#business me aage badhane ke tarike
Explore tagged Tumblr posts
Text
рдЗрди рдЙрдкрд╛рдпреЛрдВ рдХреЛ рдХрд░рдиреЗ рд╕реЗ рд╡реНрдпрд╛рдкрд╛рд░ рдореЗрдВ рджрд┐рди-рджреВрдиреА рд░рд╛рдд рдЪреМрдЧреБрдиреА рддрд░рдХреНрдХреА рд╣реЛрдиреЗ рдХреА рд╣реИ рдорд╛рдиреНрдпрддрд╛, рдЖрдк рднреА рдЖрдЬрдорд╛рдПрдВ
рдЗрди рдЙрдкрд╛рдпреЛрдВ рдХреЛ рдХрд░рдиреЗ рд╕реЗ рд╡реНрдпрд╛рдкрд╛рд░ рдореЗрдВ рджрд┐рди-рджреВрдиреА рд░рд╛рдд рдЪреМрдЧреБрдиреА рддрд░рдХреНрдХреА рд╣реЛрдиреЗ рдХреА рд╣реИ рдорд╛рдиреНрдпрддрд╛, рдЖрдк рднреА┬ардЖрдЬрдорд╛рдПрдВ
рд╡реНрдпрд╛рдкрд╛рд░ рдЫреЛрдЯрд╛ рд╣реЛ рдпрд╛ рдмрдбрд╝рд╛ рд╡рд╣ рд╡реНрдпрдХреНрддрд┐ рдХреА рдЬрдорд╛ рдкреВрдВрдЬреА рдФрд░ рдЖрдЬреАрд╡рд┐рдХрд╛ рдХрд╛ рд╕рд╛рдзрди рд╣реЛрддрд╛ рд╣реИред рд╣рд░ рд╡реНрдпрд╛рдкрд░ рдореЗрдВ рдЙрддрд╛рд░-рдЪрдврд╝рд╛рд╡ рдХреЛ рд▓рдЧреА рд╣реА рд░рд╣рддрд╛ рд╣реИ, рд▓реЗрдХрд┐рди рдЬрдм рдпреЗ рд╕рдорд╕реНрдпрд╛рдПрдВ рдмрдврд╝рдиреЗ рд▓рдЧреЗрдВ рддреЛ рд╡реНрдпрдХреНрддрд┐ рдХреЗ рдкрд╛рд░рд┐рд╡рд╛рд░рд┐рдХ рдЬреАрд╡рди рдХреЛ рдмрд╣реБрдд рдЬреНрдпрд╛рджрд╛ рдкреНрд░рднрд╛рд╡рд┐рдд рдХрд░рддреА рд╣реИрдВред рдЖрд░реНрдерд┐рдХ рддрдВрдЧреА рд╣реЛрдиреЗ рд╕реЗ рд╡реНрдпрдХреНрддрд┐ рдХреЗ рдЬреАрд╡рди рдореЗрдВ рд╣рд░ рдХрд╛рд░реНрдп рдЪреБрдиреМрддреА рднрд░рд╛ рд╣реЛрддрд╛ рд╣реИ, рдХреНрдпреЛрдВрдХрд┐ рдЫреЛрдЯреА-рд╕реЗ рдЫреЛрдЯреА рдЖрд╡рд╢реНрдпрдХрддрд╛ рдХреА рдкреВрд░реНрддрд┐ рдХреЗ рд▓рд┐рдП рдзрди рдХреА рдЬрд░реВрд░рдд рд╣реЛрддреА рд╣реИред рдпрджрд┐ рдЖрдкрдХреА рджреБрдХрд╛рди рд╣реИ рдпрд╛ рдХрд┐рд╕реА рднреА рдЪреАрдЬ рдХрд╛ рд╡реНрдпрд╛рдкрд╛рд░ рд╣реИтАж
View On WordPress
#Astrology#astrology tips for success#astrology tips for success in business#business me aage badhane ke tarike#business me paise kaise kamaye#business me safalta ke upay in hindi#business me tarakki kaise kare#dhan pane ke upay#how to get success in business astrology#how to get success in career astrology#how to get success through astrology#Jyotish#maa lakshmi#maa lakshmi ki kripa kaise paye#vyapar me labh#vyapar me tarakki ke totke#vyapar me tarakki ke upay
0 notes
Text
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai? | Youtube Tips and Tricks
YouTube se paise Kaise kamaye?
Doston kya aap bhi Janna Chahte Hain YouTube se paise Kaise kamaye jate hai. Yadi han to aap YouTube ke bare mein Pahle Se Jante Honge lekin yadi Nahin Jante to Chinta karne ki koi baat nahin hai. Kyunki aaj ki is post Me Main aapko detail mein bataunga ki YouTube se paise Kaise kamaye. YouTube se aaj bahut Sare log hajaron aur Lakhon rupaye Kama rahe hain aur yah bilkul Sach Hai. yah aap bhi Jante Honge isliye hi aap yah Janna Chahte Hain Ki YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Kya Aap Bhi YouTube se paise Kamana Chahte Hain, parantu aapko yah Nahin pata hai ki YouTube se paise Kaise kamaye Jate Hai. YouTube per Har din Lakhon videos upload kiye Jaate Hain. Jin ka ekmatra uddeshy hota hai YouTube se Paisa Kamana. ab Baat aati hai ki vah log YouTube se paise kaise kamate hain. Aaj Ham aapko is bare mein Puri Jankari Dene Wale Hain. is post ko pura padhne ke baad aap acche se samajh Jayenge ki YouTube se paise kamane Ka Tarika kya hai.┬а┬аVaise to internet Mein Paise kamane Ke bahut Sare tarike Hain. Ham aapko Internet se Paisa kamane ke 5 best tarike┬аke bare mein pahle Bhi Bata chuke hain. online Paise kamane Ke Liye YouTube ine Sab Mein Se sabse Accha Tarika hai.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai? India mein jio aane ke baad internet Sasta aur fast ho gaya hai. Tab Se India mein YouTube Ek paise kamane ka jariya ban gaya hai. ise aap online business bhi kha sakte hain. Aaj Har Koi YouTube per video dekhna Pasand karta hai, jisse YouTube video creator paise kamate Hain jinhen youtubers Kaha jata hai. Sabse pahle yah Jaan Lete Hain Ki YouTube kya hai aur kaise kam karti hai, jisse aapko YouTube se paise kamane Mein Kafi help milegi.
YouTube kya hai?
YouTube Ek video sharing platform Hai, Jis per Duniya ka koi bhi vyakti video upload kar sakta hai. yah Ek free platform Hai Jiske Liye Aap Ko Kisi Tarah ka koi Paisa dene ki jarurat Nahin padati Hai. YouTube joki Google ki hi service hai aur Google ki Anya services Ki Tarah hi, YouTube app aapko Har smartphone mein dekhne Ko Mil jaati hai. isliye YouTube per upload ki Gayi videos ke viral hone ke chances bahut jyada hote hain. Kisi Aur internet platform ki tulna mein YouTube per video upload karne ke liye aapko YouTube per account banana padta hai, jise YouTube channel Kahate Hain.
YouTube kaise kaam karta hai?
YouTube dusra sabse bada search engine Hai, Jahan per har roj Lakhon log search karte hain. apni video ko search Mein Upar laane ke liye aapko title, tags aur description Mein keywords ka istemal karna padta hai. YouTube ki ek Khaas baat hai ki yah auto video promote karta hai. agar aap Kisi video ko dekhte hain to aapko usse related bahut sari videos recommendation Mein Aati Hain. Kisi video par views Jyada Aana channel subscriber per bhi nirbhar karta hai. YouTube per Jab aap Kisi video ko dekhte hain to video ke Shuru Hone se pahle ya FIR video ke khatm hone se pahle Har YouTuber bolata hai ki Hamare channel ko subscribe Kare. Aisa isliye Kyunki YouTube subscriber base ka kaam Karta Hai. Jis YouTuber ke jitne Jyada subscriber Honge uski video utani hi Adhik Logon Tak pahunchegi jisse use Jyada Se Jyada views Milenge.
YouTube channel Banaye aur video upload Kare
Sabse pahle aapko Ek YouTube channel banana hai iske liye aapko gmail-account ki avashyakta Hogi, Jiski help se aap YouTube channel create kar sakte hain. Apne YouTube Channel ka naam Aisa rakhen Jo unique, Chhota aur Yaad Karne Me Aasan Ho. Apne channel ko professional banane ke liye Channel art aur logo design kar sakte hain. Apne YouTube channel ke liye ek Intro Video Jarur banaen. Apne channel per apni Khud ki Banayi Gayi videos upload Kare Jo sirf aapki copyrighted hon. Video upload karne ke baad use Apne doston, social media per share Kare jisse aapko Jyada views Milenge. Apni video mein Logon Ko channel ko subscribe karne ke liye Jarur Bole. Jab aapke channel ki videos Logon Ko Pasand Aane Lagegi to aapki videos per views and subscribers bhi badhane lagenge. tab aap apne channel se paise Kamana Shuru kar sakte hain. YouTube se Paise kamane Ke bahut Sare tarike Hain. - Doodle For Google Kya Hai? - Paise Se Paise Kaise Kamaye? - Google Kya Hai Aur Kisne Banaya? - Google Se Paise Kaise Kamaye?┬а
YouTube se paise kamane ke tarike
Ham aapko YouTube se Paise kamane ke UN trikon ke bare mein batane Wale Hain Jo bahut Aasan hai. in tariko Ka istemal Karke aap apne YouTube channel se Lakhon rupaye Kama sakte hain.
Google AdSense
Har bade se Bada YouTuber Google AdSense ke istemal se hi YouTube se paise kamata hai. Agar aap bhi YouTube se paise Kamana Chahte Hain To aapko YouTube channel ko Google Adsense se monetize karna padega. Sabse pahle aapko YouTube channel ki setting Mein jakar Apne YouTube channel ka monetization enable karna hai. Iske baad aapko Gmail Ka istemal Karke Google AdSense account banana hai. Aapke Channel ka monetization on ho jayega. tab aapki videos per ads Aane Lagega Aur aapko paise milane lagega. Aap ki videos ko jitne Jyada log Dekhenge aap ki earning utani hi jyada Hogi. Aapki YouTube video se kamaye Gaye paise aapke Google AdSense account mein Aate Hain, Jise aap apne bank account mein transfer kar sakte hain.
Affiliate marketing
Affiliate marketing ki help se aap bahut jyada paise Kama sakte hain. iske liye aapko Kisi Bhi Online Saman Bechne wali company ke product Ka link apne YouTube video ke description box Mein dena hai. aur jab us per click Karke Koi us product ko kharida hai to aapko uska Commission Milta Hai. Sabse pahle aapko affiliate program Ko join karna hai. Jaise Amazon, Flipkart, Snapdeal, clickbank Aadi. Ab aapko Jis product ko sell karna hai uska affiliate link banaye. Ab aap us Saman ko apni video se promote kar sakte hain, aur us product ka link description box mein de. jisse agar koi use per click Karke use product ko khareede to aapko uska commission mile. Har Chota aur Bada YouTuber Apne video ke description box Mein affiliate link deta hai aur affiliate marketing se paise kamata hai.
Sponsorship
Jab aapka YouTube channel popular ho jata hai to aapko sponsorship Milne Lagti Hai, jisse aap ko ek acchi income Ho Jaati Hai. Aapka YouTube Channel Jitna popular Hoga utani hi jyada aapko sponsorship aur Paisa Diya Jayega. yah Ek bahut hi accha Tarika hai YouTube se paise kamane ka. iske liye aapko Apne YouTube channel par Jyada Se Jyada subscriber base banana Hoga. Kyunki 5000 subscriber hone ke baad hi aap sponsorship ke liye apply kar sakte hain.
Local business ads Lekar
Hamara Agla Tarika Hai jismein Ham Dekhenge ki local ads se YouTube se paise Kaise kamaye jaate Hai. Yah Kafi Jyada chalne wala Tarika hai, jismein aapko Kuchh local Businessman aur unke Business ki ads karne ke liye Kuchh paise Milte Hain. Local ads vah hoti hai jo ki video ki starting mein aap dekhte hain. Agar Aapka Channel Kisi bhi aise subject per hai jo ki Kisi product ke bare mein ya Kisi Aisi field se sambandhit hai jo ki aap ko ads De sakta hai, to yah Tarika sponsored ads se bilkul alag hai. ismein aapko Aise Hi Paise Milte Hain Jo ki aap ke Mukhya kamayi ke Madhyam Se Alag hai. isliye aapko network bhi achcha banane ki Jarurat padh sakti hai.
YouTube premium Ke Liye video banaye
Yah option UN Logon ke liye hai jo Kafi acche videos banate hain. Jinki videos ko YouTube premium version wale log bhi dekhna Pasand Karenge. Agar aapke video bhi premium Mein Dekhe Jaane Lage to aapko isase milane wala profit bhi Kafi Achcha hone wala hai. isliye Mera aapse Yahi Kahana hai ki agar aap YouTube per video banaa rahe hain to vah professional Hi banayen, jisse logon ko aap ki videos Kafi acchi Lagne Lage isse aapko Kafi fayda Hoga. Hamne aapko vah Sabhi tarike Bata Diye Jo Har YouTuber istemal karta hai aur paise kamata hai. lekin Google AdSense in Sab Mein sabse Jyada istemal Kiya Jata Hai. Meri mane to YouTube se paise kamane ka isliye aapko YouTube channel ko Google se monetization enable karne ke bare mein sari Jankari honi chahiye. Aage main aapko YouTube ke bare mein Kuchh tips bata raha hun Jiski madad se aap apna YouTube channel Kafi acche tarike se Banakar usse Paisa kamane Mein Safal ho sakte hain.
YouTube paise kab deta hai?
Ek samay tha Jab adhiktar Logon Ko yah pata hi nahin tha ki YouTube kya hai aur YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Use Samay Kuchh hi log YouTube per kaam kar rahe the. yah vah samay tha Jab YouTube par pahle hi din se koi bhi video Dal kar paise Kamana Shuru kar deta tha. lekin Jab India mein Reliance jio Aaya To Log YouTube par video dekhne Lage. iska Karan tha internet ka Sasta aur fast Hona. ab Har Koi YouTube par video dekhne laga hai. bahut Sare naye YouTube creators Bhi YouTube par kaam karne lage Hain. Sath hi koi bhi video Banakar use Apne YouTube channel per dalkar Paisa Kamana Chahta Hai. Iske baad YouTube ki taraf se ek update Aaya jismein Kaha Gaya ki Jab aapke YouTube channel per 10,000 views Ho Jayenge tabhi aap YouTube channel se paise Kamana Shuru kar sakte hain. internet ke Sasta aur fast hone se 10,000 views Pana bahut Aasan tha. Lekin isse Kahin na kahin YouTube ko nuksan ho raha tha, uska Karan tha YouTube dwara Dikhai jaane wale ads per feck click Ka hona, isse YouTube advertisers Ko nuksan Ho Raha Tha. Jiske Karan unhone YouTube per ads Dena bahut kam kar diya. Ab Kuchh Samay pahle hi YouTube ki taraf se Ek Naya update aaya hai. jismein kaha gaya tha ki YouTube channel se Paise kamane Ke Liye aapko pahle Apne channel per 1000 subscriber aur 4000 ghante ka watch time complete karna padega vah Bhi Ek sal ke andar andar. tabhi aap apne YouTube channel ka monetization enable Karke usse paise Kamana Shuru kar sakte ho.
YouTube par 1000 views ke kitne paise Milte Hain
Yah Sawal bahut se log Puchte Hain Ki YouTube per 1000 views ke kitne paise Milte Hain? To Aaj Ham ISI ke bare mein baat karenge. YouTube per aapko lagbhag 1000 views per 1 se lekar 2 dollar Tak mil sakte hain, Jo Indian currency Mein 73 rupaye se 140 rupaye Tak ho sakta hai. Lekin yah anuman sab Jagah per Ek Jaisa Nahin ho sakta. har channel ke videos ke liye yah alag alag ho sakta hai. Jo ki Ek Ya Do dollar se kam ya Jyada bhi ho sakta hai. Ab YouTube per agar aap Keval AdSense Se Hi Paisa kamate Hai To yah aapke liye theek hai, lekin Baki Logon ke liye Nahin. Kyunki YouTube se paise kamane ke jo Baki tarike Hain unme views se income per Koi Jyada Fark Nahin Padta. yah Dekh Kar aapko to Aur Bhi motivate hokar kaam karne ki jarurat pad sakti hai. Kyunki jitne Jyada aapke videos Honge, utani Hi Har videos mein aane wali kamai Jod De to acchi khasi income aapko ho sakti hai. Google AdSense Se Hone Wali kamai Kuchh chijon per nirbhar karti Hai. jaise ki aap kis Prakar ki videos banaa rahe hain. Kyunki video dekhne wale log bhi Usi Prakar ke Honge aur aapke video per Dikhai jaane wali ads ki kimat bhi Usi hisab Se tay Hoti Hai. Ise acche se samajhne ke liye ek udaharan lete hain:- agar aap Kisi Bank loan se sambandhit Jankari dene wala video banaa rahe hain to usmein aapko paison se yaa loan se sambandhit ads Dikhai jaayengi jo ki Kafi mahangi ads hoti hai, jisse aapko views ke hisab se hone wala fayda Bhi utna Jyada hoga.
YouTube se Kitni kamai hoti hai?
Google AdSense Se Hone Wali kamai Kuchh chijon per nirbhar Karti Hai. jaise ki aap kis Prakar ki video banaa rahe hain. Kyunki video dekhne wale log bhi Usi Prakar ke Honge aur aapke videos per Dikhai jaane wali ads ki kimat bhi Usi Prakar Se tay Hoti Hai. Ek udaharan Se Samjhe to agar aap apne channel par comedy ya Manoranjan ki videos banate hai to aapko use per 1000 views milane per Thode kam paise Milenge. Kyunki Yahan per Thode saste wale ads Dikhaye Jaate Hain.┬а┬аLekin Jaise Ki aapane Dekha YouTube se paise Kaise kamaye aur kin tariko se kamaye. unmen maine AdSense Chhod Kar Bhi Kafi Sare tarike batayen Hain, Jinse aap paise Kama sakte hain. ab aapko tay karna hai ki aap kis tarike se YouTube se paise Kama sakte ho. aap ko jo Tarika Accha Lage aur jismein aap video banate hain aap un Sabhi tariko se paise Kama sakte ho. lekin Meri aapko Yahi Salah Hai ki aap Google AdSense se apne channel ko monetize Kare aur apne YouTube channel se paise kamaye. Kyunki Google AdSense YouTube channel par ads click hone ka Kafi Achcha paisa deta hai.
Conclusion
Doston Hamne is post Mein YouTube se paise Kaise kamaye Iske bare mein sari Jankari aapko de di hai. ummid Karta Hun Ki yah post aapke liye helpful aur useful Raha Hoga. Agar aapko Hamare Yah post YouTube se paise Kaise kamaye Pasand Aaya hai, To isase Apne social media platform per share Kare. iske sath hi Apne Un doston ke sath share Kare Jinko yah Janna hai ki YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Tatha comment Mein Hamen apni Raay Jarur bataye ki Aapko Hamari yah post kaisi lagi. Doston Mujhe Puri ummid hai ki yadi Aap Hamare bataye Gaye tariko ko sahi se follow Karte Hain, To aap apne YouTube channel se jald hi acche paise Kama Payenge. Iske sath hi aisi post padhne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahe. - Importance Of Time Vs Money - Mobile Jaldi Charge Kaise Kare? - Android Mobile Ko Format Kaise Kare? - Call Details Kaise Nikale?┬а - Ghadi Ka Avishkar Kisne Kiya Aur Kab Kiya?┬а Read the full article
#earnmoneyfromyoutube#facebooksepaisekaisekamayeyoutube#howtomakemoneyfromyoutubehindi#makemoneyfromyoutube#paytmsepaisekaisekamayeyoutube#youtubechannelsepaisekaisekamaye#youtubechannelsepaisekaisekamayejatehai#youtubesekaisekamayepaise#youtubesekaisepaisekamaye#youtubesepaisekaisekamaye#youtubesepaisekaisekamaye2022#youtubesepaisekaisekamayehindimejankari#youtubesepaisekaisekamayejaatehain
0 notes
Text
Blog Kaise Banaye? New Website Kaise Banaye? In Hindi
Blog Kaise Banaye? New Website Kaise Banaye? Agar aap online blog site banana chaahate hain to yeh blog article aap ke liye hai. Aap es article ko padh kar blog start karne ke bare me puri jankari lesakte hain. Es Hindi guide me aap step by step blog banaana sikhenge.
Blog Kaise Banaye? New Website Kaise Banaye?
Technology advancement hone se aaj kal blog banana bahut hi aasaan ho gaya hai. Aap ko blog start karne ke liye koi bhi technical knowledge (Jesse ki HTML ya CSS code) ki jarurat nahi hoti hai.┬а Agar main bina kisi bhi technical knowledge ke blog ki shuruaat┬а kar sakta hu, to aap bhi badi aasani se blog site bana sakte hain. Start karne se pehle kuch basic jankari ko samajhana jaruri hai. Blog Kya Hai? Blog internet par ek personal diary ki tarah hota hai, jispar koi bhi vyakti (person) ya company kisi bhi vishay (topic) ke bare mein likh sakte hai. Blog ek parkar ka manch (platform) hai jis par aap kisi bhi vishay (subject) par apne lekh (article, post) ko online prakaashit (publish) kar sakte hain. Blog ek website ki tarah hi hota hai jis par kisi bhi samaachar (news) ya jankari ko update karke logo tak pahuchai jati hai. Read: Blog Kya Hai Agar aap ko kisi bhi subject par ruchi (interest) ya achhi jankari rakhte hai to aap apna blog start karke apne knowledge ya passion ko doosro ke sath share kar sakte hain. Blogging Kya Hai? Blog ko lekhane ke kaary ya kriya (act of writing) ko blogging kahate hain. Koi bhi yogyata (ablity) ya kaushalta (skill) jo ek blog ko chalane ke liye chaahie usai blogging kahate hain. Blogger Kaun hota Hai? Koi vyakti (someone) jo blogging karta ho usai blogger kahate hain. Blogger us vyakti ko bol sakte hain jo blog ke liye article likhta ho. Blog ki shuruat kyu kare? Blogging ke fayde Aage badhane se pehle jaan lete hain ki blog kyon jaruri hai aur blog kyu start kare? Blogging shuruat me ek vyakti ke vichhar (thoughts), feeling aur experience ko share karne ke liye unique platform ke tor par upayog kiya gaya tha. Blogging jald hi jankari aur khabar phailane (spread) ke tariko me se ek ban gaya hai. Aaj lakho blog online hai aur sankhya (numbers) nimit (regular) roop se badh rahi hai. Blog padhne walo ke badne ke karan blog ki maang bhi badh rahi hai. Blog kyu start kare: Blog start ya create karna aasaan hai. Doorso ke sath jankari share karne ka aasaan tarika hai. Blog padne walo ko information milti hai, jeese padh kar unake samasyoo (problems) ka samadhan (solution) nikal sakta hai. Aap blogging se har mahine (month) hajaaro rupaye kama sakte hain. Aap bloggging ko part time profession ke tor par bhi kar sakte hain, yeh totally depend karta hai ki aap apna kitna involvement dena chahate hain. Online business me blog kyu jaruri hai: Blog se aap ke site par visitors ki sankhiya (numbers) badh jaati hai Aap ka site search engine par achhe rank par aajaata hai Aap apne product ya service ki brand image bana pate hain Aap apne customers se behatar (better) relationship bana pate hain
Blog kaise banaye? ┬ардмреНрд▓реЙрдЧ рдХреИрд╕реЗ рдмрдирд╛рдПрдВ?
тАЬBlog Kaise BanayeтАЭ yeh pehla savaal hai jo hum sochte hain jab hum apna blog suru karna chhate hain. Chaaliye hum ab blog banana start karte hai, Blog banane ke do tarike hain. Free Blog Self-Hosted Blog
Free Blog Kaise Banaye
Free blog start karna bahut hi aasaan hai, free blog me sab kuch taiyaar (ready) hota hai, aapko free blogging platform par register karna hai aur aapka blog turant hi tayar ho jata hai. Bina koi fee ya charge ke aap apna blog shuru kar lete hain. Example ke tor par: Yeh ek free email service ki tarah hota hai jaha aap free email service provider ko join karte hain aur aap free me email receive ya send kar sakte hain. Free blogging ki kewal yehi khaas baat hai ki woh free hota hai. Jo vyakti (person) blogging se paisa kamana nahi chhata hai aur kewal entertainment ke liye blogging karta hai, uske liye free blog badiya option hai. 14 Free Blog Sites Main aapko 14 free blog sites batauga jis par aap apna free blog start kar sakte hain. Blogger.com Blogger Google ki free blogging platform hai, jis par aap without charge register karke apna free blog bana sakte hain. Aap official Blogger support par tips aur tutorial padh kar apna free blog start kar sakte hain. Click Kare Aap official Blogger forum par apne savaalo (questions) ke javaab (answers) pa sakte hain. Click Kare Blog.com Blog.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye visit kare Blog.com ke official support centre ke liye visit kare WordPress.com WordPress.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye visit kare WordPress.com ke official help centre ke liye visit kare WordPress.com ke official forum ke liye visit kare Trumblr.com Trumblr.com ke official support centre ke liye visit kare SquareSpace.com SquareSpace.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye official video dekhe: visit kare SquareSpace ke official support centre ke liye visit kare Hubpages.com Hubpages.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye visit kare Hubpages ke official help centre ke liye visit kare Hubpages ke official forum ke liye visit kare LiveJournal.com LiveJournal.com par free blog kaise banaye? LiveJournal ke official support centre ke liye visit kare Joomla.com Joomla.com ke tutorial dekhane ke liye visit kare Joomla.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye visit kare Typepad.com Typepad.com par free blog kaise banaye? Adhik jankari ke liye visit kare Weebly.com Weebly.com ke YouTube tutorial dekhane ke liye visit kare Wix.com Wix.com par free blog kaise banaye? Wix ke official support centre ke liye visit kare LinkedIn.com LinkedIn.com par free blog kaise banaye? Official support centre ke liye visit kare Facebook.com/notes Facebook.com/notes par free blog kaise banaye? Official help centre ke liye visit kare Plus.Google.com/Pages Plus.Google.com/Pages free blog kaise banaye? Official support centre ke liye visit kare Agar aap free blog banana chaahate hain to upar diye gaye 14 free blogging platform me se chun sakte hain. Upar diye gaye free blogging platform me se Blogger, Tumblr, Wix.com aur WordPress.com bahut popular free blogging platform hai, adhik jankari aur compare karne ke liye visit kare Free Blog Start Karne ka Nuksaan (Disadvantage) Free blog banaane se pehle yeh janana jaruri hai ki free blogging platform me kya kamiya hoti hai. Free hamesa free nahi hota hai. Free Blog banaane ke nuksaan: Aap ke blog site ka naam aapke free blogging platform ke saath jud jaata hai. Jesse ki http://behindyourmindnet.blogspot.in. Aap khali apna naam nahi rakh pate aur free blogging platform se jud jaate hain, jeese ki blogger.com par blogspot ka naam behindyourmindnet se jud gaya. Free blog par aap har tarah ka income option use nahi kar sakte hain. Jeese WordPress.com par Google Adsense nahi use kar sakte hain. Blog designs (themes) bahut hi simit (limited) hoti hain. Aapko apna blog design karne ke liye readymade themes milte hai, jo ki free blogging platform par bahut hi kam sankhiya me hote hai aur aapko limited choice milti hai. Aap free blog ke maalik (owner) nahi hote hain. Free blogging platform services kabhi bhi band ho sakta hai aur aapka blog bhi. Free blogging platform aapka blog khabhi bhi band (terminate) kar sakta hai. Free blogging platform par service provider apna advertisement dikha sakte hain, banners, pop-up ads ya text ads. File, video, images, etc. ke liye online storage space chahiye hota hai, jo free blogging platform par limited hota hai. Aapko extra space kharidna padta hai. Free blogging platform par blog visitorsтАЩ ke number par limit hota hai, yani ki agar aapke blog par ek limit se jyaada log visit karte hain to aapka site block ho jaata hai. Aap apne free blog ka backup nahi le pate hain. Free blogging platform professional nahi lagta hai aur yeh dikhata hai ki aap blogging ke liye serious nahi ho. Jab aap free blog start karke paisa kamana chaahate hain to blog visitors aapko seriously nahi lete hain aur aapke bataye hue product ya service ko nahi kharidate┬а hain. Eska matab yeh hota hai ki free blog ke chakkar me aap paise kamane ki opportunity kho dete hain. Company jo aapko free blogging platform provide karti hai woh aapke blog se paisa kamati hai. Yeh paisa chaahe to ads ke through aata ya fir aapko premium services beech ke. Company har upgrade ka paisa charge karti hain. Udhaaran┬а (example) ke tor par aap WordPress.com ka upgrade service charges check kar sakte hain. Click Kare
Self-Hosted Blog kaise Banaye
Agar aap blog se paise kamana chahate hain aur koi bhi restriction ke bare me chinta (worry) nahi karna chahate hain to aapko apna self-hosted blog start karna chahiye. Self-Hosted Blog Kya Hai? Jab koi blog puri tarah se aapke control me hota hai, usai self hosted blog kahate hain. Aapko apna blog banana aur maintain karna hota hai. Self hosted blog banaane ke steps: Blog topic chunana hai Hosting Package kharidna hai Domain Name chunana hai Blogging software install karna hai Blog design karna hai Blog topic chunana hai Pehla step me aap ko decide karna hota hai ki aapko kis blog topic par blogging karna hai. Aap apne interest ke adhar par apna blogging topic chun sakte hain, jeese ki fashion, technology, food, travelling, fiction, movies, review, etc. Hosting package kharidna hai Web Hosting Kya Hai? Aapke blog related data ko high power computer par store karna padta hai jise server kahte hain aur yeh server humesa interenet se connected hota hai. Web Hosting provider aapke website related files jesi ki images, articles, video, etc ko web server par store karta hai, jo high speed network se connected hota hai. Aapko aapne site related files online access karne ke liye, files ko server par store karna padta hai jo aapko hosting company provide karti hain. Aapko hosting package khartidna hota hai aur hosting company aapko aapke package ke anusaar online space provide karti hain. Online website related file storage ke process ko web hosting kehte hain. Kisi bhi web host (web hosting provider) chunane se pehle aapko kai sare baato ka dhyaan rakhana hota hai: After sale support kaisa hai. 99.9% Uptime hai ki nahi - yaani ki aapka website kitne percent online available hota hai. Server ko maintain karne ke liye ya koi fault aane par website kai bar online available nahi ho pata hai. Kitna files storage space milta hai. Bandwidth (visitors) limit kya hai. Money Back Guarantee kya hai. Esi aur bhi baato ka dhyaan rakhana padta hai jab hum web hosting package kharidate hain. Agar aap achha host chunana chahate hai to BlueHost se achchi service nahi mil sakti hai. Aap befikar hoke BlueHost se web hosting package kharid sakte hain. Agar aapko ek blog banana hai to BlueHost ka Standard package achcha hai aur agar aapko ek se jyaada blog banana hai to BlueHost ka Business ya Pro package achcha hai. Domain name chunana hai Domain name Kya Hota Hai? Aap ke site ya blog ke naam ko domain name kehte hain. Domain name aapke company ka internet address hota hai, domain name use karke log online aapka site ko khoj sakte hain. Domain name aapke website related files ko locate karta hai jo aapke web hosting company ke server pe store hota hai. Generally aapko hosting aur domain name ek hi provider se mil jata hai. Aap jab hosting package kharidate hain tab aapko domain name kharidne ka option bhi milta hai. Hosting aur domain name ek hi jagah se lena dhik hota hai kyu ki agar aap domain name kahi aur se lete hain to aapko domain name par "name server" change karna padta hai taki wah aapke website related files khoj sake. Hosting provider apna "name server" bataate hain jo aapko domain name ke control panel me ja kar change karna padta hain. Domain Name kharidate samay dhyaan rakhe: Naam chota aur memorable hona chahiye. Aap ke blog topic se related keywords hoto badiya hota hai, taki log jaan pae aapka blog kis bare me hain aur search engine ranking me bhi madat milti hai. Numbers aur hyphens ko avoid karna chahiye, domain name type karte samye mistake ke chances badh sakte hain. Blogging software install karna hai Domain name aur hosting package lene ke baad aapko hosting ke control panel me jana hai aur free blogging software install karna hai. Kai sare free blogging platform hai jo aap use kar sakte hain par sabse achcha WordPress.org hota hai. Aap ek click me hi yeh software hosting control panel se download kar sakte hain aur aapka blogging platform ready ho jata hain. Behindyourmind.net bhi WordPress par bana hua hai. Blog design karna hai Ek bar aapka free blogging platform install ho jaata hai tab aap WordPress.org ke dashboard (control panel) par jaake man chhaha themes (design) load kar sakte hain. WordPress.org par hajaaro free designs (themes) available hai, aapko aapne blog topic ke anusaar, blog theme chun ke install kar sakte hain aur aapka blog ready ho jata hai. Picture Guide: WordPress par theme kaise install kare Step by Step Picture Guide par aap self hosted blog banana jaan sakte hain: Read: WordPress Par Self Hosted Blog Kaise Banaye Mujhe umeed hai aapko ye article padh kar yeh samajh mein aagya hoga ki Blog kaise banaye? ┬ардмреНрд▓реЙрдЧ рдХреИрд╕реЗ рдмрдирд╛рдПрдВ? aur aap es hindi blog article ko padh kar eska laabh jarur uthaege. Agar aapko koi savaal puchhana hoto aap mujhe Contact kar sakte hain ya niche comment de sakte hain aur main aapke savaalo ka jald se jald javaab dene ki kosis karuga. :) Click to Post
0 notes