Tumgik
#ahle hadees ki kitab
aijaz3130 · 3 years
Text
Ahle sunnat wal jamaat kauñ hai...??
👉Jawab :
Ye “Ahle Sunnat Wal Jamaat” naam 2 lafzo se bana hai jaisa ke “Ahle Sunnat” aur “Jamaat”.
🔴"Ahle Sunnat Wal Jamaat" ka wajood:
Yeh naam tab wajud me aaya jab Sahaba Radhi-Allahu-Anhu-Ajmain aur Tabi’in ke daur me jab GUMRAH FIRKE Islam ke Andar wajud me aaye jaise “Ahle Biddat” aur “Ahle Raay” aur “Ahle Kalam” In GUMRAH FIRKO se apne aap ko alag bataane ke liye SAHABA aur Tabi'in ne yeh lakab apnaya jo NABAWI tarike par ISLAM ko samajte the.
🍃“AHLUL SUNNAH WAL JAMAT” hi HAQQ Jamaat hai, is Jamaat se murad Sahaba Radhi-Allahu-Anhu-Ajmain, Tabi’in, Tab Tabi’in aur inke NAKSHE KADAM par chalne wale tamam SALAF-SALEHIN hai jo NABI ﷺ ke Wafa'at (maut) ke baad ISLAM ki ASAL SHAKL par baaki rahe aur tamam GUMRAHIYO se dur rahe aur In-sha-Allah Qayaamat tak maujud rahenge.🍃
🎯DALEEL 1:
Abdullah bin Amr Radhi-Allahu-Anhu farmate hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya…
Meri UMMAT 73 firko me bategi, un me se har ek firka JAHANNAM me jayega siway 1 firke ke. Sahaba Radhi-Allahu-Anhu-Ajmain ne puchha : Ya Rasolullah ﷺ wo (jannat me jaane wale) kaun hoge …??? Aap ﷺ ne kaha :
“Jo koi MERE aur mere SAHABA ke raaste par hoga”.
📘(Tirmizi - 2641, Al-Albaani (Rh) ne is Sahih Tirmizi me bayan kiya)
🎯DALEEL 2:
Mu'awiyah bin Qurrah farmate hai ke Rasoolullah SallallahuAlaihiWaSallam ne kaha ke :
“Jab Shaam ke rahnewalo me kharabi ayegi to apke liye koi bhaalai nahi rahegi. Mere Ummat me EK GIROH (1 Group) hamesha HAQQ par qayam rahega jiski MADAD Allah karta rahega aur us se DUSHMANI karnewale usko NUKSAN nahi pahucha payenge yaha tak Qayaamat qayam ho jayegi. Is HADEES ki tashri (Explanation) me khud Imam Tirmizi (R) isi HADEES me likhte hai ke mere USTAD Imam Bukhari (R) ne kaha ke aur Imam Bukhari(R) kahte hai ke mere USTAD Imam Ali Ibn Madini ne kaha ki : is GIROH (Group) se muraad “AS’HAABUL (AHLUL) HADEES” hai.
📘Sahih Jami' at-Tirmidhi, Chapters on Al-Fitan, Book 33, Hadith 2351.
🎯DALEEL 3:
agar wo “TUM” jaisa imaan laaye, to hidaayat paayenge, aur agar muh modey to wo sarih ikhtelaaf mein hai, Allah ta'ala un se anqareeb aap ki kifaayath karega, aur wo khoob sunne aur jaanne wala hai.
📘(Surah 02 Baqrah : Ayat 137)
↘Yaha ” TUM” se murad “SAHABA” ki jamaat.
🎯DALEEL 4:
jo shaqs ba-wajood raahe hidaayath ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool ke khilaaf kare aur MOMINO ki raah chhod kar chale, hum usey udhar hi mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge, wo pahonchne ki bahot hi buri jagah hai.
📘(Surah 04 Nisaa : Ayat 115)
↘Yaha ” MOMINO” se murad “SAHABA” ki jamaat aur unke Naksh kadam par chalne wale tamam MOMININ hai jo Qayaamat tak aayenge.
🔴AHLUL SUNNAH WAL JAMAT ke mukhtalif naam hai jaise:
1. Ahle Sunnat
2. AHLE HADEES
3. AS’HAABUL HADEES
4. AHLE ASAR (ASAR,Sahaba ke qaul ko kaha jata)
5. SALAFI (Sahaba, Tabi’in, Tab Tabi’in ke fahem ke mutabik Islam ko samjnewale)
6. ANSAAR AL SUNNAH
7. TAYFA MANSOORA (Victorious Group)
🌴Yeh saare naam ISLAMI SHARIYAT ke ham-naam hai aur ISLAM ki TARJUMAANI karne wale naam hai. In sab ka MANHAJ (TARIKA) 1 hi hai wo “QURAN wa HADEES”. Yeh sare naam kisi Khaas Imam ki taraf nisbat nahi rakhte.
↘Yaha, “AHLUL HADEES” aur “AS’HAABUL HADEES” ka ek hi matlab hota hai jaise “AHLE JANNAT” aur “AS’HAABUL JANNAT” me koi fark nahi.
↘ “AHLE” aur “AS’HAABUL” matlab hota hai “LOG (PEOPLE)” jaise “AHLE KITAB”.
🔴Jaise MUSALMANO ko bhi QURAN wa HADEES me mukhtalif naamo se pukara gaya, maslan,
1. MUSLIM
2. MUMEEN
3. Imanwale
4. Ahle Jannat
5. IBADULLAH
6. ANSAAR
7. MUHAJIRIN
8. HAWARIYEEN
9. Aur bahot saare sifati naam hote hai jaise Siddiq, Shohada, salehin, NAMAZI, HAAJI
In sab se murad ISLAM par chalne wale.
Iska matlab yeh huwa ke kisi 1 chiz ke 1 se Zyaada naam hosakte hai.
GAUR kijiye…
Sahaba kaunse Imam ke MUQALLIDIN the..???
Kya Sahaba Radhi-Allahu-Anhu-Ajmain HANAFI, DEOBANDI, BARELI, QADIYAANI, SUFI, CHISTI, QADARI, SUHARWADI, NAKSHABADI the??????
Wallahu Alam Sawaab.
Yaa Rab !, hamko RIYAAKAARI se bacha. Hamare andar IKHLAAS paida kar. Hamko SAHIH ULAMAO se ilm hasil karne wala bana de aur apne ilm ke mutabik amal karenwala bana de aur humko AKHIRAT me RUSWA na kar.
Aameen ya Rabbul Aalameen
0 notes
ahtshamulhuque-blog · 7 years
Photo
Tumblr media
Kya huzur صلى الله عليه وسلم ka wisal 12 rabiul awwal ko hua he 12 Rabi Ul Awwal Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Nahi Hai - Most Extensive Research Paper بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم  Musalmano ko 12 Rabi Awwal Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم Manane Se Rokne K liye Kaum E Wahabiya Aur Inke Tamam Hum Khayal Firqe ab tak puri tarah bebas hochuke hai bas unke pass sirf fareb dhoka makkari k elawa kuch baaki nahi raha.  Ahle Sunnat Wa Jamaat Ne Milad Un Nabiصلى الله عليه وسلم k jawaz par jitne dalail pesh kiya phir chahe wo Quran Sahi Hadees se ho ya Aimma Fuqaha k kitab se ya khud Kaum E Wahabiya k Aqabireen ki kitab aur fatawo se ho hakikat yehi rahi k wahabi unka jawab naa la sake kabhi. To ab Milad se rokne k liye ek naya aitraaz laaya gaya wo ye k 12 Rabi Awwal Sharif k din Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلمKa Yaum E Wisal Huwa Sahaba Gamgeen the us din khusi to Dushmane Islam ne manayi thi aur tum bhi manate ho ye aitraaz kar ek aam Musalman ko confuse kiya jaata hai.  Aaye Ab Hadees Aur Tareekh ki kitabo me Is Talluk se Kya Likha Hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Kab Huwa  ?  Iske Talluk se hume jo milta hai wo yaha pesh karte hai. 01) 12 Rabi Ul Awwal : Ye kaul Umool Momineen Sayeeda Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho ki Taraf Mansoob hai.  (Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 256) Ye Rivayat Jo 12 Rabi Awwal ki hai is rivayat me Ravi Hai “Imam Muhammad Ibn Umar Al Waqidi Aur “Muhammad ibn Ali Ibn Subarrah” jinpe Muhadiseen ki kaafi jirah Hai ye dono raavi Sayyida Ayesha Radi Allaho Anha k rivayat  me hai.  Imam Ali bin Al Madeeni, Imam Abu Hatim Razi, Imam Yahya Ibn Moeen Rizwanullahi Azmayeen ne kaha Imam Waqidi Siqaah Nahi Hai. Imam Ahmad Ibn Hambal ne Kaha Imam Waqidi Hadees gadte hai. Imam Hatim Aur Imam Bukhari Ne Kaha Imam Waqidi Masrooq Hai Yaani Rejected.  Imam Murrah Kahte Hai Imam Waqidi Se Koi Hadees naa le. Imam ibn Aadi Ne Kaha Imam Waqidi Par Aimma Ki Jiraah hai. Imam Zahbi Ne Kaha Muhadiseen Ne Waqidi Ko Zaeef Kaha Hai.  (Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 425 - 426) more information Eid milad visit my web site https://ahlesunnatvsbaatil.blogspot.in/2017/11/eid-e-miladunnabi-sallallahualaihiwasal.html
1 note · View note
sufism786-blog · 7 years
Photo
Tumblr media
#Ahle_Bait_Ke_MutaliQ_Allah_Se_Darna_ #Farman_Nabi_Kareem_Rauf_O_Raheem ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏ فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ Hazrat Zaid bin Arqam Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai Ek Roz Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina k darmiyan us paani k Makam me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Taala ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Mai ek bashar hoon ankarib mere Rab Ka Qasid aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAIT HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTALLIK ALLAH SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTTALIK ALLAH SE DARATA HOON ” {Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225 “English No : 2408}
0 notes