karte hue Humko nai nai chijen sikhane Mein usko Lagana chahie. Jaise ki education ke bare mein, skills ke bare me, knowledge ke bare mein, relationship ke bare mein etc.  Per kya Ham yah sab Kuchh free mein Sikh sakte hain? bilkul Bhi Nahin. Example ke Taur per aap yah artical padh rahe hain jisse aapko Kuchh knowledge mil rahi hai per usko padhne ke liye aapko internet ya FIR Wi-Fi ki jarurat pad rahi hai tu yah free bilkul Bhi Nahin Hai. Jahir se baat hai iske liye aapko paise kharchne padte Hain. To kul milakar Ham yah kha sakte hain ki time aur Paisa donon hi Apni Apni importance rakhte Hain per Fir Bhi Kuchh chijen Aisi Hoti Hai Jahan per Ham donon Ko compare karke dekh sakte hain ki kahan per time ki Jyada important se aur kahan per Mani ki Jyada importance hai. 
#1. Value - Time and Money
Tumblr media
Value | Importance of Time vs Money Yah to aapko Shuru Mein Hi pata chal chuka hai ki time ki value paison se Kahin Jyada Adhik Hoti Hai per Vahi Agar Ham paison ki value Ki Baat karen to yah bhi Hamare time ki hisab se nirbhar karti hai ki kitne time mein Hamne Kitna Paisa kamaya hai.  - Google Opinion Rewards Se Paise Kaise Kamaye? - Google Chrome Se Paise Kaise Kamaye? - Paise Se Paise Kaise Kamaye? - Paise Kaise Kamaye Janiye 32 Tarike
2. Management
Tumblr media
Management | Importance of time Hamare pass bahut hi simit time hai Jisko manage Kar Ke Rakhna bahut hi Mushkil hota hai aur ki agar paison Ki Baat karen to paison ko bhi manage karna Hamare Liye utna Hi important hota hai Jitna ki time ko. Per paison ko sirf Vahi theek Tarah Se manage kar sakta hai jo paison ki value Samajhta Hai aur use manage karna Jaanta hai. 
3. Control - Time and Money
Tumblr media
Control | Time vs money Time pahle hi Hamari pass jitna bhi ho per Ham Apne hisab se chijon ko control nahin kar sakte per Agar hamare pass me Kisi chij Ka control Hai To Ham uska istemal Karke is duniya ki jyadatar chijon ko Apne mutabik control kar sakte hain. 
4. Power - Time vs Money
Tumblr media
Power | Top differences between time and Money Time mein kisi bhi chij ko control karne ki power Hoti Hai Kyunki time lagatar Chalta hi rahata hai per paise Ek Aisi chij hai jo Hamen jyadatar chijon ko control karne ki power deta hai. 
5. Decision making - Time vs Money
Tumblr media
Dicision Making | टाइम और पैसा किसकी ज्यादा चलती है? Kisi bhi Tarah Ka Faisla Lene Mein Hamara time Ek bahut hi important play Karta Hai Kyunki Sahi time per Hi Sahi Faisla Lena Hamari Puri life Tak ko badal sakta hai. Theek ISI Prakar se Paisa Bhi Koi Faisla Lene Se Pahle ek important role play karta hai. Hai Kisi company ke pass Agar bahut sara Paisa Hai To vah Kisi bhi Tarah Ki investment Se Kabhi Piche Nahin hatenge.
6. Importance 
Tumblr media
Importance | Importance of Time vs Money Paisa kamane ke liye time Ek bahut hi important roll Nibhata Hai Kyunki Bina time ke Paisa kamaya hi nahin Ja sakta per Bina paison ke Ham time Jarur bata sakte hain. Lekin Agar Kisi time ko Ham Paisa Lagane Mein lagaen To Ham mahange se mahange Saman khareed sakte hain aur ek alishan Jindagi ji sakte hain.
Final words:
Doston yah the competition ki time aur paison ke bich mein kya difference hai. Aapane aaj Jana Ki time aur paise donon hi Hamari Jindagi ke liye kitne important hai. Iske alava time aur Mani ko Lekar Aapke dimag mein kya yah vichar Hai yah Hamen comment Mein likhkar Jarur bataen.  Agar aapko Hamara yah post Pasand aaya hai to ise Apne doston ke sath share Karen aur Hamari website per visit Karte Rahe iske sath hi aap Agla article kis topic par Chahte Hain yah bhi Hamen comment section Mein Jarur bataen.  - Typing Karke Paise Kaise Kamaye? - Computer Se Paise Kaise Kamaye? - Jio Phone Se Paise Kaise Kamaye? - Mobile Se Online Paise Kaise Kamaye? Importance of time | Time vs money | Top differences between time and Money Read the full article
0 notes
unlockcoding · 4 years ago
Text
Mobile Ka Pattern Lock Kaise Kholen? | Pattern Lock Kaise Tode?
Tumblr media
Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode
Hello doston aaj ki is post Mein Ham janenge mobile ka pattern lock Kaise kholen yaa pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. Kya aap apne Mobile ka pattern lock kholna Chahte Hain To is post ko Jarur padhen. aajkal Sabhi apne mobile ka pattern lock Laga kar rakhte Hain. Kyunki isase aap apne mobile phone mein files safe Rakh sakte hain. Agar Kisi Ko Apka pattern lock Maloom Nahin Hai To vah aapke phone mein Kuchh Nahin kar payega. Mobile Root Kaise kare?
Mobile ka pattern lock Kaise kholen?
Tumblr media
Mobile Ka Pattern Lock Kaise Kholen? Bahut baar ham apne mobile ka pattern lock Laga kar Bhul Jaate Hain. aur is samasya main Hamen samajh Nahin Aata ki aage kya karna chahie. agar aap Kisi mobile shop per Jaate Ho To vaha aapko pattern lock todne ke paise dene padte Hain. Lekin Jab aap yah kaam Khud kar lete ho to kisi ko paise dene ki jarurat Nahin Hoti Hai. ISI Karan se Ham is post ko likh rahe hain. is post ko padhne ke baad aapko Pata chalega ki pattern lock Kaise Tode. Jab aap yah kaam Khud karte ho to isase Aapka Samay aur Paise donon Ki bachat Hoti Hai. To Chaliye Jante Hain mobile ka pattern lock Kaise kholen yaa pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. Bahut se log apne mobile mein koi dusra lock Lagane Ke mukabale pattern lock Lagana Jyada prefer karte hain. Kyunki yah dusre Lock ke mukabale Jyada Aasan aur surakshit hota hai. lekin Kuchh Aise pattern hote hain Jise Yaad Rakh Pana Mushkil hota hai aur log aasani se Bhul Jaate Hain. pattern lock ko Todna Jyada Mushkil Kam Nahin Hai. ise Kuchh minut Mein Hi Toda Ja sakta hai. is post me main aapko Aise 3 tarike bataunga jisse aap apne mobile ka pattern lock aasani se tod payenge.
Pattern lock Kaise Tode?
Kuch Log Aisa Bhi sochte Hain Ki pattern lock todne ke liye computer ki jarurat hoti hai. lekin Aaj Jis tarike ko Ham jaane wale hain use aap Bina computer ke bhi kar sakte hain. yah tarika Un sabhi ke kaam Jarur Aayega Jinke pass computer ya laptop maujud nahin hai. aapko bas Hamare bataye gye steps ko sahi se follow karna hai aur aap Dekhenge ki aap ke mobile ka pattern lock khul jayega.
Method 1: using Gmail account
Aap Sabhi ne apne mobile mein Gmail account Jarur Banaya Hoga. Android phone mein jyadatar kam Bina Gmail Ke Nahin ho sakta. isliye main yah Maan Ke Chal Raha Hun Ki aapane apne mobile me Gmail Account login kiya hoga. Aap Gmail account se bhi Chahe to apne mobile ka pattern lock Tod sakte hain. Lekin yah Tarika sirf Android 4.4 yaa isase kam version Mein kaam karta hai. agar aap 4.4 se upar varjan ka Android mobile chalate Hain To aap Iske baad wala Tarika follow kar sakte hain. yah Tarika tabhi kaam Karega Jab aapko apni Gmail account ka username aur password Yaad Ho. 1) sabse pahle aapko 5 bar galat pattern dalna hai. 2) ab aapko 30 second Intezar karne ke liye bola Jayega isliye ok button per click Karen. Jaisa ki screenshot Mein niche dikhaya gaya hai.
Tumblr media
  3) Aap right side ki or Dekhen forget pattern ka option mil Jayega use per click Karen. yah option sirf Android version 4.4 se kam varjan me hi dekhne Ko Milta Hai.
Tumblr media
4) aapane Jis Gmail account ko phone mein login kar rakha hai vah username aur password dalen. 5) Iske baad aap Bina Kisi dikkat pattern lock Wapas se reset kar sakte hain.
Method 2: using factory reset
Aap Sabhi Ne factory reset ke bare mein Jarur Suna Hoga. Agar Nahin suna hai to koi baat nahin main Bata data hun. factory reset use Kaha Jata Hai Jab aap apne phone ko Puri Tarah reset kar dete Ho. isase aapka phone bilkul Vaisa ho jata hai Jaisa aapane pahli bar kharida tha. lekin Aisa karne se aapke phone ki memory bhi delete Ho Jaati Hai. Sabhi files aapke phone Se Ud Jayenge. isliye is Method ko follow karne se pahle apne phone ka pura backup taiyar Karke Kisi dusri memory, laptop ya FIR cloud storage Mein save kar le. Agar aap Bina factory reset kiye hi apne mobile ka pattern lock Todna Chahte Hain to aap Iske baad Ka Tarika follow kar sakte hain. 1) sabse pahle apne mobile ko switch off Karen. Agar usse bhi dikkat aa rahi hai to mobile ki battery nikal De. 2) ab apne mobile ke recovery mode mein jayen. agar aap Samsung mobile chalate Hain To volume up+ home+power button ko ek sath dabaye aur recovery mode khul Jayega. Agar Kisi dusre company ka mobile chalate hain to volume up+power button Ek Sath dabaye aur recovery mode mein aa Jayen. 3) recovery mode mein screen touch Kaam Nahin Karta. isliye volume button se upar niche aa sakte hain aur volume down button Se Kisi bhi option ko select kar sakte hain. 4) recovery mode mein aane ke baad wipe data/factory reset option ko select karna hai.
Tumblr media
  5) abhi ek naya Window Khulega jismein aapko yes delete all user data option per click karna hai.
Tumblr media
6) ab Reboot system Now option ko select Karen aur aapka mobile reboot ho jayega.
Tumblr media
7) mobile reboot hone ke baad aapke mobile ka pattern lock Tut chuka hoga.
Method 3: Using Aroma file manager
Maine Upar Jo do tarike Bataye. pahla Tarika Sabhi Ke mobile mein Kaam Nahin Karta. dusra Tarika Kisi bhi mobile mein kaam kar sakta hai. lekin isase aapka mobile Puri Tarah reset ho jayega. agar aap pattern lock Bina mobile reset key Todna chahte ho to yah Tarika follow kar sakte hain.  a1) sabse pahle aapko apne mobile mein Aroma File Manager download karna hai. agar pattern lock ke Karan aap file Manager mein nahin Ja Pa rahe hain. to external memory Mein Aroma File Manager download Karen FIR us memory card ko mobile mein Dal den.  2) Ab aapko apne mobile ke recovery mode mein jana hai. recovery mode mein Kaise Jaate Hain iska Tarika maine Upar Bata Rakha Hai. 3) recovery mode mein jaane ke baad install Zip from SD card option ko select karna hai. 4) aapane jismein Memory me Aroma File Manager download kar rakha hai use location mein jaye aur use file ko select kar le. 5) ab Aroma File Manager khul Jayega. Iske setting Mein autoMount all device on start option Hoga Use enable Karen.  6) ab data folder ke andar system folder Hoga use kholen. 7) Ab aapko gesture.key Naam wali file ko dhundhna hai aur use delete kar dena hai. 8) ab apne mobile ko reboot kar len Jiske baad aapke mobile ka pattern lock hat Jayega. 
Conclusion:
To doston Aaj Hamne Jana mobile ka pattern lock Kaise kholen yah pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. is post Mein Hamne pattern lock kholne ke 3 tarike Jaane. aapko jo Tarika Pasand Aaya aap uska istemal Karke apne mobile ka pattern lock khol sakte hain. lekin ek baat Ka Dhyan Jarur rakhen Ki Kisi bhi tarike ko follow karne se pahle apne mobile ka backup Jarur rakh le. Aisa isliye Kyunki agar koi Galti Ho Gayi aur data delete ho gaya to use recover Kiya Ja sake. Agar aapko Hamara yah post Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode? Pasand Aaya To ise Apne doston ke sath share Karen. aur Aisi hi tips and tricks janne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahen Agar aapka is post Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode? se latest koi bhi Sawal hai to aap Hamen comment Karke puchh sakte hain.  Yah Bhi Padhe: Mobile Reset Kaise Kare? Read the full article
0 notes