#howtomakemoneyfromyoutubehindi
Explore tagged Tumblr posts
dhyanposts · 3 years ago
Text
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai? | Youtube Tips and Tricks
Tumblr media
YouTube se paise Kaise kamaye?
Doston kya aap bhi Janna Chahte Hain YouTube se paise Kaise kamaye jate hai. Yadi han to aap YouTube ke bare mein Pahle Se Jante Honge lekin yadi Nahin Jante to Chinta karne ki koi baat nahin hai. Kyunki aaj ki is post Me Main aapko detail mein bataunga ki YouTube se paise Kaise kamaye. YouTube se aaj bahut Sare log hajaron aur Lakhon rupaye Kama rahe hain aur yah bilkul Sach Hai. yah aap bhi Jante Honge isliye hi aap yah Janna Chahte Hain Ki YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Kya Aap Bhi YouTube se paise Kamana Chahte Hain, parantu aapko yah Nahin pata hai ki YouTube se paise Kaise kamaye Jate Hai. YouTube per Har din Lakhon videos upload kiye Jaate Hain. Jin ka ekmatra uddeshy hota hai YouTube se Paisa Kamana. ab Baat aati hai ki vah log YouTube se paise kaise kamate hain. Aaj Ham aapko is bare mein Puri Jankari Dene Wale Hain. is post ko pura padhne ke baad aap acche se samajh Jayenge ki YouTube se paise kamane Ka Tarika kya hai.  Vaise to internet Mein Paise kamane Ke bahut Sare tarike Hain. Ham aapko Internet se Paisa kamane ke 5 best tarike ke bare mein pahle Bhi Bata chuke hain. online Paise kamane Ke Liye YouTube ine Sab Mein Se sabse Accha Tarika hai.
Tumblr media
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Jate Hai? India mein jio aane ke baad internet Sasta aur fast ho gaya hai. Tab Se India mein YouTube Ek paise kamane ka jariya ban gaya hai. ise aap online business bhi kha sakte hain. Aaj Har Koi YouTube per video dekhna Pasand karta hai, jisse YouTube video creator paise kamate Hain jinhen youtubers Kaha jata hai. Sabse pahle yah Jaan Lete Hain Ki YouTube kya hai aur kaise kam karti hai, jisse aapko YouTube se paise kamane Mein Kafi help milegi.
YouTube kya hai?
YouTube Ek video sharing platform Hai, Jis per Duniya ka koi bhi vyakti video upload kar sakta hai. yah Ek free platform Hai Jiske Liye Aap Ko Kisi Tarah ka koi Paisa dene ki jarurat Nahin padati Hai. YouTube joki Google ki hi service hai aur Google ki Anya services Ki Tarah hi, YouTube app aapko Har smartphone mein dekhne Ko Mil jaati hai. isliye YouTube per upload ki Gayi videos ke viral hone ke chances bahut jyada hote hain. Kisi Aur internet platform ki tulna mein YouTube per video upload karne ke liye aapko YouTube per account banana padta hai, jise YouTube channel Kahate Hain.
YouTube kaise kaam karta hai?
YouTube dusra sabse bada search engine Hai, Jahan per har roj Lakhon log search karte hain. apni video ko search Mein Upar laane ke liye aapko title, tags aur description Mein keywords ka istemal karna padta hai. YouTube ki ek Khaas baat hai ki yah auto video promote karta hai. agar aap Kisi video ko dekhte hain to aapko usse related bahut sari videos recommendation Mein Aati Hain. Kisi video par views Jyada Aana channel subscriber per bhi nirbhar karta hai. YouTube per Jab aap Kisi video ko dekhte hain to video ke Shuru Hone se pahle ya FIR video ke khatm hone se pahle Har YouTuber bolata hai ki Hamare channel ko subscribe Kare. Aisa isliye Kyunki YouTube subscriber base ka kaam Karta Hai. Jis YouTuber ke jitne Jyada subscriber Honge uski video utani hi Adhik Logon Tak pahunchegi jisse use Jyada Se Jyada views Milenge.
YouTube channel Banaye aur video upload Kare
Sabse pahle aapko Ek YouTube channel banana hai iske liye aapko gmail-account ki avashyakta Hogi, Jiski help se aap YouTube channel create kar sakte hain. Apne YouTube Channel ka naam Aisa rakhen Jo unique, Chhota aur Yaad Karne Me Aasan Ho. Apne channel ko professional banane ke liye Channel art aur logo design kar sakte hain. Apne YouTube channel ke liye ek Intro Video Jarur banaen. Apne channel per apni Khud ki Banayi Gayi videos upload Kare Jo sirf aapki copyrighted hon. Video upload karne ke baad use Apne doston, social media per share Kare jisse aapko Jyada views Milenge. Apni video mein Logon Ko channel ko subscribe karne ke liye Jarur Bole. Jab aapke channel ki videos Logon Ko Pasand Aane Lagegi to aapki videos per views and subscribers bhi badhane lagenge. tab aap apne channel se paise Kamana Shuru kar sakte hain. YouTube se Paise kamane Ke bahut Sare tarike Hain. - Doodle For Google Kya Hai? - Paise Se Paise Kaise Kamaye? - Google Kya Hai Aur Kisne Banaya? - Google Se Paise Kaise Kamaye? 
YouTube se paise kamane ke tarike
Ham aapko YouTube se Paise kamane ke UN trikon ke bare mein batane Wale Hain Jo bahut Aasan hai. in tariko Ka istemal Karke aap apne YouTube channel se Lakhon rupaye Kama sakte hain.
Google AdSense
Har bade se Bada YouTuber Google AdSense ke istemal se hi YouTube se paise kamata hai. Agar aap bhi YouTube se paise Kamana Chahte Hain To aapko YouTube channel ko Google Adsense se monetize karna padega. Sabse pahle aapko YouTube channel ki setting Mein jakar Apne YouTube channel ka monetization enable karna hai. Iske baad aapko Gmail Ka istemal Karke Google AdSense account banana hai. Aapke Channel ka monetization on ho jayega. tab aapki videos per ads Aane Lagega Aur aapko paise milane lagega. Aap ki videos ko jitne Jyada log Dekhenge aap ki earning utani hi jyada Hogi. Aapki YouTube video se kamaye Gaye paise aapke Google AdSense account mein Aate Hain, Jise aap apne bank account mein transfer kar sakte hain.
Affiliate marketing
Affiliate marketing ki help se aap bahut jyada paise Kama sakte hain. iske liye aapko Kisi Bhi Online Saman Bechne wali company ke product Ka link apne YouTube video ke description box Mein dena hai. aur jab us per click Karke Koi us product ko kharida hai to aapko uska Commission Milta Hai. Sabse pahle aapko affiliate program Ko join karna hai. Jaise Amazon, Flipkart, Snapdeal, clickbank Aadi. Ab aapko Jis product ko sell karna hai uska affiliate link banaye. Ab aap us Saman ko apni video se promote kar sakte hain, aur us product ka link description box mein de. jisse agar koi use per click Karke use product ko khareede to aapko uska commission mile. Har Chota aur Bada YouTuber Apne video ke description box Mein affiliate link deta hai aur affiliate marketing se paise kamata hai.
Sponsorship
Jab aapka YouTube channel popular ho jata hai to aapko sponsorship Milne Lagti Hai, jisse aap ko ek acchi income Ho Jaati Hai. Aapka YouTube Channel Jitna popular Hoga utani hi jyada aapko sponsorship aur Paisa Diya Jayega. yah Ek bahut hi accha Tarika hai YouTube se paise kamane ka. iske liye aapko Apne YouTube channel par Jyada Se Jyada subscriber base banana Hoga. Kyunki 5000 subscriber hone ke baad hi aap sponsorship ke liye apply kar sakte hain.
Local business ads Lekar
Hamara Agla Tarika Hai jismein Ham Dekhenge ki local ads se YouTube se paise Kaise kamaye jaate Hai. Yah Kafi Jyada chalne wala Tarika hai, jismein aapko Kuchh local Businessman aur unke Business ki ads karne ke liye Kuchh paise Milte Hain. Local ads vah hoti hai jo ki video ki starting mein aap dekhte hain. Agar Aapka Channel Kisi bhi aise subject per hai jo ki Kisi product ke bare mein ya Kisi Aisi field se sambandhit hai jo ki aap ko ads De sakta hai, to yah Tarika sponsored ads se bilkul alag hai. ismein aapko Aise Hi Paise Milte Hain Jo ki aap ke Mukhya kamayi ke Madhyam Se Alag hai. isliye aapko network bhi achcha banane ki Jarurat padh sakti hai.
YouTube premium Ke Liye video banaye
Yah option UN Logon ke liye hai jo Kafi acche videos banate hain. Jinki videos ko YouTube premium version wale log bhi dekhna Pasand Karenge. Agar aapke video bhi premium Mein Dekhe Jaane Lage to aapko isase milane wala profit bhi Kafi Achcha hone wala hai. isliye Mera aapse Yahi Kahana hai ki agar aap YouTube per video banaa rahe hain to vah professional Hi banayen, jisse logon ko aap ki videos Kafi acchi Lagne Lage isse aapko Kafi fayda Hoga. Hamne aapko vah Sabhi tarike Bata Diye Jo Har YouTuber istemal karta hai aur paise kamata hai. lekin Google AdSense in Sab Mein sabse Jyada istemal Kiya Jata Hai. Meri mane to YouTube se paise kamane ka isliye aapko YouTube channel ko Google se monetization enable karne ke bare mein sari Jankari honi chahiye. Aage main aapko YouTube ke bare mein Kuchh tips bata raha hun Jiski madad se aap apna YouTube channel Kafi acche tarike se Banakar usse Paisa kamane Mein Safal ho sakte hain.
YouTube paise kab deta hai?
Ek samay tha Jab adhiktar Logon Ko yah pata hi nahin tha ki YouTube kya hai aur YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Use Samay Kuchh hi log YouTube per kaam kar rahe the. yah vah samay tha Jab YouTube par pahle hi din se koi bhi video Dal kar paise Kamana Shuru kar deta tha. lekin Jab India mein Reliance jio Aaya To Log YouTube par video dekhne Lage. iska Karan tha internet ka Sasta aur fast Hona. ab Har Koi YouTube par video dekhne laga hai. bahut Sare naye YouTube creators Bhi YouTube par kaam karne lage Hain. Sath hi koi bhi video Banakar use Apne YouTube channel per dalkar Paisa Kamana Chahta Hai. Iske baad YouTube ki taraf se ek update Aaya jismein Kaha Gaya ki Jab aapke YouTube channel per 10,000 views Ho Jayenge tabhi aap YouTube channel se paise Kamana Shuru kar sakte hain. internet ke Sasta aur fast hone se 10,000 views Pana bahut Aasan tha. Lekin isse Kahin na kahin YouTube ko nuksan ho raha tha, uska Karan tha YouTube dwara Dikhai jaane wale ads per feck click Ka hona, isse YouTube advertisers Ko nuksan Ho Raha Tha. Jiske Karan unhone YouTube per ads Dena bahut kam kar diya. Ab Kuchh Samay pahle hi YouTube ki taraf se Ek Naya update aaya hai. jismein kaha gaya tha ki YouTube channel se Paise kamane Ke Liye aapko pahle Apne channel per 1000 subscriber aur 4000 ghante ka watch time complete karna padega vah Bhi Ek sal ke andar andar. tabhi aap apne YouTube channel ka monetization enable Karke usse paise Kamana Shuru kar sakte ho.
YouTube par 1000 views ke kitne paise Milte Hain
Yah Sawal bahut se log Puchte Hain Ki YouTube per 1000 views ke kitne paise Milte Hain? To Aaj Ham ISI ke bare mein baat karenge. YouTube per aapko lagbhag 1000 views per 1 se lekar 2 dollar Tak mil sakte hain, Jo Indian currency Mein 73 rupaye se 140 rupaye Tak ho sakta hai. Lekin yah anuman sab Jagah per Ek Jaisa Nahin ho sakta. har channel ke videos ke liye yah alag alag ho sakta hai. Jo ki Ek Ya Do dollar se kam ya Jyada bhi ho sakta hai. Ab YouTube per agar aap Keval AdSense Se Hi Paisa kamate Hai To yah aapke liye theek hai, lekin Baki Logon ke liye Nahin. Kyunki YouTube se paise kamane ke jo Baki tarike Hain unme views se income per Koi Jyada Fark Nahin Padta. yah Dekh Kar aapko to Aur Bhi motivate hokar kaam karne ki jarurat pad sakti hai. Kyunki jitne Jyada aapke videos Honge, utani Hi Har videos mein aane wali kamai Jod De to acchi khasi income aapko ho sakti hai. Google AdSense Se Hone Wali kamai Kuchh chijon per nirbhar karti Hai. jaise ki aap kis Prakar ki videos banaa rahe hain. Kyunki video dekhne wale log bhi Usi Prakar ke Honge aur aapke video per Dikhai jaane wali ads ki kimat bhi Usi hisab Se tay Hoti Hai. Ise acche se samajhne ke liye ek udaharan lete hain:- agar aap Kisi Bank loan se sambandhit Jankari dene wala video banaa rahe hain to usmein aapko paison se yaa loan se sambandhit ads Dikhai jaayengi jo ki Kafi mahangi ads hoti hai, jisse aapko views ke hisab se hone wala fayda Bhi utna Jyada hoga.
YouTube se Kitni kamai hoti hai?
Google AdSense Se Hone Wali kamai Kuchh chijon per nirbhar Karti Hai. jaise ki aap kis Prakar ki video banaa rahe hain. Kyunki video dekhne wale log bhi Usi Prakar ke Honge aur aapke videos per Dikhai jaane wali ads ki kimat bhi Usi Prakar Se tay Hoti Hai. Ek udaharan Se Samjhe to agar aap apne channel par comedy ya Manoranjan ki videos banate hai to aapko use per 1000 views milane per Thode kam paise Milenge. Kyunki Yahan per Thode saste wale ads Dikhaye Jaate Hain.  Lekin Jaise Ki aapane Dekha YouTube se paise Kaise kamaye aur kin tariko se kamaye. unmen maine AdSense Chhod Kar Bhi Kafi Sare tarike batayen Hain, Jinse aap paise Kama sakte hain. ab aapko tay karna hai ki aap kis tarike se YouTube se paise Kama sakte ho. aap ko jo Tarika Accha Lage aur jismein aap video banate hain aap un Sabhi tariko se paise Kama sakte ho. lekin Meri aapko Yahi Salah Hai ki aap Google AdSense se apne channel ko monetize Kare aur apne YouTube channel se paise kamaye. Kyunki Google AdSense YouTube channel par ads click hone ka Kafi Achcha paisa deta hai.
Conclusion
Doston Hamne is post Mein YouTube se paise Kaise kamaye Iske bare mein sari Jankari aapko de di hai. ummid Karta Hun Ki yah post aapke liye helpful aur useful Raha Hoga. Agar aapko Hamare Yah post YouTube se paise Kaise kamaye Pasand Aaya hai, To isase Apne social media platform per share Kare. iske sath hi Apne Un doston ke sath share Kare Jinko yah Janna hai ki YouTube se paise Kaise kamaye Jaate Hain. Tatha comment Mein Hamen apni Raay Jarur bataye ki Aapko Hamari yah post kaisi lagi. Doston Mujhe Puri ummid hai ki yadi Aap Hamare bataye Gaye tariko ko sahi se follow Karte Hain, To aap apne YouTube channel se jald hi acche paise Kama Payenge. Iske sath hi aisi post padhne ke liye Hamari website Techdhyan.in per visit Karte Rahe. - Importance Of Time Vs Money - Mobile Jaldi Charge Kaise Kare? - Android Mobile Ko Format Kaise Kare? - Call Details Kaise Nikale?  - Ghadi Ka Avishkar Kisne Kiya Aur Kab Kiya?  Read the full article
0 notes