#thodi safai hi kar leta hun
Explore tagged Tumblr posts
Link
Abtak aapne padha..
.......kaajal ..haan yhi naam tha mera mere college me........" kohinoor apne yado ke safar par le chali Runa ko.
Ab aage...........
" Mai bachpan se hi padhne me achchhi thi aur swabhav ki shant…….logo se jyada ghulna milna mujhe nhi aata tha...shayad iski vajah meri parvarish aur mera pariwarik akelapan tha……..Bachpan se hi mai apne Nana ke yha rahi ...meri Mummi shahar me rahti thi ...Papa ke bare me jyada pata nhi hai..shivay iske ki wo bachpan me hi gujar gaye the.Bas itna hi bataya tha maa ne….chhoti thi to is se jyada puchha nhi, badi huyi to maa ko kabhi batane ki fursat nhi mili…ya shayad….".. Bolte bolte kajal ki aankhe bhar aayi.Runa shant bhav se sun rhi thi...mano uski apni hi kahani ho.
kaajal ne ek lambi saans li aur fir bolna suru kiya...........
"Bachpan se apne mummy papa ke bare me taane sunte sunte mujhe khud ke vajood se nafarat si ho gayi thi……log alag alag baaten karte the.....lekin mera man nhi manta tha….…mujhe hmesa lagta jarur mummy ki koi majboori hogi jo main unse door hun…..lekin thi to bachchi hi, kabhi kabhi sochti thi ki jab kisi ko meri jaroorat hi nhi thi to kyu mai duniyaa me layi gayi thi…??
Na jyada kisi se bolna , naa kahi aana jana......meri duniyaa mere vajood ke charo or simat si gayi thi. Ghar ke saare kaam karti aur fir baki ka waqt apni kiatabo ko gale se lagaa leti.....wo kabhi koi taana ,koi ulahna nhi deti thi...meri kitabe meri dost banti gayi aur shayad yhi vajah thi ki mai padhne me kaafi zaheen thi.lekin bachpan kya hota hai maine jana nhi.
“Ek geet hai runa baji, mujhe bada pasand tha……abhi bhi pasand hai.” Kaajal ne kisi chhote bachche ki tarah Runa ke haatho ko sahlaate huye kaha.
“kaun sa??”Runa ne puchha.
“Maine maa ko dekha hai, maa ka pyar nhi dekha……..suna hai aapne ???” kahte kahte kajal ka gala bhar aaya
“Nhi suna….aage bataa” Runa ka bhi whi haal tha, bas itna hi boli.
"Runa baji, maa baap ke pyaar na mil paane ka khalipan meri zinadagi me ek nasoor ban gaya....kabhi maine bachpan ke wo khusiyon wali din nhi dekhe...khair………., jab tak Nana the sab kuchh thik tha..mummy bhi kabhi kabhi aati thi..Nana kuchh puchhte to bas itna hi kahti thi ki shahar me naukari ke liye kosis kar rhi hu...mummy ka sochna bhi shayad thik tha.Unhe shayad pata tha ki Nana ke na hone par ,mai ya wo ,kabhi nanihaal me nhi rah payenge...aur unka sochna bevajah nhi tha."
"Mai bahut chhoti thi jab Nana ka dehaant ho gya....mai khoob royi ....bilkul toot gayi......Nana ke rahte ek sahara tha...ek aasara tha......mere Nana mujhe bahut pyar karte the……unke baad nanihaal me mama mami ne rahne nhi diya.....Maa ne mujhe boarding school bhej diya....shayad unhe koi naukri mil gayi thi.....Mumbai me…maine puchha to unhone kuchh nam bhi bataya tha post ka..mujhe yaad nhi rha….." ...Fir ek pal ko ruki kajal, do ghoont pani piya aur ek gahri saans lekar fir bolne lagi.
"Mera nanihaal Bengal ke ek chhote se gaon me tha aur mera borading school wha kolkata me..........boarding school me maine jee lagakar padhna suru kar diya...sabkuchh pichhe chhodkar.........maa kabhi kabhi aati thi.......lekin mujhe maa se bhi koi khas lagav nhi tha..........maa ke saath mai kabhi jyada rhi hi nhi thi.....ya shayad meri ma hi mujhse door rahi thi....mujhe nhi pta kya vajah thi.....haan, paise mahine ke maihne mere paas aate the........"
"Fir borading se mai college me aa gayi aur girls hostel me rahne lagi........mai 18 saal ki ho chuki thi....zindagi ka ek aisa padaav jab har ladki ki aankhe sunhre satrangi sapne sajone lagati hain.....lekin mere sapne bahut chhote the..........padhayi poori karna aur ek chhoti si naukri...mere sapno ki tabeer is se jyada ho paye, aisa hausla kabhi kar hi nhi payi mai.........aur na koi aisa tha jo mere sapne ki udaan ko pankh deta. ….mai badi ho gayi thi .........shayad apni umar se jyada badi ho gayi thi.......lekin mere andar ka khalipan nhi gaya.......... meri maa ka mere paas na hona mujhe khalne lagaa tha ab...."
"College ke pahla saal khatm ho chuka tha...result bhi aa gya tha...maine college top kiya tha…..claas me chup chup si rahne wali mai, back benchar me shumaar, mujhe koi jaanta hi nhi tha.......lekin result ke aane ke baad se bahut highlight ho gayi thi mai...............meri kismat ek nya mod le rhi thi...achchha ya bura mujhe khud nhi pata tha......"Â
"college me mujhe Sammanit kiya gay tha us din.......mujhe khusi nhi huyi thi ye kahna shayda galat hoga............khair, meri khusi me shamil hone wala mera koi apna nhi tha....maa se kabhi kabhar baat ho jati thi.lekin bas as a formailty..aisa nhi tha ki meri maa mujhe pyar nhi karti thi...lekin shayad kabhi us pyaar ka ahsaas wo nhi dila payi mujhe....tab tak nhi jab tak unki maut na ho gayi." kajal ki aankhe ek baar fir se bhar aayi……..Runa chuchap sun rhi thi. Train apni raftaar se daud rhi thi..........kajal bhi aaj apne dil ka sara dard kah dena chahti thi....wo dard jo kisi keede ke jaise use andar hi andar khaye ja rha tha.
Usne fir se bolna suru kiya...........
"Dheere dheere college me mere ek do dost bane........mujhse dosti ki koi khas vajah nhi thi……… ..shiway meri jahaanat ke.......study me achhch hona kuchh logo ke liye shayad college me bhi mayne rakhta tha...Aise hi dosto me thi Anjali...........Sadanand chauhaan ki beti….." kajal ne Runa ki aankho me dekha. Sadanand ka naam lete hi , Runa ke chehre ko dekhar aisa lag rha tha ki uske man me koi uthal puthal machi huyi thi.
"kya hua Runa baaji" kajal ne badi masoomiyat se puchha......
"kuchh nhi meri bachchi ..bas yehi soch rhi hu ki har Tawif ki kahani itni ek si kyu hoti hai......khair, bata aage ......usi ke jariye us launde se teri mulakat huyi hogi ??...."
"Jee.Alok se ..haan Runa baaji Alok naam hai unka........meri mulakat pahli baar college me huyi thi wo Anjali ko chhodane aaye the........pahli baar college ke bahar hi hi hello huyi.."
"kolkata me Alok aur Anjali rahkar padhai karte the...unki family Mumbai me rahti thi...Vaise un dono ke alawa bas uske papa hi the family me.....kafi rayeesh log the...ek achcha khasa flat le rakha tha Alok ne...Alok jab bhi milte mujhe ek alag hi nazar se dekhte the...aur jab kabhi galti se meri nazar pad jati to bas halka se muskura dete.......mai samajh nhi pati ki kya karu, lekin maine kabhi khud se kadam unki or nhi badhaye..........."
kajal mano safai pesh karte huye boli..haan..ek Tawaif ko ye safai deni hi padti hai...us par ilzaam jo hota hai ameerzadon , shareefzado ko faans lene ka.
"Lekin Runa baji Alok ek behad achhche insaan the.....i mean hain…..suljhe huye ...zindagi se bharpoor………..hasmukh.....aur mujhe bhi achchhe lagte the."pahli baar ek halki si sharm ki laali kajal ke galo pe chamak gayi.....usne bolna jari rakha.
"Hum teeno aksar ek sath bahar aane jane lage.......Alok ke papa kolkata nhi aate the...mera to koi aanewala tha nhi……..Maa kabhi aati to 2-4 ghante me chali jati.......ab mai khus rahne lagi thi ...Anjali aur Alok ke saath ne ek aur hi duniyaa dikha di thi mujhe.........Anjali ek bahut achchi dost thi ...ek aisi dost jispar mai khud se jyada yakeen karti thi...aur Alok???...abhi tak is uljhan me thi ki is rishte ko kya naam du.........jo naam tha us rishte ka wo mai accept nhi kar paa rhi thi.......dil dar rha tha ki kahi apni udaan se uncha sapna na dekh baithu.....jiske tute huye tukde aankho ko chubhne lage..........haan baji, khata kar di thi is dil ne....un dilkash aankho ki bhasa ye dil samajh gaya tha....mujhe muhabbat ho gayi thi....ek khamosh muhabbat…”
”Ek aisi khamosh muhbbat jiska gala bhi mai badi khamoshi se ghot deti, lekin kismat ko to mera majak bnana tha..aisa kar na saki..yhi meri khata thi ki maine usi pal un dono ka saath nhi chhod diya…nhi chhod payi baaji…sehraa ke pyase ko pani ki ek boond mil jaye to wo kaise chhod de…………mai bhi bachpan se isi thode se apnepan ko tarsi thi..mai nhi chhod payi….…mujhe to muhabbat ka samundar mil gaya tha…..haan, ye nhi pata tha ki ye samundar mujhe dubo dega." kajal ki chehre ki udasi aur gahari ho gayi , par usne khud ko sambhala aur bolna jaari rakha.
"Anjali meri class mate thi aur hum dono aksar college sath hi jate the...Alok hmse ek saal senior the lekin wo dusre college me the..........Alok apni car me hum dono ko college chhodate huye khud ke college jate the......mai hamesa Alok se door bhagti thi..kabhi koi mauka nhi deti kisi bhi baat ka.....Aur fir ek din jab mai anjali ke ghar pahuchi.........."kajal ke aankho ke saamne sare purane manjar ubhar aaye.....uske pyar aur dard ki kahani.
Anjali jise mai pyar se "Anju" kahti thi apne room me bistar par leti thi........."kya hua Anju..........?? Tu abhi tak taiyaar nhi huyi........college nhi chalna kya......"
"Nhi yaar........tabiyat thodi thik nhi lag rhi...........Please tu chali jaa ..nhi to lecture miss ho jayega....tera rahega to mai bhi kar lungi.."pata nhi kyu mujhe lag rha tha ki Anju jhooth bol rhi hai....lekin aisi koi badi baat bhi nhi thi..mai bahar aane lagi.
"Sun ,bhai ke saath chali jaa naa...."Anju ne pichhe se kaha.
Mere dil dhakk se rah gaya..aaj tak mai kabhi akeli Alok ke saath kahi nhi gayi thi...Maine saaf saaf mana kar diya aur jaldi jaldi wha se nikal gayi.dar tha ki kahi Alok se saamna na ho jaye.Mai muhbbat se bhag rhi thi Baji, wo muhabbat jo har roj jane kaise khud hi badhti ja rhi thi.......shayad Alok ki sharafat ka bada haath tha isme …ya fir shayad unke apnepan ka ..ya shayad mere akelepan ka……….mujhe nhi pata.
Class khatm karke mai bahar nikli hi thi ki kisi ne aawaz lagayi..........
"Kajal........." maine palat kar dekha, Alok apni bike se take lagaaye khade the...aaj bike se ..shayad akele the isliye.
Mai whi thoda sa hatkar khadi ho gayi...himmat nhi ho rhi thi ki unki or jau..wo khud chalte huye mere paas aa gaye..........
"wo..woo.....claass khatm ho gayi....???."Alok bhi shayad mujhse pahli baar akele me baat karne me jhijhak rhe the.
"jee, aap yha...??.."Maine bas itna hi kaha.
"Haan wo maine socha ki aap ko leta chalu colleg se..to......?? "Â
"par aaj anju nhi aayi……..batay nhi usne..??" pahli bbar mai mujhe kisi ko chedane me majaa aa rha tha.
"jee..ba..bataya usne.. tabhi to mai aapko lene......."Alok ke muh se achanak nikal gaya...aur fir jaise achanak break laga diya unhone……….mujhe hasi aa rhi thi.....maine bhi jyada paresaan karna thik nhi samjhaa ,…..hasi ko control karte huye boli.......
"mujhe lene ?.....ok..chaliye" aur pahli baar mai halk sa muskura di……..
Alok ek tak mujhe dekhte rah gaye, mujhe bada ajeeb lag rha tha..."chalen??" maine thode jor se kaha.
"aaw...haan...please aaiye......"Â
Alok ke saath unki bike par baithe, aaj jindagi me pahli baar mujhe mahfooj hone ka ahsaas ho rha tha...jaane kyu?? hum dono hi shant the Alok ne bike ki speed kafi kam rakhi thi ..aur mai us se thoda dur hatkar baithi thi.
"Aap itni chup kyu hain aaj......" Alok ne baat suru ki.
"jee...nhi to..wo Anju ki tabiyat thik hai ab ?? .......mera matlab jab aap aaye to ??" Mai bhi ulte seedhe sawaal puchh rhi thi.
"haan ....thik to thi..kahi bahar gayi hai shayad...kyu kuchh hua tha kya use..."Alok ne kahaa.
Mujhe bada ajeeb laga......mujhse to bola ki tabiyat thik nhi....aur ab bahar gayi...fir mujhe laga ki kya pata Alok se chhupana chahti ho........mai chup ho gayi.
"jee wo yu hi aaj colege nhi aayi to ...." maine bas itna hi kaha.
Achanak ek mod par bike thodi si lahrayi to maine jaldi se Alok ke kandhe par hath rakh diya....ek sukoon mila tha mujhe......ek ahsaas ki mai besahaara nhi hu......ek meethi si hook dil me uthi..........kash ye sahara umar bhar ka sahara ban jaye to zindagi kitni khubsoorat ho jaye.
"kajal jee, kahi coffe peeye kya...aaj jane kyu bada man kar rha hai...." Alok ne kaha.
"jee bas thodi der me aap apne ghar pahuch jayenge.......jarur pee lijiyega......." Maine kaha.
"Are...ghar par kaun coffee banayega...wo anjali ki bachchi?? are wo to coffe ka kaadha bana deti hai.........aur fir aap kaha hongi ghar par..." Alok ne is baar pichhe mud kar dekhte huye kaha, ek sharart thi un aankho me.
"aap please aage dekhiye.......kahin bike thok di to...mujhe abhi nhi marna...." mai zindagi me pahli baar shayad itne betakullafi se kisi se baat kar rhi thi.
jawab me Alok jor se hasne lage...
"to ek coffe ho jaye...haan kar dijiye naa"Â
Is baar mai mna nhi kar paayi.......... yhi sab meri khatayen thi baji !! jinki saja mujhe mil rhi hai…kyu na manaa kar diya unhe maine……??..kyu na mnaa kar diya …..??” kajal ka bas chalta to wo shayad apne ateet ke har panne ko jala deti.
Runa use dekhti rahi, kya khata hai is masoom si bachchi ki…...........isme kya galat hai use samjh me nhi aa rha tha…lekin kajal ko sab apna kasoor lag rha tha.....Sabkuchh.
Runa ne uske gaal par bah aaye aansuon ko ponchh diya….kajal aage bolne lagi………
“Coffee shop me baithe,Alok mujhe dekhe ja rhe the aur mai pareshan ho rhi thi........
"Ab mai kabhi aapke saath nhi aaungi" maine paresaan hokar kaha.
"kyu"
"Aise hi........"
Mai chup ho gayi...thodi der Alok bhi chup rahe........
Aankhe to Alok ki bahut kuchh kah rhi thi par hoth shayad abhi bhi himmat nhi juta paa rhe the...
wo pahli baar tha jab hum dono saath bahar rhe the.
kuchn halki fulki baaten hoti rahi uske baad lekin hum dono me se kisi ne kuchh kaha nhi..jo ekdusre se kahna tha.
Wapas aate samay meri nazar Anjali par padi.......kisi ladke ke saath thi….maine Alok ko nhi bataya….socha pahle Anjali se baat karungi…..puchhungi kaun hai wo.
Us din ke baad aksar Alok mujhse akele milne ke bahane dundhte ..mujhe bhi achchha lagta tha...thodi thodi bhanak to Anju ko bhi lag gayi thi aur usne mujhe chhedna bhi suru kar diya tha….Mai na chahte huye bhi Alok ki or khichi chali jaa rhi thi …..Dil gustakhi par utar aaya tha.
Anju se us ladke ke bare me puchha to wo taal gayi..bas itna hi kaha ki waqt aane par sab bta degi. Mai bhi chup ho gayi.
Mai aur Alok ab bahar milte to khub sari baten karte..Muhabbat to karte the lekin na kabhi lafjo me ijhaar hua tha na ikraar... aur na hi kabhi hmne apni maryada laanghne ki kosis ki .ek dost ke jaise hi Alok rahte the.har pal mere liye kuchh bhi kar jane ko taiyaar. apne saare dard mano bhool gayi thi.mai khus rahne lagi thi ..bahut khus.
Alok ko aaj USA jana tha... sirf ek hafte ke liye......mai subah se hi udaas thi....phone bhi nhi tha mere pas..Alok ne ek baar dena chaha tha ,maine mnaa kar diya tha lene se....aaj lag rha tha ki kash le liya hota...Alok ke papa aaye huye the.........to mai wha nhi jana chah rhi thi..jaane kyu dar lagta tha...sirf Anju aur Alok hi the jinke saath mai has bol leti thi..baaki sari duniyaa ke liye mai whi udaas si kajal thi ...aur mujhe shayad koi fark bhi nhi padta tha .
Alok sham ko chale gaye........mai chahkar bhi mil na payi unse............man bahut udaas ho rha tha, lekin fir dil ko samjha liya tha ki sirf ek hafte ki hi to baat hai. Mai apne hostel ke room me baithi thi.......wardon ne aakar kaha ki bahar koi mujhse milne aaya hai.
Maine apne kapde thik kiye aur bahar chal di...mujhse kaun milne aa sakta hai ???
“Jee..??” bahar khade ek anjaan vyakti se maine puchha.
“Aap hi hain Miss Kajal ? ” usne puchhaa.
“j..jeee..aappp…..??” Mai confuse hote huye boli .
“Mujhe Sadanand sahab ne bheja hai…Alok babu ke pita jee…aap se milna chahte hain… main unka driver hu….” Us vyakti ne kaha.
Mujhe kuchh samajh me nhi aaya kya bolu…lekin aisi koi vajah bhi nhi thi ki mai mna karu…maine use 2 min rukne ko kaha aur andar chali gayi….
Thodi der baad mai us driver ke saath Car me Alok ke ghar pahuchi …man me bure bure khyaal aa rhe the…koi gunaah nhi kiya tha maine, fir bhi jane kyu khud ko hi mujrim lag rhi thi, shayad mujh jaise ek aam ladki ka un unche tabke ke logo se talluk rakhna hi ek gunaah tha.Â
Kisi tarah se mai apne aap ko samete sambhale ek ek kadam ginti ghar ke andar chalti gayi…kal tak jis ghar me jaate mera man khusi se bhar jata tha aaj usi ghar me jaate huye ek dar sa lag rha tha.Â
Mai bheetar gayi..ghar par shayad anju bhi nhi thi……darwaja halka sa khola aur andar jhankaa samne sofe par Alok ke papa baithe the…pahli baar mil rhi thi …haan ek do bar photo dekha tha…chehre se hi rob jhalak rha tha.
“aa jao” unki tej aawaz kano me padi to rha saha hosh bhi hwa ho gya.
“ Namaste Uncle…” Mai andar pahuchi aur aage badhkar unke pair chhune chahe..
“thik hai thik hai…”Wo khade ho gaye.
“Janti ho Alok kaun hai…??” ajeeb sawal tha, y shayad m thik se samajh nhi payi thi.
“jee”?? maine na samjhne ke andaaz me dheere se kaha.
“Mera beta Alok……….. Janti ho na use……” unka har shabd ek hathode ke tarah dimaag ki nase hila de rha tha.
“jee” maine bas itna hi kaha.
“Mai Sadanand Chauhaan….aur wo mera beta hai..karodo ki property ka ek lauta waris…hmm..Tumhe to sab pta hi hoga…tabhi to ye jaal bichhaya hai…..bolo kya kahna chahogi……..”Â
Aakhir whi iljaam mujhpar lag gya tha jis se mai bachna chahti thi. Jaane kaha se mwre andar itani himmat aa gayi……shayad mere nirdosh man ko ye arop bardasht nhi hua tha………
“kuchh nhi kahna chahungi…….kyuki mujhe nhi lagta ki mujhe aapko koi bhi safai dene ki jarurat hai…kya hak hai mujh par iljaam lagane ka………..kaun si daulat loot li hai maine aapki…….puchh lijiye apne bete se aur apni beti se..aaj tak ek dhelaa nhi liya hai maine……..aap bade log hain , pata hai mujhe…....lekin yu bebuniyad iljaam mat............”Meri baat muh me hi rah gayi , Alok ke papa chilla uthe……….
“Aur kya umeed ki ja sakti hai ek Tawaif ki Beti se.......phaansana….ye to pesha hai tum logo ka ”Â
Sadanand ke sabd mere kaleje par bijli ban kar gire….aisa laga jaise duniyaa ke is mele me aaj mai bikul bemol ho gayi. Begunaah hote huye bhi mujh par har aarop sabit ho gya tha.Mai mano but ban gayi thi. Sadanand ne meri maa ko hi nhi mujhe bhi Tawaif kah diya tha.
Tanhayi ke sehraa me jhulse apne paavo ke liye sheetal chhaya ki talash me nikli kajal aaj ek aisi aag me jal rhi thi jisne uski shaksiyat ko raakh kar diyaa tha.Â
Read Our Completed Stories Just Click Here
Familly Love Without Rules Cmpleted
Pariwar Me Chudai K Sukh Se Bada Koi Sukh Nahi (Completed
Baap BetiÂ
Behan Ki Chudai
 Bhabhi Ki Chudai
 Desi Chudai
 Gay Chudai
 Group Sex
 Hindi Chudai Kahani
 Lesbian Sex
 Maa Beta
 Meri Chudai
 Naukar-Naukrani
 Office Sex
 Other Languages
 Parivar Me Chudai
 Pehli Chudai
 Tamil Kamakathaikal
 Teacher Student Chudai Top Collection
Hello Girls And Aunties
 Name Farhan Rajpoot
Send Me Your Stories On
Email: [email protected]
Whatsapp Number:Â +923200491056
1 note
·
View note