sumanspeaks
SumanSpeaks
11 posts
~Super-Blush: The pink flower with well-disposed petals, just as the meaning of 'Suman'~SumanSpeaks: a platform to share short, engaging stories...straight from the heart!     
Don't wanna be here? Send us removal request.
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Ghee ka Dibba…
रामधनी एक साहूकार था।बहुत पैसा था उसके पास।पर था एक नम्बर का कंजूस।जब भी उसको अपनी जेब सींक कर पैसा निकालना पड़ता ,उसकी जान चली जाती।लेकिन लोगों को उधार दे कर उनसे दगुने-तिगुने ब्याज वसूलता था। एक बार उसके पास एक आदमी आया…फटेहाल , मजबूर , उसकी शकल और उस की हालत देख कर ही दया आने लगती थी, उसने आ कर साहूकार के ��गे हाथ फैलाए और बोला , “सेठ जी! चार दिन से भूखा हूँ ,कुछ खाने को दे दो , सेठ जी।” अब साहूकार महाकंजूस कैसे दे देता? लेकिन पता नहीं उसकी हालत देख कर या अपने ही अहंकार में डूबा वो बोला , “क्या हुआ , क्या खाएगा?” तेरी ऐसी हालत किसने बनाई? वो आदमी इतने में बेहोश हो गया और अब साहूकार की फट पड़ी । वो घबरा गया और अपने नौकरों को बोला कि इस आदमी को यहाँ बाहर चारपाई पर डाल दो ।साहूकार को लगा कि इस को कुछ हो गया तो ख़ामख़ा पुलिस वालों के चक्कर में पड़ना पड़ेगा। अब साहूकार इधर से उधर चक्कर लगाने लगा।अभी वो सोच में पड़ा था कि उस की पत्नी ने अन्दर से आ कर कहा, “आइए खाना तैयार है, खाना खा लीजिए।” , लेकिन साहूकार के तो होश फ़ाख्ता थे। उस की पत्नी ने अचरज से उसकी तरफ़ देखा और बोली कि आप इतने चिन्तित क्यूँ लग रहे हैं? उसकी पत्नी बहुत ही नेकदिल और दयालु थी। तब साहूकार ने अपनी पत्नी को सारी बात बताई। उसकी पत्नी ने भगवान को हाथ जोड़े और प्रार्थना की, “हे भगवान ,आज तूने परोप्कार का एक मौक़ा दिया है । धन्यवाद, भगवान।” फिर अपने पति से बोली, “ठीक है, आप चिन्ता मत कीजिए”। वो अपने पति की मन की बात जानती थी और जानती थी कि वह इतने कंजूस हैं कि उस आदमी को एक दमड़ी भी नहीं देंगे। पर वो ये परोप्कार का मौक़ा अपने हाथ से जाने भी नहीं देना चाहती थी । उसने अपने पति से कहा , “आप बिलकुल भी चिन्ता मत कीजिए और चलिए भोजन कर लीजिए” । लेकिन साहूकार के मन को चैन नहीं मिल रहा था ।अपनी पत्नी से कहने लगा की अगर इसको कुछ हो गया तो लेने के देने पड़ जाएँगे ।तब उसकी पत्नी ने अपनी पुत्री को बुलाया और उसको कहा की तुम जा कर मेरी अलमारी से घी का डिब्बा उठा कर लाओ ।साहूकार ये सुन कर चौंक गया ।वह बोला “घी का डिब्बा कितने का आता है, पता है?”।साहूकारिन बोली, “आप देखना की आप का डिब्बा क्या कमाल करता है!”। पुत्री जब घी का डिब्बा लायी तो वो बोली कि ये घी का डिब्बा खोल कर उसके पास रख दो और साहूकार से कहा, “मैं उसको ठीक कर दूँगी पर आप भी ये वादा करो कि और कंजूसी नहीं दिखाओगे और ज़रूरतमंद की सहायता करोगे”। घी का डिब्बा खोल कर उस व्यक्ति के पास रखते ही घी की ख़ुश्बू से उस भूखे व्यक्ति की आँख खुल गयी। साहूकार देखता रह गया। अब उस ने अपनी पत्नी से वादा किया था तो उस ने उस व्यक्ति को खाना ��िलाया और दान दे कर विदा कर दिया ।साहूकार की पत्नी भी  प्रसन्न हो गयी कि  उस के पति के दिल में दया धर्म जाग गया है ओर वो पहले जैसा कंजूस नहीं रहा ।।।
English Script: 
Ramdhani ek sahukaar tha. Bahut paisa tha uske paas. Par tha ek number ka kanjoos. Jab bhi usko apni jeb seenk kar paisa nikalna padta, uski jaan chali jaati. Lekin logon ko udhaar de kar unse dugne-tigune byaaz vasoolta tha. Ek baar uske paas ek aadmi aya…phatehaal, majboor, uski shakal aur us ki haalat dekh kar hi daya aane lagti thi. Use aa kar sahukaar kea age haath failaye aur bola, “seth ji! Chaar din se bhookha hoon, kuch khaane ko de do, seth ji”. Ab sahukaar maha-kanjoos, kaise deta? Lekin pata nahin uski haalat dekh kar ya apne hi ahankaar mein dooba vo bola, “kya hua, kya khayega? Teri aisi haalat kisne banai?”.Vo aadmi itne mein behosh ho gaya aur ab sahukaar ki fatt padi. Vo ghabra gaya aur apne naukaro ko bola ki iss aadmi ko yahan bahar charpayi par daal do. Sahukaar ko laga ki isko kuch ho gaya toh khamakhaa police vaalon kke chakkar mein padna padega. Ab sahukaar idhar se udhar chakkar lagane laga. Abhi vo soch mein pada tha ki uski patni ne andar se aa kar kaha, “ayiye, khana taiyaar hai, kha kha lijiye”, lekin sahukaar ke toh hosh faakhta the. Uski patni ne achraj se uski taraf dekha aur boli ki aap itne chintit kyu lag rahe hain? Uski patni bahut nekdil aur dayalu thi. Tab sahukaar ne apni patni ko saari baat batayi. Uski patni ne bhagwaan ko haath jode aur prarthana ki, “hey bhagwan, aaj toone paropkaar ka ek mauka dia hai. Dhanyawaad bhagwan”. Phir apne pati se boli, “theek hai, aap chinta mat kijiye”. Vo apne pati ki mann ki baar jaanti thi aur jaanti thi ki vah itne kanjoos hain ki uss aadmi ko ek damdi bhi nahin denge. Par vo ye paropkaar ka mauka apne haath se jaane bhi nahin dena chahti thi. Usne apne pati se kaha, “aap bilkul bhi chinta mat kijiye aur chaliye, bhojan kar lijiye”. Lekin sahukaar ke mann ko chain nahin mil raha tha. Apni patni se kehne laga ki agar isko kuch ho gaya toh lene ke dene pad jayenge. Tab uski patni ne apni putri ko bulaya aur usko kaha ki tum ja kar meri almari se ghee ka dibba utha kar laao. Sahukaar ye sunn kar chauk gaya! Vah bola, “ghee ka dibba kitne ka aata hai, pata hai?”. Sahukarin boli, “aap dekhna ki aapka dibba kya kamaal karta hai!”. Putri jab ghee ka dibba layi toh sahukarin boli ki ye ghee ka dibba khol kar uss aadmi ke paas rakh do aur sahukaar se kaha, “main usko theek kar dungi par aap bhi ye vaada karo ki aur kanjoosi nahin dikhaoge aur zarooratmand ki sahayata karoge”. Ghee ka dibba khol kar uss vyakti ke paas rakhte hi ghee ki Khushboo se uss uss bhookhe aadmi ki aankh khul gayi. Sahukaar dekhta reh gaya! Ab usne apni patni se vaada kia that oh usne uss vyakti ko khana khilaya aur daan de kar vida kar dia. Sahukaar ki patni bhi prasann ho gayi ki uske pati ke dil mein daya dharm jaag gaya hai aur vo pehle jaisa kanjoos nahin raha!
5 notes · View notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
0 notes
sumanspeaks · 4 years ago
Text
Tumblr media
Nobody’s Perfect
0 notes
sumanspeaks · 5 years ago
Photo
Tumblr media
~ Suman
#shortstories #shortpoems #hindiwriting 
0 notes
sumanspeaks · 5 years ago
Text
Ghee ka Dibba…
रामधनी एक साहूकार था।बहुत पैसा था उसके पास।पर था एक नम्बर का कंजूस।जब भी उसको अपनी जेब सींक कर पैसा निकालना पड़ता ,उसकी जान चली जाती।लेकिन लोगों को उधार दे कर उनसे दगुने-तिगुने ब्याज वसूलता था। एक बार उसके पास एक आदमी आया…फटेहाल , मजबूर , उसकी शकल और उस की हालत देख कर ही दया आने लगती थी, उसने आ कर साहूकार के आगे हाथ फैलाए और बोला , “सेठ जी! चार दिन से भूखा हूँ ,कुछ खाने को दे दो , सेठ जी।” अब साहूकार महाकंजूस कैसे दे देता? लेकिन पता नहीं उसकी हालत देख कर या अपने ही अहंकार में डूबा वो बोला , “क्या हुआ , क्या खाएगा?” तेरी ऐसी हालत किसने बनाई? वो आदमी इतने में बेहोश हो गया और अब साहूकार की फट पड़ी । वो घबरा गया और अपने नौकरों को बोला कि इस आदमी को यहाँ बाहर चारपाई पर डाल दो ।साहूकार को लगा कि इस को कुछ हो गया तो ख़ामख़ा पुलिस वालों के चक्कर में पड़ना पड़ेगा। अब साहूकार इधर से उधर चक्कर लगाने लगा।अभी वो सोच में पड़ा था कि उस की पत्नी ने अन्दर से आ कर कहा, “आइए खाना तैयार है, खाना खा लीजिए।” , लेकिन साहूकार के तो होश फ़ाख्ता थे। उस की पत्नी ने अचरज से उसकी तरफ़ देखा और बोली कि आप इतने चिन्तित क्यूँ लग रहे हैं? उसकी पत्नी बहुत ही नेकदिल और दयालु थी। तब साहूकार ने अपनी पत्नी को सारी बात बताई। उसकी पत्नी ने भगवान को हाथ जोड़े और प्रार्थना की, “हे भगवान ,आज तूने परोप्कार का एक मौक़ा दिया है । धन्यवाद, भगवान।” फिर अपने पति से बोली, “ठीक है, आप चिन्ता मत कीजिए”। वो अपने पति की मन की बात जानती थी और जानती थी कि वह इतने कंजूस हैं कि उस आदमी को एक दमड़ी भी नहीं देंगे। पर वो ये परोप्कार का मौक़ा अपने हाथ से जाने भी नहीं देना चाहती थी । उसने अपने पति से कहा , “आप बिलकुल भी चिन्ता मत कीजिए और चलिए भोजन कर लीजिए” । लेकिन साहूकार के मन को चैन नहीं मिल रहा था ।अपनी पत्नी से कहने लगा की अगर इसको कुछ हो गया तो लेने के देने पड़ जाएँगे ।तब उसकी पत्नी ने अपनी पुत्री को बुलाया और उसको कहा की तुम जा कर मेरी अलमारी से घी का डिब्बा उठा कर लाओ ।साहूकार ये सुन कर चौंक गया ।वह बोला “घी का डिब्बा कितने का आता है, पता है?”।साहूकारिन बोली, “आप देखना की आप का डिब्बा क्या कमाल करता है!”। पुत्री जब घी का डिब्बा लायी तो वो बोली कि ये घी का डिब्बा खोल कर उसके पास रख दो और साहूकार से कहा, “मैं उसको ठीक कर दूँगी पर आप भी ये वादा करो कि और कंजूसी नहीं दिखाओगे और ज़रूरतमंद की सहायता करोगे”। घी का डिब्बा खोल कर उस व्यक्ति के पास रखते ही घी की ख़ुश्बू से उस भूखे व्यक्ति की आँख खुल गयी। साहूकार देखता रह गया। अब उस ने अपनी पत्नी से वादा किया था तो उस ने उस व्यक्ति को खाना खिलाया और दान दे कर विदा कर दिया ।साहूकार की पत्नी भी  प्रसन्न हो गयी कि  उस के पति के दिल में दया धर्म जाग गया है ओर वो पहले जैसा कंजूस नहीं रहा ।।।
English Script: 
Ramdhani ek sahukaar tha. Bahut paisa tha uske paas. Par tha ek number ka kanjoos. Jab bhi usko apni jeb seenk kar paisa nikalna padta, uski jaan chali jaati. Lekin logon ko udhaar de kar unse dugne-tigune byaaz vasoolta tha. Ek baar uske paas ek aadmi aya…phatehaal, majboor, uski shakal aur us ki haalat dekh kar hi daya aane lagti thi. Use aa kar sahukaar kea age haath failaye aur bola, “seth ji! Chaar din se bhookha hoon, kuch khaane ko de do, seth ji”. Ab sahukaar maha-kanjoos, kaise deta? Lekin pata nahin uski haalat dekh kar ya apne hi ahankaar mein dooba vo bola, “kya hua, kya khayega? Teri aisi haalat kisne banai?”.Vo aadmi itne mein behosh ho gaya aur ab sahukaar ki fatt padi. Vo ghabra gaya aur apne naukaro ko bola ki iss aadmi ko yahan bahar charpayi par daal do. Sahukaar ko laga ki isko kuch ho gaya toh khamakhaa police vaalon kke chakkar mein padna padega. Ab sahukaar idhar se udhar chakkar lagane laga. Abhi vo soch mein pada tha ki uski patni ne andar se aa kar kaha, “ayiye, khana taiyaar hai, kha kha lijiye”, lekin sahukaar ke toh hosh faakhta the. Uski patni ne achraj se uski taraf dekha aur boli ki aap itne chintit kyu lag rahe hain? Uski patni bahut nekdil aur dayalu thi. Tab sahukaar ne apni patni ko saari baat batayi. Uski patni ne bhagwaan ko haath jode aur prarthana ki, “hey bhagwan, aaj toone paropkaar ka ek mauka dia hai. Dhanyawaad bhagwan”. Phir apne pati se boli, “theek hai, aap chinta mat kijiye”. Vo apne pati ki mann ki baar jaanti thi aur jaanti thi ki vah itne kanjoos hain ki uss aadmi ko ek damdi bhi nahin denge. Par vo ye paropkaar ka mauka apne haath se jaane bhi nahin dena chahti thi. Usne apne pati se kaha, “aap bilkul bhi chinta mat kijiye aur chaliye, bhojan kar lijiye”. Lekin sahukaar ke mann ko chain nahin mil raha tha. Apni patni se kehne laga ki agar isko kuch ho gaya toh lene ke dene pad jayenge. Tab uski patni ne apni putri ko bulaya aur usko kaha ki tum ja kar meri almari se ghee ka dibba utha kar laao. Sahukaar ye sunn kar chauk gaya! Vah bola, “ghee ka dibba kitne ka aata hai, pata hai?”. Sahukarin boli, “aap dekhna ki aapka dibba kya kamaal karta hai!”. Putri jab ghee ka dibba layi toh sahukarin boli ki ye ghee ka dibba khol kar uss aadmi ke paas rakh do aur sahukaar se kaha, “main usko theek kar dungi par aap bhi ye vaada karo ki aur kanjoosi nahin dikhaoge aur zarooratmand ki sahayata karoge”. Ghee ka dibba khol kar uss vyakti ke paas rakhte hi ghee ki Khushboo se uss uss bhookhe aadmi ki aankh khul gayi. Sahukaar dekhta reh gaya! Ab usne apni patni se vaada kia that oh usne uss vyakti ko khana khilaya aur daan de kar vida kar dia. Sahukaar ki patni bhi prasann ho gayi ki uske pati ke dil mein daya dharm jaag gaya hai aur vo pehle jaisa kanjoos nahin raha!
5 notes · View notes
sumanspeaks · 5 years ago
Text
Ghee ka Dibba…
रामधनी एक साहूकार था।बहुत पैसा था उसके पास।पर था एक नम्बर का कंजूस।जब भी उसको अपनी जेब सींक कर पैसा निकालना पड़ता ,उसकी जान चली जाती।लेकिन लोगों को उधार दे कर उनसे दगुने-तिगुने ब्याज वसूलता था। एक बार उसके पास एक आदमी आया...फटेहाल , मजबूर , उसकी शकल और उस की हालत देख कर ही दया आने लगती थी, उसने आ कर साहूकार के आगे हाथ फैलाए और बोला , “सेठ जी! चार दिन से भूखा हूँ ,कुछ खाने को दे दो , सेठ जी।” अब साहूकार महाकंजूस कैसे दे देता? लेकिन पता नहीं उसकी हालत देख कर या अपने ही अहंकार में डूबा वो बोला , “क्या हुआ , क्या खाएगा?” तेरी ऐसी हालत किसने बनाई? वो आदमी इतने में बेहोश हो गया और अब साहूकार की फट पड़ी । वो घबरा गया और अपने नौकरों को बोला कि इस आदमी को यहाँ बाहर चारपाई पर डाल दो ।साहूकार को लगा कि इस को कुछ हो गया तो ख़ामख़ा पुलिस वालों के चक्कर में पड़ना पड़ेगा। अब साहूकार इधर से उधर चक्कर लगाने लगा।अभी वो सोच में पड़ा था कि उस की पत्नी ने अन्दर से आ कर कहा, “आइए खाना तैयार है, खाना खा लीजिए।” , लेकिन साहूकार के तो होश फ़ाख्ता थे। उस की पत्नी ने अचरज से उसकी तरफ़ देखा और बोली कि आप इतने चिन्तित क्यूँ लग रहे हैं? उसकी पत्नी बहुत ही नेकदिल और दयालु थी। तब साहूकार ने अपनी पत्नी को सारी बात बताई। उसकी पत्नी ने भगवान को हाथ जोड़े और प्रार्थना की, “हे भगवान ,आज तूने परोप्कार का एक मौक़ा दिया है । धन्यवाद, भगवान।” फिर अपने पति से बोली, “ठीक है, आप चिन्ता मत कीजिए”। वो अपने पति की मन की बात जानती थी और जानती थी कि वह इतने कंजूस हैं कि उस आदमी को एक दमड़ी भी नहीं देंगे। पर वो ये परोप्कार का मौक़ा अपने हाथ से जाने भी नहीं देना चाहती थी । उसने अपने पति से कहा , “आप बिलकुल भी चिन्ता मत कीजिए और चलिए भोजन कर लीजिए” । लेकिन साहूकार के मन को चैन नहीं मिल रहा था ।अपनी पत्नी से कहने लगा की अगर इसको कुछ हो गया तो लेने के देने पड़ जाएँगे ।तब उसकी पत्नी ने अपनी पुत्री को बुलाया और उसको कहा की तुम जा कर मेरी अलमारी से घी का डिब्बा उठा कर लाओ ।साहूकार ये सुन कर चौंक गया ।वह बोला “घी का डिब्बा कितने का आता है, पता है?”।साहूकारिन बोली, “आप देखना की आप का डिब्बा क्या कमाल करता है!”। पुत्री जब घी का डिब्बा लायी तो वो बोली कि ये घी का डिब्बा खोल कर उसके पास रख दो और साहूकार से कहा, “मैं उसको ठीक कर दूँगी पर आप भी ये वादा करो कि और कंजूसी नहीं दिखाओगे और ज़रूरतमंद की सहायता करोगे”। घी का डिब्बा खोल कर उस व्यक्ति के पास रखते ही घी की ख़ुश्बू से उस भूखे व्यक्ति की आँख खुल गयी। साहूकार देखता रह गया। अब उस ने अपनी पत्नी से वादा किया था तो उस ने उस व्यक्ति को खाना खिलाया और दान दे कर विदा कर दिया ।साहूकार की पत्नी भी  प्रसन्न हो गयी कि  उस के पति के दिल में दया धर्म जाग गया है ओर वो पहले जैसा कंजूस नहीं रहा ।।।