#OnlineBusinesskaisestartKaren
Explore tagged Tumblr posts
unlockcoding · 4 years ago
Text
Online Business Kaise Start Karen | List of Some Online Business Ideas
Tumblr media
Online Business Kaise Start Karen: Doston aaj ki is post Mein Main aapko bataunga ki online business start kaise kare (How to Start Online Business in Hindi). Isliye main aaj yah post likh raha hun Taki ki aapko online business start karne ki puri detail Yahan per De Sakun. So, yah post Mere UN Sabhi reader ke liye hai jo Apna khud ka online business start Kiye Hain ya FIR karne ki soch rahe hain. Jab Main Apna online business Kuchh sal pahle start kiya tha tab mujhe kuchh bhi Idea Nahin tha ki mujhe aage kya karna chahie. Aur Main Bus Internet se study Karta Raha aur aage badhta Raha aur sath hi aaj ke Samay Mein Main online internet ke Madhyam se bahut acchi earning kar raha hun. Mujhe Hamesha se Kuchh naya sikhane Ka Shauk tha dusron ko sikhana bhi achcha lagta tha isliye maine blogging ko Chuna Kyunki Main Yahan per apni thoughts ko dusron ke sath share kar sakta hun. Online Business Kaise Start Karen: Aaj main aapko Kuchh Aisi important thing bataunga Jo Main online Internet se abhi tak Sikha hai aur kuch secrets main aapke sath share karunga. Dosto iss article ko aap online Internet se paise kamane ka successful Tarika yah blueprint man sakte hain. Kyunki Aaj Jo Tarika main aapko bataunga Agar aapane usko successfully apply kar liya to aap hundred percent online business start karne mein successful ho sakte hain aapko ismein Koi rukavat Nahin Aaegi. To Chaliye Jaan lete hain online business start karne ka successful aur step by step Tarika kya hai. Read: Holography Kya Hai | What Is 3D Hologram Technology  
Requirement for Online Business
Online business start karne ke liye Kuchh chijon Ka Dhyan Rakhna bahut jaruri hai. Iske liye aapke pass Kuchh Jaruri chij Jarur honi chahie. - Internet connection - kuch naya sikhane ki Shakti - Aur Ek Computer Agar yah teen chijen aapke pass Hogi to aap aasani se online business start kar Payenge aur aapko Koi dikkat Nahin Aaegi.  
Online Business Kaise Karen | How to Start Online Business in Hindi
Agar aap sach mein online Internet se paise Kamana Chahte Hain, To aapke pass online Kuchh naya sikhane Ki Chahat Jarur honi chahie. Agar aap mein online Internet se Kuchh sikhane ki capability hai to aap online business start kar sakte hain. To Chaliye Jaan lete hain online business Kaise start kar sakte hain. Aur online internet Ki Duniya Mein successful kaise ho sakte hain. Main aapko Yahan per Kuchh online business ideas ke bare mein bhi bataunga.  
Tumblr media
  Unique ideas
Dost Agar aapke pass bhi Kuchh Aise unique ideas hai jo dusron se Hatkar hain aur aap dusron ko Kuchh naya bata sakte hain. To aap online internet per aasani se successful ho sakte hain. Aaj ke Samay mein kisi bhi field Mein competition Itna jyada hai ki aap vahan per Bina unique Idea ke Tak Nahin Sakte aur successful bhi nahin ho sakte. Isliye online business start karne ke liye Kisi Ek unique Idea Ka Hona compulsory hai. Agar aapke pass abhi turant Koi unique Ideas nahin hai to aap iske liye Kuchh Samay len aur apne business ko start karne ke liye unique ideas acche se soche. Read: Artificial Intelligence(AI) Kya Hai?  
Online Existence
Jab aapko Koi unique Idea mil jaaye Uske bad aapko apni online presence bhi Banani hoti hai. Iske liye aapko koi aisa platform juice karna hoga jismein aap apna online existence banaa sake. Iske liye aap social media platform ka bhi use kar sakte hain. Jaise Jaise aap Logon ke sath chhut Jaenge aur log aap ko janne lagenge to aap ki popularity bhi padegi. Agar aapko Apne reliable customer ya FIR visitor chahie to aapko online presence acchi rakhni padegi.  
Website aur blog
Website ya FIR blog Banakar aap apne online presence ko Achcha Rakh sakte hain. Aap Chahe to free mein bhi apna website ya blog banaa sakte hain, iske liye aapko Jyada mehnat Karne ki jarurat Nahin Hai. Apni website ya block per ek se do ghante kam Karke Bhi Apne online presence ko accha bana sakte hain aur sath hi Apne website ya blog se acche paise bhi Kama sakte hain. Iske liye aapko Apne website ya blog per articles published karne Hote Hain aur jab log aapke articles ko padhte Hain To unhen aapke article mein advertisement bhi dikhti hai Jisse aapko earning hoti hai.  
Social media
Agar aapko Jyada technical knowledge Nahin Hai, to aap apna online business social media platform per bhi Shuru kar sakte hain. Social media platform per Apna online business start karna bahut hi Aasan hai. Iske liye aap Facebook, Google aur Twitter Jaise platform ka use bhi kar sakte hain. Iske liye aapko Apne social media platforms per business page ko create karna hoga JisKe baad aap apna online business aasani se start kar sakte hain.  
Other Websites
Agar aap online kam karna chahte hain aur Apna khud ka business bhi start nahin karna chahte hain. To iske liye aap Kisi dusre website ke through judkar online paise Kama sakte hain. Agar aap India Se Hain To aapane a Amazon seller, Flipkart saller aur Snapdeal seller Jaisee online platform ke baare mein Jarur Suna hoga. Jo ki users ko Bina Apna business start kiye hue hi business platform provide karata hai, Jis per register Karke aap spelling start kar sakte hain aur acche paise Kama sakte hain. Read: Hacking Kya Hai In Hindi?  
Online internet marketing ki jankari
Online Business Kaise Start Karen: Agar aapko online internet Ki Duniya Mein successful hona hai to iske liye aapko daily Kuchh Na Kuchh naya sikhana hoga. Aapane "Kaun Banega karodpati" ki tagline to Suni Hogi jismein Kaha Jata Hai Ki "sikhana band to Jitna band". Online internet Mein business start karne ke liye aapke pass Kuchh Jaruri skillz Ka Hona bahut hi jyada avashyak hai. Agar Aap Hamare dwara Bataye Gai Kuchh iskills ko Sikh Lete Hain To aap online internet Ki Duniya Mein Apna business aasani se kar sakte hain.  
Content Marketing
Jab aap apne business mein rich contents provide Karte Hain To Log aapke content ko Pasand Karte Hain. Aapane yah tagline To Suna Hoga content is the king. Content marketing sikhane ke liye aap Google per jakar ke content marketing ke bare mein search karke padh sakte hain. Aur content marketing ki saari basic details ko Sikhar aap content marketing Mein expert bhi ban sakte hain. Yadi aap content marketing Sikh Jaate Hain To Jaruri Nahin ki aap content khud se likhen. Aap content likhva bhi sakte hain lekin iske liye aapko content marketing ki basic acchi Jankari honi chahie.  
SEO (Search Engine Optimization)
Jab aap apna business internet per Shuru Karte Hain To aapke audience ka main source Google aur Bing Jaise search engine Hote Hain. Agar aapko Apne content ko top per pahuchana hai aur aap ko search engine (Jaise Google aur Bing) platform per aapko top per aana hai. To iske liye aapko Apne content ko optimise karna hoga. Content ko optimize karne ke liye aapko Search Engine Optimisation (SEO) ki jankari honi chahie.  
Social media marketing (SMO)
Jab aap apna online business start karte hain to search engine se traffic aane mein time lagta hai. Agar aap jaldi se Apna online reputation banana Chahte Hain To aapko social media platform ke best tools ko use karna hoga. Ismein aapko social media marketing (SMO) ke bare mein sikhana hoga.  
Video marketing
Doston Kai bar chijon ko samajhne ke liye visual ki jarurat padati hai. Jiske Liye aap YouTube Jaise video platform ka use kar sakte hain, Jahan per aap video marketing Karke acche paise Kama sakte hain. Badalte Samay ke sath me log articles padhne Se Jyada videos dekhna Pasand Karte Hain. Iske liye aap YouTube platform ka use Karke Logon Ko Video Ke Jariye Jankari de sakte hain. Aur Jab aapka YouTube channel popular Ho Jata Hai to aap YouTube se acche paise bhi Kama sakte hain. Read: Naya Computer Kharidne Se Pahle Dhyan Rakhe Ye 8 Baten  
Email Marketing
Email marketing Ek bahut hi accha Tarika hai jisse ki aap apne Loyal customers ko create kar sakte hain. Agar aapko email marketing ki jankari nahin hai to aap Google per jakar email marketing ke bare mein search kar sakte hain. Aur email marketing ke baare mein acchi knowledge gain kar sakte hain. Aap apni website ya blog per traffic laane ke liye bhi email marketing Ka use bhi kar sakte hain. I hope ab aapko samajh aa gya hoga ki online business kaise start Karen. Agar aap Upar bataya Gaye online marketing karne ke skills ko Sikh Lete Hain, to aap apna online business acche se stablish kar sakte hain. Ab main aapko Kuchh Aise popular business ideas ke bare mein bataunga, jisse aap ko kuch business ideas mil Jaenge aur aap inme se Kisi option ko Choose kar sakte hain. Yah aapki Pasand per hai ki aap kis business idea ko use karte hain ya phir aap isase inspire hokar bhi Apna khud ka business Idea create kar sakte hain.  
List of Some online business ideas in Hindi
Doston ab main aapko Kuchh online business ideas bataunga jinko use Karke aap apna online business acche se establish kar sakte hain. Main Yahan per Jo business model ki list bata raha hun inmein se yadi aap Kisi business model ko use karte hain. Aur sath hi content marketing, email marketing, Search Engine Optimisation aur social media marketing Skills ka sahi se use karte hain to aap Jarur Apne online business Mein successful Ho jaenge. Here list of some online business ideas: - Blogging - Website - YouTube video - Paid Online Surveys - One-on-One Coaching - Freelance Writing - Ranking Niche Sites - Affiliate Niche Sites - Google Adsense Niche Sites - Freelance Graphic Design - Freelance Coding - Freelance SEO - General Virtual Assistance / Secretary Services - Group Coaching - Online Poker - Trading - Write a book - Assist successful entrepreneurs - Sell self-manufactured items on Etsy.com - Podcasting - Teach mindset / motivation - Create video tutorials on software - Teach musical instruments - Tax accounting services - Teach sports - Teach writing - Teach productivity - Teach networking / communications - Teach Dressing - Parenting Tips - Healthy cooking - Dieting / nutrition - Fitness training plans - Disease treatments - Money / financial advice - Professional gaming - Youtube advertising - Coaching for Dating - Book Reviews and Excerpts - Web Design - Transcription Services - Audio/Video Optimization Services - WordPress Optimization Services - Social Media Marketing Services - Software Development - Consulting Services - Book Editing for Authors - Building Masterminds - Cold acquisition coaching - Book marketing - Traveling - Housekeeping - Home office tips - Amateur photography - Studying / pupils - Hairdressing / makeup Maine Upar aapko Sabhi popular business ideas ki list mein Bata Diya Hai, Ab aap isme se Kisi bhi business ideas ko choose kar sakte hain aur sath hi Apna online business start bhi kar sakte hain. Read: What Is Bitcoin  
Online business start karne ke benefits
Agar aap apna online business offline na Karke Online mein start karna chahte hain to Iske bahut se fayde Hain. Online business start karne ka sabse bada fayda yah hai ki aapko huge amount of peoples milte Hain, Jiska aapko bahut bada benefit mil sakta hai. - Entrepreneurship: Iska matlab yah hai ki aap apne Khud Ke Pass Honge aur aapko Kisi Ke Niche work nahin karna hoga. Aur iske sath hi aapko entrepreneurship Main apne small business ko single hi manage Karna padh sakta hai. - Online business start karne ke liye aapko Jyada investment karne ki jarurat Nahin Hai. Agar aapke pass Mani nahin hai to aap apna website ya block Banakar bhi free me apna online business start kar sakte hain. - Online business karne ka sabse bada fayda yah hai ki aap apna business kahin se bhi kar sakte hain. Iske liye aapko Kisi bhi office ki jarurat Tak Nahin Hai Bus aapke pass Ek smartphone, computer or internet connectivity Honi chahiye. Aur aap ghar per baith kar bhi Apne online business ko manage kar paoge. - Agar aap apna online business Karte Hain To aapke pass loyal customers Honge. Aur aap bahut hi fast aur aasani se apne online business ko passive income Ka Source bhi banaa sakte hain. Maine Internet se Paise kamane Ke Un sebhi tariko ke bare mein aapko Bata Diya Hai Jinse aap bahut hi aasani se Thode Se smart Work ke sath acche paise Kama sakte hain. Main aapko 100% guarantee deta hun yadi aap Upar Baatayi Gayi Sabhi process ko follow Karte Hain To aap online internet business Start Karke acche paise bhi Kama sakte hain. Lekin han aapko Dhyan Mein Rakhna hai ki aapko hard work ke sath sath smart work bhi Karna hai. Aur sath hi Logon Ko Hamesha new aur unique ideas wale tips and tricks Bata Kar apne Loyal audience ko create Karna hai.    
Conclusion
Dosto Mujhe ummid Hai Ki aapko meri mehnat pasand aayi Hogi. Agar aapko online business start karne se related Kisi bhi Prakar ki problem hai to aap Hamen comment Mein poochh sakte hain. Agar aapko Hamare dwara bataiye gai hai Jankari Pasand aayi Hai To iss article ko social media platform per Jarur share Karen, jisase Meri mehnat Safal ho sake. Read: How To Buy And Sell Bitcoins  Read the full article
0 notes