Tumgik
#bazmefaraz
zayrayyy · 7 months
Text
Tumblr media Tumblr media
Rooh -E - Mann
Kitne bhi sitam tu kyun na kar mujh pe
Ho shikaytein, narazgiyan ya faasle
Par ek dfa tu jo pukaare mujhe
Rooh e mann !!
Yaad phir kya rahe?
Na sawaal rahe , na shikaytein
Na Mai rahu , na koi aur dikhe
Bas khayal tere, tu hi tu rahe..
Mai bhul jau narazgiyan, bhula doon gile sab
Mai thaam loon anaayein, vaar doon tujh pe sab
Mai bhul jau shikve, chor doon nafs
Mai bhula doon khud ko bhi, yaad rakhu tujhko bas..
Ishq me nafsiyati houn, kar jau aisa kuch
Mita kar vajood apna, ho jau Teri bas...
Mai sanwaar loon khud ko, tu aaja hisse mere
Mangu Khair Teri, sadqe jau yaar tere...
Tu hayat meri , tujh pe qurban jau
Tu Jeet jaa mujhse, Mai haar jau
Aur kya likhu? kaise mai Ishq jatau ?
Chura loon tujhe, ishq me kamli ho jau
(ثمرین ) نفسیاتی مریضہ ~
16 notes · View notes
zayrayyy · 7 months
Text
Mai chahti hoon main zindagi khul k jiyun,
Yeh na ummeedi aur mayusi kahin dur chor aau
Lekin wahi kisi ka chubhta hua lehja mujhe aziat ki unn vaadiyon mein dhakel deta hai,
Jahan mujhe apna vajood bojh sa lagne lagta hai
Mai baatein bhul jaati hoon
Lehja bhulna asaan nhi hota.
(ثمرین) نفسیاتی مریضہ ~
3 notes · View notes