#kabhi kabhi hum bhi likhtay hain
Explore tagged Tumblr posts
localrants · 3 months ago
Text
✨ If you write a book on falling in love, what would be the last line? ✨
 اور اختتام پر میں نے یہ جانا کہ اس عشق نے کِس خوبصورتی سے میرے وجود کو مٹی کیا۔ میرے دِل کو چراغ سا روشن کیا، پھر رات سا اندھیر کیا۔  اس کے باوجود تمہاری محبت نے  مجھے بھرپور  باور کروایا کہ اگر زندگی نے پھر موقع دیا محبت کا تو ضرور کریں گے اور پھر سے, صرف تم سے ہی کریں گے۔
-یسریٰ طارق
Tumblr media
"Aur ikhtetaam pr mai ne ye jaana k is ishq ne kis khubsurti se mere wujood ko matti kiya. Mere dil ko charaagh sa roshan kiya, phir raat sa andher kiya.
Tumhari mohabbat ne mujhe bharpur bawar karwaya k agar zindagi ne phir se mohabbat ka mouqa diya tw zarur karengy, aur phir se sirf tum se hi karengy!
-Yusra Tariq
25 notes · View notes
localrants · 1 year ago
Text
Pichli gali k konay walay sunsaan makaan mn bil-akhir log bass gye hain. Tum tw kehtay thy, bargadd ka darakht us ghar ko basnay nhi deta? K bargadd apny puranay maalik k intizar mai hai. Woh apnay makaan mai kisi aur ko nhi biasaaye ga.
Pr naye makeeno'n ne bargadd pr jhoola dala hai, uski chaao'n mai chaarpai bichaai hai. Unho'n ne bargadd se dosti kar li hai. Ya shyd..ya shyd bargadd ne un se dosti kar li hai.
Shyd bargadd bhi thakk gya hou? Tanhaai bargadd ki shaam ka sabab ban rho hou, wehshat usay khokla kar rhi hou? Akela pann jarro'n ko kaat dalta hai, dil boorha kar deta hai.
Suno, tum mujhe qissa-e-bargadd na honay dena. Tum mere dil k boorha honay se pehle laut aana! 🥀🥀🥀
-SYT
Tumblr media
31 notes · View notes
localrants · 4 months ago
Text
This was the first piece of writing i ever wrote, years ago. Posted it on my Tumblr and Insta only. Today I saw it on Instagram with someone else's name. Broke my heart. Apparently this has also been posted on tiktok without asking or credits. I really don't know what to do.
Ik I don't have many followers on Instagram but people with huge fan following are stealing posts of small pages as theirs. That's low.