#shukra gochar ka fal
Explore tagged Tumblr posts
jeevanjali · 7 months ago
Text
Shukra Gochar 2024: 25 अप्रैल को शुक्र का मेष राशि में प्रवेश, जानिए 12 राशियों पर क्या होगा इसका असर?Shukra Gochar 2024: वैदिक ज्योतिष में शुक्र एक महत्वपूर्ण ग्रह है। इस संसार में जो भी भौतिक सुख सुविधा के साधन है वह शुक्र ही प्रदान करते है। शुक्र जब एक राशि से दूसरी राशि में प्रवेश करते है तो इसका मनुष्य जीवन पर बड़ा प्रभाव पड़ता है।
0 notes
astrologervinayakbhatt · 6 years ago
Text
Jyotish Yatra 2
JYOTISH YATRA .... (2)
Aj ham Mahadasha ki charcha karenge ki kundali me Mahadasha ka fal kaise dekhe. Is charcha ko age badhane se pehale ham apko ye batana chahenge ki ham sirf or sirf Vimshottari Mahadasha ki charcha karenge.
Brihad Parashar Hora Shastra me kai prakar ki dasha ki charcha hai lekin vo hamare koi kam ki nahi kyoki vo conditional hai. 5000 varsh purva Parashar Rishi ne ye granth likha tha lekin Bhagvan Shiva ne Kaliyug me purane shastro ke kai rahasya lock kar diye hai.
Kai vidwan Jyotishi in sab conditional Dasha ko aj ke yug me apply kar ke kisi vishesh ghatana ka analysis karte hai or daava karte hai ki ye dasha bhi kam kar rahi hai lekin bhai kisi bhi ghatana hone ke bad uska postmortem karna bahot asan hai. Koi bhi event ho jane ke bad Dasha ke adhar pe ham justify kar sakte hai. Lekin Jaimini ki Char dasha se ya Ashtottari dasha se ya Kaal Chakra dasha se ya Yogini dasha se ham advance me perfect prediction nahi kar sakte ki is tarikh ko ya is mahine me ye ye ghatana ghategi !!! Vimshottari hi ekdam sahi bethati hai.
Kaliyug me Manushya ki ayu maximum 120 varsh ki mani gai hai isi liye Parashar Rishi ne Kaliyug me jyada mahatva Vimshottari Dasha ko diya hai.
Is Dasha me Rahu Ketu ko bhi liya gaya hai isi liye 9 Graho ki 9 Dasha 120 varsh me banti gai hai. Har Grah ki Dasha ke varsh alag alag hai. Ye varsh kaise nischit kiye gaye ? Aao jara ye bhi samaj lete hai.
Mahadasha hakikat me kya hai ? Janma ke bad hamari kundali me Chandra ki Naxatra yatra !! Maan lo kisi ka janma Ashwini Naxatra ke 0 (zero) ansh pe hua hai. Ab Ashwini Naxatra lambai me chhota hai to Chandra ko Ashwini cross karne me 7 sal lagte hai. Ab Ashwini ka malik Ketu hai to Ketu ki Mahadasha ko 7 sal diye gaye.
Ab yaha ek saval apke man me paida ho sakta hai ki Chandra to ek naxatra 27 ghante me paar kar deta hai to 7 sal ki bat kaha se ayi ? Ji nahi. Gochar me jo Chandra roj ghumta hai uski bat alag hai. Hamare janma se Mrityu ki 120 varsh ki yatra 9 naxatro se gujarti hai or ye jo Chandra ki bat ham karte hai vo hamara hi sukshma sharir hai jo pichale anek janmo se Atma ke sath juda hua hai or is janma me hamare sanchit karm ke fal dene ke liye Chandra ko medium bana ke Naxatro ki yatra karta hai. Kundali ka Surya hamari Atma hai or Chandra hamara Sukshma sharir ya Astral Body ! Dasha karm fal ko distribute karte karte age badhti hai. Vishay thoda gambhir hai par isko samje bina ap Dasha ko nai samaj payenge.
Ashwini ke bad dusara naxatra Bharani hai jo sab se lamba hai or Chandra ko usko cross karne me 20 sal lagte hai. Is naxatra ka malik Shukra hai to Ketu ke bad dusari Mahadasha Shukra ko di gai jo ki 20 sal ki hai.
Kritika naxatra tisara hai jo sab se chhota hai or Chandra ko isme se gujarne me 6 sal lagte hai or Surya uska malik hai to Surya Dasha 6 sal ki mani gai.
Isi taraha Surya ke bad Chandra ki Rohini Dasha 10 varsh, Mangal ki Mrigshirsha Dasha 7 varsh, Rahu ki Ardra Dasha 18 varsh, Guru ki Punarvasu Dasha 16 varsh, Shani ki Pushya Dasha 19 varsh or last me Budh ki Ashlesha dasha 17 varsh mani gai.
Ashwini se Ashlesha tak ke 9 Naxatra Naisargik Rashi Chakra me sab se pehala Naxatra Group hai jisko base mana gaya hai or Naxatro ki lambai ka ye maapdand 27 naxatro ke tino group me ek sarikha mana gaya fir Janma kisi bhi naxatra me ho or Naxatra kitani hi lambai ka ho.
1 note · View note
astrologervinayakbhatt · 6 years ago
Text
Jyotish Yatra 1
Kundali ko dekhane ki ya fal kathan karne ki sahi technic bahot kam log jante hai. Jyotish ke classes join karne se ya jyotish ki kitabo ka adhyayan karne se Jyotish ka ek parichay hota hai lekin ye kafi nahi hai. Jyotish sikhna Budh ke Kshetra me ata hai jo hamare dimag ki memory me information dalta hai jab ki Jyotish ki mastery Guru ke hath me hai jo Budh se mili information ko Dimag se Dil tak le jata hai jaha Gyan ka avishkar hota hai.
Guru yani Brihaspati aur Shukra yani Shukracharya sarva shaastro ke gyata hai. Dono ko acharya ki padvi prapta hui hai. Guru ko Jyotish vidya se jyada lagav hai jab ki Shukra ko Ayurved, Ras vidya or sarva prakar ki Kala ka gyan hai.
'Jyotish yatra' ki is nai shrinkhala me ham jyotish ke alag alag pehalu pe charcha karte rahenge.
Jyotish ko sikhnewale kai students aksar ye saval karte hai ki kundali ka fal kathan ham Dasha antardasha se kare ya Gochar ke graho se kare ? Sab se jyada pradhanya kisko de ?
Ap jante hai ki koi Dasha 6 sal ki hoti hai to koi 20 sal tak chalti hai to itani lambi zindagí sirf ek Grah ke prabhav me kaise chal sakti hai ? Saval ekdam sahi hai.
Gochar ke Graho ke upar jo nirbhar rehte hai vo jante hi hai ki shastro me gochar ka jo fal likha hua hota hai vo practical life me sahi nai bethata ¡¡
Lagna me aya hua Guru saptam sthan ko dekhta hai. Shadi ki umra ho to bhi ye Guru shadi ki koi guarantee nahi deta. Surya ke upar se gujar raha shani kisi ko din me tare dikha deta hai to kisi ko tarakki pe tarakki karata hai. Aisa kyu ?
Sab se pehale to ye bat yad rakho ki har Lagna me Graho ka portfolio alag alag hota hai. Vrishchik lagna me Guru ki Dasha ya Guru ka gochar jitana shubh hai utana Makar lagna me nahi hota. Har lagna me Guru ka shubh fal ek sarikha nahi hota. Vaise hi 12 Lagno me Shani ki bhumika alag hai. Har lagna me 9 Graho ki ministry alag hai. Vrushchik lagna me Mangal khud Doctor ban jata hai to Mithun lagna me vo hi Mangal dard deta hai !!
Dasha aur Gochar ko samjane ke liye 9 Graho ko bariki se janna chahiye. Ek ek khubi janni chahiye. Mangal Shani Rahu or Ketu charo grah pap grah hai, malefic planets mane gaye hai par charo Graho ka dukh dene ka tarika alag alag hai. Ye tarika ap jan gaye to samjo ap master ban gaye.
Dasha aur Gochar ek dusare ke purak hai. Dono ko samje bina ap Dasha ka fal nahi jan paoge. Dasha swatantra tarike se (Independently ) kam nahi karti. Dasha ek platform taiyar karti hai. Ek road map ya blue print banati hai. Dasha me apne pichhale karmo ke anusar kya kya fal milnewale hai uska ek naksha banta hai ki itane salo me ye ye ghatna ghategi. Lekin vo ghatana hone ke liye gochar ke Grah dekhni hi padte hai.
Man lo Makar lagna hai or Chandra ki 10 sal ki Vimshottari dasha chalu hui. Ab Chandra 7th house ka adhipati hai to pati ya patni ko le ke koi na koi issues rahenge or Chandra markesh bhi hai to ye Dasha Laghu Parashari ke hisab se health pe bhi asar karegi.
Lekin 10 sal tak insan bimar nai rehta. Jab Gochar ka Shani badhak sthan me ya Chandra se ashtam sthan me jayega aur usi wakt badhak sthan ka malik Mangal gochar me jab Chandra ya Lagna ko touch karega ya unke upar drishti karega tab bimari ayegi.
Or ye Shani jab Chandra ke upar ya 7th house me jayega tab shadi shuda zindagi me problems honge ya spouse ki health ko le ke problem honge. To is tarah Dasha ka over all trend dekha jata hai or Dasha ke mutabik Gochar ka mulyankan kiya jata hai.
0 notes