musingsofanam
Mystic muses
24 posts
A budding writer!
Don't wanna be here? Send us removal request.
musingsofanam 4 months ago
Text
Koi khasara nahi hua uske baad
Pyaar dubara nahi hua uske baad
Umr guzar gayi aasman ko taakte
Toota hi nahi koi Sitara uske baad.
- Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 4 months ago
Text
Me nazar nahi aati thik
Magar me thik toh hoon
Me jeena nahi jaanti
Magar me Zinda bhi toh hoon
Mujhme aati hai mausmi raunak
Magar me veeran bhi toh hoon
Shor o gul me lahassil lagti hu
Magar khamoshi me Ayan bhi toh hoon.
-Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 5 months ago
Text
Jo gham khaye hue hai
Wo zyada guftugu nahi karte
Khwahishon ki aarzu nahi karte
Rehte hai khushmijaz wo
Acche waqt ki justuju nahi karte
-Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 6 months ago
Text
The silhouette of night glares into my eyes,
Making me believe all that I am is a blatant lie.
I am not afraid of the darkness it brings;
I fear the light it conceals.
It strokes my gentle facade, altering my mood,
The flashes from my past then leave me perturbed.
Sleep, what is that, I wonder and ask?
It laughs and puts on a hideous mask.
The silhouette of night then recedes
As dawn arrives, counting my misdeeds.
- Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 7 months ago
Text
Scribbling muses on a ruined wall
I will not give up, nor will I fall
For my dreams still stand tall
To my rebellious spirit, I call.
- Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Humne raatien guzardi unke intezaar me
Wo aaye nahi phir bhi humare Hisar me
Majmua raunak ye sab laga hua hai
Wo aaye toh lage dil bhi humara bazaar me.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Mujhse puchte ho phele sawaal bhi
Jawab Milne ke baad
Hota hai phir malaal bhi
Kambakht jaan leva
Hota hai intezaar ka khayal bhi.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Mera raabta Jo toota hai unse
Abtak bahal nahi hua
Ranjh toh ye hai ke iss baar
Khamoshi par koi malaal nahi hua.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Dil ko chak na karde wo gham hi kya
Andheron me umeed dilaye
Phir jalaye aur khak na karde
Wo chirag hi kya
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Jisse mohabbat Hui wo Mila nahi
Jo Mila usse Mohabbat na hui
Toofan se bachkar jalne waali aarzu
Bil aakhir khaak hui.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
As the sky loses it's sunshine
The darkness sends Shivers down my spine
Is it longing or is it love
I can no longer determine
I almost reach the finish line
But I am grabbed by reality
Taking me in the darkness to whine
Why is that the dream that
Touches me so passionately
Can never be mine.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 8 months ago
Text
Kya ho ke wo mujhse chin jaaye
Aur kya ho ke wo mujhe mil jaaye
Dono hi suraton me khasara uthana hai
Ye zakham ka markaz hai kaise koi zakhm sil jaaye
Jab veeraniya muqadar ho toh kaise koi phool khil jaye.
-Anam Tanveer
0 notes
musingsofanam 11 months ago
Text
Koi dil kash khwab likhu
Ya guzra hua azaab likhu
Koi haseen saraab likhu聽聽
Ya zindagi ko kharab likhu
Saki ne pilayi sharaab likhu聽
Ya gham e sairaab likhu聽
Barbadi ka koi sailaab likhu
Ya kamiyab koi inqelaab likhu
Kho Gaya koi juraab likhu聽
Ya mil gaya kuch nayaab likhu聽
Hu koi khuli kitaab likhu聽
Ya badalta hua mehtaab likhu.
- Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 11 months ago
Text
Na kar mere chehre se mere dard ka hisab
Haqeeqat ya fareb ye koi paigam nahi deta
Tu waqif hai bazaar ke dastoor se lekin
Ye karobar tujhe Zeb nahi deta.
-Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 1 year ago
Text
Khwabo ke iss shehar me聽
Mene logo ko jaagte dekha hai聽
Sukoon se do pal baithne ke liye聽
Mene logo ko bhaagte dekha hai聽
- Anam Tanveer A
0 notes
musingsofanam 1 year ago
Text
Kuch log jazbo ki tijarat karte hai
Tajiro ki nafarmani se darte hai
Mohobbat ke khareed o farokt me ho munafa kaise
Jab Log tohfo ka bhi hisab rakhte hai
-Anam Tanveer A
1 note View note
musingsofanam 1 year ago
Text
I am peace, love and faith to whom You can only offer a delusional scaith
I am what you can never be
I am the strength of a mountain and the depth of the sea
You are the world that silently watches a genocide and has no spine
I am Palestine and victory will eventually be mine.
- Anam Tanveer A
0 notes