#paigamer
Explore tagged Tumblr posts
raindropsofloev · 19 days ago
Text
main saans leta hu teri khusbhu aati hai ek mehka mehka sa paigam laati hai
14 notes · View notes
golgappaa · 25 days ago
Text
tu baat kare ya na mujhse,
chahe aankhon ka paigam na le
par yeh mat kehna arre oh pagle,
mujhe dekh naa tu, mera naam naa le
4 notes · View notes
mashriqiyyah · 1 year ago
Text
Pichhle saal yunhi September ki ek baarish me mujhay wo baat yaad aayi, jo pehle kabhi seekhi thi...Kay Insan ka dil Allah ki do Ungliyon me hai, wo jab chahay, usay palat Saktay Hain...jaise...wo waqt, jab mujhay baarish pasand aanay lagi. Bachpan se maine Baarish par muh banaya tha. Shayad school baarishwale dinon me start hua karta tha isliye, aur phir ground ke kichad me meray polished jootay aur safayd Uniform, dhuli dhulai cycle ke tyres, sab kichad-aalood hojate thay. Bag bheeg jata lekin waterproof tha to khayr thi, kitabon me lekin nami reh jati. Meri kitabein, jinko mai apni jaan se zyada sambhala karti thi. Mai nafasat pasand rahi hun aksar. Bachpan se. Phir college ke dinon tak, Baarish ka ye kichad aur uljhan mujhay bahot bezaar karte rahay hain. Aangan me gilay, gale hue patton ka phailna, har shay geeli aur numm. Gharme raho to neend aajati, khelne baahar koi jaane nh deta aur phir thandi baarish se beemar honay ka ehsas. Bezari si bezaari. Phir ek waqt wo aaya, jab apne shehar se door ek aisi jagah rehna pada, jahan door door tak aasmaan, Pahaad aur sookha maidan nazar aata. Apne mehfooz ghar, kichad walay school se door, anjan logon ke beech tanha hue jab maine wahan baarish hotay aur pani ki chhoti chhoti nehar banke ek taalaab me jaa miltay dekha.. Uss lamhe mein, mai pehli baar bezaar nahi hui. Pehli dafa kichad se uljhan nh hui, na hi ye fikr rahi ke saaf kapde maile hojayengay ya kitabein bheeg jayengi. Pehle ek haath aur phir saari ki saari mai, uss baarish me khari hogayi. Uss waqt nafasat ko nahi bhuli thi, bas ye eham nahi raha tha ke jootay, kapde aur cycle inki safai kabhi mustaqil hogi... Inn cheezon ko saaf rakhte rakhte shayad mai ek waqe'atan khubsoorat ehsas se door rahi thi. Meray dil me ye itminan aaya ke ye Allah ki rehmat hai, jisme mai bheeg rahi hun, mehaz pani nahi. Iss waqt mere Rabb ki tarafse sabse bada waseelah hai jissay mai Usko apne qareeb mehsoos kar rhi hun. Gharke, gharwalon ke tahaffuz se door, uss bijliyon aur garajti baarish me Allah ne mera dil badal diya tha. Yun jaise Do Ungliyon me bas chutki si bajayee ho. Uske baad se aaj tak, Baarish ne mujhay kabhi bezaar nahi kiya. Na hi kichad aalood juton ne, na hi meray maile hue safayd libas ne na hi bag me kai tahon me chhupi meri numm kitabon ne. Aaj jab mai aasman se barasti boondon ko dekhte iss bareme sochti hun, to samajh aata hai ..ke Uss din ki baarish ke zariye sirf baarish ke liye muhabbat hi nahi mili thi mujhay... balke ek mazeed ilham bhi mujhpar hua tha... Ek aur baat thi, jo wo baarish mere liye Allah ki tarafse paigam ki surat lekr aayi thi. Ye, ke koi jazbaa, koi insan, koi shay, koi haalaat itne mustaqil nahi hotay ke aapka ussay dil na uthhay. Har wo shay jisko aap chhorna chahte hain, lekin dil ke haathon majboor hain, aap Allah se kehden. Wo aapka dil badal Dengay. Ek aisi baarish, jahan saari umr ki bezari khatm hojati hai. Allah se wo baarish maangein.
©️ mashriqiyyah
19 notes · View notes
indrabalakhanna · 1 year ago
Text
Watch "Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al-Adha 2019 | Sant Rampal Ji Maharaj" on YouTube
youtube
#GodMorningThursday
True Guru Sant Rampal Ji
#ThursdayMotivation
#MessageOfAllahOnMohrarram
Baakhabar SantRampal Ji Maharaj
#AllahIsKabir
@AlKabirIslamic
#KabirIsGod
#SantRampalJiMaharaj
#SpiritualMessageOnShivratri Gyan Ganga
@SatlokAshram
@SANewsChannel
@SantRampalJiM.
@MuktiBhodh
हमारे सभी धर्मो के वेद शास्त्र पुराण पवित्र धार्मिक ग्रंथो में सत्य तत्व ज्ञान से भरा अनमोल खजाना मिलता है_ पूर्ण परमेश्वर कबीर जी हैं🙏 कबीर वाणी__ अमर करूं सतलोक पठाऊँ , ताते बंदी छोड़ कहांऊँ🥀 कलयुग मध्य सतयुग लाऊँ, ताते बंदी छोड़ कहाउं 🙏
साधु तारे पिण्ड को, सिद्ध तारे अंण्ड 🥀 सतगुरु सो ही जानियो तार देवे ब्रह्मांड🙏 अल्लाह ने मुसलमान धर्म की किसी भी आसमानी किताब में जीव हिंसा और मांस खाने का आदेश नहीं दिया है हजरत मोहम्मद जी ने भी बिस्मिल की बात नहीं कही, हजरत जी ने और के उनके अनुयायियों के पूर्वज तक ने भी कभी मांस नहीं खाया, गाय का विशेष सम्मान भी किया, हम स्वयं को या किसी को भी कष्ट पहुंचा कर अल्लाह को कभी भी खुश नहीं कर सकते हैं ना पा सकते हैं अल्लाह को पाने के लिए बाखबर तत्वदर्शी संत रामपाल जी महाराज की शरण में आए🙏l l
3 notes · View notes
mylittlecharmingenvy · 2 years ago
Text
Naino main paigam jis tarah
Masjid main azaan jis tarah
Subah hone tak jal rahe
Palkon main armaan jis tarah!
Sang rahiyo!
4 notes · View notes
moonwrites9 · 2 years ago
Text
Sometimes I think Agar Namazon ka hukum na hota to insan akhir sukoon ki talash mei khn jata? Sajde hi to h jinki khamoshi satwa arsh hilane ki salahiyat rkhti h,sajde hi to h jo Allah se kun ka paigam lane ki taqat rkhti h
2 notes · View notes
iandink · 12 days ago
Text
Tumblr media Tumblr media
Zindagi ki aisi hi hai saazish
Kabhi dhoop, toh kabhi baarish
Badalo jaisa chalna seekho..
Zameen jaisa sehna seekho
Mausam me phir tehraav aayega
Ya kabhi angan phir bheegh sa jaayega
Hawaon me bhehna seekho
Lehro se khelna seekho..
Phir nahi aayega laut ke ye
Sukh aur dukh ka paigam..
Chayi hogi har taraf khamoshi..
Toh jab tak ho tum zinda
Har lamhe me jeena seekho..
Ishika
0 notes
realblrr · 4 months ago
Text
I wish i may let that one person how badly i wanna sing these lines for her...
Tu bat kre yaa naa mujhse...Chahe aankho ka paigam na le....
Pr ye mt khna...arey oo pagali....mujhe dekh naa tu mera naam le.....
Tujhse mera deen dharam h...mujhse teri khudaii....
Tu bole to bn jau m Bulleh Shah Suadai....
M bhi nacchuuu bnau sohne yar ko....😳✨️
1 note · View note
lyricsssdotin · 5 months ago
Text
Insan Ka Insan Se Ho Bhaichara Lyrics
Singer:Manna DeyAlbum:Paigham (1959) Insan ka insan se ho bhaicharaYehi paigam hamaraYehi paigam hamaraNaye jagat me huya puranaUnch nich ka kissaSabko mile mehnat ke mutabikApna apna hissaSabke liye sukh ka barabarHo batwaraYehi paigam hamaraYehi paigam hamara Harek mahal se kaho keJhopdiyo me diye jalayeChhoto aur bado me abKoi phrak nahi rah jayeIs dharti par ho pyar kaGhar ghar ujiyaraYehi…
0 notes
raindropsofloev · 4 months ago
Text
main saans leta hu teri khusbhu aati hai ek mehka mehka sa paigam laati hai
mere dil ki dhadkan bhi tere geet gaati hai
#fr
9 notes · View notes
jagbirdaas · 9 months ago
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
9936665841 · 9 months ago
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
cbmehar · 9 months ago
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
musingsofanam · 11 months ago
Text
Na kar mere chehre se mere dard ka hisab
Haqeeqat ya fareb ye koi paigam nahi deta
Tu waqif hai bazaar ke dastoor se lekin
Ye karobar tujhe Zeb nahi deta.
-Anam Tanveer A
0 notes
gay-ass-hell · 1 year ago
Text
shaam dhalti Jaa Rahi hai,
ye saans bhi madham hoye Jaa Rahi hai,
jo waqt tera or mera tha aaj meri maut ke paigam liye AA Rahi hai.
1 note · View note
whatifeels · 1 year ago
Text
Apne chehre pe hasi kahan se lau
Tujhe pane ki khushi kahan se lau
Ehsaas tumhara mujhe aaj bhi hai
Par iss zindagi me tumhe kaha se lau
Tere na hone k khayal se hi ruh kampti hai meri
Bata ki Iss ruh ka sukun kahan se lau
Tu akhon k samne hai par fir bhi meri nhi
Tume hasil karne ka junoon kahan se lau
Wo karte hai bate sabse par mujhse nhi
Unki baton me apna jikr kahan se lau
Uski ankhen dekhti hai hame ate jate
Unki ankhon me apni tasveer kahan se lau
Mujhe yakin hai ki wo bhi chahte hai mujhe
Par unhe puchne ki himmat kahan se lau
Mene bheja tha paigam unko kabhi
Par unke hotin par haan kahan se lau
Aa jao meri zindagi me meri kismat bankar
Par me aisi khush kismati kahan se lau
Intzaar mujhe tumhara aaj bhi hai
Par tumhe pane ka sabra kahan se lau
Har ladke ka pyar sirf jismani nhi hota
Meri Iss ruh ka sathi me kahan se lau
Meri ruh ko milne do tumhari ruh se
Tum Jo ha keh do to tumhe apna banau
0 notes