#dukaan ki hifazat
Explore tagged Tumblr posts
shifaonline · 8 years ago
Photo
Tumblr media
Weapon for Black Magic – Evil Eye سحر ، جادو، نظر بد اور حسد کے خلاف بہترین ہتھیار
0 notes
digichal · 3 years ago
Text
Apni dukan ka hisab rakhne ke online tarike
Har business hisab kitab book maintain karta hai, par yeh zaroori nahin ki har business accountant ya fir tally wala specialist rakh sake. Business ko chalane main sahi hisaab kitaab hona bahot zaroori hai. Kahan kitna paisa kharch ho raha hai, kitni bikri ho rahi hai ya fir kis se udhaar wasoli ka samay aa gaya hai, is sab ka record rakhna har business ke liye zaroori hota hai.
Businessman ki sar par bahot si zimedariyan hoti hain. Jaise business ko badhana, kharchon ko control karna aur saath hi inventory manage karna. Digital khata ek aisi app hai jo business ki har transaction ko record karna main madat karta hai.
Vyaapaar lenaden ke liye manual record rakhane ki chunautiyaan
1. Manual record bharne aur use sambhal ke rakhne main businessman ka kafi samay kharch hota hai.
2. Manual record se business ki sale ya fir kharch ka hisaab lagane bahot hi mushkil kaam hai. Sabhi record ko manually jodkar uski tulna karna main bhi kafi samay lagta hai.
3. Manual records ko khone ka bhi khatra rehta hai. Aksar register ya diary gumne ka bhi dar hota hai.
4. Haath se hisaab karne main galat jod ghatak bhi ho sakta hai.
5. Udhaar har business ka ek ahm hissa hota hai. Udhaar wasoli ka hisaab yaad rakhna aur wasoli ki tareekh yaad rakhna bhi ek mushmil kaam hai.
Digital khata app ek muft app hai jo koi bhi businessman asani se download kar, apne purane bahi khate ko digital khaate main badal sakta hai. App download karte hai, business ke kisi bhi len den ko is main record kiya ja sakta hai. Samay aane par is app se business se jodi jankari ko hasil karna bahot hi asaan hota hai.
Aiye dekhe business ke len den ko online kaise karein app main
Sale digital khata - App main apne roz ki sale ko darj karein. Har din huyi bikri ki rakum, phone main download ki app main save karein. Save ki gayi jankari ko kahin bhi aur kabhi bhi bas ek click main apne phone se check karein.
Digital udhar khata - Udhaar se jodi har jankari bhi aap is app main jod sakte hain. Udhaar kisko diya, kitna diya aur kab grahak use kab lautayega ye sab aap is app main save kar sakte hain. Saath hi digital udhar khata udhaar wapsi ki tareekh par grahak ko automatic payment reminder bhi bhejta hai.
Expense digital khata - Bikri ki tarah, aap kharch ka hisaab bhi is app main jod sakte hain.  Har din huye kharch ki rakum, phone main download ki app main save karein. Jo jankari aap save karte hain, use kahin bhi aur kabhi bhi bas ek click main apne phone se check karein.  
Benefits of online hisab
1. Samay ki bachat: Digital khata app par jankari save karna aur dekhna dono main hi samay ki bachat hoti hai. Bas ek click main aap jankari save kar sakte hain. Isi jankari ko asani se aap kabhi bhi apne phone main check kar sakte hain.
2. Paise ki bachat: Digital khata ek free app hai aur is main jankari save karne ke liye aapko kisi karmchari ko rakhne ki zaroorat nahin padti. Manual bahi khate ki tarah,na to apko dheron register bharne padte hain aur na hi unki hifazat ki chinta karni padti hai.  
3. Surakshit aur sakushal - Kharab hone ya fir khone ka koi khatra nahin. Aap ki sari business ki jankari ka pura backup hota hai. App delete bhi ho jaye to fir se login karke aap apna digital khata fir se istemaal kar sakte hain.
4. Asaan udhaar wasoli - DigiChal jaisi app main digital udhar khata, grahak ko wasoli ki tareekh par automatic message bhejne ki suvidha deta hai. Ab na to tareekh yaad rakhne ki samsya na hi ghar ghar jaa kar udhaar mangne ki.
Chahe dukaan badi ho ya choti, har business main len-den chalta rehta hai. Agar kisi ka grocery store hai ya restaurant; juice ki dukaan hai ya kapdon ki; hisab kitab book online hone se businessman apna samay aur paise dono bacha sakte hain. Apps jaise Digichal muft download kar sakte hain aur asani se apne khaate ko digital bana sakte hain. Is app main sirf digital khata app nahin hai, balki dukaan ko online banane ka bhi feature uplabdh hai.
Khaate ki tarah, digital dukaan banana bhi bahot asaan hai. Digital dukaan online banane ke liye bas 3 steps follow karne hain aur aap bhi apna samaan online bech sakte hain. 3 asaan steps main koi bhi chota ya bada businessman apni dukaan ko online main badal sakta hai. Digital dukaan se business ki sale aur pahonch dono badhti hai. Grahak bhi aajkal online kharidari ko mahatv dete hain. Advance zamaane main har businessman technology ka labh uthana chahta hai. Digichal jaisi apps khas karke chhote aur madhyam aakaar ke business ke liye kafi faidemand hain.
https://www.digichal.in/
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.digichal
0 notes
globalamliyat · 5 years ago
Video
youtube
Makaan Dukaan Factory Ki Hifazat Ka Amal | Fasal Ki Barkaat ka Taweez - ...
0 notes
shifaonline · 8 years ago
Photo
Tumblr media
Motivational Story – Rotten Potatoes – Interesting Life Lesson about Hating Others
0 notes
shifaonline · 8 years ago
Photo
Tumblr media
Easy high blood pressure remedy/cure ہائی بلڈ پریشر کے لئے آسان نسخہ
0 notes