#toote dil ki daastan
Explore tagged Tumblr posts
sheer--chaos · 2 years ago
Text
Yun toh na the hum ke,
Din muskurahaton mein guzaar le,
Ek dusre ko de ghum,
Har cheenkh batate the ek dusre ko,
Har ansoo ponchte the ek dusre ki,
Har saans par, abhaas hota tha,
Har dard ka,
Har dard ek dusre ka samajhte the hum.
Phir Aaj itni kyu doorie hai,
Har chitthi adhoorie hai,
Har baat kehne me ek jhijhak hai,
Har kahani me kuch alag hai,
Kyu ek dusre ki shikayatien karne
Hum teesron ko dhoondte hai
Ek dusre se kehne me,
Mann ko itna tatolte hai.
Hann dooriyan hai darmiyan,
Lekin aaj inmen kaafi bheed hai,
Kal tak jahan gulshan the,
Aaj unme logon ki bheed hai.
Aur iss bheed me bhi akele hai hum.
4 notes · View notes
sarcastic-sue · 2 years ago
Text
Sun ne walon suno aisa bhi hota hai dil deta hai jo woh jaan bhi khota hai pyaar aisa jo karta hai kya mar ke bhi marta hai aao tum bhi aaj sun lo dastaan hai yeh ke ek tha naujawan jo dil hi dil mein ek haseena ka tha deewana woh haseena bhi ke jiski khoobsoorti ka duniya bhar mein tha mashhoor afsana donon ki yeh kahani hai jisko sabhi Kehte hain Om Shanti Om
Naujawan ki thi aarzoo uski thi yeh hi justzoo us haseena mein usko mile ishq ke saare rang aur roop naujawan ki thi aarzoo uski thi yeh hi justzoo us haseena mein usko mile ishq ke saare rang aur roop usne na jaana yeh nadani hai woh raet ko samjha ke paani hai kyun aisa tha kis liye tha? Yeh kahani hai
Dastaan hai yeh ke uss dilkash haseena ke nigahon, dil mein koi doosra hi tha bekhabar is baat se uss naujawan ke khwaabon ka anjaam to hona bura hi tha toote khwaabon ki is dastan ko sabhi Kehte hain Om Shanti Om
Dewaani si deewani hai tanhai si tanhai hai aur ek hum thay pyaar ke bin
Sun ne waloon suno aisa bhi hota hai koi jitna hanse utna hi rota hai deewani hoke haseena khaayi kya dhokhe haseena aao tum bhi aaj sun lo dastaan hai yeh ke uss maasoom haseena ne jise chaha woh tha andar se harjayi sang dil se dil laga ke bewafa ke haath aake usne ek din maut hi paayi ek sitam ka fasana hai jisko sabhi Kehte hain Om Shanti Om
Kyon koi qaatil samajhta nahin yeh jurm woh hai jo chhupta nahin yeh daag woh hai jo mit ta nahin rehta hai khooni ke haath par khoon us haseena ka jab tha hua koi wahan tha pahunch to gaya lekin use woh bacha na saka roya tha pyaar uski maut par
Daastan hai yeh ke jo pehchanta hai khooni ko woh naujawan hai laut ke aaya keh rahi hai zindagi qaatil samajh le uske sar par chha chuka hai maut ka saya janmon ki, karmon ki hai kahani jise
Kehte hain Om shanti om
Kehte hain Om shanti om
Kehte hain Om shanti om
8 notes · View notes
veiledpoetess-blog · 3 years ago
Text
تکلیف
Or jante ho takleef kya hai?
Jinke liye badle thay unka badal jana.
Humey ahmiyat tak na di gayi or hum zindagi derahe thay apni.
Ab waqt nikala hai usne mera haal sunne ko,
Bayan karne ke liye jab koi daastan hi nahi.
Jis qadar jiski qadr ki, us qadar be qadar hue hum.
Khud saakhta shakhsiyat ho gaye hai hum, toot jaengey lekin tumhen kabhi na batayenge yaad atey ho.
Mujhe mahenge tohfe nahi pasand agli bar jab aao to waqt lekar ana.
Yaad karte the tumhen choodke har kaam kabhi;
Yaad atey ho ab kabhi to kaamo mai khud ko masroof karlete hai.
Dhoondne se bhi na milenge ab ke ghalati se bhi kho diya tum ne.
Kitni mushkil hai azziyat ye talooq gawara karna,
Dil se utre hue logon me guzara karna.
Hum sadhay log hai hum se sambhale na gaye rasmi, takalufi, khud gharzi, adawati, munafiqi rishte.
Jab koi samajh na raha ho tab khamooshi bahtar hai, kyu ke behas baton ko bigaad deti hai.
Har mod pe jo badal len raaste aise humsafar se ehtiyaat barten.
Toot sa gaya hai meri chahaton ka wajood ab koi acha bhi lagey to izhaar nahi karte.
Akele rahna seekh liya hai humne, mehfilo mai humare ab dil nahi lagtey.
Hazaar chahrey, hujoom dunya, na janey teri hi talash in aankhon ko kyu hai?
Awazon me baithe baithe khamooshi se mar jate hai hum, neend adhoori rah jati hai, sote sote seham jatey hai hum.
Jinhe neend nahi aati unse puchein, subah hone me kitne zamane lagte hai.
Tere intezar ke gham mai khud ko behlaney lagtey hai.
Magar ab ke tum jo laout aaogay hume laziman tabdeel paogey.
– Umm e Tawwab
Tumblr media
29 notes · View notes
deadgirltalkingpoetry · 3 years ago
Text
Toote dil ki daastan hain ye ankhen,
Inhe dekhna nahi, padhna padhta hai.
-Bira
7 notes · View notes