alinisarzaidi
Nobody
1K posts
Don't wanna be here? Send us removal request.
alinisarzaidi · 18 days ago
Text
Tumblr media
Jo dil ko pesh aayi wo daastãn aur hai
27 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
“Sharam, dehshat, jijhak, pareshani naaz se kaam kyun nahi leti, Aap, woh, ji, magar yeh sab kya hai, tum mera naam kyun nahi leti.”
— Jaun Elia
91 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
“Aaj ek baat toh batao mujhay, Zindagi khwaab kyun dikhati hai?”
— Jaun Elia (via zamara01)
78 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Kisi bashar me hazar khami agar jo dekho, to chup hi rehna,
Kisi bashar ka jo raaz pao, ya aib dekho, to chup hi rehna,
Agar manadi ko log aae,
Tmhe kurede tmhe manae,
Tmhari hasti ke geet gae,
Tmhe kahe ki bashar me dekhi buraiyyo ko bayan kar do,
to chup hi rehna,
Jawaz ye h, daleel ye h
Zaef lamho ki larzisho ko,
Haraam rato ki kurbato ko,
Hamari saari khabasato ko,
Hamari saari himakato ko,
Vo janta h, vo dekhta h,
Magar vo chup h,
Agarr vo chup h,
To meri maano vo keh rha h,
Ki chup hi rehna...
-Iftekhar Usmani
6 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Tere bheje hue khat saare sambhale maine…
Phool ab tak na kitabon se nikale maine…
Jitne safhe thay sabhi mod ke rakhe thay yunhi…
Maine mehke hue safhaat se dhokha khaya…
Ae mohabbat tujhe seene se lagaya tha kabhi…
Kya sitam hai ke tere haath se dhoka khaya…
Main toh baarish ki talab leke nikal aaya tha
khwaab mein bheegti barsaat se dhoka khaya …
20 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Mere lafzon ko itne shiddat se na padha karo
Kuch yaad reh gaya toh bhula nahi paoge…
Tumblr media
4 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Kitna mehfooz tha gulaab kaanton ki goud mein
Logon ki mohabbat mein patta patta bikhar gaya
5 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Tumblr media
3 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Dil kabhi surat-e-hal se bahir na gya…
Dil kabhi surat-e-hal se bahir na gya…
Main Muhabbat main bhi Okaat se bahar na gya…
Ik tu hai ke Jahan bhar se Taluk hai tera…
Ik main ke teri zaat se bahar na gya…
1 note · View note
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Tumblr media
5 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Tumblr media
6 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Waqt hi nahin mila || Poetry about Time ||
Poet: Yousuf Bashir Qureshi
"وقت ہی نہیں ملا"
عجیب سی یہ بات ہے
عجیب سا خیال ہے
مگر جو سوچنے لگوں
تو اک اہم سوال ہے
کہ وقت ہی کہاں گیا
کہ عمر سب گزار دی اور وقت ہی نہیں ملا
کہا کسی نے آن ملو !
تووقت ہی نہیں ملا
کسی کا درد بانٹ لو تو وقت ہی نہیں ملا
جو چاہا کچھ لکھوں کبھی تو وقت ہی نہیں ملا
آرام کرنا چاہا تو
وقت ہی نہیں ملا
ماں باپ کو میں وقت دوں
تو وقت ہی نہیں ملا
بچے کہیں کہ وقت دیں تو وقت ہی نہیں ملا
شوہر کہے بنو ٹھنو!
وقت ہی نہیں ملا
بہنیں کہیں کہ بس کرو مگر وقت ہی نہیں ملا
میری صحت گر رہی تھی جب
مجھ سے کہا بھای نے تب
کہ سارے کام چھوڑ دو
بس ڈاکٹر سے وقت لو تو وقت ہی نہیں ملا
کاموں کی اک قطار ہے
جو زہن پر سوار ہے
پچھلوں کو جب سمیٹ لوں
فہرست نئی تیار ہے
یہ کیسے سب ختم کروں کہ وقت ہی نہیں ملا
کچی عمر کا دور تھا
دل نے کہا کہ پیار کر
پھر عشق رب سے ہو گیا
تو عشق دہر کھو گیا
یہ چاہا رب کو کھوج لوں
میں کیوں جہاں کا بوجھ لوں پر وقت ہی نہیں ملا
یہ ماہ وسال سارے اب
ہیں مانگتے جواب جب
تو کیا ہوی حیات پھر
کیسے بنے گی بات پھر
یوں عمر سب گزار دی
اور وقت ہی نہیں ملا
تو وقت یہ کہاں گیا ؟؟؟؟؟؟
؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟
1 note · View note
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Khalil Ur Rehman Qamar. yaad hai pehle roz kaha tha
yaad hai pehle roz kaha tha
phir na kehna ghalti dil ki
pyaar samajh ke karna ladki
pyaar nibhaana hota hai
phir paar lagana hota hai
yaad hai pehle roz kaha tha
saath chalo to poore safar tak
mar jaane ki agli khabar tak
samjho yaar khuda tak hoga
saara pyaar wafa tak hoga
phir ye bandhan tod na jaana
chhod gaye to phir na aana
chhod diya jo tera nahin hai
chala gaya jo mera nahin hai
yaad hai pehle roz kaha tha
ya to toot ke pyaar na karna
ya phir peeth pe vaar na karna
jab nadaani ho jaati hai
nayi kahaani ho jaati hai
nayi kahaani likh laaunga
agle roz main bik jaaunga
tere gul jab khil jaayenge
mujhko paise mil jaayenge
yaad hai pehle roz kaha tha
bichhad gaye to mauj udhaana
waapas mere paas na aana
jab koi jaakar waapas aaye
roye tadpe ya pachhtaaye
main phir usko milta nahin hoon
saath dobara chalta nahin hoon
gum jaata hoon kho jaata hoon
main patthar ka ho jaata hoon
3 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
na neend puri hui, na khwaab mukammal hue,
waqt ne kaha kaash thoda aur sabr hota,
sabr ne kaha kaash thoda aur waqt hota”.
4 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
uthana khud hi padta hai, thaka toota badan apna,
jab tak saans chalti hai, koi kandha nahi deta.
3 notes · View notes
alinisarzaidi · 1 month ago
Text
Ꮶᴀʀ ʟᴜɴɢᴀ ᴊᴀᴍᴀ ᴅᴀᴜʟᴀᴛ-ᴏ-ᴢᴀʀ, ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Ꮮᴇ ʟᴜɴɢᴀ ᴇᴋ sʜᴀᴀɴᴅᴀᴀʀ sᴀ ɢʜᴀʀ, ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Ꮇᴀʏ ᴋɪ ᴛᴀʟᴀʙ ᴊᴏ ʜᴏɢɪ ᴛᴏʜ ʙᴀɴ ᴊᴀᴀᴜɴɢᴀ ᴍᴀɪɴ ʀɪɴᴅ
Ꮶᴀʀ ʟᴜɴɢᴀ ᴍᴀɪᴏ̨ᴀᴅᴏɴ ᴋᴀ sᴀғᴀʀ, ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Hᴏɢᴀ ᴊᴏ sʜᴀᴜᴏ̨ ʜᴜsɴ sᴇ ʀᴀᴀᴢ-ᴏ-ɴɪʏᴀᴀᴢ ᴋᴀ
Ꮶᴀʀ ʟᴜɴɢᴀ ɢᴇsᴜᴏɴ ᴍᴇɪɴ sᴇʜᴇʀ, ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Տʜᴇʀ-ᴏ-sᴜᴋʜᴀɴ ᴋɪ ᴋʜᴏᴏʙ sᴀᴊᴀᴜɴɢᴀ ᴍᴇʜғɪʟᴇɪɴ
Dᴜɴɪʏᴀ ᴍᴇɪɴ ʜᴏɢᴀ ɴᴀᴀᴍ, ᴍᴀɢᴀʀ ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Ꮇᴀᴜᴊ ᴀᴀʏᴇɢɪ ᴛᴏʜ sᴀᴀʀᴇ ᴊᴀʜᴀɴ ᴋɪ ᴋᴀʀᴜɴɢᴀ sᴀɪʀ
Ꮃᴀᴘᴀs ᴡᴀʜɪ ᴘᴜʀᴀɴᴀ ɴᴀɢᴀʀ, ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Ɩᴋ ʀᴏᴢ ᴍᴀᴜᴛ ᴢᴇᴇsᴛ ᴋᴀ ᴅᴀʀ ᴋʜᴀᴛᴋʜᴀᴛᴀʏᴇɢɪ
Ɓᴜᴊʜ ᴊᴀʏᴇɢᴀ ‘Ꮯʜɪʀᴀɢʜ-Ơ-Ǫᴀᴍᴀʀ,’ ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
Uᴛʜɪ ᴛʜɪ ᴋʜᴀᴀᴋ, ᴋʜᴀᴀᴋ sᴇ ᴍɪʟ ᴊᴀʏᴇɢɪ ᴡᴀʜɪɴ
Ꮲʜɪʀ ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋɪsᴋᴏ ᴋʜᴀʙᴀʀ ᴜsᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴋʏᴀ?
6 notes · View notes
alinisarzaidi · 2 months ago
Text
Tumblr media
ġham-e-zindagī se farār kyā ye sukūn kyuuñ ye qarār kyā
ġham-e-zindagī bhī hai zindagī jo nahīñ ḳhushī to nahīñ sahī
Why do I run away from sorrows of my life, why do I ask for peace ?why I ask for patience?
The sorrowful life is a life also, if happiness isn't destined for me then let it be!
129 notes · View notes