Tumgik
#dimag hai to jawab do messages
komal-jha · 7 years
Text
Mar Gayi Mohabbat
Amaan se uski shaadi ka zor uska khud ka faisla tha, uski personality itni jadui thi ki jaise ladkiyon ko hairan karne ke liye hi tarashi gayi ho, to kya hua agar wo pahli hi nazar me dil haar gayi aur phir uske saamne kubool bhi kar liya, ghar me koi bhi rishte ke liye raazi nahi tha, job acchui nahi thi, papa ko aitraz tha, umar bhi to dekhein papa! ye didi thi, ye sasuraal hai ya chitiyon ka kabab ye dadi boli thin, han lekin dekhne me bilkul shahzada hai akhir mama ne hi uske dil ki baat kahi, shaadi ki pahli raat hi usne raniya ko bahut kuch jata diya tha- maine ye rishta sirf mammi ke kahne par kiya hai warna mujhe shaadi ki itni jaldi nahi thi, ghar ka akela mard hun sab aurton ki mujhse ek si ummide hain, isliye tum zara khayal se rahna, safai pasand hun isliye safai ka khayal rakhna khaskar bistar ki chadar par bal mujhe bilkul bardasht nahi, wo simat si gayi bistar ke bal par uske masum aur mohabbat bhare dil ne kya kya nahi socha dala tha, lekin wo mayus nahi hui, dil hi dil me bolti hui kurban ho gayi- maine ye rishta sirf apne dil ke kahne par joda hai warna shaadi ki jaldi mujhe bhi nahi thi, aap sirf ghar ke akele mard nahi mere dil par raaj karne wale bhi akele mard hain, aur mai ishq parast mohabbat pasand hun, din mahine aur phir saal guzar gaye, wo mohabbat karti rahikhidmat karti rahi lekin natija zeero, yahan tak ki uske phool se wajood ne uski mammta ko mahka diya phir bhi uski kushbu uske mahboob ke dil ko na mahka saki, aur bhala pattharo se kon khushbu ugane ka jokhim mol le, jo le so deewana, aur wo bhi deewani ho gayi, kya dekh rahe hain? wo samjhi shayad aaj meri mohabbat ke chamakne ka din hai, yahi zaahir hai ki tumhe koi gam nahi lekin halat aisi bana rakhi hai jaise barso ki bimar kuch din ki mahman uske hontho par alfaaz nahi angare se chmake aur uske kaano ko jhulsane lage, uske baad wo kuch na bola na raniya ke andar kuch sunne khwahish rahi, shayad uske andar har khwahish akhiri hichki lekar tamam ho gayi, yahan tak ki kuch aansu usi bistar aur takiye me munh chupa kar bahane ki khwahish bhi, uski silwatein door karte karte uski puri zindagi silwaton se bhar gayi, aur tab pahli baar usne aadhi raat ko phone utahaya aur message likh kar samne lagae anjan number par bhej diya, ye number se lagatar teen hanfton se use khamoshi se jode hue tha aur us khamosh call ko kisi manchale ka khel samajh kar nazar andaz karti rahi, mohabbat itna zaleel kyun karti hai? dusri taraf maujud shakhs ne message padha aadhi raat ko ghadi me waqt dekha aur muskurahat barasne lagi, mohabbat mard ko zaleel nahi karti kyunki mard mohabbat ke peeche nahi bhagta, wo ek bahtreen ghud sawar ki tarha khwahish ke ghode par sawari karta hai udaan bharta hai aur bohabbat ko hamesha apne peeche bhagata hai, dusre din uske phone me reply jagmaga raha tha, usne padha lekin gaur nahi kar saki amaan kamre me tha, inbox khula pada tha raniya ka number aur uske message jhaank rahe the, kitna jhuk jati hai kitna dar jati hai ek aurat kisi mard ke dil me uncha hone ke liye, mere liye to ek bund hi kafi hai, uski aankein dhundlane lagi, aspas ke sannate me shor bharne laga chikhen awazein minnatein aur...aur gaaliyan- haramzadi! ye kartoot hai teri isliye zaban chalane lagi thi, nahi meri baat to sunein, usne thik kaha tha uski sunne wala yaha koi nahi tha, aur us waqt to bilkul nahi, aisa mat karein amaan! pleaz sabsun rahe hain, kyun mera tamasha bana rahe hain, tamasha maine banaya hai...maine? usne sawal kai baar dohraya aur ek baar bhi jawab mangne ke bajaye use takleef di, use to thik se yaad bhi nahi araha tha ki usne raniya par ek hath uthaya ya do bar aur phir wo thak gaya aur raniya ek taraf ludhak gayi, uska kamzor hath amaan ke mazbut hath me daba tha, jaldi se thik ho jao jaan! hamara ghar tumhari rah dekhn raha hai, wo pathrai nigahon aur khamosh chehre se chatt ko dekh rahi thi, mera kamra bilkul soona hai, tumhare bagayer tumhari mohabbat ke bagayer mere dil ki tarha, uske adhmare jism me harkat huyi dubdubati aankhon se pahchan ke rang jaage- meri mohabbat? han raniya! tumhari mohabbat jisne mere dil me chupi huyi meri mohabbat ko zinda kiya use bahar nikala, raniya ne sukhe gale se bolne ki koshish ki to uski gardan me khichao paida hua bahut takat laga kar boli- meri mohabbat me aapke andar chupi mohabbat ko nahi aapke andar chupe hue haiwaan ko nikaal kar bahar patak dala amaan! aur us haiwaan ke bahar nikalte hi meri..., uski saans phul gayi aur wo kaanp gayi, uski aankhon se aansu bahne lage awaz kapkapne lagi meri mohabbat ko zinda nigal gaya, mai ab kisi se bhi mohabbat nahi karti kisi se bhi nahi, uski awaz mazbut ho chuki thi, wo jhuke hue sir ke sath bahar nikal gaya, ek bina silwat ki chadar ki khwahish ne kisi ki zindagi ko silwaton se bhar di, kisi ki mohabbat ko ganda kar diya, uski safai daagdar kardi aur uske dil ke kagaz par jahan mahboob ka naam sabkuch sah kar bhi chamakta tha ab wo kagaz sikud chuka tha, aur kagaz us aitbaar ki tarha hota hai jis par ek baar shikan pad jaye to use dubara kabhi seedha nahi kiya ja sakta, aur hospital ke kamre me bed par bagayer harkat ke padi raniya ka zahen soch raha tha, mera wajood ganda hai mere dilo dimag thake hue mera dil hara hua hai meri mohabbat bikhri hui hai        
1 note · View note
funnyjoke-in-blog · 6 years
Photo
Tumblr media
Dimaag Chalao Or Batao 3 Hai Ya 4 ? dimag hai to jawab do messages: Is Tasveer Me kithni lakdiya hai 3 hai ya 4 ?
0 notes