#buri nazar wale tera muh kala
Explore tagged Tumblr posts
annagxx · 1 month ago
Text
Tumblr media
354 notes · View notes
amarwrites · 2 years ago
Text
Tumblr media
Who the fuck doing this? bhai buri nazar wale tera muh kala🌚
5 notes · View notes
khalicooker · 4 years ago
Text
FUCK THE PHRASE BURI NAZAR WALE TERA MUH KALA.
I don’t even want to start on how racist this fucking phrase is.
1 note · View note
lyricswrite · 3 years ago
Link
0 notes
bollywoodsweden · 4 years ago
Link
0 notes
viralvideofunda · 6 years ago
Link
Ab tak aapne padha...
Kohinoor ki aawaz me ek maan tha aur aaj shayad uski Maa ki ruh ko sukoon mil gaya tha.....kyuki aaj uski beti ne use sahi kah diyaa tha.....use maaf kar diya tha.
Ab aage........
kajal Runa ke gale lagi thi aur dono ro rhi thi........kajal ke dil me ek hook si uth rhi thi...aaj use apni maa bahut yaad aa rhi thi....wo maa jise sari umr usne swalo ke ghere me rakha...wo maa jisne khud ko apni masoom bachchi se door rakha...aaj kajal ko apni maa ka dard mashsoos ho rha tha...... uski maa to dard ki moorat thi...na jawani me pati ka saath mila na dhalti umr me aulad ka sukh...sari zindagi apne intkaam ki aag me jhulse hatho ko chhupati rah gayi , wo dard sahti rahi……….ghut'ti rahi...lekin koi bhi aisa nhi rha uske paas jise wo apna kah leti……...jiske kaandhe pa sar rakh kar ro lete.
Aaj kajal khud ko bhi kam doshi nhi maan rhi th....kam se kam use to apni maa ka sath dena chahiye tha, wo kyu na samjhi apni maa ke aankho ka khalipan, kyu use apna hi dard sabse jyada mahsoos hota rha.....kajal ke man me in sare sawalo ne uthal puthal macha rakhi thi....aur wo Runa ke gale lagi apne dard ko aansuo me bahaa dena chahti thi……….lekin ye dard kam hone wala dard na tha...umr bhar ka rog tha.
"Mai bahut buri hu Runa baji...maine bhi apni maa ke sath whi kiya jo sari duniyaa ne kiya......meri maa ko mai bhi na samjhi...."kajal siskiyon ke bich bolti ja rhi thi.
"Nhi meri bachchi, tu to bahut pyari hai....khud ko dosh mat de...halat bure the...aur tu to unhi halat me fans kar rah gayi………...tera koi dosh nhi ." Runa use samjha rhi thi.
"Runa baji, aapko ye sab kaise pata hai..kaise janti hain aap meri maa ko...aapne bataya nhi........" kajal ne Runa ki or dekhate huye puchh liya.
" bataungi beta ,wo bhi bataungi.....lekin abhi us se jaruri jo kaam hai wo karna hai.......tu abhi bas ye samjh le ki meri kahani bhi kuchh aisi hi hai.....aur isiliye mujhe pta hai....." Runa jaldi se jaldi baat ko khatm karna chahti thi.
"Meri maa achchi thi Runa baji, bahut achchi.........."kajal ne bas itna hi kaha ....Runa uske balo me hath ferti use chup karati rahi.
"Haan beta,...teri maa bahut achchi thi...aur tu us se bhi achchi hai....jo tune kiya hai wo karne ke liye bahut bada kalejaa chahiye aur muhabbat ka pagalpan......inshaallah ! sab thik ho jayegi...bas ab khuda teri aajmayish khatm kar de........."
"Nhi baji…….meri aajmayish khatm nhi honi chahiye…ye to meri muhabbat ki keemat ho jo mai chuka rhi hu……....mai apni muhabbat ko haarne nhi dungi.....Zamana dekhe to sahi ki ek Tawaif ki muhabbat me kitni shiddat hoti hai……………..abhi to aur tamasha bann'na hai is kohinoor ka............." kajal ke aansu sukh gaye mano...wo ek thos lahje me bas itna hi boli ki darwaza kholkar jumman chalaa aaya.
Lagbhag aadhe ghante ke baad wo log ek bus me baithe Jumman ke gaon ko rawana ho gaye the...kajal ne thoda bahut puchha lekin Runa use samjha diya ki ab wo yha nhi aayenge............aur Jumman ke gaon se hi jab Laila kahegi shahar wapas chale jayenge.............kajal ne bhi jyada nhi puchha……....kyuki use khud par yakeen tha…………..usne soch liya tha ki jab faisle ki ghadi aa jayegi to use kya karna hai………….....shayad usne bhi khud ko kismat ke hatho chhod diya tha………...haan is baat par koi bahas use bardasht nhi thi ki wo whi karegi jo Lailaa kahegi.
Apne man me Jumman aur Runa duaayen maang rhe the,………..Kohinoor ke fir se kajal ban jaane ki dua……...uski kusiyon ki dua……..uski muhabbat ki dua…...lagbhag 3 ghante baad wo log ek chhote se gaon ke ek chhote se kachche ghar me pahuche.
Runa ke anumaaan ke thik vipreet Jumman ne sara intjaam pahle hi karwaa diya tha.....uski najro me aaj jumman ke liye ijjat badhti ja rhi thi………...wo to jo bhi kar rhi thi fir bhi ek vajah thi uski............usne khud ek Tawaif hone ka dard mahsoos kiya tha…...lekin Jumman?...wo to bas insaaniyat ka farz nibhane nikal pada tha.............jaan hatheli par lekar.
**********************************************************************************
Idhar Sadanand ke ghar par.......
"oye…..abe…...abe kaun ho tum..??..aise kaise andar ghuse chale aa rhe ho ..hain???......."bangle ke Main gate par khada watchman phon par muskura muskura kar baaten kiye ja rha tha jab uski nazar gate se andar ghus chuke majboot kad kathi wali pahlwaan jaise shakhs par padi jo bina kuchh puchhe ,bina kisi ki parwah ke andar chala ja rha tha…………..jaldi se daudkar watchman ne use roka aur badi buri tarah se dant'te huye puchha.
Wo shakhs ruk gaya……..watchman uske karib pahucha aur ek baar bharpoor nzar uspar dali………...karib 5,7' kad...majboot gatha hua badan......laal ankhe, gora tantannayaa hua sa chehra..............kala paizama kurta aur gale me moti si chain......shakal se guroor aur gusaa jhalkata hua.....usne watchman ko khaa jane wali nazro se dekha. 
"Aise kya dekhta hai be…....pata bhi hai ye kiska ghar hai.......chalo niklo yha se...........jaane kaha kaha se aa jate hain............"watchman kuchh jyada hi badtameeji se baat kar rha tha...shayad sadanand ka watchman hone ka asar tha....
"Abe chuhe !!....tujhe pata hai tu kis'se baat kar rha hai.......abe jan jayega to moot nikla jayega tohra........chhod abhi apun thoda jaruri kaam se idhar aaya hai……..tere koo fir kbhi samjhayega....... " palak jhapkate hi Sheraa ka haath use watchman ke muh ko band kar gaya aur jeb se tamncha nikalkar uske sar par de maara…...bechara watchman cheekh bhi na paya aur behosh ho gaya………….Shera ko jo jumman ne bataya tha uske baad use shayad anumaan ho gya tha ki yha ke halaat aise hi hone wale hain……pata tha ki kisi anjaan ko Alok se milne nhi diya jayega............aur jo usne kiya ye usi ka nateeja tha.
Shera ne use ek kone me dalkar paas me padi taat uske upar daal di aur tej tej kadmo se andar ko chal diya………..ghar ke naukro se bachte bchate aakhir 15 min ki jahmat ke baad wo Alok ke kamre me ghusne me kamyaab ho hi gaya.
koi 20 minute baad ALok ki gadi hawa ki teji ke saath us bangle se nikli aur kisi ko bhi kuchh soch paane ka mauka milne se pahle hi wo gate se bahar thi.....
Driving seat par baithe Alok ki aankhe ratjage aur rone ke karan laal ho gayi thi…..un aankho me sare jamane ka dard umad aaya tha.....aaj kismat ne ek baar fir use mauka diya tha……….aur is baar wo haar nhi man'ne wala tha.............uski chehre ki sakhti bataa rhi thi ki is baar wo nhi juhkega……….chahe koi bhi keemat chukani pade. Chahe kisi bhi had se gujar jana pade………Uske thik bagal me baitha tha Sheraa aur pichhe baithi thi uski dost Sophi
"Alok babu , ek baat bolu bura na mano to.............vaise maan bhi jaoge to mera kya ......"Sheraa, shayad akad ka dusraa naam tha.
"Nhi shera bhai, bilkul nhi bura manunga...bolo..."Alok ne dheere se kaha.
"Tum jao jaha janaa hai.....shayad der ho jave, to bahut der ho jaave...in madam ko Sheraa chod dengaa hawai adde tak......haan, pan apun gunda hai……sochkar hi bharosa kariyo......"
"ALOK ne ek baar uske or dekha aur kuchh na bola.....
"Ye thik kah rhe Alok.......you please go...i will manage.......my humble request to you...don"t waste time........."
Alok bhi shayad dil se yhi chahta tha….lekin wo sophi ko chhod kar bhi nhi ja sakta tha…………itni door ek uske hi bharose par to aayi thi wo…..…aur aaj jab wo ja rhi thi to kaise akele use jaane deta…….use see-off karne airport jaa rha tha aur wha se jumman ke gaon…….lekin dusri taraf uski muhabbat thi…………aaj uska bas nhi chal rha tha ki wo ud kar apni kajal ke paas pahuch jaye…usne suni suni aankho se sophi ko sirf dekha.
“Please jao…..go!!!!...” sophi ne jor dekar kaha aur aakhir Alok maan gya…
“Shera bhai , bahut bada ahsaan kiya hai aapne mujhpar……..…jaan rhi to kabhi is ahsaan ka badla jarur chuka dunga………bas ek ahsaan aur kardo, sophi ko chhod do airport tak sahi salaamat…..” Alok ne haath jod diye Shera ke aage.
“O hero…apun ko senti mat kar………abhi apun ke paas addhha-pauwaa kuchh nhi hai….chal jaa tu…apun pahucha dega in madm ko…” 
Alok ne side me gadi roki………..ek taxi ko rukwaya………shera se hath milaya aur sophi ko gale lagakar us taxi me baitha diya.
“ See you soon , Alok” Sophi ne taxi ke chalne se thik pahle kaha.
“Pray for my love sophi” Alok ki aankhe dabdabaa gayi.
“I will, Kajal tumhe jarur milegi….God bless you”
Sophi Shera ke saath airport ko nikal gayi aur Alok gadi me baitha junooni andaaz me jumman ke gaon ko nikal gaya, jahaa uski muhabbat ki kismat ka faislaa hona tha.
Airport par Sophi ne Shera ko thank you bola aur apne saaman ko sambhale andar ki or chal di….Shera ne jab dekha ki wo gate se andar ghus gayi to wo bhi wapas chal diya………..aaj zindagi me pahli baar uske dil ko bahut sukoon mila tha…………uske dil me bhi bas yhi dua thi…… “Alok ko uski muhabbat mil jaye…” 
Sophi kuchh kadam hi andar chali thi ki kisi ne use awaaz di “sophiyaaa!!”
Kisi ladki ki awaz thi,Sophi ne palatkar dekha ,uske pichhe thodi door par ek ladki khadi thi……sophi ko chehraa jana pahchana lag rha tha lekin use yaad nhi aa rha tha………...wo whi ruk gayi…ladki bhagti huyi usk or aa gayi…..uske saath me ek ladka tha jise sophi bilkul nhi pahchan rhi thi…….ladka kafi kamjor aur shakl se bimar-bimar lag rha tha..
“you are sophiya…..Right…???.where is Alok….??…....maine pata kiya wha to pta chala ki tum dono India aaye ho.........mai use do din se lagatar try kar rhi hu………na uska phone lag rha hai na wo kisi bhi communication ka respond kar rha hai…….…kaha hai wo…please batao…it”s urgent…… ?? he is ok na??”ladki bahut ghabrayi huyi aur badhawaas si lag rhi thi.
“I m really very sorry…but..maine pahchana nhi ….who are you ??…kabhi dekha to hai tumhe but I can”t recall ”” Sophi ne kaha.
“Me…Anjali Alok ki sister…skype par baat huyi thi ek do baar jab tum alok ke saath thi…remember???...batao kaha hai Alok…aur kuchh mat puchhna ….mai baad me sab bataungi,…..”us ladki ne jaldi jaldi se itna hi kaha
“oh…yesss…hi Anjali..Alok to……???...come fast…jaldi aao mere sath..wo abhi abhi is shahar se bahar gaya hai…please come………” Sophi kuchh kuchh bataa rhi thi jise sunkar Anjali aur bechain hoti ja rhi thi.
Anjali , wo ladka aur Sophi bhagte huye airport se bahar nikle…….Sophi ki najre charo or Shera ko talash kar rhi thi…..usne Alok ka phon bhi try kiya par wo band tha……….Shera bhi kahi nhi dikh rha tha…..whi ek tha jo unhe abhi alok ke pas le ja sakta tha….…Sophi daudati huyi thodi si aur aage badhi………kuchh door par use aakhir Shera dikh hi gaya…………..phone kaan se lagaye aur ek haath me cigrete pakde wo thodi door par khada shayad kisi ka intzaar kar rha tha..
“Excuse me….!!!...hellooooo…”Shera ki nazre sophi ki aawaz par uski or uth gayi…….usne phone kat kiya aur bade gaur se un sabko dekhne laga…
“Ainnn…tu gayi nhi ??……..aur ye sab kaun aa gye??…….chakkar kya hai madam??” Shera ne aascharya se puchha .
“Dekhiye Bhaiya, please aap hme Alok tak le chaliye……..ye bahut urgent hai…….pleassssseeee,,,mai raste me sab bata dungi…………”Anjali ne jaldi se kaha.
“Ummmmhuuu…….huh…kaha fansaa diya saale jumman ne,,,…..ok chalo …lekin ab mujhe sab batana padengaa tum sabko…sala apun ka khopdi satak rhi hai ab” Shera bemtalab dusre ke lafde me padne wala shakse nhi tha lekin aaj wo manaa na kar sakaa.
“Jee mai sab bata dungi…please……..”
“Oye Jgagaa…..sun! meri gadi, thode paise aur kuchh “Samaan” lekar 10 minute me, purane church ke paas mil………….koi sawaal nhi aur late hua to tu janta hai apun ko………” Shera ne phon par itna hi kaha aur bina jawaab sune phon kat kar diya.
Takriban 30 minute baad Sophi, Anjali aur wo ladka Sheraa ke sath uski gadi me Jumman ke gaon ke liye rawana ho gaye.
Koyi 8 ghante baad…
Subah ho chuki thi…….aur Runa ke ghar par pahuch chuke Sadanadn ka gussa dekhne layak tha.
“Laila agar wo ladki nhi mili, aur wo ho gya jo mai nhi chah rha to tera wo hashr karunga…..” sadanand ne Lailaa ko kha jane wali nazro se dekhte huye kaha..
“wo kahi nhi jayegi huzoor………..wo…wo..sab jarur us kameene Jumman ke ghar gaye honge…….ye sab usi ka kiya dhara hai……..aap pata karwaiye jumman ke ghar ka adress……..yhi se kuchh door hai par mujhe thik thik pataa nhi hai……..” Laila ki halat kharab ho rhi thi…badi mushkil se itna bol payi.
“kameeni……....ran**…………mai kaise pata krawau..bol “
“wo ..w..wo….wo ek do baar jail gaya hai…shayad udhar se kuchh pata chal sake……” Sadanand ne use ghoora to Lailaa ki jaan halak me aa gayi…
“Tujhe to mai baad me dekhunga…” Sadanand ne daant peeste huye kaha aur apne kisi khas aadmi ko phon karne lage………….
“hello Vermaa sahab………..ek kaam tha….” Aur fir sadanand kuch der tak baat karte rahe .
Koi 2 ghante baad ek baar fir se sadanadn Aur uske aadmiyon ki gadiyon ka kafilaa nikla pada…..is baar rukh tha jumman ka ghar.
Jaane kismat ko kya manjoor tha……….Alok , Anjali aur Sadanand, sab jumman ke gaon nikal pade the…………...apne apne maksad ke liye……………ek ki jeet dusre ki haar thi………….khun ke rishte me aur muhabbat ke rishte me takrav hone wala tha………….. Dekhna tha kaun kamjor padtaa hai…wo khoon ka rishta ya ye muhabbat ka rishta…
Read Our Completed Stories Just Click Here
Familly Love Without Rules Cmpleted
Pariwar Me Chudai K Sukh Se Bada Koi Sukh Nahi (Completed
Baap Beti 
Behan Ki Chudai
 Bhabhi Ki Chudai
 Desi Chudai
 Gay Chudai
 Group Sex
 Hindi Chudai Kahani
 Lesbian Sex
 Maa Beta
 Meri Chudai
 Naukar-Naukrani
 Office Sex
 Other Languages
 Parivar Me Chudai
 Pehli Chudai
 Tamil Kamakathaikal
 Teacher Student Chudai Top Collection
Hello Girls And Aunties
 Name Farhan Rajpoot
Send Me Your Stories On
Whatsapp Number: +923200491056
1 note · View note
navshake420 · 8 years ago
Photo
Tumblr media
"Buri Nazar Wale Tera Muh Kala (Evil eyes will have their faces blackened)." #streetshot #photography #navshakearoraphotography
0 notes
viralvideofunda · 6 years ago
Link
Ab tak aapne padha-
“Aap??????” Sadanand ki chehre par nazar padte hi Runaa ke muh se anaayash hi nikal gaya... 
Ab aage---
Sadanand ek tak Runaa ki or dekh rhe the...kuchh bol nhi rhe the..mano kuchh yaad aa gya ho unhe...Runaa ka bhi whi haal tha........lekin ek naagwari thi Runa ke chhre par..aisa lag rha tha ki ateet ke kuchh aise panne uski aankho ke saamne aagye the jinhe wo kabhi dubara padhna nhi chahti thi.
Jaise hi sadanand ko ahsaas hua sabki maujudagi ka, apne aap ko sambhaal liya unhone......
"Jao sab log" sadaanand ki aawaz sunte hi sare naukar wha se chale gaye.....Babulaal bhi uthkar apne jabde ko sambhalata dheere dheere bahar chalaa gya.
Kamre me ab sirf Runa, Sadababu,kohinoor ,Alok aur Sophi rah gaye the.Lailaa chali gayi par Runa nhi gayi.kyu?? ye to sirf Runa hi jaane.
"Le jao ise yhaa se......"Sadanand apne gusse par kabu paane ki kosis karte huye fufkaar rhe the.
"kahin nhi jayegi ye...Tab tak nhi , jab tak mai nhi kahunga........." Alok ek baar fir se apne baap ki khilafat par utar aaya.
"Mai jaungi !!!, chaliye Runa baji........" is baar bahut der se sara tamasaha dekh rhi kohinoor bol padi.
" Tum kahin nhi jaogi........." Alok ne ghoor kar use dekha.
"Tawaif hu mai Alok babu......." ek dard umad aaaya kohinoor ke chehre par.
"kajal ?" Alok kuchh kahne hi wala thi ki kohinoor cheekh padi.
"kohinoor naam hai mera..........kajal nhi hun mai....." Alok sann rah gya is baar....kuchh nhi bola.....bolta bhi to kya.
Sadanand Runaa se nazre nhi milaa rhe the...lekin gussa unke chehre se saaf saf jhalak rha tha.
Alok ko samajh me nhi aa rha tha ki wo kya bole.....chupchap lachar sa kajal ko dekh rha tha.
kuchh pal ke liye sab log khamosh ho gaye aur Sadanand ne is khamoshi ko toda.........
"Lailaa ko bulao" unhone ne kaha...par koi tas se mas na hua...naukar to unke wha the nhi aur jo the wo abhi unke hukm ki tameel nhi karne wale the......khud hi jor jor se aawazen lagaane lage Laila ko...........
Laila nhi aayi to jhunjhlaa kar hi bahar ki badhe aur jaate jaate........
"Le jao Runaa Bai ise yhaa se..kahi aisa na ho ki........."bas kuchh kahte kahte ruk gaye aur daant peeste huye bahar chale gaye.
Runaa ne kohinoor ko hath pakdaa aur chal di......kohinoor ne ek baar bhi Alok ki or nhi dekha....uske chehre par ek udasi thi..ek bebasi. Wo bahar chali gayi.... .Runaa ne jate jaate Alok ki or dekha aur aankho hi aankho me use shant rahne ka ishara kiya. Alok khada dekhta rha...Ek baar fir se majboor. Runa us se kuchh kahna chahti thi shayad par kohinoor ke saamne shayad nhi.
Runaa pichhle darwaaze se bahar aayi to dekha kuchh door par khadi Lailaa Sadanand se baat kar rhi thi aur baar baar haan me sar hilaa rhi thi. Wo chuchaap Kohinoor ke saath jakar Car me baith gayi...Kohinoor ke chehre par ek dard tha...ek pachhtawaa tha. Wo aankhe munde seat ki back se lagi baithi thi..aankho se ek ek karke dheere dheere aansu uske gore gore galo par ludhak rhe the.
Achanak Runaa ki nazar usi darwaaze se bahar aate Sophi par padi...kuchh kaundha uske dimaag me...
"Kohinoor me abhi aayi..wo mai apna purse bhool gayi andar........."Runa ne kaha .
"jee baaji" Kohinoor bina aankhe khole hi boli.
Runa teji se bahar nikali aur sabse nazre bachate huye Sophi ke paas pahuchi.Is se pahle sophi kuchh samajh paati Runa ne use chup rahne ka ishara kiya aur uska haath pakad kar darwaaze se andar ho gayi.
" Wo ladkaa kahaa hai?? andar hi hai ??wo..wo thik hai na...??" Runaa fikrmandi se puchh rhi thi.
" Who...?? kaun ..Alok " Sophi ne dheere se kahaa.
"Haan...." Runaa ne itna hi kaha.....ki bahar se Lailaa ki aawaze aane lagi.....
"O Runaaa?kahaa mar gayiiii"
"suno mai jaa rhi hun...us ladke se kahnaa bahut jald kohinoor milegi us se..kuchh waqt lag sakta hai lekin milegi jaroor....kahnaa ki bahut majboor hai Kohinoor...kahnaa ki ......samjhaa dena use..." jaldi jaldi itnaa hi bol payi Runa aur bahar nikal gayi.Shayad jo karne aayi thi wo kar bhi na payi.par wo kisi bhi tarah se Laila ke shak ke dayre me nhi aana chahti thi.
Sophi uski baaten to shayad hi samjh payi ho lekin uske haav bhav aur uske kahne ka matalab khoob samajh gayi thi.
"kahaa mar gayi thi tu " Runa ko dekhte hi Lailaa ne daanta.
"Jee wo purse bhool gayi thi apna andar" 
"To kaha hai purse ??"
"w..wo..wo thodi na milega..kisi naukar ke haath lag gya hoga... vaise bhi shakl se to sare chor hi lag rhe hain.." Runa bolte bolte car me ghus gayi.
Lailaa bhi Car me baith gayi....aur car chal di.
Lailaa bade dhyaan se kohinnor ko dekh rhi thi.......jo kuchh hua tha use poora to nhi pta chal paya tha ...lekin kohinoor ke liye Alok ne uska gala dabaya tha ,ye achchi tarah yaad tha....bhala kaise bhool jati.
"Sali tu cheej kya hai re....aaye haaye rajaaaa !!!! jamaana to dekho..Tawaif ki mohabbat me ek shareefjada sala apne baap se lad gaya......ha ha ha.....achcha ek baat bta.... aiii bata na !! ...kya chakkar hai ....itni si der me kya jaadu foonk diya....pahle ka yaraana lagta hai....saali mai to tujhe badi shareef samjhti thi....khair mujhe kya ...Sadababu se jyada keemat kaun dega teri........aur mujhe to bas noto se matlab hai......."
Lailaa chatkaare le lekar bol rhi thi...zahir hai use kisi bade maal ki umeed dilayi gayi thi...Kohinoor chup chap aansu bahaye ja rhi thi aur Runa ekdam shant thi ..mano apne mauke ka intzaar kar rhi ho........apne waqt ka intzaar kar rhi ho.
Bahut kuchh chal rha tha uske dimaag me ...kuchh ateet ke bare me kuchh bhavishya ke bare me.......kuchh buri yaaden, kuchh achchhe sapne.
Car ek bade se bangle ke saamne jakar ruki.......wha nhi jahaa Lailaa bai ka kotha tha.
"Aaj raat hum yhin rukenge....." Lailaa ne kaha aur haweli ke andar chal di.
Runa ko kya aitraaz hona tha..Tawaif ki to zindagi hi yahi hoti hai...koi kotha ya fir har raat nya bangalaa...."Ghar" kaha hota hai unke naseeb me.
Raat ke 12 baj rhe the aur Runa , Laila ke samne baithi thi Bangle me . Runa Sadanand ko dekhkar chauki thi, ye Laila ne dekha tha..Lailaa ne puchha to usne kah diyaa ki uske dhandhe me aane ke baad , Sadnand kuchh suru ke customer me se tha.Lailaa ko bhi pta hi tha ki Tawaifon ki kisi se bhi pahchaan bas jism ke saude tak hi hoti hai..usne bhi jyada nhi puchha.
"Runa, ek kaam hai tujh se ..."
"jee kahiye"
"Sadaa babu ne kaha hai ki kohinoor ko kuchh dino ke liye is shahar se htana hai..jab tak unka beta yha hai ...fir wo kohinoor ka koi bandobast kar denge........." Laila bole ja rhi thi.
"jee" Runa ka dimaag bahut teji se kaam kar rha tha.
"to mai chahti hun ki tu use lekar apne gaav chali jaa.....bade log hain..yha rahegi aur us launde ke hatthe chadh gayi to jaane Sadababu kya karenge..samajh rhi hai na tu......"
"jee"Runaa ne bas itna hi kaha.
"kal ka tera aur uska ticket karwaa deti hun......aur sun use kuchh mat batana ....use yahi pata chalna chahiye ki wo ladka iske saath raat gujarna chah rha tha aur uske baap ko ye pasand nhi tha....aur isiliye use kuchh din ke liye shahar se door bheja ja rha hai...kyuki baat ek bade aadmi ki hai..neta ki hai...agar baat khul gayi to teri aur meri dono ki khaal utar jayegi...bahut zaalim hote hai ye khaadi wale."
Lailaa apni aadat ke veeprit kafi sanjeedagi se baat kar rhi thi......Use khud nhi pata tha ki Alok kaise janta hai kohinoor ko...aur kohinoor kaise janti hai use...vaise bhi wo jaankar kya karti..use koi dilchaspi nhi thi..use to bas kohinoor ke roop me ek tijori mili thi jiski sahi keemat use milni thi. 
Bechari Laila Runa ko wo samjhaa rhi thi jo wo abhi tak khud na samjhi thi.daulat ka parda padaa tha aankho par, isiliye Alok ki tadap bhool gayi thi.vaise aur kar bhi kya sakti thi wo, jo kaha gya tha use wo karna tha aur iski keemat use mil rahi thi...is se jyada use matalab nhi tha kisi cheej se.
Uski nazar me Kohinoor bhi ek Tawaif thi aur agar alok ke saath uska koi rishta tha bhi to bas ek Tawaif ka apne aashiq se hone wala rishta ...aur Laila ko achchhe se pta tha aise rishton ki umr bahut lambi nhi hoti...sirf tab tak jab tak us se achchhi Twaif kisi kothe par na aa jaye.yahi uska anubhav tha aur yhi uski apni soch thi.
"jee bahut behtar...aisaa hi hoga.." Runa ne ek baar fir bas itna hi kahaa.
"Ek baat bataa..ye sala sadaa ka Laundaa paagal hai kya...........mera gala dabane lagaa.....abe sala kya shadi karegaa us se......ek Tawaif se..aaj tak to kisi shareefzade ne ki nhi....ye saala ameeron ke chochale na.......are Amreeka se aaya hai na...........chhod Rajjaaaaa.........apni samajh me kahaa aane wala hain..........apne ko to rokde se matlab aur wo apun ko mil rha hai........."Laila bol to Runa se rahi thi ...lekin sari baaten khud se hi kiye jaa rhi thi.
Runa man hi man khuda ka shukriya adaa kar rhi thi..shukr tha ki uske saath Kohinoor ko bhej rhi thi lailaa.Usne soch liya tha ki ek baar pahle kohinoor se baat ho jaye , sari sachchayi pata chal jaye......fir wo ek kosis jarur karegi,agar us kosis ki jarurat lagi use to.
Dusre din dophar ke 2 baje ki train se kohinoor aur Runa , Runa ke ke gaav ko rawana ho gaye .Unke saath Lailaa ka ek khas aadmi bhi tha -Jumman . khub lamba chauda , kala robila chehra, laal aankhe...kurta aur lungi pahne huye.......kisi daanav ke jaisa.......thodi door par baitha apni cheel si najro se Runa aur kohinoor ko ghoor rha tha.
Train apni raftaar se manjil ki or badhi ja rhi thi....Runa ke god me sar rakh kar leti Kohinoor kal se bilkul khamosh thi..bas haan hu me har baat ka zawab de rhi thi.kal se usne kuchh bhi nhi khaya tha..Rah rahkar dard ki ek lahar si daud jati thi uske seene me.Aankhe nam thi aur lab khamosh..bas dil me yadon ka ek tufaan tha,jo tham hi nhi rha tha.
Train me jyada bheed nhi thi.....Jumman ki seat pichhe thi aur Runa aur kohinoor ki aamne saamne.... raat ho chuki thi...sabne kuchh thoda bahut khaya....aur Kohinoor ek baar fir Runa ki god me late gayi...jummna ke hone se dono koi baat nhi kar rhi thi.
Thodi der baat jumman uthkar apni seat par chala gya sone....ab un dono ke aas paas ki sare seaten khali thi...Runa ne ek nazar jumman par dali...kuchh hi der me uske kharraton ki aawzen aane lagi.........aur vaise bhi wo dusri or chalaa gya tha to ab wo unki baaten sun payegi aisa lagbhag asambhav hi tha.kam se kam Runa aur Kohinoor ko to yhi lag rha tha ki jumman so gya .aur vaise bhi kal se Runa ke dil me haichal machi huyi thi ...sawalo ka ek ambaar tha uske man me.ab us se sabr nhi ho rha tha.....
"kohinoore" Runa bade pyar se uske balo me hath pherte huye boli.
"hmmm" kohinoor halke se boli..
"kaun hai ye Ladka, wo tujhe Kajal bula rha tha...kaise janta hai wo tere bare me ???........" Runa ne ek saath wo sab kuchh puchha, jo wo kal se hi puchhna chah rhi thi.
kohinoor ne aankhe kholi aur suni suni najro se use dekhne lagi....mano puchh rhi ho ki kya fark padta hai ab......usne to khud hi Alok ko dutkaar diya tha kal...khud kah diyaa tha ki kya haq hai uspar ...fir ab kyu....??
"Batao kohinoor kaun hai ye ladka ?? "
"Nhi baaji....please ab mat puchhiye .......mai bahut sharminda hun...kal jaane kaise ek kamjor lamhe ka shikaar ho gayi use achanak apne saamne pakar mai...agar mujhe pata hota ki yha wo hoga to mai kabhi naa aati........kabhi bhi nhi....." kohinoor ki aawaz me ek pachhtawa tha.
"Pta to mujhe bhi nhi tha ki wha kaun milega, nhi to mai bhi naa aati." ek sapne ke se aalam me Runa ne kaha.
"Khair wo sab baten fir kabhi, abhi meri baat sun.......badi kismat wali hai tu ki tujhe koi chahne wala hai......uski najro se chahat jhalak rhi thi ...ek Tawaif ki zindagi me wo pal nhi aata jab koi uski khatir apno ke khilaf ho jaye. ..use to bas khareeda jaata hai , becha jata hai aur ekdusre se baanta jata hai...apnaya nhi jata.....lekin us ladke ki aankho me kuchh aur hi tha.......muhabbat thi...dekh mujhe bata sakuchh......Shayad mai kuchh kar pau tere liye...ek chhoti si kosis ......." Runa ne uska chehra apni or karke uski aankho me dekhte huye kaha.........
"Aisa kyu hota hai baaji ek Tawaif ke saath.....na uske paas manjhi ki khubsoort yaaden hoti hain na aane wale din ke suhaane sapne....kyu itna andhera hota hai uski zindagi me....kyu jab dil rota hai tab bhi use hasna padta hai............Baji ! koi kyu nhi badal deta is duniyaa ki ye riwayte .........kyu bna di jati hai koi masoom kaajal ek Kohinoor........ " kohinoor ki aankhe chhalak padi aur wo Runa ke saath apni manjhi ke galiyaro me dubti chlai gayii.......
Is baat se bekhabar ki do aankhe aur do kaan unki har baat ,har harkat dekh aur sun rhe the.......Jumman isi khel ka to shatir khiladi tha.
"Runa baji, meri zindagi me chand din khusiyo ke bhi the ...jinhe yaad karke ab mujhe sabse jyada takleef hoti hai.......kajal ..haan yhi naam tha mera , mere college me........" kohinoor apne yado ke safar par le chali Runa ko.
Read Our Completed Stories Just Click Here
Familly Love Without Rules Cmpleted
Pariwar Me Chudai K Sukh Se Bada Koi Sukh Nahi (Completed
Baap Beti 
Behan Ki Chudai
 Bhabhi Ki Chudai
 Desi Chudai
 Gay Chudai
 Group Sex
 Hindi Chudai Kahani
 Lesbian Sex
 Maa Beta
 Meri Chudai
 Naukar-Naukrani
 Office Sex
 Other Languages
 Parivar Me Chudai
 Pehli Chudai
 Tamil Kamakathaikal
 Teacher Student Chudai Top Collection
Hello Girls And Aunties
 Name Farhan Rajpoot
Send Me Your Stories On
Whatsapp Number: +923200491056
1 note · View note