#hazrat muhammad ne farmaya
Explore tagged Tumblr posts
Video
youtube
Woh Jagah Jahan Hazrat Muhammad ﷺ Ne Aaram Farmaya | Islamic History
0 notes
Text
Hazrat Ammar Razi Allahu Anhu Ko Baagi Giroh qatal karega, wo unhe Jannat ki taraf dawat degen, jabki wo aag ki taraf , Kya Iski Nisbat Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unke giroh par hai ? Ek Eitraaz Ka Ilmi Jawab
Article :- Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah
Roman Script :- Abdul Adil Ansari
Musalmano ko chahiye ki woh Sahaba Razi Allahu Anhu ki Fazilat bayan kare, unke mutalliq hushn-e-jan rakhe, unke beech jo kuch ladaiyyan, huyin ya ikhtelaaf hua usme khamoshi ikhtiyar kare. Ahle Sunnat ka yahih mauquf hai ki wo Mushaajarat Sahaba Razi Allahu Anhu ke bare me apni zaban band rakhi jaye . woh behtareen hastiyaa thi jinhone Rasoolullah ﷺ ki Sohbat ikhtiyar ki, Deen e Islam ka har tarah se difaa kiya. chahe maali aitebar se, yaa jaan ke aitebar se. yeh wahi hastiyaan hain jinke mutalliq Quran mein kaha gaya ki Sabeelil Momineen hai. Unki raah se majmooyi taur par inheraaf karna jahannum ki taraf jana hai. woh behtareen shakhshiyat thi jinhone khush-haali, dukh, sukh waghairah mein Imam Ul Ambiya ka sath diya aur apne Imaan par sabit qadam rahe.
Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu ne kaha 👇
إن الله عز وجل نظر في قلوب العباد فوجد قلب محمد صلى الله عليه وسلم خير قلوب العباد فاصطفاه لنفسه وبعثه برسالته ثم نظر في قلوب العباد بعد قلب محمد صلى الله عليه وسلم فوجد قلوب أصحابه خير قلوب العباد – يعني من غير الأنبياء والمرسلين كماهو معلوم – فجعلهم وزراء نبيه صلى الله عليه وسلم ��قاتلون عن دين.
Beshak Allah Ta'ala ne logon ke dilon ko dekha to Muhammad ﷺ ke dil ko tamam logon ke dilon se behtar paaya, chunache use apne liye chun liyaa aur aapko apni risalat ke sath Mab'oos kiya, phir logon ke dilon ko dekha to Muhammad ﷺ ke dil ke baad, Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ke Sahaba ke dilon ko baqiyaa logon ke dilon se behtar paaya, lihaaza unhe apne Nabi ﷺ ke wajrah bana diyaa, wo qitaal karte hai uske deen ke liyeh.
{Musnad Ahmad 1/379}
Un azeem hastiyon ki kirdar-e-kashi karna , unki tanqees karna,unki takfeer karna,unko bura bhala kahna khud ke imaan ko gawane ke mutaradif hai. isi liye is Ummat ke behtareen log , Aimmah huda, Aimmah Muhaddiseen ne unke mutalliq farmaya
1] Imam Awwam Bin Hawshab Rahimahullah Farmate hai
قَالَ : ” اذْكُرُوا مَحَاسِنَ أَصْحَابِ مُحَمَّدٍ عَلَيْهِ السَّلامُ تَأْتَلِفُ عَلَيْهِ الْقُلُوبُ ، وَلا تَذْكُرُوا مَسَاوِيَهُمْ ، فَتُحَرِّشُوا النَّاسَ عَلَيْهِمْ “
Rasoolullah ﷺ ke Sahaba Razi Allahu Anhu ki Khoobiyan bayaan karo taaki (logon ke) dilon main unki muhabbat hi muhabbat ho, aur unki khaamiyaan bayaan naa karo taaki logon (ke dilon) mein unke khilaaf nafraat paidah naa ho jaye
(السنة لأبي بكر بن الخلال 828)
2] Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Farmate Hai
قال الإمام أحمد بن حنبل: من تنقص أحدا من أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلا ينطوي إلا على بلية، وله خبيئة سوء إذ قصد إلى خير الناس، وهم أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم
Jo shaksh Rasoolullah ﷺ ke Sahaba mein se kisi ek ki tanqees kare to woh apne andar musibat chupaye huwe hai, uske dil mein buraayi hai jiski wajah se Rasoolullah ﷺ ke Sahaba Razi Allahu Anhu par hamlaa karta hai halaakin woh (Ambiyaa ke baad) logon mein sabse behtareen the.
(السنة لأبي بكر بن الخلال حدیث نمبر 757)
In Sha Allah ek kalima padhne wale ko yahih daleel kaafi hai ki wo Rasoolullah ﷺ ki sohbat mein rahe .
Is Mukhtasar tasurat ke baad arz hai, ki baaz log ye riwayat pesh karte 👇
Hazrat Abu Sayeed Khudri Razi Allahu Anhu bayan karte hain ki Rasoolullah ﷺ ne Sayyadna Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu se farmaya
وَيْحَ عَمَّارٍ تَقْتُلُهُ الْفِئَةُ الْبَاغِيَةُ، يَدْعُوهُمْ إِلَى الْجَنَّةِ، وَيَدْعُونَهُ إِلَى النَّارِ
Ammar kya baat hai , use baaghi ghiroh qatal kar dega, wo unhe jannat ki taraf bulayenge , jabki doosra ghiroh unhe Aag ki taraf bulayenga
{Sahih Bukhari Hadees Number 447 & 2812 , Sahih Muslim Hadees Number 2915}
Is hadees ko pesh karke Shiya, Naam nihad sunni yaa chupe huwe rafzi Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unke ghiroh par fit karte hai. aur unke mutalliq yeh kahte hain ki woh baaghi (yaani kaafir nauzobillah) aur jahannum ki taraf dawat de rahe hai. aaiyeh Aimmah e Muhaddisin aur Aimmah e Huda aur is ummat ke behtareen log yaani salaf ne is riwayat se kya istimbat aur istidlal kiya aur is riwayat se kya matlab liya hai .
kisi ek muhaddis ne bhi is riwayat ko pesh kar ke Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unke ghiroh par tanqees, takfeer, kirdar-kashi nahih ki balki wo is riwayat ka saheeh sareeh mafhum awaam ke samne aagah kiya kyu ki ek Musalman ke dil mai Sahaba Razi Allahu Anhu ke liye bughz keena paida na ho. aur un naam nihad rafziyon ka behtareen aur mudallal jawab diyaa. Mutaqaddimeen se lekar mutakhireen tak kissi ek muhaddis ne is riwayat ko pesh kar karke Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unke ghiroh ki tanqees nahih ki aur naa hi kirdarkashi ki. balki jab rafziyon ne is riwayat ko pesh kar ke Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unkay ghiroh par takfeer ki to Aimmah Muhaddisin aur Shariyeh hadees ne is riwayat ka mudalldal jawab diya aur rafziyon ke shub’haat par kalam uthayaa.
In rafziyon aur chupe huye rafziyon se adaban guzarish hai ki wo mutaqaddimeen mein se yaa mutakhireen mein se kisi ek muhaddis ka hawala pesh kare ba-sanad saheeh ke sath jis mein unhowne yeh riwayat pesh karke Muawiyah Razi Allahu Anhu aur unke ghiroh par tanqees, takfeer, kirdarkashi ki.
In sha Allah Subah Qayamat tak ka waqt diya jayega . Aur Inhe Nooh Alaihissalam ki umar bhi lag jaye tab bhi wo kisi ek muhaddis ka name pesh nahih kar sakenge.
Aaiyeh dekhte hai is riwayat ke mutalliq Aimmah E Muhaddisin kya likhte hai.
1] Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Likhte hai
فَإِنْ قِيلَ : كَانَ قَتْلُهُ بِصِفِّينَ ، وَهُوَ مَعَ عَلِيٍّ ، وَالَّذِينَ قَتَلُوهُ مَعَ مُعَاوِيَةَ ، وَكَانَ مَعَهُ جَمَاعَةٌ مِنَ الصَّحَابَةِ : فَكَيْفَ يَجُوزُ عَلَيْهِمُ الدُّعَاءُ إِلَى النَّارِ ؟
فَالْجَوَابُ : أَنَّهُمْ كَانُوا ظَانِّينَ أَنَّهُمْ يَدْعُونَ إِلَى الْجَنَّةِ ، وَهُمْ مُجْتَهِدُونَ لَا لَوْمَ عَلَيْهِمْ فِي اتِّبَاعِ ظُنُونِهِمْ ، فَالْمُرَادُ بِالدُّعَاءِ إِلَى الْجَنَّةِ : الدُّعَاءُ إِلَى سَبَبِهَا وَهُوَ طَاعَةُ الْإِمَامِ ، وَكَذَلِكَ كَانَ عَمَّارٌ يَدْعُوهُمْ إِلَى طَاعَةِ عَلِيٍّ ، وَهُوَ الْإِمَامُ الْوَاجِبُ الطَّاعَةُ إِذْ ذَاكَ ، وَكَانُوا هُمْ يَدْعُونَ إِلَى خِلَافِ ذَلِكَ ، لَكِنَّهُمْ معذورون للتأويل الَّذِي ظهر لَهُم ” .
Agar aap kahenge ki Ammar Razi Allahu Anhu ka qatal jung siffin mein huwa, aur wo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ke sathi the aur qatal karne walay Muawiyah Razi Allahu Anhu ke sathi the. Aap ke sath Sahaba ki jamaat thi, to unke mutalliq yeh kahna kaise jaiz hoga ki woh use jahannum ki taraf bulayenge ?
Jawab yeh hai ki woh unhe apne ghuman ke mutabik jannat ki taraf bula rahe hai, wo mujtahid hai. unhe apne ghuman ki itteba mein koyi malamat nahih ki jaa sakti. lihaaza jannat ki taraf bulane se muraad yeh hai ki jannat ke sabab ki taraf bulaana, joh ki imam e haq ki ita’aat wa farmabadari hai.
Isi tarah Ammar Razi Allahu Anhu unhe Ali Razi Allahu Anhu ki ita’aat ki taraf bulathe the , jo ki imam e waqt aur wajibul ita’aat the. Jabki Muawiyah Razi Allahu Anhu aur aapke sathi unhe doosri taraf bulathe the, lekin wo aapne ijtihad mein maazur hai, kyunki unke peshe nazar koyi taweel thi.
(فتح الباري” 1/ 542)
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Mazeed Likhte hai
وذهب جمهور أهل السنة إلى تصويب م�� قاتل مع علي لامتثال قوله تعالى وان طائفتان من ��لمؤمنين اقتتلوا الآية ففيها الأمر بقتال الفئة الباغية وقد ثبت ان من قاتل عليا كانوا بغاة وهؤلاء مع هذا التصويب متفقون على انه لا يذم واحد من هؤلاء بل يقولون اجتهدوا فأخطئو
Jamhoor ahle sunnat is baat ke qayel hai ki Allah Ta'ala ka farmaan
وان طائفتان من المؤمنين اقتتلوا
mein joh baaghi jamaat se qitaal ka huqm hai uske mutabiq Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ke hum-nawa haq par the aur jinhone unse ladayi ki wo baagi the . Iske bawajud jamhoor ispar muttafiq hai ki un mein se kisi ki mazammat na ki jayeh balki yeh kaha jayeh ki unhone ijtihad kiya magar us mein khata ke murtakib huwe.
(FATH UL BAARI 13/67)
Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Aur Mazeed Likhte hai
واتفق أهل السنة على وجوب منع الطعن على أحد من الصحابة بسبب ما وقع لهم من ذلك ولو عرف المحق منهم لأنهم لم يقاتلوا في تلك الحروب الا عن اجتهاد وقد عفا الله تعالى عن المخطئ في الاجتهاد بل ثبت أنه يؤجر أجرا واحدا وان المصيب يؤجر أجرين
Ahle sunnat is baat par muttafiq hai ki Sahaba Razi Allahu Anhu ke maa-bayn waqeyah hone wale hawadis ke bina par un mein se kisi ek Sahabi par taan wa tashneeh se ijtinab wajib hai. agarchay yeh maloom ho jaye ki unka mauquf batil par tha kyunki unhonne un ladayiyon mai sirf ijtihad ki beena par hissa liyaa aur Allah Ta'ala ne mujtahid mukhti ko maaf farma diya hai balki yeh sabit hai ki uske ijtihad mai khata ho jayeh tab bhi ussay ek ajr milega aur jiska ijtihad durust hoga use do ajr milega.
(FATH UL BAARI 13/34)
2] Allama Nawawi Rahimahullah likhte hai
قال العلماء : هذا الحديث حجة ظاهرة في أن عليا رضي الله عنه كان محقا مصيبا ، والطائفة الأخرى بغاة ، لكنهم مجتهدون ، فلا إثم عليهم لذلك ، كما قدمناه في مواضع منها هذا الباب
Ulema kahtay hai is hadees mein yeh zaahir daleel hai ki Hazrat Ali Razi Allahu Anhu haq aur sawaab par the, aur doosri jamaat baaghi thi, lekin woh mujtahid the isliye yeh gunehghar nahih hai, is hadees mein Rasoolullah ﷺ ka kayi mozaze hai.
(SHARAH SAHEEH MUSLIM 1/359)
3] Hafiz Ibne Kasheer Rahimahullah Likhte hai
وَقَدْ كَانَ عَلِيٌّ أَحَقَّ بِالْأَمْرِ مِنْ مُعَاوِيَةَ .
وَلَا يَلْزَمُ مِنْ تَسْمِيَةِ أَصْحَابِ مُعَاوِيَةَ بُغَاةً : تَكْفِيرُهُمْ ، كَمَا يُحَاوِلُهُ جَهَلَةُ الْفِرْقَةِ الضَّالَّةِ مِنَ الشِّيعَةِ وَغَيْرِهِمْ ; لِأَنَّهُمْ ، وَإِنْ كَانُوا بُغَاةً فِي نَفْسِ الْأَمْرِ، فَإِنَّهُمْ كَانُوا مُجْتَهِدِينَ فِيمَا تَعَاطَوْهُ مِنَ الْقِتَالِ، وَلَيْسَ كُلُّ مُجْتَهِدٍ مُصِيبًا، بَلِ الْمُصِيبُ لَهُ أَجْرَانِ، وَالْمُخْطِئُ لَهُ أَجْرٌ
Sayyadna Muawiyah Razi Allahu Anhu ki baa nisbat Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu khilafat ke zyada haqdar the. Ashaab e Muawiyah Razi Allahu Anhu par baaghi ka lafz bolne se unka kaafir hona laazim nahih aata, jaisa ki baaz gumrah jahil shiya waghairah ne kaha hai. kyunki agarchay woh baaghi the, lekin woh aapni ladayee mein mujtahid thay. har mujtahid durust nahih hota, balki durust ko dohraa aur ghalti karne wale ko ek ajar milta hai.
(AL BIDAYAH WAN NAHAYA 3/217)
——————————————————
BAAGHI GHIROH
BAAGHI GHIROH DO TARHA KE HOTE HAI
1) Imam e haq ki khilaf khurooj karne wala aur uski khilafat wa mulukiyat ka munkir.
2) Ijtihadi khata ke bina par imam e haq ke khilaf kisi masle mein ladne wala,
Aisa shaksh Naa islam se kharij hoga, Naa lanat wa malamat ka mustahiq, woh zaalim wa faasiq bhi nahih. balkay woh maw’ul wa mazur hai. use baaghi bhi kaha gaya hai jaisa ki Allah Ta'ala ka farman hai
Momino ke do ghiroh baa-hum jagadh padhe , to unki sulah karwa de, ek ghiroh doosre par baghawat kare ,to baagi se us waqt thak qitaal kare jab thak woh Allah ke faislay ki taraf mayeel nahih hota, jabki mayeel ho jayeh to adl ke sath unki sulah karwaye aur insaaf kare, kyunki Allah Ta'ala munsifeen ko mehboob rakhta hai.
(SURAH HUJIRAT AYAT 9)
Quran ne bawajud baghawat ke dono ghiroh ko momin kaha hai.
1] Hazrat Abu bakra Razi Allahu Anhu bayan karte hai ki Nabi ﷺ ne Sayyadna Hasan Razi Allahu Anhu se farmayaa
ابْنِي هَذَا سَيِّدٌ، وَلَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يُصْلِحَ بِهِ بَيْنَ فِئَتَيْنِ مِنَ الْمُسْلِمِينَ
Mera yeh beta Sayyad hai aur ummeed hai ki Allah Ta'ala iske zariye musalmano ki do jamato mein milaap kara dega.
(SAHEEH BUKHARI HADEES 3629)
________________________
Ijafa :-
2] Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu bhi Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ko baagi giroh mein nahi samjhte the
حدثنا مكي بن إبراهيم ، ثنا عبيد الله بن أبي زياد ، حدثني عبد الكريم بن أبي المخارق ، حدثني سعيد بن عامر القرظي ، قال : حدثتني أم عمارة ، حاضنة لعمار ، قالت : اشتكى عمار ، قال : لا أموت في مرضي حدثني حبيبي رسول اللہ ﷺ : أني لا أموت إلا قتلا فئتين بین مؤمنين .
Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu ki Hazanat Aur Nigahdaast karne wali kahtoon kahti hai ki Ek Baar Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu shakth bimar ho gaye to Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu kahne lage is bimari me meri maut nahi ayegi wajah ye hai ki mere Haq me Mere Habeeb Janab E Muhammadur Rasoolullah ﷺ ka irshad ye hai ki Mominon ke do jamaton ke darmiyan main qatal ho jauga aur is soorat meri maut waqey hogi
{Tareekh Al Shageer Jild-1 Safa Number - 104}
Yahan par Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Anhu ne dono giroh ko momin kaha hai
________________________
3] Imam Ibne Hazam Rahimahullah Farmate hai
المجتهد المخطئ إذا قاتل على ما يرى أنه الحق قاصدا إلى الله تعالى نيته، غير عالم بأنه مخطئ، فهو فئة باغية، وإن كان مأجور أو لا حد عليه إذا ترك القاتل ولا قود، وأما إذا قاتل وهو يدري أنه مخطئ فهذا محارب تلزمه حد��د المحاربة والقود، وهذا يفسق ويخرج، لا المجتهد المخطئ، وبيان ذلك قول الله تعالى: (وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا فأصلحوا بينهما فإن بغت إحداهما على الأخرى فقاتلوا التي تبغي حتى تفيء إلى أمر الله ـ إلى قوله ـ إنما المؤمنون إخوة فأصلحوا بين أخويكم) فهذا نص قولنا دون تكلف تأويل ولا زوال عن موجب ظاهر الآية، وقد سماهم الله عز و جل مؤمنين باغين بعضهم إخوة بعض في حين تقاتلهم، وأهل العدل المبغي عليهم والمأمورين بالإصلاح بينهم وبينهم ولم يصفهم عز وجل بفسق من أجل ذلك التقاتل ولا بنقص إيمان، وإنما هم مخطئون باغون، ولا يريد واحد منهم قتل الآخر
Mujtahid khatakar jab ladhe aur woh khud ko haq par samajtha hoo apni niyat Allah Ta'ala ke supurd karta hoo aur use yeh ilm naa ho ki woh khatakar hai. to woh maajur aur qisaas se mamoon hoga. Uspar koyi dayt nahih hogi , agar qitaal chodh de. Agar apni galti jante boojhte qitaal karey , to aisa shaksh harbi hoga aur usse qitaal karna aur qisaas laazim ayega. aisa shaksh faazir wa faasiq hai, mujtahid khatakar nahih hai.
uski wajahat yeh farman Baari E Ta'ala karta hai
Momino ke do ghiroh baahum jagadh pade , to unki sulah kara de, ek ghiroh doosre par bhagawat kare, to baaghi se ladayee karey, taaki Allah Ta'ala ke faishle ki taraf maeel ho jayeh. aage farmayaa bila-shubah momin apas mai bhai bhai hai. unme sulah safayee karwa diyaa karey.
Yeh daleel baghair kisi taqeel wa tabdeel ke hamare mawquf par daleel hai aur usse zaahiri maani se pherne wala koyi qareena bhi mauzood nahih. ALLAH Ta'ala ne halaat qitaal mein unhe momin baaghi kaha hai aur sath sath ek dusre ka bhai bhi qaraar diya hai. Nez in baaghiyoo ko adil aur saleh kaha hai. Allah Ta'ala ne unhe apas ki is ladayee ke beena par fasiq wa fazir nahih kaha aur naa hi unke imaan mein kami waqayeh huwi. yeh to khatakar hai, joh bhagawat par utar ayeh, unmein kisi ka bhi doosre ko qitaal karne ka qat’an iradaa na tha..
(الفصل في الملل 4/125)
4] Shaikh Ul Islam Ibne Taimiyah Rahimahulla Likhte hai
أما إذا كان الباغي مجتهدا ومتأولا ، ولم يتبين له أنه باغ ، بل اعتقد أنه على الحق وإن كان مخطئا في اعتقاده : لم تكن تسميته ” باغيا ” موجبة لإثمه ، فضلا عن أن توجب فسقه . والذين يقولون بقتال البغاة المتأولين ; يقولون : مع الأمر بقتالهم قتالنا لهم لدفع ضرر بغيهم ; لا عقوبة لهم ; بل للمنع من العدوان . ويقولون : إنهم باقون على العدالة ; لا يفسقون . ويقولون هم كغير المكلف ، كما يمنع الصبي والمجنون والناسي والمغمى عليه والنائم من العدوان أن لا يصدر منهم ; بل تمنع البهائم من العدوان . ويجب على من قتل مؤمنا خطأ الدية بنص القرآن مع أنه لا إثم عليه في ذلك
Jab baaghi mujtahid aur mutawil hoo, use yeh bhi maloom na hoo ki woh galti par hai. balki woh khud ko haq par samjhe, woh ghalti aitiqaadi hi kyu na hoo, use baaghi naam dene se uska gunahghar hona laazim nahih aata, jhay chahiyeh use fasiq kaha jayeh. jin Hazraat ne baaghi mutawalin se qitaal karne ka kaha hai, unhone qitaal ka huqm dene ke sath sath yeh bhi kaha hai ki hamara unsay qitaal unki baghawat ke nuqsan ko door karne ke liye hai. Naa ki bataur e sazaa, balki dushman se difaa karte huwe aur bas.
Muhadissin kahte hai ki unki adalat baaqi hai. unhe faasiq nahih tahraaya jayega. yeh ghair mukallaf ki tarah hai, jaisa ki bacche , pagal , diwaane , behosh aur soye huwe ko sarkashi se roka jaata hai. balki janwaron ko bhi sarkashi say roka jaata hai. Qurani nas ke mutabik kisi momin ko galti se qatal kar dene walay par dayt laazim hoti hai, lekin uske bawazood us par koi gunah nahih.
( مجموع فتاوى page 76)
Shaikh Ul Islam Ibne Taimiyah Rahimahulla Mazeed Likhte hai
الباغي قد يكون متأولا معتقدا أنه على حق ، وقد يكون متعمدا يعلم أنه باغ ، وقد يكون بغيه مركبا . من شبهة وشهوة ، وهو الغالب . وعلى كل تقدير فهذا لا يقدح فيما عليه أهل السنة ; فإنهم لا ينزهون معاوية ولا من هو أفضل منه من الذنوب ، فضلا عن تنزيههم عن الخطأ في الاجتهاد ، بل يقولون : إن الذنوب لها أسباب تدفع عقوبتها من التوبة والاستغفار
Baaghi kabhi kabar taweel karta hai aur khudko haq par samajhtaa hai aur kabhi jante boojhte baghawat ka murtakib hota hai, aqsar aisa hota hai ki uski baghawat shub’ah aur shawbat ka majmuaa hoti hai. Jaisa bhi samaj liya jaye , usse ahle sunnat ke mawquf par aanch nahih aati, kyuki ahle sunnat Muawiya Razi Allahu Anhu ho Ya unse bhi afzal Sahabi, kisi ko gunahon se munzarah nahih samajthe , chahe ijtihadi khata se munzarah samajthe ho, balki ahle sunnat to kahte hai un gunaho ki tawbah, istagfar, gunahon ko mitha dene wali nekiyon aur gunaho ko maaf kar dene wali museebaton waghairah ki surat mein aise asbaab hai, joh unki sazaa ko khatam kar deti hai.
(منهاج السنة النبوية 4/375)
5] Imam Zahbi Rahimahulla Likhte hai
ولا نذكر أحدا من الصحابة إلا بخير ، ونترضى عنهم ، ونقول : هم طائفة من المؤمنين بغت على الإمام علي ، وذلك بنص قول المصطفى – صلوات الله عليه – لعمار : تقتلك الفئة الباغية
فنسأل الله أن يرضى عن الجميع ، وألا يجعلنا ممن في قلبه غل للمؤمنين . ولا نرتاب أن عليا أفضل ممن حاربه ، وأنه أولى بالحق – رضي الله عنه .
Hum har Sahabi ka zikr khair hi se karte hai aur unse raazi hai aur hum kahtay hai (shay’aan Muawiyah) momino ka hi ghiroh hai, jisne Imam E waqt Hazrat Ali Razi Allahu Anhu par baghawat ki. uski daleel Nabi ﷺ ka Sayyadana Ammar Razi Allahu Anhu se yeh farman hai.
Aapko baaghi ghiroh qatal karega.
Ham Allah Ta'ala se iltijaa karte hai ki un sab se raazi ho aur hame unme se na banaye, jinke dilon mein momino ke liye keena hai. hamara yaqeen hai ki Hazrat Ali Razi Allahu Anhu bahar kayf unse afzal hai, jinhone apse ladayee ki aur aap haq ke zyada qareeb the.
(سير أعلام النبلاء 209/210)
BAAZ MUHADDISIN NAY YEH JUMLA “WOH UNHAY JANNAT KI TARAF BULAYENGAY, JABKAY DUSRA GHIROW UNHAY AAG KI TARAF BULAYENGAY KE MUTALLIQ YEH KAHTAY HAI KI WOH GHIROH KHAWARIJ THA. SHARIYEH SAHEEH BUKHARI
6] Imam Ibne Battal Rahimahullah Likhte Hai
قال ابن بطال رحمه الله :
” قوله: (يدعوهم إلى الجنة ويدعونه إلى النار) ، إنما يصح ذلك في الخوارج الذين بعث إليهم علىّ عمارًا ليدعوهم إلى الجماعة ، وليس يصح في أحد من الصحابة؛ لأنه لا يجوز لأحد من المسلمين أن يتأول عليهم إلا أفضل التأويل ؛ لأنهم أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم الذين أثنى الله عليهم وشهد لهم بالفضل ، فقال تعالى: (كنتم خير أمةٍ أخرجت للناس) آل عمران/ 110 .
Ye baat "Wo unhe Jannat ki taraf bulata hai aur wo use jahannam ki taraf bulate hain” bilkul khawarijon par boli jaasakti hai jinki taraf Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne Hazrat Ammar Razi Allahu Anhu ko bheja taako wo un khawarijon ko jamaat ki taraf dawat de.
Ye baat kisi bhi Sahabi e Rasool ke liye zaiba nahi deti ki unki taraf ye baat mansoob ki jaye aur unke liye siwaye achi baat ke kuch aur kaha jaye.
Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Quran mai khud unki tareef aur tasdeeq karte huye farmaya” Tum behtareen ummat ho jo insaaniyat ke liye nikaale gaye ho”
( Surah Al Imran : 110)
( “شرح صحيح البخاري” 2/ 98-99) .
AL KALAM HASIL.
Saayadna Muawiyah Razi Allahu Anhu ki Sayyadna Ali Razi Allahu Anhu se jung ijtihadi khata ke wajah se thi. Aap ka khayal tha ke Sayyadna Usman Razi Allahu Anhu se hamari qurbat hai. lihaaza hum hi qisaas Usman Razi Allahu Anhu ke zyada haqdar hai. Lekin mamla tay paane ke bajaye qitaal ki shakal ikhtiyar kar liyaa. Isse pehle bhi Sayyada Ayesha Razi Allahu Anha aur Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke darmiyan ladayi ka sabab bhi qisaas Usman Razi Allahu Anhu tha. Is waqt bhi mamla uljhaa aur ladayi ki surat ikhtiyar kar gaya. Sayyada Ayesha Razi Allahu Anha aur Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ka mamla bi’aynihi ek tha. Raha unke ghiroh ko baaghi kahne se koi malamat nahih aati. Muhaddisin ki in tasrihaat ke baad bhi agar koyi jahil, chupa huwa rafzi bawar karta fire aur unki tanqees wa tashneeh kare to hum aise logon ke liyeh duaa goo hai Allah Ta'ala unhe SAHEEH aql e saleem de aur unse majzubana guzarish hai ki woh kisi ek muhaddis chahe woh mutaqaddimeen main se hoo yaa muthakireen mai se basanad saheeh hawala pesh karey unse ki unhone is riwayat ko lekar ye istimbat yaa istidlal akhaz kiya ho ki Muawiyah Razi Allahu Anhu ke ghirow par takfeer, tanqees, kirdarkashi ki jaye.
In Sha Allah unhe Subah qayamat tak ka waqt diya jayega aur hamare is article ke mutalliq qalam uthaye aur hame mudallal jawab de. fahem e salaf se inhiraf hokar apne tasurat pesh na karey.
Allah Ta'ala hamare dilon mei. Sahaba Razi Allahu Anhu ke mutalliq muhabbat paida kare.
Aameen Ya Rabbul Alameen
0 notes
Text
Quickly Accepted Prayer || جلد قبول ہونے والی دعا || HadeesMubarak || Hadith || Apna Sahara
#Prophets#Prophet stories Islam#hadees hadis sharif#hadees shareef#new hadees#best hadees#rasool pak hadees#hazrat muhammad hadees#nabi pak hadees#islamic hadees#hadees pyare nabi ki#hadees pyare nabi pak saw ki#pyare nabi#pyare nabi saw#hazrat muhammad ne farmaya#rasool pak ne farmaya#nabi pak ne farmaya#hadees collection#hadees in urdu#hadees urdu#saw#rasool#sahih Bukhari#Hadees Mubarak#prophet Muhammad Story#apna#sahara#apnasahara#dua
0 notes
Text
Hazrat Muhammad S.A.W Ne Farmaya Tha K Dajjal Ki Jannat Asal Me Jahanum Aur Jahanum Asal Me Jannat Hogi. Wo Jannat Aur Jahanum Hologram Technology Ha. Kl K Match Me Australian Batsman K Chakky Asal Me Out Thy Aur Pakistani Batsman K Out Asal Me Chakky Thy. Spiderman Far From Home Movie Is The Example Of Hologram Technology.
https://t.co/XLNtVrmRC8
Watch "Pakistan Vs Australia T20 WorldCup 2021 Second Semi Final Match Highlights 11-11-2021" on YouTube
youtube
0 notes
Text
Hazrat Abdul Muttalib ibne Rabiah رضي الله تعالى عنه kahte hai ki Rasoole Akram ne farmaya Sadqe ke amwaal logon ke mail hote hai ye Muhammad aur Aale Muhammad ke liye jaiz nhi
(📚Tafsire Naeemi)
0 notes
Video
youtube
Woh Jagah Jahan Hazrat Muhammad ﷺ Ne Aaram Farmaya | Islamic History
0 notes
Link
Hazrat Abu Umama (radi allahu anhu) se riwayat karte hai ki hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ne farmaya “Tahajjud zarur padha karo, kyuyki woh tumse pahle ke logo ki ravish hai aur tumhare liye apne Rab ki nazdiki ka zariya, gunaho...
0 notes
Text
Dear World
M Ne Dua Ki Thi, M Ne Socha Tha, M Ne Chaha Tha K Dajjal Ki 70 Hazar Army Iman Le Ae Aur Hamary Sath Jannat Me Jae, Pr Aisa Ni Hoga. Jis Trha Dajjal Corrupt, Chor, Monafiq, Killer, Dosro Ka Haq Khany Wala, Maal Khany Wala, Musalmano Pr Zulm Krne Wala, Criminal Ha Usi Tarha Dajjal Ki 70 Hazar Army Bhi Criminal Ha. Ye Log Prostitutions Aur Gayism Induce Krna Chahty Hain Dunia Me, In Logo Ki Majboori Ha Dajjal Ko Apna Khuda Tasleem Krna, Ye Sb Kafir Hain Aur Kafir Khuda In Ka. In Sb K Itny Crimes Hain K Ye Jail Me Jae Ge Ya Azab Se Mr Jae Ge. In Sb Ko Dajjal Ki Jannat, Jahanum Nazar Ni Ae Gi Qk Ye Log Dajjal Ko Imam Mehdi Samjhty Hain. Ye Log Apne Faidy Ko Acha Aur Nuqsan Ko Bura Samjhty Hain. In Logo Me Sabar, Bardash Wala Seen Ni Ha. Allah Pak Apne Khas Bando Ko Azmaty Hain K Wo Takleef Me Mushkil Halaat Me Kesy Guzara Krty Hain Pr Ye Log Khud Ko Nawab Samjhty Hain Crimes Krty Hain Khulam Khulla. Ye Log Allah K Khilaf Hain, Ye Log Allah Se Gily Shikwy Krty Hain Aur Dajjal Ko Apna Massiah Manty Hain Ye Sb Ladly Bewafa Gunahgar, Lehaza Ye Log Khud Jahanum Ko Accept Kr Chuky Hain. Lets Prepare For War. Lets Build Your Army. In Zalimo Se Sirf Mujh Pr Hoe Zulmo Ka Hisaab Mangy, Drugs Ka Hisaab Mangy. Agar In Zalimo Ko Obey Kre Ge, Agar In K Neechy Lage Rahe Ge To Neechy hi Lage Rahe Ge Jb Tk Jang Ni Hogi. Ye Log, Jhooty, Makkar, Monafiq Aur Dhoky Baz Hain. In K Crimes Itny Hain In K Zulm Itny Hain K ye Kabhi Bhi Ni Jheet Sakty. In K Crimes Ki Saza Sirf Moot Ya Umer Qaid Ha, Ic Liye Ye Log Dajjal Ka Sath De Kr Mrna Chahty Hain. Qk In Ki Majboori Ha Dajjal Ka Sath Dena, Warna Dunia In Ko Mar De Gi Ya Jail Me Dal De Gi Hamesha Hamesha K Liye. In Logo Ka Jb Apna Mtlb Hota Ha Apna Faida Hota Ha To Ye Log Kehty Hain K Ye Tumblr Aur YouTube Channel Aqib Ka Ni Ha Aur Jb M In Ko Gali Deta Hon To Ye Kehty Hain K Ye Aqib Ka Account Ha Aur YouTube Channel Bhi Aqib Ka Ha.
Mera Mashwara Ye Ha K In Sb Zalimo Ko In K Haal Pr Chor Den, In Ko Moo Hi Na Lagae, In Se Hisaab Bhi Na Mangy, In Ka Boycott Kr Den Aur Jo Mujh Pr Ungli Uthae Samjh Jana K Wo Dajjal Ka Follower Ha Wo Criminal Ha Wo Satan Ha Mtlb Jahanumi Ha. Hazrat Muhammad S.A.W Ne Farmaya Tha K Meri Ummat K 70 Hazar Log Dajjal Ko Follow Kare Ge, Jb Dajjal Khudai Ka Dawa Kare Ga Tb Kia Kare Ge Dajjal K Followers, Sajda Kare Ge Dajjal Ko ? Intazar kare Hazrat Essa A.S K Aany Ka Aur Tb Tk Apni Life Enjoy Kare Apni Family K Sath Apne Pyaron K Sath Aur In Sb Zalimo Ko Mujh Pr Chor Den.
0 notes
Photo
BAYAN HO KIS ZABAN SE MARTABA SIDDIQE AKBAR KA HAI YARE GAR MAHBUBE KHUDA SIDDIQE AKBAR KA WAH KIYA BAAT HAI SIDDIQE AKBAR KI!!!!!!!!!!!!!!!!!! WISAL: 22 JAMADIL AAKHIR 17/02/2020 MONDAY KO FATIHA DILAYE ISALE SAWAB KARE AAP PAIDA HOE TO GAIB SE AAWAZ AAI TUJHE KHUSHKHABRI HO YE BACHCHA ATEEQ HE,AASMANO MAI IS KA NAAM SIDDIQ HE MUHAMMAD ﷺ KA SAHIB AUR RAFIQ HE. AAP KA NAAM-ABDULLAH KUNIYAT-ABU BAKR ALQAAB-SIDDIQ & ATEEQ AAP QURESHI HAIN AUR SATVI PUSHT ME NASAB HUZUR ﷺ KE KHANDANI SHZRE SE MIL JATA HE *SABSE PAHLE KON IMAAN LAYA ?* MARDO ME SABSE PAHLE HAZRATE ABUBAKR SIDDIQ, AORTON ME BIBI KHADIJA,AUR BACHCHO ME HAZRATE ALI IMAAN LAYE @IMAME AZAM *SAB SE AFZAL KON ?* AMBIYA KE BAAD TAMAM AALAM SE AFZAL HAZRATE ABU BAKR SIDDIQ HAIN.UN KE BAAD HAZRATE UMAR FIR HAZRATE USMAN FIR HAZRATE ALI. *SIDDIQ-E-AKBAR KI SHAAN AUR QURAAN* SURE WALLAIL HAZRATE ABU BAKR KI SURAH HE AUR SURE WADDUHA HUZUR KI SURAH HE. @MAFATIHUL GAIB,TAFSIRE KABIR *MIMBARE MUNAWWAR K ZEENE KA AHTIRAM-* HAZRATE SIDDIQE AKBAR JINDGI BHAR MIMBARE MUNAWWAR PAR US JAGAH NAHI BAITHE JAHAN HUZUR TASHRIF FARMATE. HUZUR (ALYHISSALAM) NE FARMAYA - AE ! ABUL HASAN (HAZRAT ALI) ABU BAKR KA MARTABA MERE YAHAN AISA HE JAISA MERA MARTABA MERE RAB K HUZUR HE. *MURID-E-KAMIL* AOLIYA E KIRAM FARMATE HE KI PURI KAYNAAT ME MUSTAFA JAISA NA KOI PEER HE AUR NA ABU BAKR SIDDIQ JAISA KOI MUREED HE. @FATAWA RAZVVIYA *AASHIQeAKBAR KI PAIDAESH*-AAMUL FEEL K DHAI SAAL(2.5) K BAAD MAKKA ME, KHILAFAT-2 SAAL 7 MAAH WISAL-22 JAMADIL AKHIR 13 HIJRI, PEER SHARIF (MONDAY) KA DIN GUJAR KAR. AAP NE WASIYAT FARMAI MERA JANAZA ROZA E ANWAR K PAAK DAR K SAMNE LA KAR RAKH DENA AUR KAHNA YA RASOOLALLAH ! ABUBAKR ASTANAE AALIYA PAR HAZIR HE. JAB JANAZA LAYA GAYA TO DARWAJE KA TALA KHUD BA KUHD KHUL GAYA AAWAJ AAI- *MAHBOOB KO MAHBOOB SE MILA DO KI MAHBOOB KO MAHBOOB KA ISHTIYAQ HE.* *KARAMAT-* SIDDIQIYON (AAP KI AULAD)KO SANP NAHI KATE AUR KATE TO ZAHAR ASAR NAHI KARE AUR INME AAJ BHI SANP KE KATE KA NISHAN NAZAR AATA HAI. https://www.instagram.com/p/B8p8I0XBnJc/?igshid=tfrbtx0nff2a
0 notes
Photo
(via Shab e Juma Ka Durood Sharif with Fazilat)
🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂 *︵︷︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *✧ Aaj Ki Achchi Baat ✧* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *Shab e Juma Ka Durood Sharif Aur Uski Fazilat :*
*Alla-humma Salli wasallim wa-barik ala sayyidina muhammadi-nin-nabiyyil ummiyil habibil aalil qadril azeemil jahi wa-ala aalihi wa-sahbihi wa-sallim*
Buzurgan e Deen Ne Farmaya Ke Jo Shaks Har Shab E Jumma (Jumuah (Friday) or Jumerat (Thursday) Ke Darmiyani Raat) Is Darood Sharif Ko Pabandi Se kam-az-kam ek martaba (atleast 1 time) padhega to maut (death) k waqt Sarkare Madina ﷺ ki ziyarat karega aur kabr (grave) main dakhil hote waqt bhi, yaha tak ki wo dekhega ki sarkare madina hazrat muhammad ﷺ use kabr me apne rehmat bhare hatho se utar rahe hain. [Afdal Us Salawat Ala Sayyidis Sadat Page No 151, Al Tagreeb Wat Tarheeb] 🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿 🌍website: https://www.sherekhudahazratali.com/2017/06/shab-e-juma-ka-durood-sharif-with.html 🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿
0 notes
Video
youtube
Hazrat Ali Ka Farman.
assalamu alaikum kese hen sab bhai is video men Mufti Muhammad Ahsan Alam sahb, ne bayan farmaya ke kam se kam mehr ki miqdar kia hai hazrat ali ka farman, darse hadees production. Subscribe Our Channel: https://www.youtube.com/channel/UCcO-AzVs7JGJ84s2EcnbndQ
Follow on Twitter https://twitter.com/darsehadeespro
#hazrat ali ka farman#hazrat ali ka waqia#hazrat ali quotes#mufti ahsan alam#mufti muhammad ahsan alam#darse hadees#darse hadees production#isalm#urdu#ali#ali ka farman
0 notes
Text
#ShabeBaraat #ShabaKhair !
Hazrat Muhammad SAW Ne Farmaya : "Kisi Ka Bura Hone K Liye Itna Hi Kaafi Hai Ki Woh Dusron Ko Bura Samjhe" : )
0 notes
Photo
┅┅════❁ ﷽ ❁════┅┅ *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* *☜█❈ MAKTAB FAIZ E SHIBLI NAUMANI❈ █☞,* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ *☞ Mafhoom-e-Hadith: “TEEN Qisam ke log aise hain Jinka zaameen Allah Subhanahu hai (yani unki hifazat Allah ke zimme hai).” ☜* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Umamat Al Bahili se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“TEEN qism ke log aise haim jinka zaameen Allah Subhanahu hai (yani unki hifazat Allah ke zimme hai). (1) Ek wo jo Allah Subhanahu ke raaste mein jihad ke liye nikle, Allah Subhanahu uska zaameen hai, ya usay maut de kar Jannat main dakhil karega ya ajar de aur ganimat ke saath wapas lautaega, (2) Dusra wo shakhs jo Masjid ki taraf chala Allah Subhanahu uska zaameen hai ya usay wafat de kar Jannat mein dakhil karega ya ajar aur ganimat ke sath wapas lautayega. (3) Teesra wo shakhs jo apne ghar mein salaam kar ke dakhil hua Allah subhanahu uska bhi zaameen hai”.* [Sunan Abu Dawood, Jild 2, 722-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू उमामत अल बहीली (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“तीन क़िस्म के लोग ऐसे है जिनका ज़ामीन अल्लाह सुबहानहु है (यानी उनकी हिफ़ाज़त अल्लाह के ज़िम्मे है) l (1) एक वो जो अल्लाह सुबहानहु के रास्ते में जिहाद के लिए निकले अल्लाह सुबहानहु उसका ज़ामीन है या उसे मौत दे कर जन्नत मैं दाखिल करेगा या अजर दे और गनीमत के साथ वापस लौटाएगा, (2) दूसरा वो शख्स जो मस्जिद की तरफ चला अल्लाह सुबहानहु उसका ज़ामीन है या उसे वफात दे कर जन्नत मैं दाखिल करेगा या अजर और गनीमत के साथ वापस लौटाएगा, (3) तीसरा वो शख्स जो अपने घर मैं सलाम कर के दाखिल हुआ अल्लाह सुबहानहु उसका भी ज़ामीन है l”* [सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 722-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2020/11/teen-qisam-ke-log-aise-hain-jinka.html •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• *👇Link Se Join Ki Jiye _,* *WhatsApp Groups Links 🔗* https://chat.whatsapp.com/HiLrRakCvB35WbLJIzHuFz https://chat.whatsapp.com/DRja9Rq8p227z65znHv1VL _*(ONLY FOR MALES)*_ https://chat.whatsapp.com/CqPq00HYpSD74AaKjb30k2 _*(ONLY FOR FEMALES)*_ *👆Visit for Daily updates,* *TelegramGroup Link 🔗* _https://t.me/joinchat/ https://t (at VMV College, Amravati) https://www.instagram.com/p/CHIIsNrl7Rd/?igshid=1fwypc7ndz11g
0 notes
Text
~Hazaron Darood-o- Hazaron Salam Bahruh-e-Muhammad Aleh Salam~
Hazrat Abu Hurairah R.A. Se Marwi Hai
Huzoor Nabi Kareemﷺ Ne Farmaya : Jis Ne Hassan A.S. Aur Hussain A.S. Se Mohabbat Ki, Es Ne Dar Haqeeqat Mujh Se Mohabbat Ki .
Ibn-E Maja, Asanan, Chapter Fazail-e-Ashaab Rasool, 1 : 51 Raqam 143
#jumma_mubarak
~~~~~ہزاروں درودو ہزاروں سلام بروح محمد علیہ السلام~~~~~
♥صلی اللہ علیٰ حبیبہ محمِّد وٰ آلِہ وسلم♥
حضرت ابوہریرہؓ سے مروی ہے
حضور نبی کریمﷺ نے فرمایا: جس نے حسنؑ اور حسینؑ سے محبت کی، اس نے درحقیقت مجھ سے محبت کی۔
ابنِ ماجہ،السنن،باب فی فاضائل اصحابِ رسول،1:51رقم143
#جمعہـمبارک
0 notes
Text
Hazrat Muhammad (SAW) Ne Farmaya Eid Se Pehle Ye 10 Kam Zaroor Kar Lo
youtube
Hazrat Muhammad (SAW) Ne Farmaya Eid Se Pehle Ye 10 Kam Zaroor Kar Lo Please subscribe our channel for latest Islamic videos » https://goo.gl/yShp8H … source from WordPress https://ift.tt/2LjQEek via IFTTT
0 notes