#zehen me jazbaaton aur lafzon Ka dariya behta gaya aur meri ungliyan phone pe thirakti rahin.
Explore tagged Tumblr posts
mera-mann-kehne-laga · 2 years ago
Text
Tujhe kabhi na bata paun mai, Haal-e-dil sada chupaun Mai. Kaise tujhko ye batadun ki Tere deedar ke liye ye aankhein taras gayi Hain, Har jagah, har lamha tujhe hi dhundhti rehti hain. Baavro jaise idhar udhar bhatakti rehti hain. Vo lamhe, vo choti mulakatein jab bhi Yaad aate hai, Tujhe phir ek dafa dekhne ko jee karta hai, Mera kann kann tera hi naam japta hai. Tujhse kai zyada dilkash to vo hai; Phir bhi main tujhe hi itna kyu chahti Hun? Phir bhi kyu mai teri ek jhalak dekhne ko Har hadd paar Karne par utar aati Hun? Phir bhi kyu tujhe bus taakte rehne ka mann karta hai, Teri unn mast nigaahon mein doob jaane ka mann karta hai? Phir bhi kyu, kyu mai hamesha tere pass rehne ki chaahat Karti Hun, Kyu tere door Jane par mera dil rota hai, Kyu Tere na dikhne par ye chain aur karaar se naata tod deta hai? Kyu tujhe uske saath hi Sahi, par khush dekhna pasand Karti Hun? Kyu tujhse koi bhool ho jane par mai hamesha teri tarafdaari Karti Hun Kyu sada ke liye tujhse door ho jaane se darti hun?
Kyun dinn Raat Mera Mann tere hi sapne bunta hai?
Kyun har baar ye use nhi, sirf tujhe hi chunta hai?
70 notes · View notes