Tumgik
#nahi hoga mujhse yeh
intellectual6666 · 6 months
Text
Yeh dupatta kaise pleat karte hai yaar 😭😭😭😭😭😭
18 notes · View notes
hi-avathisside · 9 days
Text
Guys I have so much to tell you. LIKE so much to tell you.
(not proofread, will read it later lekin mujhe batana tha yeh sab)
Gup-chup baatein, tumhari aur meri . ݁₊ ⊹ . ݁˖ . ݁
So, finally, mera aur uska program ban gaya. Paper tha aur phir hum ghar saath main ghoomte phirte vaapis aane waale the. aur paper ho raha tha na aur him baithe the, toh woh mere poeeche baithi thi aur jab mera paper ho gaya toh maine peeche mudkar dekha aur woh itni sundar lag rahi thi itna bada haaayeeee nikla na mere dil se ki haaye itna khoobsoorat koi kaise ho sakta hai, uske baal khule, uski aankhein paper par aur meri uss par aur uska woh golden chashma jaise uski aakhon ki chamak ke saamne feeka pad raha ho. jaise qoh uski aankhon par ek sundar taaj ki tarah ho, jaise chaand ke asspaas taarein, jaise chaand aur yeh samaan. Hum uske baad paper khatam hone ke baad neeche khade ho kar baat kar hi rahe the ki usne kaha chale? mera muh dekh kar woh samajh gayi ki abhi mujhe nahi jaana, usne kaha haan haan thik hai ruk jaate hain. main hasne lagi. maine kaha ab kya karun mujhe tujhse itni saari baatein karni hai, usne kaha baatein tkh mujhe bhi bohot karni hai lekin tu itna muskura kyon rahi hai aaj hm? ab main usse kya bataun ki muskurahat ki wajah woh, zindagi main khushi ki wajah woh, ye baadal aur yeh baarish yeh halki halki si dhoop joh meethi lagti hai, yeh thandi hawa joh badan ko lagti hai, uska haath mere haath main, aur mere yeh laal gaal, aur chehre par muskurahat sabki wajah wahi toh hai. toh ohir maine kaha ab main kya karu main toh tujhse baat karne ke liye bohot excited hoon. ab min tujhe jitna pyaar karti hoon utna tu mujhe nahi karti, himesha one sided love :'( aur phir woh apna sar hilakar boli draamebaaz kahin ki aur phir hum donon hass diye. Kich der baad hum pohonche, aur khoob baatein kari. mera phone aa rhaa tha aur mujhse woh swipe up nahi ho raha tha, woh phoen baje jaa raha aur main usse uthaane ki koshish kar rahi thi, maine uski taraf dekha aur ohir phone ki aur hum donon khoob zor se hasne lage. phone utha liya baad main vaise maine. uske 2nd floor par itni achhi hawa chal rahi thi. aur humne kich pictures khinchi. Uske saath achha lag raha tha. Shaant lag raha tha. Aur phir humne aas paas jagah ghumi thodi si, ghumein ek saath, aur phir usne mujhse poocha tere phone ka password kya hai? aur maine usse bata diya kyonki usne phone pakad rakha tha aur usse mera wallpaper dekhna tha. aur ab realise ho raha hai ki maine usse apna password aise hi bata diya, bejhijhak aur main usse batana chahti thi. main usse apne baarein sab kuch batana chahti hoon. auruska sab kuch jaanna chahti hoon. aur phir kya, waapis ghar aagaye kyonki usne keh diya ki ab ghar chalte hain main thak gayi hoon, toh maine kaha haan thik hai, kyonki jaana main toh kabhi bhi tumhare saath ya tumse thak nahi sakti. maine usse bola ki ghar pohonch kar message kar diyo aur usne kaha tu bhi, aur muskuraayi. aur mera dil maano udd hi gaya. Bas aur kya, thoda sa pyaar aur ho gaya. Usse itni tez gale laagaane ka mann hua na, aur abhi do ghante bhi nahi hue hain lekin uski itni yaad aa rahi hai.
Duniya main jitna pyaar hoga na, mujhe tumse usse shayad thoda zyada hi hoga.
28 notes · View notes
ishuess · 7 months
Text
We meet again♾️
13th Feb, 6:00 AM at the Pandya Abode
*doorbell rings*
Natasha: Hardik can you check the door!
Hardik: itni subah subah kon hai?!
*consistent bell ringing*
Hardik: ARRE AA RAHA HOON. Itni jaldi hai toh darwaza tod hi dee!
Natasha: HARDIK KON HAI?
Hardik opens the door to see a man with a big bouquet of flowers.
Hardik: nahi chahiye *tries to slam door*
Man behind bouquet: Arre bhaiya main hoon
Natasha comes to the living room
Natasha: Kon hai yaar..
Man behind bouquet: Main hoon..Shubman
Hardik: Abbey tu kab aaya..Kahan se aaya?
Shubman: Andar nahi bulaoge bhaiya
Natasha: Come in, come in...I will bring water.
Shubman comes in. All this while Hardik keeps staring at him.
Hardik: Kab se?
Shubman: Kya kab se?
Hardik: Phool bechne ka dhandha kabse shuru kiya?
Shubman: Woh..Ishan ke liye. Ishan kahan hai?
Hardik: So raha hai *with a straight face*
Natasha: Sit, sit Shubman. Drink water...Hardik you're mannerless *whacks him lightly*
Shubman settles himself on couch.
Natasha: Itne subah subah shubman?
Shubman: Haan woh Rajkot to Baroda thoda door hai toh vaapis jaane mein late naa ho isliye.
Hardik: *continues staring at him*
Natasha: *elbows Hardik* stop staring
Hardik: Training nahi hai?
Shubman: optional thi
Hardik: Hmm
Krunal: Arre Shubman! Subah subah idhar
Shubman: Han bhaiya woh bas
Hardik: *interrupts* Ishu se milne aaya hai
Pankhuri: That's sweet. Chai ya coffee?
Shubman: Nahi nahi thik hai bhabhi
Shubman is looking around the house as if trying to find something.
Hardik: Kaisa hai?
Shubman: main..main theek hoon.
Hardik: tu nahi mera ghar..aise dekh raha hai jaise pehli baar dekh rha hai
Shubman: Aap gussa ho mujhse kya?
Hardik: Are u understanding ki team kitni fragile hai abhi aur tu training bunk krke yahan aaya hai. Out of ur mind or what?
Shubman: Ek mahina ho gaya bhaiyaa...ek pal aur wait nahi kar sakta tha.
Hardik: *Hugs Shubman* Yeh tum Romeo log naa
Natasha: Should I wake Ishan?
Shubman: Can I do it?
Natasha: Yea suree..
Krunal: Aa chal tereko tere pyaar se milaun
Hardik: Main nikalta hoon gym ke liye
Krunal takes him to Ishan's temporary abode in their house.
Krunal: Jaa andar jaa..So raha hoga.
Shubman enters the room. His eyes fill with tears as he finally sees his lover sleeping in peace. His face devoid of any pain and stress. Shubman chooses to settle beside Ishan in bed and relish the moment. He traces his finger along Ishan's face and moves his hands through Ishan's hair. Shubman plants a tender kiss on Ishan's forehead.
Shubman(eyes filled with tears): I missed you love..
Shubman plants another kiss just beside Ishan's lips fondly to which Ishan responds with a soft smile unaware of Shubman's presence thinking it's all a dream.
Ishan( in a sleepy voice): Mhmm...I love you Shubii.
Ishan wraps his arm around Shubman in sleep which finally makes Shubman shed a few tears. Shubman tightens his grip around Ishan. As Ishan nudges his face into Shubman's chest to cuddle. Shubman's cologne hits his nose. Ishan freezes yet doesn't open his eyes for he didn't want this beautiful dream to slip away.
Shubman(in a gentle tone): Ishh..
Ishan: Hmm
Shubman: Ishh..uth jaa
Ishan: *shakes his head*
Shubman: Uth..dekh main tujhse milne aaya hoon. Sapna nahi hai
Ishan: *shakes his head*
Shubman kisses Ishan on forehead
Shubman: Dekha main real hoon...aankh toh khol baby.
Ishan: *opens one eye*
Shubman: Ab main aa gaya hoon tere paas
Ishan realises it's not a dream and jumps up from Shubman's arm.
Shubman: Kya huaa?
Ishan: Yeh sapna nahi hai
Shubman: main sach mein..
Ishan: *interrupts Shubman with a kiss*
Shubman: *cups Ishan's face and deepens the kiss*
As Shubman kisses Ishan, he feels tears streaming down Ishan's eyes while few tears escape his eyes too. Ishan felt more complete than he ever felt as they join forehead to share breath. A gentle smile adorned both their faces.
Ishan: I missed you.
Shubman: Main toh yahan hoon na *points at Ishan's heart* miss kaise karsakta hai tu?
Ishan: Paagal *laughs softly*
Shubman: Tere pyaar mein *hugs Ishan* I didn't miss you though
Ishan: Kya?
Shubman: *moves away and cups Ishan's face*.. I missed us.. *kisses Ishan's tears*
Ishan: aaj training nahi hai?
Shubman: poora mahaul kharab kar diya
Ishan: I am serious Shubman.
Shubman: koi training tere se important nahi hai... Ek mahina ho gaya mile huwe.
Ishan: Har second ek saal jaisa tha *pecks Shubman*
Ishan and Shubman settle in bed with their arms wrapped around each other sharing every little news of their life. Absorbing every bit of each other and wrapped in their love, they didn't realise they had an audience at door
Agasthya: Chachu!!Mumma calling
Ishan: Aggu tu kab aaya..
Shubman: Aggu kitna bada ho gaya..idhar aa junior
Ishan: *picks up Agasthya and settles him in his lap*
Shubman: *ruffles Agasthya's hair* Cutie kaisa hai tu?
Agasthya: strong hoon
Shubman and Ishan: *laugh*
Shubman: Meri yaad nahi aati?
Agasthya: Aati hai na par chachu se zyada nahi..Woh toh..
Ishan: *interrupts Agasthya* baatein toh hoti rahegi..breakfast is ready.
Shubman: *takes Agasthya on his lap* Tu bol...Aggu kya bol raha tha?
Agasthya: Chachu toh almost roz aapko miss karte karte rote hain..Aap unhe chorr ke mat jaana ab
Shubman: *hugs Agasthya and looks at Ishan who has his eyes lowered* Kabhi nahi jaaunga..apne saath le jaaunga.
Agasthya: Nahi...Phir main khelunga kiske saath?
Shubman: U have ur friends Aggu.. Main kiske saath khelunga *winks at Ishan*
Ishan: SHUBMANN!! *slaps him lightly*
Shubman: Cricket kiske saath khelunga.
Natasha: Oyee lovebirds.. breakfast is ready.. come on Aggu.
As they are their breakfast together, Shubman's eyes couldn't leave Ishan's face. The table echoed with their shared laughter and banter as the bouquet lies untouched in the living room.
(The fandom is filled with angst due to the current situation and as ur hero my job is to bring smile to your face. Hope you loved this chapter of their life and make sure to drop ur lovely comments.)
May God bless our precious couple Ishman and Ishan makes a banging comeback soon 🧿🧿🧿🔱🔱🔱🙏🙏🙏✨✨✨
53 notes · View notes
tasavvur-ki-duniya · 1 year
Text
Adhuri raato mein vo Mera intezaar toh karta hoga,
Pura nahi par thoda toh vo mujhe yaad karta hoga,
Apni baato mein mujhko vo dhundhta toh hoga,
Pyaar tha ek waqt pe usse mujhse yeh soch kar rota toh hoga,
Haalato ne alag kar diya hume warna zindagi bhar ka saath usne bhi toh socha hoga
55 notes · View notes
nipsyyy · 11 months
Text
bohot ho gaya mazaak jisko bhi mujhse sachi wala pyaar hai pls bata do yaar yeh “secretly in love with her” trope merese aur handle nahi hoga.
13 notes · View notes
chowpatty-ka-icebear · 8 months
Text
Shimaz/شمز (Beloved) by SubbRee
Log kehte hai ki pyaar vyaar kuch nhi hota but Aisa true nahi... Pyaar mein na bohot taakat hoti hai yaar kuch v kaho... Harr lamhe ko jeene mein ek alag si khushiyaan milti hai... Yeh sach baat hai ki pyaar he sab kuch nhi hota, Family Friends Career Hobbies yeh sab v mayne rakhti hai magar koi ek cheez Jo inn sabse v zyaada sukoon deti hai woh kahin na kahin mohabbat hoti hai... Pyaar na woh nhi hota jisme khawahishen hoti hai, woh materialism waala pyaar, pyaar nahi zaroorat hoti hai... Pyaar toh woh hota hai jisme ek insaan dusre insaan se sirf uska saath maangta hai Bina kisi aur cheez ki parwah kiye... Chalo main apne baare btata hoon, haan Maine v pyaar Kiya hai... Zabardast kiya hai... Aur mujhe Khushi hai iss baat ki jissa kiya tha na usse sacchi waali mohabbat thi... Aisa pyaar mein samne waale ko aapki saath ke alawa kisi aur cheez ki zarurat nahi hoti hai... Bas aapka saath he unke liye kaafi hota hai... Log kehte hai ki aashiq pyaar ko yunhi overrated kar diye hai, aisa bilkul nahi h meri jaan... Yaar yeh jo mohabbat/pyaar/aashiqui cheez he aisi hai iska ehsaas harr dusri cheez ko underrated kar deti hai... Main yeh baat ko beshaq Manta hoon ki pyaar duniya nahin hai, magar main yeh v jaanta hoon ki pyaar ki Nazar se duniya ko dekho toh kitni khoobsurat lagti hai... Harr chhoti chhoti cheez ko acchai ki Nazar se dekhoge... Yeh pyaar he hai Jo ek insaan ko bana bhi sakta hai aur tabah nhi kar sakta hai... Jaane kitne log iske ghulaam ho gye aur najane kitne log iske karazdaar ho gye... Sacchi aur Pakki mohabbat kisi insaan se ho jaaye na toh poori kayenaat v uski Khushi ke aaghe chhoti lagti hai Kasam se... Woh log hawa mein baatein nahi karte hai Jo kehte hai "Tumhare liye chaand-taare todd laaunga" Jab kisi insaan ko pyaar hota hai tab toh "Cloud Nine" mein pahuch jaata hai... Kisi v cheez/duniya ki fikr nahi hoti hai sirfff fikr hoti hai uski jisse iski mohabbat hoti hai... Yaar iss sacchi mohabbat ke baare jitni baatein karun utni kam hai... Kisi ne sach he kaha hai "Naseeb waale hote hai woh log jinhe sacchi mohabbat milti hai" Iss aajkal ke Tinder/Bumble waale jamane mein maanta hoon "Sacchi Mohabbat " dhudna mushqil hai, Aree tumko kya dilasa hoon mujhse zyaada iss baat se kaun vaaqif hoga... Mere Aisa maan na hai ki Humlog na sacchi mohabbat pehchaan nahi paate hai kabhi kabhi, Hum usse sacchi mohabbat samjh baith te hai jo shayad mohabbat bhi na ho... Aur janab isme humari galti bhi nahi, aaye din jab movies/videos mein hum Fairytale Love Stories dekhte hai humme v dimaag mein "Fake Scenarios" create karne ki adat ho jaati hai... Aur end toh sab jaante he hai, woh rista kabhi muqammal nahi hota hai aur aap back to "Square One". Mujhe pta hai isi daar se mere kitne doston ne dating karna he chord Diya hai... Woh kehte hai mujhse ki "Dekho SubbRee jab Jeb mein aapke aayegi 'Money' tabhi milegi aapko 'Honey' samjhe" magar mujhe aisa nahi lagta hai... Kyunki Materialistic Pyaar toh aajkal harr baazar mein milta hai iske liye main itni mehnaat kyun karron... Agar paison se he insaan ko khareedte hai toh Mukesh Ambani ki 100 biwi hoti 😂 Magar Aisa nahi hai na yaar, Sacchi Mohabaat ki yehi baat toh mujhe sabse zyada pasand hai ki yeh Ameer/Garib, Uch/Neech, Lamba/Mota, Kaala/Gora, Lulha/Lagda kuch nahi dekhti hai yeh sirf insaan ke Dil se hoti hai... Aur I kid you not yeh sacchi mohabbat ko khojna paise kamane se v zyaada mushkil hai (Believe me I've Tried it several times) toh fir sawaal aata hai ke insaan kare toh kare kya ab... Well, agar meri maano toh intezaar ke alawa hum kuch nahi kar sakte hai, Aadho ki tarah galat logo ke saath rishte banane se accha hai ki sacche ka intezar he kar le... Aur jo log sochte hai ki paiso se he sab kuch hota hai woh apna dimaag doctor ko dikhla de, Kyunki "Paisa Materialistic Khushiyan khareed sakta hai, Zindagi ka Sukoon nahi" aur insaan duniya mein Khali haath aata hai aur khaali haath jaata hai magar bohot Kam he log hote hai Jo jab iss duniya se jaate hai woh unke haathon mein kisi apne ka haath hota hai... Aur yehi mere dost "Pyaar" hota hai...
Tumblr media
6 notes · View notes
lewishcmilton · 10 months
Text
nahi hoga aur yeh mujhse bas ho gaya maar do hamein 😭
2 notes · View notes
censorious-asshat · 1 year
Note
mujhe yeh rishta manzoor hai magar agar usne tumhein haani pahunchayi to mujhse bura koi nahi hoga
Thank you bhai
@skolirethm, we got the approval for the Halloween wedding. Waiting for the day my angel
@readdy-freddie and @ketterdam-snack-bar will u be my groomsmen, u were there from the beginning
2 notes · View notes
Note
yahaan aajao mujhse akele nahi hoga yeh
mujhse nahi hoga lecture dekh rahi hu distraction ke liye and dimag ke random lyrics aa rahe hai like but we will never go back to that bloodshed crimson clover??????????????
3 notes · View notes
aayushiagrawal · 7 days
Text
Kuch ni bas vo muhje chah raha hoga aur support kar raha hoga bas yahi chahiye muhje nahi cahhiye success vo muhjepar proud feel kare bas yahi. Thode time Tak aur mai unki team mai hoti toh mere pura performance bigad gaya tha aur usme mai kuch ni kar skti thi kyuki sir se vahi baat karti thi. Aur sir vahi manange jo vo bolegi. Par yeh bhi ek bhi bahut positive chhez hui h mere saath yaha par kyuki agar yeh nahi hoti toh sayad muhje aage badhne mai aur time lagta. Muhje toh lagta h ki jisko jitni bhi problem h yahi ho jaye mujhse.
0 notes
gobind-631 · 4 months
Text
…continues from previous…
[Section 4,Part 15.2.6]
Me:
Pehli baat toh yeh Mahatma ji ..aap yeh bhool rahe ho .. aap ne mehez ek sapna hi toh dekha tha/aap ne joh dekha tha ..woh mahez ek sapna hi toh tha....
Haquiqat ka aisi cheez se koi vaasta ya sambandh nahi(hota)..
Maaf karna..jab aadmi deluded states main hota hai.. tab aksar woh isi kisam ke sapne dekha karta hai..yani ki woh aksar aise sapne dekha karta hai joh uske deep rooted belief system ko reflect/project/ justify karte (hue dikhte) hai..iss main kuch bhi surprising nahi hai..
Ab aap khud ek secularist kisam ke ..congress walon ki ideology mani aastha rakhne wale vyakti hote ho(aap khud yeh sab keh chuke ho mujhse..bohot pehle)..(saath main aap Vaishnavism main bhi aastha rakhte ho)..toh naturally inhi values/isi ideology ko project/reflect/reaffirm/validate hote hue dekh rahe the aap..apne iss sapne mai.. (Matlab ki inn sab baaton ka (aap ki overall belief system ka)mila jula projection/product raha tha.. aap ka yeh sapna)..
Pehle bhi kai baar..kai congress walon ko ..kuch isi kisam ki baaton ko(isse milti julti baaton ko)karte/kehte hue sun chuka hoon main..[Yani ki unn sab baaton ko..jinhe aapne khud Hanuman ji ko kehte hue suna tha (beshaq ..sapne main dekha/suna hoga …phir bhi..).Ab aap khud hi samajhdar ho..iske aage main ab kya bolun..]
Yeh mehez ek sapna hi tha..haqquiqat se iska koi vaasta nahi.. bas baat itni si hai..
**Ram ji ..Sita ji.. saath hi hai.. koi inhe alag alag dikhane ki koshish nahi kar raha ..theek hai?..
Opposition ki propaganda main poori tarah se aa chuke ho aap ..aise lag raha hai..
Maine kai saare aise bhi jhande dekhe hai ..jiss main ..Ram ji aur Sita ji dono ko ek saath darshaya gaya hai..[..aur shayad kuch aise bhi jhande dekh rakhe hai..jiss main ek side ko Prabhu Ram ji ko darshaya gaya hai..aur doosri side main Ram ji aur Sita ji dono ko darshaya gaya hai..theek se yaad nahi ..lekin aise jhande bhi dekhe hai..]
**Woh joh har mariyada ko todne wali baat kar rahe ho na aap..uska jawab yeh hai ki..dharm ki raksha ke liye kabh kabhi unnis bees ..yani ki..kuch excess kisam ka karna padh sakta hai/ho sakta hai unintentionally ho jaata ho..kuch log badge hi dhoorth hote hai ..maante hi nahi.. toh kya karen.. dharm ki raksha bhi toh zaroori hoti hai..toh kabhi kabhi ho sakta hai..ho jaata ho..kuch kuch unnis bees(unfortunately)kisam ka..lekin haan kisi prakar ki koi hadd nahi paar karni chchaiye …yeh haq kisi ko bhi nahi..yeh main maanta hoon.
Lekin sab kuch overall aage ke liya achcha hi sabit hoga.. (Kyon ki aap majority ki sentiments ko dhyan main rakhte hue kaam karte rehte ho)
Aap khud jald dekhoge iss wali baat ko sabit hote hue..(..kab?..jab iss dharti pe wapas Ram Rajya aa jayega.. tab aap khud dekhoge..)
**Woh joh politics main Bhagwan ke naam ko istamal kiye jaane wali baat hai na..uske bare main ab..
Meri maaano toh..koi religion vegera ko weaponise nahi kiya ja raha hai yahan par..balki dharm ki raksha karne ki koshish ki jaa rahi hai yahan par..(..aur aisa karne wale ko log dharm ka rakshak maante hai..)
**Aur jahan tak baat hai ..Prabhu Ram ji ke Pavitra naam ki..
Dekhlo aaj aap..kaise gali gali..kuche kuch..bacha bacha ..lene laga hai (aaj ki tariq main).. Prabhu Shree Ram ji ke naam ko..
Yehi toh Vaishnav dharam hai..iss main aap ko kya appati ho sakti hai..kamal hai..aap ko toh khush hona chahiye na..
***Aur woh joh Gandhi ji wali baat hai na..jiska aap ne abhi abhi kuch hi der pehele zikr kiya tha ..main bolna nahi chahata tha..lekin internet main iss baat ko leker kaafi controversial material pada hua hai..aap khud check kar sakte ho..kuch log iss baat ko openly contest karte hai.. am hoping..galat keh rehe ho/hai/honge..yeh log..
Mera(bhi)dil manne ko tayyar nahi hai..sach toh yeh hai ki..main sveekar hi nahi sakta..aisi baaton ko..
Gandhi ji ko khud main..ek bohot hi mahaan (kisam ke)vyaktitv wale insaan ke roop main dekhta hoon..
Yeh links aap khud check kar sakte ho..pata nahi kitni sachchiyi hai iss material main/inn sab baaton main(below)….
Padhiye isse ..main janna/dekhna chahonga ..aap ki pratikriya ..(isi wale vishay ko leker)..[iss sab material ko padh lene ke baad..]
[Mahatma ji khud ab iss material ko studiously/religiously..padhte/dekhte hue..at dis point..]..
Me(after a while):kya kehna hai ab aap ka..iss wale vishay ko leker..zaroor pareshan se hogaye honge ab aap..(humko toh lagta hai)…hai na?
Mahatma ji(after having gone through this content.. (was wearing a grim look now)..was now saying..):Bhai..kya bolon ab main..dhakka sa laga hai mujhe..yeh sab padh kar..galat bhi hosakti hai yeh sab batien..hain na..hoskta hai unhe defame karne ki yeh koi nayi sazish ho ..
Main toh samajh hi nahi paa raha hoon ki akhir kya matlab nikala jaye iss sab ka....
Yeh sab/iss kisam ki cheez koh toh main pehli baar padh raha hoon.. yeh kab hua?..mujhe toh dhakka/jhatka sa laga hai sir…sach batayae..kya aap ko lagta hai ..aisi baaton main kisi kisam ki koi sachchai vegera ho sakti hai?..aap ko kya lagta hai..???(pauses for a while..as if expecting/desiring a response…main nahi respond karta..so decides to continue..)..khair..jaane dete hai aaj/ab..iss/yeh wali baat ko..
Mahatma ji:Bhai..bhale hi hamko(sachchai ka)pata na ho..lekin Krishn ji sab jaante hai..bas itna hi kaafi hai..
Koi bhala unhe thag saka hi aaj tak..koi bhala unhe dhoka de saka hai aaj tak..aisa kabhi nahi ho sakta..hai na.?
*****************
“Worship Govinda, worship Govinda, worship Govinda, O foolish mind! When the time of death comes, the rules of grammar will not save you”
..Ramachandra Raghuveera …Ramachandra Ranadheera…
youtube
0 notes
fictionalitiesblog · 1 year
Text
Logo ko bas vohi dikhta hai jo mein unhe dikhana chahti hu. Mujhme esi kitni saari baatein hai jo meine is dunya me kisi ko bayaan nahi ki hai .. ye duniya ke log kitna hi jante hai mujhe? Vo mujhe utna hi jante hai jitna me chahti hu ki jaane. Mere gharwale jis tarah se jante hai us tarah se mere dost nahi . Jis insaan se mein mohabbat karti hu vo bohut koshish karta hai mujhe jaane ki, shayad vo mujhe sabse behtareen janta hai par usse bhi kuch baatein chupakar rkhti hu mein. Ye baat toh tay hai ki log mujhe shayad puri tarike se kabhi jaan nhi paaege ,toh me kyu in logo ko meri zindagi ke usoolo ko badalne ki taqt deri hu? Ye log jinhone meri ruh ko kabhi dekha nahi kabhi jana nahi unhe kyu dikhau me kyu hu kya hua kiske liye hu? Mere dil me kya hai me kya chahti hu ye toh sirf mera khuda janta hai usse beshak kabhi kuch chup nahi sakta toh mera khuda mujhse kyu rooth jaega ? Agar me is duniya ke usoolo se bandhkar na rahu aur apna raasta khud chunu, log kehte hai ki khuda raazi nahi hoga. Par sach baat toh yeh hai ki mera khuda raazi hojaega par ye log nahi. Kyu ? Kyuki mera khuda mere andhere se andheri ruuh ko pehchanta hai aur ye log nahi.. / noor
0 notes
hi-avathisside · 20 days
Text
Trigger Warning: Mental health, indications of suıcıde
Sept aa gaya aur pata bhi nahi chala, aaj teachers day hai aur pichla teacher's day mujhe bakhoobi yaad hai. yaar yeh samay bhi na kitni ajeeb cheez hai jitni upma se upma karu kam hai, kahu ki yeh samay inn ghirte- hatte baadlon ki tarah hai aur inn patton ke girne ki tarah hai aur iss toofan ke jaane ki tarah hai. yeh samay woh pighalti ice-cream ki tarah hai, woh signal badalne ki tarah hai, achaanak aane waali modoslaadhar baarish ki tarah hai aur aasmaan mai. ek indradhanush ki tarah hai toh bhi shayad kam hoga. Yeh saal kaise beeta pata hi nahinchala, yoon bhadrapad aa gaya aur keval kuch mahine hi bache hain yeh saal khatam hone main. yeh samay bhi na bohot kamaal hai. Pichle septmeber mujhe laga tha, ki shayad nahi ho paayega. Yeh zindagi, mujhse nahi ho paayegi, kyonki yaar mushkil hota hai, har din hospital jaana aur phir kaam, kaam aur hospital, lekin humne kiya. September guzra, ek ek din gine the humne ungliyon par zaroor, lekin kab december aa gaya pata hi nahi chala. Naye saal ki kuch zyada khushi nahi thi, bas yahi dua thi ki yeh sal khishiyaan laaye. January, fervary ek aisi hawa ka jhonka laaye jisse hum aaj tak waakif hi nahi the. Aur yeh hawa ka jhonka jis dhara se aaya tha humari zulfe udane ke liye, waise hi chala gaya, shayad kuch bikhri zulfe chhod gaya. Yeh saal guzar toh raha tha, lekin aisa lag raha tha ki hum sthir haim kuch badal nahi raha tha. Jitni bhi koshish kar lo yeh patthar hil hi nahi raha, yeh dhakkan khul hi nahi raha. Phir kya, socha aise rote hue raatein guzaarna thik nahi hai, yoon ghar main band rehna thik nahi hai, kuch toh galat hai. Madad li, shayad kuch behtar hua, shayad nahi. lekin inn sab ke beech, maine bohot yaadein banayi. Woh ek baarish, woh ek sunset, aur na jaane kitne saari hassi joh shayad nahi hoti agar maine zindagi ka haath chhod diya hota. Kuch din aise bhi the jinmein mujhe laga ki isse khush toh main nahi jo sakti, kuch raatein iss kadar thi ki mujhe laga ki mujhse dukhi koi nahi ho sakta. Ho sakta ho ki aapka samay itna achha na chal raha ho, lekin phir bhi, samay kaisa bhi ho, yeh chhoti chhoti khudhiyaan zaroor laata hain. September aa gaya aaj aur pata bhi nahi chala. Shayad, woh dhakkan thoda dheela ho gaya.
सितंबर आ गया और पता भी नहीं चला, आज टीचर्स दे है और इससे पिछला शिक्षक दिवस मुझे याद है। यार ये समय भी ना कितनी अजीब चीज़ है, जितनी उपमा से उपमा कम है, कहू की ये समय इन घिरते-हटते बादलों की तरह है और इन पत्तों के गिरने की तरह है और इस तूफ़ान के जाने की तरह है। ये समय वो पिगलती आइसक्रीम की तरह है, वो सिग्नल बदलने की तरह है, अचानक आने वाली मूसलाधार बारिश की तरह है और आसमान में एक इंद्रधनुष की तरह है तो शायद काम होगा। ये साल कैसे बीता पता ही नहीं, यूं भाद्रपद आ गया और केवल कुछ महीने ही बचे हैं ये साल खत्म होने में। ये समय भी ना बहुत कमाल है। पिछले सितंबर मुझे लगा था, शायद नहीं हो पाएगा। ये जिंदगी, मुझसे नहीं हो पाएगी, क्योंकि यार मुश्किल होता है, हर दिन हॉस्पिटल जाना और फिर काम, काम और हॉस्पिटल, लेकिन हमने किया। सितंबर गुजरा, एक एक दिन गिनें थे हमने उंगलियों पर जरूर, लेकिन दिसंबर कब आ गया पता ही नहीं चला। नए साल की कुछ ज्यादा खुशी नहीं थी, बस यहीं दुआ थी कि ये साल खुशियां लाए। जनवरी, फरवरी एक ऐसी हवा का झोंका लाए जिसे हम आज तक वाकिफ ही नहीं थे। और ये हवा का झोंका जिस धारा से आया था हमारी जुल्फे उड़ान के लिए, वैसे ही चला गया, शायद कुछ बिखरी जुल्फे छोड़ गया। ये साल गुजर तो रहा था, लेकिन ऐसा लग रहा था कि हम स्थिर हैं, कुछ बदल नहीं रहा था। जितनी भी कोशिश कर लो ये पत्थर हिल ही नहीं रहा, ये धक्कन खुल ही नहीं रहा। फिर क्या, सोचा ऐसे रोते हुए रातें गुज़ारना ठीक नहीं है, यूं घर में बंद रहना ठीक नहीं है, कुछ तो गलत है। मदद ली, शायद कुछ बेहतर हुआ, शायद नहीं। लेकिन इन सब के बीच, मैंने बहुत यादें बनाईं। वो एक बारिश, वो एक सनसैट, और ना जाने कितनी सारी हंसी जो शायद नहीं होती अगर मैंने जिंदगी का हाथ छोड़ दिया होता। कुछ दिन ऐसे भी थे जिनमें मुझे लगा कि मुझसे ज्यादा खुश कोई नहीं है, कुछ रातें इस कदर थी कि मुझे लगा कि मुझसे दुखी कोई नहीं हो सकता। हो सकता है कि आपका समय इतना अच्छा न चल रहा हो, लेकिन फिर भी, समय कैसा भी हो, ये छोटी-छोटी खुशियां जरूर लाता है। सितंबर आ गया आज और पता भी नहीं चला। शायद, वो धक्कन थोड़ा ढीला हो गया।
wrote this at 8:30 am, first thought in the morning. It's because I never thought I could make it to September. I'm glad. Life throws shit at you, but please remember to breathe, and it'll pass on. Sept-Dec patch was very rough for me, but it passed and I'm glad it did. This is your reminder that it'll pass.
26 notes · View notes
indiesole · 1 year
Text
Indies (Lifetime) Playlist Tributes to Music Legends ! -PART 14
SURESH WADKAR’S TOP 360 (HINDI FILM) SONGS ! (Contd from 186)-
Yt Link:
Jara Pyar Ke Safar Mein - Apna Bhi Koi Hota
Pareshan Ho Tum –Janam Se Pehle
Kabhie Ajnabi The -Kabhie Ajnabi The
Jadugar ka jadu -Jadugar
Gaon Mein Mach Gaya Shor -Dacait
Nasha Husn Ka Utar Jayega -Mardon Wali Baat
Har Ek Se Milna Hans Hans Ke -Ayee Milan Ki Raat
Parbat Ki Unchai Par Thehar Gayi Hai Shaam -Naagmani
Saawan Nahi Bhadon Nahi - Kudrat
Amir Se Hoga Ya Garib Se Hoga -Insaniyat Ke Dushman
Hum Naujawan - Hum Naujawan
Kaisan shaadi rachayi ho - Naram Garam
Tum Jo Haseen Itni -Raaz
Zindagi Ashk Sahi – Path Bhrashta
Baje Badhai More Angana - Maa Beti
Maine Apna Sanam Tujhe - Maa Beti
Samay Ke Darpan Mein - Jeevan Dhara
(Humming)- Ghar Ek Mandir
Kaisa Hai Tere Ishq Mein –Parbat ke us paar
Jhoom jhoom ke megha chaaye -Indra the tiger(dubbed)
Mujhse shaadi karogi – Dulhan hum le jayenge
Mai Tera Deevana –Bond 303
Yaar Pe Hai Dil Mera Qurbaan - Patthar Ke Phool
Tum Bhi Hanso Hum Bhi Hanse -Achha Bura
Ek Aas Liye, Vishwaas Liye - Khwab
Ram Dulari Mayke Gayi -Meri Biwi Ki Shaadi
Meri Yaad Aayegi Aati Rahegi - Sunny
Sheron Wali Mata Ka Jab Naam - Amba
Dil Mere Lehra Le - Jhoothi Shaan
Maine Kaha Tumne Suna - Dacait
Kamra Tha Mera Bandh –Zakhmee Insaan
Zamane Ke Malik Teri Meharbani – Zara si bhool
Aao raas rache garba raat hai -Toofan
Chai aiyo radhe rani - Sangeet
Man Ki Baat Jab Hotho Pe -Raadha Aur Seeta
Mere Man Baaja Mirdang Manjira Best Audio Video - Utsav
Mammy Aisi Pappa Aise - Hum Rahe Na Hum
Duniya Mein Nahin Hogi –Ladke baap se badke
Gao Gao Gate Jao - Udhar Ki Zindagi
“ (duet)
Gaadi aati hai
“ (duet)
Yeh Teri Meri Yaari -Daata
Baba Sai Baba -Dozakh
Maiya Mera Muqaddar - Mera Muqaddar
Ek Nahin Hum Do -Tajurba
Har Mod Pe Mud Ti Jaye Motor Mitran Di -Raahee
Mere Dil Ne Tujhe Chaha -Shiva Shakti
Tu Hai Kamal Maula Teri Kudrat Kamal -Sultanat
Aasmaan Chhat Ho Meri - Thikana
Muqabla Muqabla Tere Bhakt Jano Ka - Marte Dam Tak
Yaaro Humko Dekh Ke - Dosti Dushmani
O Aayee Baisakhi - Agnee
I Love You - Kaun Kare Kurbanie
Sheesha E Dil Men Teri Hi Tasveer – Gehra Zakhm
Sehre Mein Dulha Hoga - Parinda
Taaqat Hai Jiske Paas - Bepanaah
Main Door Chala Jaoonga - Kalaakaar
Bahut Khubsoorat Hai - Kaun Jeeta Kaun Haara
Kurta Malmal Ka – Jeeo..Jeene Do
Kiss Me - Shiva
Is Zindagi Ka Talabgar – Bad aur badnam
Yeh Hawa Yeh Fiza - Sadma
Main Aaj Bahut Khush Hoon - Sansar
Sapne Mein Milti Hai - Satya
Na Hoti Dosti Tumse – Awara Baap
Mere Sawal Ka Tum Do Jawab - Saazish
Jai Jai Ram Siyaram - Lav Kush
Hamein Aasman Ne Bheja – Sheshnaag
Woh Mera Mehboob –Divorce
Sangmarmar Sa Tha – Purani Haveli
Main Tera Pagal Premi – Abhi Abhi
Suraj Mukhi Mukhda Tera – Kalaakaar
Gale Lag Ja -Tan-Badan
Ek Swarg Hai Aasman Par – Amba
Saheli Ho – Paheli
Kitne din - Sati naag kanya
Pyar mein pyar se – College Girl
Sang Sang Rah Kar - Sati naag kanya
Akkad Bakkad Dono Phakkad – Tajurba
Apni Gadi Chalti Hai – Laalach
Ramji Ne Dhanush Toda – Eeshwar
Kabhi bole haan - Kali Basti
Hum Gharibon Ne Tera – Loha
Tera Mera Pyar Amar – Rukhsat
Inhi Mulaqaton Mein - Maan Abhiman
Chaudhvin Raat Hai - Yaadon Ka Mausam
Milte The Kabhi Hum Dar Dar Ke –Raahee
Zinda Hain Jo Log Mohabbat -Aao Pyaar Karen
Tanaatan Baj Gai Ghanti Sajan - Watan Ke Rakhwale
Main Balam Wahi Lungi – Diruba Tangewali
Hai Mohabbat – Hero
Hamka Isak Huwa Hai Yaaro – Coolie
Na Idher Ke Rahe Na Udher Rahe - Kaanch Ki Deewar
Baju Bandh Baju Bandh - Prem Granth
Calcutta Ho Ya Kashi -Jawani Zindabad
Chhod Ke Tujhko -Maha Sangram
Yehi Hai Dosti – Bad aur badnam
Dil Ko Zara Sambhalo – Farz aur kanoon
Banna Mera Aaya Hariyala - Radha Ka Sangam
Jag Ja – Omkara
Dua Samajh Lo Ya Isko Gaali – Thikana
Sagar Mein Tarang Hai - Lahoo Ke Do Rang
Kiska Kusur Hai - Lahu Ke Do Rang
Hum Jitne Baar Jiyenge – Khilaf
Raat Ke Dhai Baje – Kaminey
“ (remix)
Foot Pathon Ke Hum – Mashaal
Peele Peele Sharab Hai Peele – Ghulami
Sang Sang Rahenge Janam Janam - Ek Vivaah Aisa Bhi
Jab Tak Hai Jee Jee Bhar Ke Pee – John Jani Janardhan
Shalok – Bhai ka dushman bhai
Ganga jamuna saraswati -Ganga jamuna saraswati
Allah Ka Naam Le -Palay Khan
Main Jis Mehfil Mein - Badle Ki Aag
Dil Kahe Har Dum – Guddu
Hum Paanch Pandav -Hum Paanch
Goli Chacha Ko Salam Karo -Mera Dost Mera Dushman
Paani – Iqbal
Jahan Kabhi Dil Ne Khai Thokar – Veergati
Aaye Hain Woh Mazaar - Saajan Ki Saheli
Hoga Na Hoga Pyar Kabhi Kum -Kaun Kare Kurbanie
Hum To Banjaare Hain – Nishanebaaz
Paanch Ungliyon Ki - All Rounder
Chal Kahi Chale Sajna – Muqaddar
Sona Kare Jhilmil Jhilmil – Paheli
Yeh Janmabhoomi Janma Devi Maa -Zakhmi Sher
Do-Do-Do-Do – Ramji Londonwaley
Dekho pyare rut kaisi ayi – Muqabla
Sundari Yeh Jeevan Tera – Dalpati
Madine Ki Galiyon Se Awaz Aai – Bambai ka maharaja
Chhod Aaye Hum Woh Galiyan –Maachis
Tum Mere Ho – Betaabi
Na Tum Ne Kiya – Nache Mayuri
Kaise Kahan Kab Ho – Bhagmati
Hum Dono Hain -Karishma Kudrat Kaa
Ae Kaash Dil-E-Nada Aisa Na Kiya Hota – Imandaar
Dil Aakhir Dil Hai – Dil Aakhir Dil Hai
Wafa Mere Dil Ki – Rukhsat
Chehera Kamal Hai Aapka - Maine Jeena Seekh Liya
Hamein Aasman Ne Bheja (Sad) – Sheshnaag
Ek Dil Ki Diwani –Ghatak
Mubarak Ho Mubarak Ho – Angaaray
Mere Dil Ki Galiyon – Banjaran
Jab Prem Aggan Lag Jaye - Dil-E-Nadaan
Dhamak Dhamak Dhaiya Dhaiya – Karamdaata
Aaj Ki Duniya Mein – Paapi pet ka sawaal hai
Babul de do dua aaj to pyar se - Saajan Ka Ghar
Chaar Din Ka Safar –Zaalim
Meri Qadar Jani –Shiva
Badal Ghumad Badh Aaye – Saaz
Kaaton Se - Rakht Charitra
Yaar Mera Chikna Ghada -Badle Ki Aag
Bheega Bheega Mausam Tadpaye - Bandh Darwaza
Mere Zindagi Meri Jaan - Sar Utha Ke Jiyo
Sadion Mein Ek Baar Milen -Ye Rishta Na Tootay
Mangti Hai Pyasi Dharti – Parampara
Hum Aashiq Hai – Sunny
Dono Nibhayein Apna Dharam - Ek Vivaah Aisa Bhi
Sunne Wale Sunlete Hain – Saaz
Na Tir Se Maro – Mohabbat ke dushman
Chaar Din Ka Safar (Sad) – Zaalim
Ang Jale Gora Rang Jale - Daku Hasina
Kitne Ajeeb Rishte Hain Yahaan Par – Page 3
Apni Hai Unchi Uraan -Unchi Uraan
Holi Ke Din – Chatpati
Aaj Matki Utaroonga - Paapi Farishte
Kudi Pat Jaayegi – Grahasthi
Rocky Aur Johny – Zakhmee Insaan
Chal Padi - Dil Pe Mat Le Yaar
USTAD BADE GHULAM ALI KHAN ‘S TOP 190 SONGS !
Yt Link:
Simply the greatest 'classical singer' in the history of music! Supreme commander of raag, taal, bhav, khayal, & sur. Viewed as sole revolutionary bringing popular interest & mass appeal to raag music! Direct or indirect guru, of most legend of legends of Indian music! A man beyond profl art,who famously never sang for cinema,except once,upon persistent request of long-time super fan Naushad, that too upon receiving what will be regd in record books as by far the highest profl fee ever recd for any art performance, 70 times more than highest paid performer of the times, Lata & Rafi, a imaginary price he'd only quoted to somehow get rid of prod -dir K.Asif, that much to his shock was instantly agreed upon! Ustad Amir Khan, a classical legend himself, hearing HIM, in ecstasy remarked, "They should ban public performances of the ragas Bade sahab touches.Will forever be a let down". Quotes: "If people of our region were trained in classical tehzeeb/manner,would've been no partition!" " I don't know nor care for place of origin, of the raga or it's ppl.All I seek is it's purity." "A true lover of tune,won't be cruel,but wary of hurting,also necessarily God loving & dedicated personality."
Ready reckoner on diff terms,raags,styles etc,for lay listeners:
1.Raag-A array of melodious swars,with musical motifs,to color mind & affect emotions 2.Vadi-Root swar 3.Samvadi-Significant " 4.Nyas-Most used " 5.7 shadja(swar)-sa(Shadaj),re(Rishabh),ga(Gandhar),ma(Madhyam),pa(Pancham),dha(Dhaivat),ni(Nishad) 6.Komal-Soft swar(For 4/7-re,ga,dha,ni) 7.Teevra-Sharp "(ma) 8.Shudh-Natural " 9.Achal-2 Swar with no variants(pa,sa) 10.Thaat-Parent scale,used to classify raags 11.Aroh-Ascending scale 12.Avroh-Descending " 13.Vakr-11&12 above,not in same order 14.Drut(laya)-Conc'g fast tempo of raag.Gen'y 160-320 beat/min.Many base full recitals on drut mode(Teentaal) 15.Khyal-Style allowing unltd imagination to embelish ragas,requ'g more technicality than intellect 16.Bandish-'Fixed verse'.On relg-spiritual or royal panegyrics,or musicology,or romance.Strict on form+style. 17.Thumri-Radha-Krishna recitals,that arouse 'thumakna'(& dance of ghungru) 18.Dhrupad-Bandishes on Krishn 19.Tarana-Persian-Arabic words & phonemes in raags,medium to fast tempo RAAGS: 1.Todi/Bhairavi-Bhakti of female divine 2.Khamaj-Lite,sedate,husky;in thumris 3.Kafi-1or2,Bhimplasi,Pahadi,used in nt folk eg Thappa(fast,bouncy),Dadra(ghazal,slow),Holi,Kirtan,Bhajan 4.Gavti/Bheem-1+Khyal 5.Bhinn Shadj/Kaushik Dhwani-5 sur.No re-pa 6.Shankara-5 aroh 6 avroh,mostly higher notes 7.Multani-Noon 8.Malhar-Combo o'Raag Kafi & Raag Durga(sweet soothing mild),sung in patient seriousness. 9.Bahar-Malhar adapted 10.Malkauns-Oldest raags,sung 2-4am,for soothing & intoxicating effect. Derived from Mal and Kaushik, ie he who wears serpents like garlands–God Shiva.Created by Goddess Parvati to calm lord Shiva,post Tandav in rage of Sati's sacrifice. Also by Jain Tirthankaras when Lecturing Samavasarana. Ragini-Dhanashri. Most 'em pentatonic raags'r of Shaivait musical school. 11.Bageshri/~Raageshri- Popular late night raag,to depict emo of woman waiting for reunion with lover.1st by Tansen 12.Malgunji/Lankeshwari-Khamaj+B(R)ageshri 13.Chhayanat-Late eve,3hrs till midnt,reflecting high exuberance with mild pathos 14.Bihag-Loving raag,shudh saptak 15.Behagda-Bihag+Khamaj 16.Sohini-Passive sensuous 17.Kedar-Fav raag played lots by Krishna.Known to've thermal energy,& raagini of Raag Deepak,that conveys honesty, integrity & truthfulness,making mind aware of soul's true character. 18.Basant,also Hindol-hope in new spring onset,to start unseflishly afresh 19.Megh-When Govardhan Parvat was on Lord Krishna's short finger,Lord Shiva generated a Damru sound to protect Lord Krishna from the high energy release-Raga MEGH!Tansen's physical agony after singing Raag Deepak also pacified by it 20.Bhoopali-Bhakti ras,like Rag Shudh Kalyan & Yaman,abt evoking non-attachment 21.Marwa-Bhakti ras,sunset 22.Puriya-" in highr octave 23.Gunkali-Soft " 24.Sorath-Strong belief 25.Hameer-Nocturnal,gen'ly in upper octaves,on all natural notes 26.Kamod-Tough combo of Malhar,Hameer,Kedar,Chhayanat 27.Shyam Kalyan-Kamod+Kalyan 28.Lalit-Serene dev'l,at dawn 29.Tilang-V.sweet raag 30.Darbari(Kanada)-Grave,lot in lower octave(lower than most Kanada family raags),deeply emo,no frivolos decors 31.Asavari/Jaunpuri-To depict cold 32.Nayaki Kanada-Dynamic,enthu & full of vitality 33Sarang(family)-Of melodic history 34.Adana-Slow Darbari b4 Sarang drut(Ascetic on tiger skin) 35.Jaijaiwanti-Happiness & satisfaction of King winning battle+sadness of lost son 36.Tilak Kamod-Like Raag Des.V.melodious raag,of rains 37.Madhmad Sarang-Sarang mid 38.Pilu-In thumri etc 39.Sohini-Moist tranquil nt,high octaves 40.Kalingda/~Raag Bhairav-Peaceful morng contmplatv devtl 41.Paraj-Basant b4 Kalingda 42.Andolika-Caps shudh;Small komal/tivr 43.Hemant-Deep,soothing,aroh5 avroh7
Pictorial depiction of playlist: https://tooter.in/IndieSpace/posts/107715271386256227
POORNIMA / SUSHMA SHRESHTA ‘S TOP 220 SONGS !
Yt Link:
Itni Shakti hamein dena data - Ankush
Kaisi rahungi tere bina – Album
Teri Hai Zameen Tera Aasman - The Burning Train
Tumsa Koi Nahi – Poornima
Palkon Mein Sapne - Raja Ki Aayegi Baraat
Aayi Savan Ki Ritu Matvali - Awara Zindagi
Chod Mohe Gayile - Goriya
Rehte Nashe Mein - Papi Gudia
Ek Baar Ek Baar Pyar Se Toh Dekh - Sanam Teri Kasam
Chin China China - Aunty No. 1
Kya huva kuch huva - Rampur ka raja
Udhar Ki Zindagi - Dadaji Ki Chhadi Hu Main
Jab Tak Rahega Samose Mein Aaloo - Mr And Mrs Khiladi
Hungama Ho Gaya - Deewana Mastana
Choona Na Mera Ghungta – Agniputra
Yeh aalam yeh mausam -Jai kishen
Bharatpur Lut Gaya - English Babu Desi Mem
San Sana Nana Sai Sai - Banarasi Babu
Sona Kitna Sona Hai - Hero No 1
Mr. Lova Lova – Ishq
Har Waqt Mujh Mein Masti Masti – Krishna
Illa Loo Illa Loo – Mrityudaata
Har Janam Mera - Aaj Ka Samson
Lau Kaha Se Mai Wo Jubaa - Jaane Jigar
Inteqaam Ki Aag - Hum Nahin Bhoolenge
Mere Rabba - Sarhad Paar
Kahin Rut Badal Na Jaaye - Awara Zindagi
O My Sweetheart Dil Ko Dil Se Jod De
Kiss Me Come Quick
Tukur Tukur Dekhte Ho Kya – Masoom
Main No 1 Hoon – Vaade Iraade
Tum Tana Na Tana – Baharon ke Manzil
Channe Ke Khet Mein – Anjaam
Tu Tu Tu Tu Tara - Bol Radha Bol
Shaam Hai Dhuan Dhuan – Diljale
Behke behke kadam – Himmat
Saiyan Ke Saath Madhaiya Mein - Eena Meena Deeka
Cham Cham Chandni -Janam Kundli
Haye Hukku Haye Hukku Haaye Haaye - Gopi Kishan
Pinjre main popat bole
Barsaat main jab ayega sawan ka mahina – Maa
Jawani Diwani – Chamatkar
Kuch Hua Re Hua Re – Shastra
Dil Tera Deewana – Raghuveer
Hun Huna Re – Taaqat
Main Paidal Se Jaa - Hero No 1
Mera Mehboob Aayega - Gopi Kishan
Teri Kismat Mein – Kismat
A Aa E Ee Mera Dil Na Todo - Raja Babu
Mera Daaman - Haryanvi Pop
Ho Gaya Hai Mujhko Pyar Pyar – Dil Bole PIya piya
Chanda Ki Chori - Raja Ki Aayegi Baraat
Batti Na Bujha - Gopi Kishan
Chori Se Chupke – Dharam Yoddha
Dil Mein Hai Tu – Daata
Teesra Kaun – Teesra Kaun
Chudiyan Bajaungi - Betaaj Badshah
Main Hoon Gaon Ki Gori - Bol Radha Bol
Bichhuaa - Haryanvi Pop
Mera Lehenga Gher Ghumer - Hum Hain Bemisal
Chori Pakdi Gayi – Dil bole piya piya
Sarkai Lo Khatiya Jada Lage - Raja Babu
Saawan Mahina Lagi Hai Jhadi - Pehla Pehla Pyar
Kudi Tu Kudi Kamal Ki Tu - Sikandar Sadak Ka
Kuku Kuru Kuku Kuru – Himmat
Chhatri Na Khol Barsaat Mein - Gopi Kishan
Sana Sana Sannana – Barood
Eena Ko Mil Gayi Meena – Eena Meena Deeka
Ui Amma Ui Amma - Raja Babu
Aa Tujhe Main Pyar Doon – Bandish
Love Rap - Maine Dekha Jab – Krantiveer
Ban Gae Ban Gae Ban Gae yaar mere saiyya ki Sarkar
Chudiya Bajau Ki Bajau Kangna – Muqaddar
Yeh Dil Deewana - Vaade Iraade
Sajna teri bena -Ram Aur Shyam
Piya piya - Ram Aur Shyam
Yun to nazar baaz toone - Naam kya hai
Padhna Likhna Chhodo – Angrakshak
Kis Ladki Ne Dil Mera Chhina – Mafia
Turu Ru Turu Ru – Elaan
Panga Na Le Mere Naal -Haseena Maan Jaayegi
Jumme ke Jumme Ghar Aaya Karo – Mr & Mrs Khiladi
Janu Mai Jane Tu – Gangster
Looshe Wai Wai - Jai Kishen
Tera naam likh diya - Baharon ki manzil
Mera Dil Bola – Elaan
Meri Jaan Dua Karna – Baharon ki manzil
Godna God Mohe – Vinashak
Log Aate Hai – Pehchaan
Dheere Dheere Nazar Ladne De – Pehchaan
Mujhko Ek Pappi Chahiye – Vijeta
Ek Ladki Pataka - Apne Dam Par
Sama Hai Mastana – Dil Bole Piya Piya
Mantar Maar Gaya – “
Yaar Mera Chikna Ghada - Badle Ki Aag
Tukur Tukur Dekhte Ho Kya – Masoom
Munna Main Chunna Tu - Khoon Ka Sindoor
Nazro Se Aaj Nazre – Tahkhana
Godanwa Godo Mori Baiyaan Ji – Mudda The Issue
Intvw
Tu Mere Dil Mein Bas Ja – Judwaa
Biwi No.1 - Biwi No.1
Sirf Sunday Ko – Ansh
Taana Tandana –Insaaf
Laddu Motichur Ka - Hote Hote Pyaar Ho Gaya
Teetar Teetar – Bandish
Chu Chu Chu - Kyun Sharmaye Kyu Ghabraye
Gore Gore Gaal Meri Jaan Ke - Jai Vikranta
Parody Song- Mehendi
Pari Kahan Se Aai - Khoon Ka Sindoor
Dilwala Dil Legaya - Dil bole piya piya
Ankhon Mein Mohabbat Hai – Gair
Dil Deewana Mane Na- Janam Kundli
Haye Ram Buddhe Me Bada Dum Hai – Zahreela
Choli Ke Andar Kya Hai – Khalnaaika
Gajab Siti Maare Saiyan Pichware - Lahoo Ke Do Rang
Ittefaq raaton ko
O Jaanu O Mere Jaanu -Pehla Pehla Pyar
Gali Gali Tere Husn Ki - Miya Biwi Aur Saali
Aiya Aiya Aiya Masti Cha Gayi –
Mama Miya Mama Miya –
Jeth Ki Dopahri Mein - Coolie No. 1
Dhik Ta Na Na (Female) – Laadla
Dhik Ta Na Na – Laadla
Chal Kar Le Thoda Pyar - Tu Chor Main Sipahi
Tak Jhoom – Mrityudaata
Aadhi Si Raat - Haryanvi Pop
Gore Rang Pe Itraye – Suhag
Love Me Love Me – Taaqat
Nadhin Dhinna - Mr. Bechara
Suno Miya Suno Miya - Kyo Kii Main Jhuth Nahin Bolta
Mujhe Hero Ban Jaane Dee - Mr & Mrs Khiladi
Ab Tak Hai Puri – Kudrat
Aao Chalo Hum Kare Nain Mataka – Loafer
Sasuji – Rajaji
Gora Pareshaan Hai – Shikari
Ab Tu Meri – Prince No 1
Lut Gayee – Hulchul
Love Love - Hindustan Ki Kasam
Darwaja Khula Tha - Sar Uthake Jiyo
Dil Mera Udaas Hai –Angrakshak
Kuch Kuch Kuch Ho Raha Hai – Loafer
Ek Chadar Do Sone Wale - Betaaj Badshah
Gora Gora Rang – Dil bole piya piya
Sabse Badi Dosti – Baharon ke manzil
Goriya pyar mujhe - Mere Humsafar
Maine Kya Julm Kiya - Eena Meena Deeka
Chaadar Bichhayi Diyo Na - Aakhri Dacait
Tan Tana Tan Tan Taara – Judwaa
Oonchi Hai Building – Judwaa
Ooperwale neeli chhatri – Lalchee
Soorat Hai Meri Bholi – Jai Kishen
Roop Salona Tera Dekh Ke - Jaani Dushman
Chhod De Janeman Apni Zid Chhod De – Chandaal
Kashmakash Badhi Toh – Cheetah
Tum Tum Ho Ke Nahin - Saatwan Aasman
Ooyee Ooyee Meri Amma - Bewafa Sanam
Agar Barsaat Na Hoti To Dil Ki Bat – Janam Kundli
Amanat
Ladke Aaj Ke Ladke – Vijaypath
Mera Dil Bole Piya Piya
More Piya Ke Sang – Goriya
Dil Tera Badmaash Hey karta hai –
Dil Dhadak Mera – Mard
Jaane Jaana Tune Chua
Angoorwali Bagiyan - Maa Kasam
Ek Ladki Nache Raaste Mein – Suraj
Mujhe Ekraar Karna De Zara Izhar –Bhai
Neend Aati Nahin – Vijeta
Pyaar Ki Rail Gadi - Sabse Badhkar Hum
Sawan Ki Raat Suhani – Rangbaaz
Mach Gaya Shor – Barood
Galiyan Da Munda - Do Numbri
Chhan Chhana Chhan
Chum Le Mere Balon Ko – Shapath
Dekho Jo Palat Ke – Zameer
Yeh Dil Ka Dhadkana - Sikandar Sadak Ka
Chikne Chikne Gaal - Sher E Hindustan
Doob Ke Dariya Mein · Saajan Chale Sasural
Oee maa ye kya ho gaya - Aao Pyaar Karen
Towel Mein Baahar Jaaogi - Eena Meena Deeka (Contd)
0 notes
lesbian-nerd-magnet · 3 years
Text
tf
5 notes · View notes
Text
"Aap puchiye isse; ise koi problem hai?
Ise koi problem hi nhi hoti hai.. "
Beshaq koi problem nahi hai mujhe... Kahan hai koi problem. Jo mere liye problem hai, voh aap sabke liye to shayad mazaak hai. Isliye nahi pehchan mein aata mujhe ki.. ki, meri pro..b problem kya hai. Zaroori haina par, samjh aana lekin ki Mujhe problem kya hai. Aap sab bhi yahi kehte hain; ki discuss karo, share karo kya problem hai tumhe...sab bahar aa jayega toh acha lagega tumhe you'll feel better, par kya hai jo bahar aayega? Kuch bhi hai kahan andar..Kuch bhi nhi h..Aur agar hai to mujhe dekhayi kyun nhi deta, mujhe khudko samjh kyun nahi aata?
"Jinki life mein problems nahi hoti hai na,
Vo khud apne liye problems create karte hain."
Haha, yes. Maybe yahi problem hai meri bhi, shayad maine bhi create hi kar rakhi hain problems apne liye. Fine. To theek hna create kisine ne bhi kari ho but suffer to main hi kar rahi hoon na. Toh kya khudki created problems ko valid certification nhi diya jaata kya? Voh kya unn daayero se bahar hai? Aur agar haan toh kyun? Why?... but why ko toh kam hi consider kiya jaata hna.. sahi tha ved, aakhir kise padi hai//
"Stories sunata rehta hai... "
Aur kya karun toh, yahi toh phir bachta hai mere pass le deke sab kuch! Kahaniyaan.. jinke kirdaar mujhse 'kya' yaa 'kaise' nahi puchte aur mere har 'kyu' ka jawab bhi mujhe de dete hain..mere jaise hi hote hain, confused, anxious, curious, aur pagal; aur mujhe khud ko hi samjhne mein help karte hain. Sawaal nahi karte mujhse bas sunte hain meri...aur mere saare sawaalon ka jawab de dete hain.
"Kahaniyon ki duniya se bahar nikl idiot,
Apne baaremein soch yeh jo teri kahani chal rahi h ismein kya hoga"
Meri naseeb mein toh koi kahaniwala bhi nahi h jo bta sake ki aage kya hoga..par ek second, woh hota bhi toh mujhse bas sawal hi krta na ki khud se puch chahti kya h tu.. kya hai tere dil mein? ... Main kya chahti hoon? Wahi toh saari problem hai yaar. Wahi toh saari problem hai.
Yahi meri problem hai, ki IDK main kya chahti hu yaa phir meri problem kya hai, mujhe kya trouble kar rha hai..
Ab ye kiske saath share karun? Batao? All they'll tell me is either the same ki yeh tumne create kar rakha hai apne liye, meditate karo..focus karo, aisa kuch nhi hota h sab psychological h or they'll ask me 'kya?' or 'kaise?'
Arey bhyi iss kya ka kya answer hota h ... tum mujhse 'kyu' pucho na, 'kyu' kyu nhi puchte?
Mere paas tumhare 'kya' or 'kaise' ke liye bhi wahi question h jo tumhare paas mere 'kyu' ka hota hai...
"voh kya hota hai?"
haha, ironically yeh bhi 'kya' hi puch rha h
~𝑺𝑺🦋
13 notes · View notes