#oppokapatternlockkaisetode
Explore tagged Tumblr posts
unlockcoding · 4 years ago
Text
Mobile Ka Pattern Lock Kaise Kholen? | Pattern Lock Kaise Tode?
Tumblr media
Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode
Hello doston aaj ki is post Mein Ham janenge mobile ka pattern lock Kaise kholen yaa pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. Kya aap apne Mobile ka pattern lock kholna Chahte Hain To is post ko Jarur padhen. aajkal Sabhi apne mobile ka pattern lock Laga kar rakhte Hain. Kyunki isase aap apne mobile phone mein files safe Rakh sakte hain. Agar Kisi Ko Apka pattern lock Maloom Nahin Hai To vah aapke phone mein Kuchh Nahin kar payega. Mobile Root Kaise kare?
Mobile ka pattern lock Kaise kholen?
Tumblr media
Mobile Ka Pattern Lock Kaise Kholen? Bahut baar ham apne mobile ka pattern lock Laga kar Bhul Jaate Hain. aur is samasya main Hamen samajh Nahin Aata ki aage kya karna chahie. agar aap Kisi mobile shop per Jaate Ho To vaha aapko pattern lock todne ke paise dene padte Hain. Lekin Jab aap yah kaam Khud kar lete ho to kisi ko paise dene ki jarurat Nahin Hoti Hai. ISI Karan se Ham is post ko likh rahe hain. is post ko padhne ke baad aapko Pata chalega ki pattern lock Kaise Tode. Jab aap yah kaam Khud karte ho to isase Aapka Samay aur Paise donon Ki bachat Hoti Hai. To Chaliye Jante Hain mobile ka pattern lock Kaise kholen yaa pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. Bahut se log apne mobile mein koi dusra lock Lagane Ke mukabale pattern lock Lagana Jyada prefer karte hain. Kyunki yah dusre Lock ke mukabale Jyada Aasan aur surakshit hota hai. lekin Kuchh Aise pattern hote hain Jise Yaad Rakh Pana Mushkil hota hai aur log aasani se Bhul Jaate Hain. pattern lock ko Todna Jyada Mushkil Kam Nahin Hai. ise Kuchh minut Mein Hi Toda Ja sakta hai. is post me main aapko Aise 3 tarike bataunga jisse aap apne mobile ka pattern lock aasani se tod payenge.
Pattern lock Kaise Tode?
Kuch Log Aisa Bhi sochte Hain Ki pattern lock todne ke liye computer ki jarurat hoti hai. lekin Aaj Jis tarike ko Ham jaane wale hain use aap Bina computer ke bhi kar sakte hain. yah tarika Un sabhi ke kaam Jarur Aayega Jinke pass computer ya laptop maujud nahin hai. aapko bas Hamare bataye gye steps ko sahi se follow karna hai aur aap Dekhenge ki aap ke mobile ka pattern lock khul jayega.
Method 1: using Gmail account
Aap Sabhi ne apne mobile mein Gmail account Jarur Banaya Hoga. Android phone mein jyadatar kam Bina Gmail Ke Nahin ho sakta. isliye main yah Maan Ke Chal Raha Hun Ki aapane apne mobile me Gmail Account login kiya hoga. Aap Gmail account se bhi Chahe to apne mobile ka pattern lock Tod sakte hain. Lekin yah Tarika sirf Android 4.4 yaa isase kam version Mein kaam karta hai. agar aap 4.4 se upar varjan ka Android mobile chalate Hain To aap Iske baad wala Tarika follow kar sakte hain. yah Tarika tabhi kaam Karega Jab aapko apni Gmail account ka username aur password Yaad Ho. 1) sabse pahle aapko 5 bar galat pattern dalna hai. 2) ab aapko 30 second Intezar karne ke liye bola Jayega isliye ok button per click Karen. Jaisa ki screenshot Mein niche dikhaya gaya hai.
Tumblr media
  3) Aap right side ki or Dekhen forget pattern ka option mil Jayega use per click Karen. yah option sirf Android version 4.4 se kam varjan me hi dekhne Ko Milta Hai.
Tumblr media
4) aapane Jis Gmail account ko phone mein login kar rakha hai vah username aur password dalen. 5) Iske baad aap Bina Kisi dikkat pattern lock Wapas se reset kar sakte hain.
Method 2: using factory reset
Aap Sabhi Ne factory reset ke bare mein Jarur Suna Hoga. Agar Nahin suna hai to koi baat nahin main Bata data hun. factory reset use Kaha Jata Hai Jab aap apne phone ko Puri Tarah reset kar dete Ho. isase aapka phone bilkul Vaisa ho jata hai Jaisa aapane pahli bar kharida tha. lekin Aisa karne se aapke phone ki memory bhi delete Ho Jaati Hai. Sabhi files aapke phone Se Ud Jayenge. isliye is Method ko follow karne se pahle apne phone ka pura backup taiyar Karke Kisi dusri memory, laptop ya FIR cloud storage Mein save kar le. Agar aap Bina factory reset kiye hi apne mobile ka pattern lock Todna Chahte Hain to aap Iske baad Ka Tarika follow kar sakte hain. 1) sabse pahle apne mobile ko switch off Karen. Agar usse bhi dikkat aa rahi hai to mobile ki battery nikal De. 2) ab apne mobile ke recovery mode mein jayen. agar aap Samsung mobile chalate Hain To volume up+ home+power button ko ek sath dabaye aur recovery mode khul Jayega. Agar Kisi dusre company ka mobile chalate hain to volume up+power button Ek Sath dabaye aur recovery mode mein aa Jayen. 3) recovery mode mein screen touch Kaam Nahin Karta. isliye volume button se upar niche aa sakte hain aur volume down button Se Kisi bhi option ko select kar sakte hain. 4) recovery mode mein aane ke baad wipe data/factory reset option ko select karna hai.
Tumblr media
  5) abhi ek naya Window Khulega jismein aapko yes delete all user data option per click karna hai.
Tumblr media
6) ab Reboot system Now option ko select Karen aur aapka mobile reboot ho jayega.
Tumblr media
7) mobile reboot hone ke baad aapke mobile ka pattern lock Tut chuka hoga.
Method 3: Using Aroma file manager
Maine Upar Jo do tarike Bataye. pahla Tarika Sabhi Ke mobile mein Kaam Nahin Karta. dusra Tarika Kisi bhi mobile mein kaam kar sakta hai. lekin isase aapka mobile Puri Tarah reset ho jayega. agar aap pattern lock Bina mobile reset key Todna chahte ho to yah Tarika follow kar sakte hain.  a1) sabse pahle aapko apne mobile mein Aroma File Manager download karna hai. agar pattern lock ke Karan aap file Manager mein nahin Ja Pa rahe hain. to external memory Mein Aroma File Manager download Karen FIR us memory card ko mobile mein Dal den.  2) Ab aapko apne mobile ke recovery mode mein jana hai. recovery mode mein Kaise Jaate Hain iska Tarika maine Upar Bata Rakha Hai. 3) recovery mode mein jaane ke baad install Zip from SD card option ko select karna hai. 4) aapane jismein Memory me Aroma File Manager download kar rakha hai use location mein jaye aur use file ko select kar le. 5) ab Aroma File Manager khul Jayega. Iske setting Mein autoMount all device on start option Hoga Use enable Karen.  6) ab data folder ke andar system folder Hoga use kholen. 7) Ab aapko gesture.key Naam wali file ko dhundhna hai aur use delete kar dena hai. 8) ab apne mobile ko reboot kar len Jiske baad aapke mobile ka pattern lock hat Jayega. 
Conclusion:
To doston Aaj Hamne Jana mobile ka pattern lock Kaise kholen yah pattern lock Kaise Tode iski Puri Jankari Hindi mein. is post Mein Hamne pattern lock kholne ke 3 tarike Jaane. aapko jo Tarika Pasand Aaya aap uska istemal Karke apne mobile ka pattern lock khol sakte hain. lekin ek baat Ka Dhyan Jarur rakhen Ki Kisi bhi tarike ko follow karne se pahle apne mobile ka backup Jarur rakh le. Aisa isliye Kyunki agar koi Galti Ho Gayi aur data delete ho gaya to use recover Kiya Ja sake. Agar aapko Hamara yah post Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode? Pasand Aaya To ise Apne doston ke sath share Karen. aur Aisi hi tips and tricks janne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahen Agar aapka is post Mobile ka pattern lock Kaise kholen? | pattern lock Kaise Tode? se latest koi bhi Sawal hai to aap Hamen comment Karke puchh sakte hain.  Yah Bhi Padhe: Mobile Reset Kaise Kare? Read the full article
0 notes