#CloudSecurityChallengesAndRisksInCloudComputingHindi
Explore tagged Tumblr posts
dhyanposts · 4 years ago
Text
Cloud Security in Hindi | Cloud Security Services In Hindi | In 2021
Tumblr media
Cloud Security kya hai (Cloud Security in Hindi): Doston Aaj Ki post Me Main aapko bataunga Cloud Security kya hai aur Cloud Security Kyon jaruri hai lekin Iske pahle aapko cloud-computing ke bare mein pata Hona chahie. Cloud Computing ka matlab koi bhi data Jise aap Apne computer ki hard disk Mein store karne ki jagah Internet per store karte hain. Yaa Aise program yaa services Jinko aap internet ki madad se access kar sakte hain vah Sabhi Cloud Computing ke antargat Aate Hain. Yani simple words Mein kha Jaaye to cloud computing main Aisi services aati hai jinhe aap internet ke dwara access kar sakte hain. Jaise softwares, services, storage etc. Cloud Computing kahlati hai. Mujhe ummid Hai Ki Ab aapko cloud-computing ke bare mein samajh aa chuka Hoga To ab Ham samjhenge Cloud Security kya hai.  
Cloud Security Kya Hai (Cloud Security in Hindi)
Cloud computing system ki security ko hi cloud Security ke naam se Jaana jata hai. Cloud computing main Aise Technologies, policies, procedures aur controls Shamil Hai Jo cloud-based system Mein honi chahie. Ise samajhne ke liye ek Example samajhte Hain, Maan Lijiye yadi aap ek Cloud Service Provider hai Hai. Jahan per aap internet per users ko data storage ki service provide Karte Hain. Yaa phir aap software application systems ke liye Koi application server provide Karte Hain. To internet per Aisi Kisi bhi Prakar Ki Seva Yaa service ko theek Roop se sanchalit karne ke liye sabse pahle aapko Ek cloud platform ko Secure banana Hoga. Yaani Jis service application ka Access aap users ko Dena Chahte Hain pahle unko secure karna hota hai. Taki Cyber hackers dwara unhen Kisi Prakar ka nuksan Na pahunchaya Jaa sake. Yaani Cloud Service Provider dwara Cloud Computing environment ko secure banane ke liye Kiya Gaya upaay hi Cloud Security kahlata hai.  
Cloud Security Kyon Jaruri Hai
Friends, Koi User Ho Yaa Koi industry/organisation Har Koi Kisi Ne Kisi Roop Mein Cloud Computing services Ka upyog Kar Hi Raha Hai. Cloud Computing ki flexibility, scalability aur sath hi iski Suvidha Ke Kaaran Aane Wale Samay Mein Cloud Computing users ki sankhya Jarur Badegi. Jab users Cloud Computing services ko use jyada karne lagenge. To Users cloud per Apna critical data bhi store karne lagenge. Jaise Koi confidential document yaa business information etc. bhi ho sakta hai. Jo yadi kisi Kaaran se Crash ho jaata hai yaa phir delete ho jaata hai to isase users ko Apne data ka loss ho sakta hai. Isliye Cloud Security Ka Hona bahut hi jyada jaruri hai Taaki users ko cloud-computing ka pura fayda mil sake. Aur vah Bina Kisi problem ke apne data ko aasani se cloud per store kar sake. Cloud Computing services ko upyog karte samay Kuchh dikhte aa Sakti Hain. Jaise ki data ka chori ho jaana yaa phir Kisi hacker dwara data ko hack kar lena, malicious attack kar dena, Yaa phir Malware attack hona. Inn Sabhi se cloud Computing services pe effect padta hai, aur isliye Cloud Security Ka upyog Karte Hai. Jisse inn Sabhi problems ko Dur Kiya Ja sakta hai aur sath hi data ki security Bhi ki Jaa sakti hai.  
Cloud Security Ke Upaay (Cloud Security Services in Hindi)
Ab Ham samajh chuke hain ki Cloud Computing ko secure karne ke liye hi Cloud Security ka upyog Kiya Jata Hai. Lekin kya aap Jante Hain Ki Cloud Security me kaun se Aisi tarike Hain jinhe Apnakar cloud-computing ki Security ko aur bhi badhaya jaa sakta hai.
Tumblr media
Cloud Security Services In Hindi To Chaliye ab samajh Lete Hain Ki Aise kaun se tarike Hain, Jinse Cloud Security ko aur bhi badhaya jaa sakta hai.  
Multi-Factor Authentication (MFA) implementation
Multi-Factor authentication Ek Aisa Tarika Hai jismein user authentication ko verify Kiya jaata hai. Ismein Kuchh algorithm ka upyog Kiya jaata hai jo Kuchh methods Ka upyog Karke sahi users ko identify kar leta hai. Multi-factor authentication main sirf user ka naam aur password lekar hi use login nahin kiya jaata hai. balki user ko 2 Ya 2 se Adhik tariko se bhi verify Kiya jaata hai jisse uski Puri Tarah pahchan hone per hi use application yaa data ka access Diya jata hai.  
Limited right
Ek user ko sirf unhi applications, file Ya data ka access Diya Jata Hai Jiske liye user authorised hai. Yadi kisi user ko pura access de diya Jaaye To Aise Mein user Kabhi galti se Ya Jaankar Kisi dusre Ke Data ke sath chhedkhani kar sakta hai. Jisse ki vah Chahe to file ko edit kar sakta hai ya FIR use file ko nuksan pahuncha sakta hai. Bahut hi Limited Adhikar hone par bhi yadi kisi hacker dwara data ko hack kar liya jaaye tab bhi hacker user ke data ko access karke read nahi kar sakte. isliye Cloud Service ka upyog Karne Wale Har user ko data access ke liye Limited rights Diye Jaate Hain.  
Data encryption
Cloud Security Mein data ko encrypt Karke Rakha Jata Hai Taki Bina encryption key ke kisi ko bhi data ka access na mil sake. Yadi Kisi karan se Hacker aapke data ko hack bhi kar leta hai to vah bina encryption key ke data ko dekh yaa padh nahi paayega. Koi bhi data Jo aapke computer ya network se Cloud Service Provider ke network tak pahunchta hai. Vah encrypted hi rahata hai iske liye virtual private network (VPN) encryption Technology ka upyog Kiya jata hai. Virtual private network user ko standard encryption uplabdh karata hai.  
Strong password
Kisi bhi Prakar ki Hacking yaa data chori se bachne ke liye aapko Hamesha strong password ka upyog karna chahie. Halaki strong password ka upyog cloud computing security dwara Bhi Kiya jata hai jismein yadi aap password Ko Yaad Nahin Rakh Sakte to aap Management Service dwara Diye Gaye password ko bhi upyog kar sakte hain. Yah password bahut hi complex hota hai aur ise Samay ke sath Hamesha update kiya jata hai.  
Backup data
Data ka backup Rakhna Hamesha Se Ek mahatvpurn Aur avashyak Shiksha Niti rahi hai, Usi Prakar yah Cloud Computing security Ka Bhi Ek important step Hai. Jiska Palan user ko karna hi chahie, yadi kisi Karan se cloud per Rakha Hua data chori ho jata hai ya Corrupt ho jata hai to aapke pass uska backup plan Hona chahie iske liye jaruri hai ki aap apne data ka backup option bhi rakhen.  
Monitoring
Cloud monitoring Cloud Security ka ek important hissa Hai. Market Mein Aise Kai tools uplabdh Hai Jinke upyog Se Kisi bhi Central location se pure cloud system ki activities per Najar Rakhi Ja sakti hai. Iske dwara cloud-computing per ho rahi activities ko Dhyan Mein Rakha Ja sakta hai aur is per hone wale hacking attacks ya network ki samasya ka pata sabse pahle Lagaya Ja sakta hai. Monitoring dwara Jin activities per Najar Banai Ja sakti hai usmein traffic analysis, configuration issues, network issues, Centre received, CPU utilisation etc. Shamil Hain. Aaj aapane padha Cloud Security kya hai (Cloud Security In Hindi) aur Cloud Security Services Kyon avashyak Hai. Yadi aapko Hamare dwara Di gai Jankari Pasand aayi hai to ise Apne social media platform per share Karen. Yadi aapka cloud-computing yaa Cloud Security se lated koi bhi Sawal hai to aap Hamen comment Mein Jarur bataen. Read: Freelancing क्या है और Freelancing से पैसे कैसे कमाए जानिए हिंदी में Read the full article
0 notes