#WhatIsGraphicDesignCoursesInHindi
Explore tagged Tumblr posts
dhyanposts · 4 years ago
Text
Graphic Design Kya Hota Hai? What is Graphic Design in Hindi
Tumblr media
Graphic Design Kya Hota Hai? What is Graphic Design in Hindi
Hello dosto, aaj ki is post Mein Ham aapko Graphic Design ke bare mein vistrit Jankari dene Ja Rahe Hain. Ismein Ham padhenge Graphic design kya hota hai (what is graphic designing in Hindi). Graphic designer Kaun hota hai aur sath hi Ham janenge ki aap graphic designer Kaise Ban sakte hain. Graphics Hamare Charo Taraf maujud Hai yah symbol ke form me, image ke form Me, Logo format Me, ya FIR text format Mein Hame Najar aa sakte hain. Graphics Design in Hindi: Ham Pratidin Apne Aas Paas Jo Bhi packaging , advertisement, shape, colour, texture, typefaces, etc. Dekhte Hain vah Sabhi graphic design Mein Hi Aate Hain. Isliye yah Kahana bilkul bhi galat Nahin Hoga Ki graphic Hamare Jeevan Ka Ek Aham hissa Ban chuka hai. jinhen dekhna Hamen Achcha lagta hai aur ham inhen Dekh Kar Hi adhiktar chijon ki taraf aakarshit hote hain aur unhen Pasand ya na Pasand Karte Hain. Aaj Ki digital Duniya Mein Jahan per Har chij computerized ho gai hai. Isliye hame Haath ke Bajaye computer se taiyar kiye Jane Wale upkaran Jyada Pasand Aate Hain. Sath hi Grahak bhi unhi chijo ke Prati Jyada aakarshit hote hain Jin per digital graphic designing ki Gai Ho. Isase Ham samajh sakte hain Ki Kisi chij Ko Pasand yaa Na Pasand karne ka mukhya Karan graphics hi hai. Graphics ka matlab hai Chitra ya design. Kisi product per chhapa hua yah Chitra Yaa design hi graphics kahlata hai. Dosto aaj ke Samay Mein graphic designing Ek Achcha career scope hai. Kyunki Har Jagah graphic designer ki avashyakta hai. Yahan tak ki badi badi companies aur Industries bhi graphic designing Ka upyog Karke hi Apne product ko attractive banati Hain. Chaliye Bina Der kiye hua Jaan Lete Hain Ki graphic designing kya hota hai aur graphic designer Kaise banaa Ja sakta hai, graphic designing sikhane ke kya fayde ho sakte hain.  
What is Graphic design in Hindi
Tumblr media
Graphic design Grahak Tak apni baat pahunchane ka ek bahut hi accha Tarika Mana jata hai. Graphic designing ek aisa profession Hai jismein different types ke images, symbols, colours, text, typography etc.  Ka Prayog Karke Aisa Design Taiyar Kiya Jaata Hai. Jo Ki products ko attractive banata hai. Isiliye graphic designing ko visual communication ke naam se bhi Jana Jata Hai. Jahan per Koi vyakti Apne visual content Jaise pictures, symbols, infographics, text, graphs, Yaa videos ke Madhyam Se Apna Sandesh aur apni baat dusron tak pahuncha sakta hai. Read: 45 Successful Blogging Tips In Hindi 2021 Step By Step Designing ka upyog jyadatar marketing, sales aur User experience ko Behtar karne me Kiya jata hai. Graphic designing ka Use Bahut Si companiyon mein kiya Jata Hai. company's Apne products ko attractive banane ke liye graphic design ka upyog Karte Hain. Graphic designing ke upyog ki baat ki Jaaye to iska Kshetra bahut hi broad hai. Kyunki iska upyog Icons, pictures, posters printing, advertisement, identity design, packaging, system application, mobile application, social media applications etc. Mein Kiya jata hai, Jis graphic design Ko Ham Aksar dekhte hain aur attract bhi Hote Hain.
Graphic Designer Kaun Hota Hai
Graphics designer images, motions, graphs, typography etc. Ke combination se design taiyar karta hai. Yahi design ya graphics taiyar karne wala person hi graphic designer kahlata hai. Graphic designer Aisa professional person Hota Hai, jo computer per yaa FIR Apne Hatho se design ko taiyar karta hai. Jiska main purpose Hota Hai Apne vicharon Ko dusron tak pahunchana sath hi unhe motivate karna. Graphic design ka upyog Logo Tak Sandesh pahunchane ke liye Bhi Kiya jata hai. Yadi kisi company yaa Sansthan mein graphic designing ka kam ho raha hai, to vahan per Kuchh is Prakar ke Karya ho sakte hain. Jaise Vigyapan taiyar karna, packaging karna, poster taiyar karna, Logo banana ya FIR Kisi product ki marketing material ko taiyar karna etc. Graphic designer ka kam companies yaa industries ke liye Aise design taiyar karna Hota Hai, Jise Dekh Kar public product ki taraf attract ho sake. Aur product dekhne ke baad Us Product se related Kuch message Bhi Milta Ho.  
Graphic Designer Kaise Bane
Agar aap bhi ek Safal graphic designer Banna Chahte Hain, To iske liye aapke pass kuchh khas qualities Honi chahiye. Kyunki graphic designing Ek Aisa Kshetra Hai Jahan per aap sirf technical chijen Sikar Hi Kam Nahin Chala Sakte. Vahan per aapko creativity aur Designing Skills ka bhi experience Hona chahie. Agar aapko creativity ke sath graphic Skills bhi aa Jaati Hai to aap ek acche graphic designer Ban sakte hain. Agar aapko art banana aata hai aur chitrakari aapko acchi Lagti Hai. Aur sath hi aap graphic designing Mein Apna career Banna Chahte Hain To graphic designing aapke liye ek Achcha career option ho sakta hai. Aapko Ek Achcha graphic designer banne ke liye drawing ka Khoob Abhyas karna chahie, aur sath hi creativity ke sath Hamesha Kuchh naya Banane ka Prayas karna chahie. Aap sabse pahle chhote chitro ko banaa Karke apni practice kar sakte hain. Aap Aise project bana sakte hain jismein drawing ke Madhyam se aap dusron ko koi message bhi de rahe ho ya FIR kisi chij ke Prati aap Logon Ka Dhyan aakarshit kar rahe ho. Yah chhote chhote steps Hain jo aapko graphic designing ke Kshetra mein Kariya Banane Mein madad Karenge. Yadi Hamare dwara Upar Batayi gai activities ko aap follow Karte Hain,  to aap successful graphics designer ban sakte hai. Iske Liye aapko graphic designing Mein Hi diploma course ya FIR koi Graduation Degree Karni chahie. Jab aap graphic designing ka course Karenge to aap graphic designing ke basics ko acche se samajh Payenge. Aur sath hi designing software per kam Karke aap apni creativity ko aur bhi Badha sakte hain. Jahan per aapko different types ke software per kam karna Sikhaya jata hai. Tatha aap software ki madad se acche design develop karna Sikh Jaate Hain. Graphic designer banne ke liye aapka 12th standard Mein pass hona jaruri hai. Intermediate karne ke baad aap graphic designing Mein diploma course Karke graphic designing mein Apna career bana sakte hain. Ya FIR graphic designing mein graduation degree Karke bhi aap graphic designing main Apna career bana sakte hain.
Conclusion
Dosto, Aaj Apne Jana graphic design kya hota hai (what is Graphic design in Hindi), aur aap graphic designer Kaise Ban sakte hain. Mujhe ummid Hai Hamare dwara batai gayi Jankari aapko pasand aayi Hogi. Agar aapko samajh mein aa Gaya hai ki graphic design kya hota hai to hamare efforts ko waste Na Jaane De aur ise apne social media platform per share Jarur Karen. Yadi is post se sambandhit aapka koi bhi Sawal ho to aap Hamen comment Karke Jarur Puche. Read: Holography Kya Hai | Holography In Hindi Read the full article
0 notes