#Quran Kis Nabi Par Nazil Hua ?
Explore tagged Tumblr posts
azharalimidotcom · 1 year ago
Text
Quran Kis Nabi Par Nazil Hua ?
Quran Majeed Hamre Pyare Aaqa Hazrat Mohammad Mustafa Sallahu Alaihi Wasallam Par Nazil Hua Hai .  Azhar Alimi
View On WordPress
0 notes
Text
Tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko Jibrayeel (Alaihi Salam) ke jarye Allah Rabbul izzat Quraan ki aayte sikhatey. fir Ek Ramzan se agle saal ke Ramzan tak jitna Quraan Nabi (ﷺ) par nazil ho jata utna pura hissa Jibrayeel (Alaihi Salam) aapse baar baar suntey, taaki Hifz accha ho jaye.
Quraan ka jitna hissa jo Nabi-e-Kareem (ﷺ) par Nazil hota utna Aap Sahaba ko boltey. Sahaba unke Zamane me jo kuch bhi likhne ke Wasail hua karte they unpar wo aayte likh letey, jaise Patthar par, Khajur ke Darkhtto ke patto par jis tarha bhi likh sakte they likh liya karte aur usey apne gharo me mehfuz rakh detey. is tarha alag alag mouko par Quran Nazil hua.
0 notes
graphicdesignonline · 8 years ago
Text
Hijrat
Insaan jis mahol aur mu'ashre me rahta hai, uske kuchh na kuchh asraat uski zindagi par waarid hote hain. Agar uski rihayish ke atraaf fahashi, buraiyan, gandagi, shirk bidaat khurafaat phaili huwi ho to insan ko chahiye ki infiradi taur par hikmat se kuchh arsa woh aise logo ki islah ki koshish bhi kare aur apne aapko ek acche aur ba-akhlaaq muashre ka hissa banane ke liye phir ek mutayyan waqt par waha se kooch kar ke ya hijrat kar ke aisi jagah chala jaye jaha woh apni ibadato ko poorsukoon andaz me anjam de sake.
Nabi sallallahu alaihi wa sallam Makkah walo ko 13 saal tak dawat e deen dete rahe, phir ek din aisa aaya ki Allah ne unhe hijrat kar ke Madina jane ka huqm diya. Ek martaba Nabi sallallahu alaihi wa sallam apne ashaab ke sath safar me the aur ek jagah raat me qiyam farmaya. Bilal radiyallaho anho ki neend bedar na hui aur sab ki fajr ki namaz chhut gayi. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya (mafhoom) ki is waadi me shaitan ka ghalba hai, waha se kuchh door gaya aur phir waha namaz ada ki gayi. Ek sahaba ne kisi jagah qurbani karne ki ijazat chahi to Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne daryaft kia ki kya us jagah but (statue) hai ya kabhi hua karta tha? Agar nahi to phir aap qurbani karo.
Ibraheem alaihis salam ko bhi huqm hua ki Hazrat Hajera ko ek maqsoos jagah par chhod den aur phir waha aabadi qayam hui aur ek pura muashra tashqeel me aya. Woh hadees mash'hoor hai jisme ek insan 100 qatl karta hai phir ek buzurg use mashware dete hain ki tum bure logo ki basti chhod kar fala jagah chale jao jaha ibadat guzar log rehte hai.
Yusuf alaihis salam ke bhai jo unse hasad karte the, unse door lejakar mukhtalif maraahil se guzar kar Allah ne unhe misr ki badshaht naseeb farmayi. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne khud bhi kaee sahaba ko Makkah ke daur me habsha ki taraf hijrat karne ke liye kaha tha.
Pata yeh chalta hai ki mahol aur muashra aur usme basne wale logo ka asr insan ki rozmarra ki zindagi par, uske akhlaaq par, uske qirdaar par, uski muqammal wajood par hota hai. Use chahiye ki jab tak woh us basti me ho, amr bil maroof aur nahi anil munkar ka fareeza anjaam deta rahe aur jab use lage ki woh kaamil taur par aise logo ke bich rah kar islam ka haqq ada karne se aajiz aur hai aur iman ke kamzor pad jane ka khadsha hai to phir hijrat kar le.
Quran me Allah khud farmata hai ki insan se puchha jayega (mafhoom) ki kya Allah ki zameen kushada na thi ki tum hijrat kar lete? Bani israel ki ek qaum par jab azab e ilahi nazil hua to farishte ne puchha ki Ya Allah is basti me tera ek banda aisa bhi hai jo lamha bhar ke liye teri yaad se gaafil nahi hua, kya us par bhi azab aayega? Farmaya gaya, ha usi se shuru karo, kyon ki jab woh us basti me maujood tha, tab uski zimmedari thi logo ko mutanabbeh karne ki.
Gehu ke sath ghun bhi pis jaya karta hai. Allah hum sab ki hifazat farmaye aur hame imaan ki salamati ata farmaye. Aaamin.
https://youtu.be/yGhe2F2LHkI
0 notes
Text
Quran kis par Nazil hua ?
Allah Taaal ne Quran-e-Kareem Apne Aakhri Nabi Muhammad (ﷺ) par Nazil kiya. iske bare me Bukhari Sharif ki jild number 6 me beshumar Quran se Mutalik Aahades aati hai.
Allah ke Nabi (ﷺ) ke barey me Allah Rabbul Izzat Quran me khud Gawahi deta hai ke:
❝ Mere Nabi (ﷺ) is kitab ke nuzul se pahle na kuch padh sakte they aur na likh saktey they, agar inhe padhna likhna aata tou kafir kehtey ke Nabi ne khud Quran bana liya” [Quran 29:48]
Tou ye baat wajeh thi ki Nabi (ﷺ) padhna likhna nahi jantey they. Encyclopedia Britannica bhi iski gawahi deti hai ke jitni tarikhi hawale (historical evidence) miltey hai uss se yahi maloom hota hai ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko padhna likhna nahi aata tha.
0 notes
graphicdesignonline · 8 years ago
Text
Abdullah ibn Umme Maktoom radiyallaho anho
​​​'Abasa wa tawallaa. An jaa-ahul 'a-maa. Wa maa yudreeka la'allahu yaz zakkaa. Au yaz zak karu fatanfa 'ahuz zikraa. (80:1-4)​​ Abdullah ibn Umme Maktoom radiyallaho anho naabina (andhe) the. Yeh Hz Khadija radiyallaho anha ke phoopizaad bhai aur Nabi sallallahu alaihi wa sallam ke nisbati bhai (brother in law) the. Abdullah ibn Umme Maktoom radiyallaho anho ke waalid ka naam Qays ibn Za'id aur maa ka naam Aatikah bint Abdullah tha. Logo me unke waalida ka naam Umm Maktum (Mother of the Concealed One) isliye mashoor ho gaya ki unho ne ek naabina bachche ko janm diya tha. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne unhe haqeer samajh kar ignore nahi kiya tha, kyonki Nabi sallallahu alaihi wa sallam hamesha garib, kamzor, nadar, aur majbooro ki izzat bahut zyada kiya karte the. Nabi sallallahu alaihi wa sallam ko us waqt unka aana isliye nagawar guzra kyoki us waqt quraish ke bade bade sardaaro ka ek deligation aya hua tha aur Aap sallallahu alaihi wa sallam  badi lagan se unke saamne dawat e islam pesh kar rahe the. Nabi sallallahu alaihi wa sallam  ko laga ki agar is mauke par agar woh Hz Abdullah ibn umme maktoom ki taraf mutawjjeh honge to sardaro ki taraf tavajjoh me kami hogi isliye Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne unke sath apni baat ki silsila jari rakha aur Ibn Maktoom ki taraf tavajjoh nahi farmayi. Yeh chook dawat ke josh ke tahat huvi thi, ibn maktoom ki taraf unka koi galat attitude nahi tha. Lekin yeh ek napasandeeda baat thi isliye Allah ne is par Nabi sallallahu alaihi wa sallam  ki pakad karte hue yeh ayat nazil ki: "Tyovir chadhaiy aur mooh pher diya. Is baat par ki uske paas ek naabina aaya. Tumhe kya maloom ki shayad woh pakizgi haasil kata. Ya nasihat par dhyan deta aur nasihat uske haqq me mufeed hoti."(Surah Abas 80:1-4) Nabi sallallahu alaihi wa sallam  ki majlis me Abu jahal, Umayya bin khalf, Utba wagairah quraish ke sardar majood the jinhe aap islam qubool karne ki dawat de rahe the. Allah tala ki Nabi sallallahu alaihi wa sallam  ko is baat ki tambih ki Ibn maktoom ki taraf tavajjoh nahi di, yeh dar asl dawat ka inkaar karne walo par chot hai. Is surah ka pasmanzar yeh hai ki mushrikeen makkah ki taraf dawat already pehle bhi wazeh taur par pesh ki jaa chuki thi aur unho ne saaf inkar kar diya tha. Jo log dawat e islam ka khule ​taur par jaan'te bujhte inkaar karke apne baatil mazhab par ade hue hain unko (ek waqt ke liye) unke haal par chhod kar us bande ki taraf zyada tavajjoh dene ki talkeen is surah me ki gayi hai, kyonki hidayat ka talabgaar aur quran ka qadardaan banda iLm hasil karna chahta hai, apni islah chahta hai aur mazeed pakizgi hasil karna chahta hai. Aur quran ki naqadri karne walo ke muqaddar me siwaye mehroomi ke kuchh nahi aa sakta. Abdullah ibn Umm maktoom ka ek aur kissa mash'hoor hai ki unho ne Nabi sallallahu alaihi wa sallam ke paas aakar kaee uzr pesh kiye ki mein Naabina hu, meri haddiyan budhape ki wajah se kamzor ho gayi hai, mujhe ghar se masjid aur masjid se ghar le jane wala koi nahi, mere ghar aur masjid ke bich (khusoosan fajr aur isha ke waqt) andhere rehta hai, kantedaar jhadiyan hai, wah'shi janwar hai aur distance bhi hai, kya mein ghar me salah ada kar lo? Nabi sallallahu alaihi wa sallam ne har martaba puchha, "kya azaan ki awaz sunte ho?" Jawab diya, "sunta hu", farmaya phir masjid me aakar salah ada karo. (mafhoom) Abdullah ibn umm maktoom woh sahab the ki jab Nabi sallallahu alaihi wa sallam jungo me jaya karte (military expeditions) to masjid me apne musalle par imamat ki zimmedari Abdullah ibn umm matkoom ko dete the, haala ki Ali radiyallaho anho bhi (kuch mauko par) maujood hua karte the. Abdullah ibn umm maktoom ne ek martaba gham ka izhar karte hue puchha ki mein nabina hu aur jung me aapke sath shamil nahi ho sakta aur is sawab se mehroom reh jata hu. Nabi sallallahu alaihi wa sallam  khamosh ho gaye, phir Allah ne quran ki ayat nazil ki to jawab diya ki yeh aapka shara'yi uzr hai isliye ghamzada hone ki zaroorat nahi. Phir baad ke daur me Umar radiyallaho anho ki khilafat ke waqt ek martaba Abdullah ibn umm maktoom ne jung me shamil hone ki ijazat chahi aur kaha ki mujhe dushamno aur musalmano ke bich sarhad par khada rakh do, mein andha-dhoondh talwar chalaunga aur jo bhi mere samne aayega use zer kar dunga. Jo dekh sakta hai woh shayad shikast ka manzar dekh kar dar jaye leki chunki me nabina hu, mujhe koi dar nahi hoga. Aise the hamare aslaaf jo do pyari chiz (aankho) se mehroom rehne ke bawajood is qadr jaan hatheli par rakh kar Allah ka qurb hasil karne ke talabgaar rehte the ki Allah ne khusoosan unke liye Quran me ayat nazil ki. Abas naazil hone ke baad raawi kehte hai ki​ hamesha jab Abdullah ibn umm maktoom Nabi sallallahu alaihi wa sallam se koi baat dariyaft karte to Nabi sallallahu alaihi wa sallam  unpar apni khas tavajjoh dete the. “Those who have faith and do righteous deeds, they are the best of creatures. Their reward is with their Lord. Gardens of eternity, beneath which rivers flow; they will dwell therein for ever; Allah will be well-pleased with them, and they with Him. That is for such who fears his Lord.” (Surah al-Bayyinah, V. 7-8) (mafhoom) (wallahu aalam)​​ https://youtu.be/9LyImu8QpnQ http://www.sunnah.org/history/Sahaba/maktum.html
0 notes