Don't wanna be here? Send us removal request.
Text
Ik mulaqat
Ik Mulaqat September ka mahina, Ravivaar ka din tha aur Shaam ka waqt, Bahar zoro ki Baarish ho rahi thi aur jaisa ki Tez baarish mai humesha hota hai bijli bhi Chali gayi thi. Prem ko boriyat ka keeda kaate jaa raha tha magar karta bhi kya! chutti hone ke kaaran kaam kuch tha nahi, T.V. chala nahi sakta tha kyuki bijli nahi thi, aur jaisa ki India mai hota hai Tez baarish mai internet ka signal to aane se raha. To Prem ne socha kyu na kuch padh liya jaaye.To usne banayi apne liye ek achhi si coffee aur uthayi ek Kitaab jo use pichle saal ke secret Santa pe mili thi jise wo ab tak padh kar khatm nahi kar paaya tha kyuki humare Prem sahab ko humesha Padhne se zyada likhne ka shauq raha hai aakhir shayar jo thehre. Phir Prem Khidki ke pass apni coffee aur Kitaab lekar baith gaya.Wo Khidki ke shishe par padti hui baarish ki boondo ko dekhne laga aur coffee ki chuskiyo ka maza lete hue Kitaab Padhne laga.Magar jaisa ki humne 2 lines pehle hi bataya tha ki humare Prem sahab Padhne mai zara kamzor hai. Agar na hote to apni class mai top na kar lete! Kitaab padhte hue 5 minute hi hue the ki Prem ka moh bhang ho gaya aur wo phirse manjoran ka koi dusra tareeka dhundne laga. Baithe-baithe use yaad aaye apne college ke wo din jab wo ghar se 2 ghante ka safar tay karke college jaaya karta tha. Un dino safar ke dauraan waqt kaatne ke liye koi khaas zariya tha nahi, kyuki tab social media platforms ka aagaaz hua nahi tha aur wo jio ke pehle ka waqt tha to Internet hota bhi kaafi mehenga tha.FM Radio pe gaane sunna hi ek matra manoranjan ka zariya hua karta tha. To phir kya tha, Prem apne phone mai radio ka option dhundne laga. Aakhir 10 saal ho chale the use FM pe koi gaana sune hue kyuki 2019 chal raha tha aur SPOTIFY ke zamane mai bhala FM kon sunta hai. Usne phone mai FM radio on kiya aur ittefaqan radio par uska favorite gaana Mere Rashke qamar chal raha tha. Prem ne socha, chalo achha hai ab agle kuch ghanto ke manoranjan ka intezaam to ho gaya. Jaise hi gaana khatm hua, on AIR aayi us show ki Rj, RJ Nisha aur usne apni pyaari si awaaz mai apni awaam ko salaam Namaste kiya, kuch mausam ka haal sunaya, thodi traffic ki jaankari di aur phir se apni audience ko ek gaane ke saath chhod ke chali gayi. Wo gaana konsa tha ye pata nahi kyuki Humari Kahani ke Hero Prem ke dimaag mai to bas ek hi gaana baj raha hai “Wo hai Nisha ……wo hi meri zindagi ki bhor hai …wo hai Nisha”. Prem ne itni pyaari awaaz pehle kabhi nahi suni thi. RJ Nisha ki awaaz mai kuch alag sa jaadu tha Jo Prem ko mehsus ho raha tha. Use sunkar Prem ko aisa laga jaise bohot samay se kisi jigsaw puzzle ka koi ek piece missing ho aur aaj wo piece mil gaya ho…perfect click and connection jaisa. Yu to nahi tha ki Prem ko isse pehle kabhi kisi ladki pe crush na hua ho par is baar baat kuch alag thi, Pehli baar Prem ko apne naam ka matlab samaj aane laga tha wo bhi sirf RJ Nisha ki awaaz sunkar. Shaam se kab raat ho gayi, ujaale par kab andhera chaa gaya pata hi nahi chala. Magar Prem ke liye asli andhera to tab hua jab RJ Nisha ne apne show ka akkhri gaana play karte hue apni awaam se vida li, iss vaade ke saath ki phir milenge agle hafte. Tab Prem ne ye likha ki ….. Ye aana bhi koi aana hua, Na baate hui, na nazre mili, Kisse sunane bhi reh gaye Abhi to jee bhar ke dekha bhi nahi tha Aur itne mai tum alvida keh gaye Khair ab intezaar karne ke alawa Prem ke pass koi dusra raasta bhi nahi tha. Baarish bhi tham chuki thi, electricity bhi wapas aa gayi thi aur wifi ka signal bhi aane laga tha. To Prem ne shuru ki RJ Nisha ki virtual Investigation kyuki stalking to chichore karte hai aur Prem to ashiq ho chale the na. Lekin ye kya, RJ Nisha ke naam se to FB pe 1356 aur insta pe 786 profiles dikh rahe the. Ab inme se Prem wali (ha ladko mai pehli nazar mai hi meri wali teri wali ho jaata hai wo baat alag hai yaha pehli nazar nahi pehli awaaz thi) konsi thi ye bhala kaise pata chalta. Prem ko to ye pata bhi nahi tha ki RJ Nisha dikhti kaisi hai to kaise use dhundhta online ki duniya mai…. Waise to har engineer ko weekend ka besabri se intezaar rehta hai lekin humare Prem ko weekend ka intezaar kisi aur wajah se tha. Aakhir dubara unhe RJ Nisha ki awaaz jo sunne ko milne wali thi aur filhal to ye awaaz hi usse rubaru hone ka eklauta zariya tha. Theory of relativity jitni achhi tarah se Prem ko school mai samaj nahi aayi thi usse zyada achhi tarah se ab samaj aane lagi thi. Usne socha ki ye waqt bhi kitna ajeeb hai ……unki sohbat mai theharta nahi aur unke intezaar mai guzarta nahi. Khair jaise taise intezaar ki ghadiya khatm hui aur waqt hua RJ Nisha ke show ka. Par jab Prem ne FM on kiya to us waqt koi dusra RJ samachaar suna raha tha …shayad on AIR 1-2 minute late chal raha tha ya phir humare Prem babu ne radio ko show timings se pehle shuru kar dia hoga excitement mai: P: P. Filhal Prem ko us news wale RJ ko sunkar aisa lag raha tha jaisa aapko bread ke packet ki first slice ko dekhkar lagta hai. Finally ON AIR aayi RJ Nisha RJ Nisha: Good Evening Mumbai, aap sun rahe 98.3 FM aur mai hu aapki apni RJ Nisha. Haazir hu mai lekar apna show Direct Dil se jaha hum sunenge kuch aise gaane jinke lyrics likhe gaye ho biklul direct dil se. Aise gaane jinme ho shor kam aur sangeet zyaada, jo chhu lenge aapke dilo ko ye hai waada. To chaliye sunte hai aaj ki sham ka pehla gaana Film Half Girlfriend se “Ye mausam ki Baarish “ jise gaaya hai Ash King Ne aur sangeet hai Tanishk Bagchi ka ……… (Song starts playing on AIR) Waise to jab aap koi show dekhte hai to interest uske content mai hota na ki show ke beech mai aane waale ads mai magar humare Prem sahab ke saath to case kuch ulta tha.Wo Radio sun to raha tha magar gaane sunne ke liye nahi un gaano ke beech mai aane wali RJ Nisha ki awaaz ko sunne ke liye. Jab RJ Nisha kehti thi ki mai hu aapki apni RJ Nisha to Prem ko aisa lagta tha jaise usi ke liye keh rahi ho. Meanwhile pehla gaana khatm hua aur Phir se ON AIR aayi Wo RJ Nisha: Waqt ho chala hai 7 bajkar 15 minute aur aap sun rahe hai aapka favorite show Direct Dil se aapki apni RJ Nisha ke saath. To chaliye kehlte hai hum ek Bollywood quiz jisme aapko mujhe batana hoga ki legendary actor Dev Anand ki wo konsi movie thi jo ki Mashhoor writer R.K Narayan ki ek novel par based thi. Apne jawaab aap Hume WhatsApp kar sakte hai 98.3 ke official number par.To mujhe rahega intezaar aapke jawaab ka aur jab tak aap Hume apne answers bhejte hai tab tak suniye agla gaana Film City Lights se “Muskurane ki wajah tum ho “ ……(Song starts playing on AIR) To Prem ne fatafat RJ Nisha ke sawaal ko kiya google search kyuki engineer hone ke naate ye ek quality to hona banti hai ki baakiyo se pehle google search kar sake. Google se jawaab mila ‘Guide’. Prem ne bina waqt gawaaye answer bhej diya 98.3 ke official WhatsApp number pe aur intezaar karne laga RJ Nisha ki zubaa se apna naam sunne ka. Jaise hi gaana khatm hua, RJ Nisha phir se ON AIR aayi RJ Nisha: To aap sun rahe the ye gaana jise gaaya hai Arijit Singh ne aur Arijit ka to gaaya hua har gaana hi hota hai Direct Dil se …To maine aapse pucha tha Bollywood quiz mai ek sawaal aur mujhe dher saare listeners ke jawaab aa chuke hain aur kya baat hai itne saare logo ne bheje hain sahi jawaab. Aur sahi jawaab hai Guide…Ji haan ye movie Jo thi dev anand sahab ki wo R. K Narayan ki novel The Guide par adhaarit thi. To chaliye ki isse pehle mai aapko batau un listeners’ ke naam jinhone diye hai sahi jawaab, sunte hai isi movie ka ek gaana jise gaaya hai Lata Mangeshkar aur Kishore kumar ne …… (Song starts playing on AIR) Iska matlab Prem ko apna naam sunne ke liye thoda intezaar aur karna padega ….ufff! Ye intezaar ki ghadiya itni lambi kyu hoti hai. Aakhir pure 4 minute 40 sec ke lambe intezaar ke baad jab gaana khatm hua aur RJ Nisha dubara ON Air aayi to RJ Nisha: waqt ho chala hai 7 bajkar 40 minute aur aap sun rahe the gaana Gaata Rahe Mera Dil jo ki tha Guide movie se aur Guide hi humare sawaal ka jawaab bhi tha. Ab waqt hai aapko ye batane ka ki kin kin listeners ne hume sahi jawaab bheja hai. Unke naam hai ….. Aur ek ek karke RJ Nisha ne sahi jawaab bhejne walo ke naam batana shuru kiya. Prem ka naam aane mai waqt zarror laga magar aakhir mai RJ Nisha ne kaha …. RJ Nisha: …..aur Mumbai se Prem Mittal ne. To ye the humare listeners jinhone sahi jawaab diye aur agar aapka jawaab sahi nahi hua to koi baat nahi, nirash hone ki koi zarurat nahi. Hum aage bhi aise quiz kehlte hi rahenge magar filhal waqt hai agla gaana sunne ka jo hai Film Pardes se aur jise gaaya hai Kumar Sanu ne... (Meri Mehbooba plays on AIR) RJ Nisha ki zubaa se apna naam sunkar Prem ki khusi ka thikana Na raha. Kaha to RJ Nisha ne bas Prem ka naam hi tha magar Prem khush aise ho raha tha jaise RJ Nisha ne 3 baar kubool hai keh diya ho . Aur isi ke saath RJ Nisha apne show ka aakhri gaana play karte hue off AIR ho gayi aur Prem ko phirse ek hafte ka intezaar dekar chali gayi. Ye intezaar intezaar kuch zyada nahi ho raha? … Iss Kahani ka naam Ik Mulaqat nahi balki bohot saara intezaar hona chahiye tha. Bairhaal agle kuch weekends isi tarah beete. Har Ravivaar shaam ko 7 baje Prem ki date hoti RJ Nisha ke saath, fark bas itna tha ki ye date hai iske baare mai sirf Prem ko pata hota tha. RJ Nisha ko to koi ilm bhi nahi tha in dates ke baare mai. Magar ab Prem ne socha ki kab tak wo one way sadak pe Gaadi chalaega? Par karta to karta bhi kya? Use koi raasta bhi nazar nahi aa raha tha Kisi tarah usse baat kar paane ka, usse contact kar paane ka .Magar ShahRukh Khan kehte hai na ki agar kisi chiz ko sachhe dil se chaaho to puri kaaynaat use tumse milane mai lag jaati hai! RJ Nisha ne apne agle show mai bataya ki 98.3 kar raha hai organize ek online contest jiska naam hai Bollywood ka Betaaj Baadshah jisme puche jaane the Bollywood se realted kuch mazedaar aur difficult questions. Uske Top 5 scorers ko milne waale the Movie vocuhers aur highest scorer ko milne waala tha Direct Dil se show par on AIR aane ka mauka as a guest. Prem ne socha ki use isse achha mauka nahi milega RJ Nisha se rubaru hone ka. Usne bina waqt gavaye 98.3 FM ki website par contest ke liye register kiya aur Bollywood par research shuru kiya kyuki ishq ke iss ghulaam ko Bollywood ka Betaaj Baadshah jo banna tha. Magar yaad rahkne ke maamle to Prem ghajni se bhi zyaada bhulakkad tha, itna ki use apne dosto dwara bataye gaye kisi movie ke spoilers bhi yaad nahi rehte the aur wo har movie utni hi interest ke saath dekh paata tha. General knowledge ke maamle mai to kya kehne …Alia aur Sonakshi bhi Prem ke saamne Einstein nazar aaye. Prem ko to Sanjeev Kapoor aur Sanjeev Kumar ka fark bhi thik se nahi pata tha. Isliye Prem ne office mai 3 dino ki chutti li taaki wo saare Bollywood ke quiz questions ratt sake …batao jaha uske colleagues MBA aur MS karne ke liye chutti lete hai waha janab ne BBB (Bollywood ka Betaaj Baadshah) karne ke liye chutti le li.Yuhi thodi Ghaalib ne kaha hai ki ishq ne ‘Ghaalib’ nikamma kar dia, Warna hum bhi aadmi the kaam ke Shanivaar ki shaam 5 baje shuru hona tha contest. Magar usse pehle Prem ko ab ye tak pata tha ki konsi movie mai kis scene mai konse hero ne konse rang ka shirt pehna tha. Aap soch rahe honge ki 3 dino mai itna 360 degree change kaise aa sakta hai? Magar wo kehte hai na ki tere ishq ne nikahra hai muje iss qadar, ki ab aaina bhi kehta hai tujhe sawarne ki zarurat kya hai. To Sainik humara Jung ke liye puri tarah se taiyaar tha phir bhi nervousness aisi thi ki maano UPSC ka exam dene jaa rahe ho. Contest shuru hua aur Prem ne fatafat saare sawaalo ke jawaab dena shuru kiya. Iss baar use google search karne ki koi zarurat nahi thi kyuki ab to wo khud Bollywood ki information ka Google ban chuka tha. Usne 30 min ka contest 15 min mai poora kar diya tha. Ab intezaar tha to bas results ka jo RJ Nisha agle din apne show mai batane waali thi. Agle din jab apne show mai RJ Nisha ne top 5 scorers ke naam bataye to unme Prem ka naam bhi tha magar use top 5 nahi number 1 banna tha kyuki sirf tab use RJ Nisha se milne ka mauka mil paata. Uske baad RJ Nisha ne audience se kaha ki… RJ Nisha: Aur ab hum aapko bataenge ki kon hai wo top scorer jo bana hai Bollywood ka Betaaj Baadshah lekin kuch palon ka intezaar aur karna hoga. Pehle sun lete hai ek pyaara se gaana film Zero se jise gaaya hai Abhay Jodhpurkar aur bol likhe hai irshaad kaamil ne ……. (Mere naam tu plays on AIR) Wo jo 10th ka result aane ke pehle jo feeling hoti hai na, same wohi feeling ho rahi thi Prem ko. Dil to maano itni zoro se dhadak raha tha ki pakka RJ Nisha ko uske studio tak mai awaaz sunayi de gayi hogi. Finally jab RJ Nisha on AIR aayi aur usne winner ka naam announce kiya to wo naam Prem Mittal jaisa to biklul bhi sunayi nahi diya! Sunayi deta bhi kaise kyuki winner to tha Mayank Sharma. Ji haa ye koi Bollywood ki movie to thi nahi jisme jeet humesha Hero ki hoti hai. Prem ne us waqt likha ki …. Yu to kisi se jalna meri fitrat mai nahi, Magar tera yu kisi aur ko chahna bardasht nahi hota. To kya ShahRukh ne jo kaha tha wo jhooth tha? Lekin King of Romance ke pyaar ke baare mai kahi baat bhala jhooth kaisi ho sakti thi? To ya to Prem ka pyaar sachha nahi tha ya phir puri kaaynaat ki taqat kam pad gayi thi. Ab kaaynaat ki taqat to kam padne se rahi to zyaada chance to isi baat ka tha ki Prem ka pyaar hi sachha nahi hoga. Waise bhi sirf kisi ko sunkar, bina use dekhe, bina usse mile, bina baat kiye kisi se pyaar ho bhi kaise sakta tha. To bas apne tute dil ke saath naummed hokar jab Prem sone gaya to neend aana bada nagavaar ho raha tha. Tab Prem ne likha ki… Takiye, aansu, karwate sab chize gavahh hoti hai, Ishq mai na jaane kitni raatein tabaah hoti hai . Agle hafte Shanivaar ke din jab Prem shaam ke waqt apne ghar ki chhat par chahal kadmi kar raha tha tab use ek phone call aaya Caller: Good evening sir! Am I talking to Mr. Prem Mittal? Prem: Are Bhai, nahi chahiye koi credit card Caller: I am sorry sir but I am not from any credit card company. Instead I am calling from 98.3 FM Prem: Oh I am so sorry …yes please tell me Caller: Sir Aapne pichle week 98.3 ke online quiz contest Bollywood ka Betaaj Baadshah mai participate kiya and you were among our top 5 scorers Prem: Ji ha biklul kiya tha aur mujhe apne movie vouchers bhi mere registered email id par mil gaye the Caller: I know sir, but ye call maine aapko ye batane ke liye kiya hai ki aapko mauka mil raha hai kal hone wale RJ Nisha ke show Direct Dil se par on AIR aane ka as a guest. Prem: Hain! But contest ke winner ka naam to Mayank Sharma tha Na (Jalan ke maare Prem ko uska pura naam yaad tha) to phir mujhe kaise mauka milega show par aane ka? Caller: You are right sir but pichle 2 dino se hum Mayank sir ko contact karne ki koshih kar rahe hai but he is unreachable. We are guessing he might have lost his phone or something and he could not be contacted. So Management has decided to give this opportunity to 2nd highest scorer of the contest, which is you. To sir mujhe aapse puchna tha ki kya aap kal on AIR aane ke liye available hai? Prem: ek min let me think …kehkar usne phone ko mute par daala, phir upar aasmaan ki taraf dekha aur socha ki iss duniya mai bhagwaan hai to sahi. Use laga ab finally use RJ Nisha se milne ka mauka milega. Usne bhagwaan aur ShahRukh khan ka shukriya kiya aur ek celebration wala dance karte hue phone ko unmute karke kaha… Prem: Sure I would be available. Aap mujhe address bhej dijiye, mai pohoch jaunga time par. Caller: Sir Aapko physically aane ki biklul zarurat nahi padegi. Aapko bas humara call bridge join karna hoga aur aapka interview live nahi hoga balki wo ek pehle se recorded conversation hogi jise baad mai show ke waqt on AIR kiya jaega. Mai aapko recording ki timing aur Call bridge ki details sms kar raha hu. Thank you so much for your time Prem: (Dil pe patthar rakhkar) Thank you …bye Aas pass koi kaanch to nahi tha par phir bhi pata nahi kyu kaanch ke tutne ki awaaz zaroor aayi thi. Wo Dhoom picture mai Ali (Uday Chopra) ko sunayi deti hai na waise waali awaaz. Prem ne phir se aasmaan ki taraf dekha aur pucha tu hai ki nahi aur apna shukriya wapas liya. Magar wo kehte hai na something is always better than nothing. Phir Prem ne socha ki bhale hi use kal RJ Nisha se milne ka mauka na mile par kam se kam kal pehli baar use usse baate karne ka mauka to milega. Ab tak jise sirf suna tha kal usse apni baate kehne ka mauka milega. Neend to aaj ki raat bhi Prem ko aane se rahi, fark bas itna tha ki is baar khushi ke maare. Khair jaise taise karwate badal badal kar Prem ne wo raat guzaar di. Agle Din uske chehre par ek alag hi noor tha aur aankho mai interview shuru hone ka intezaar. Ek to ye intezaar kisi din humare ashiq ki jaan lekar rahega. Aakhir interview ka waqt aaya, Prem ne Call Bridge join ki aur apna dil thaam kar baith Gaya. Aur Phir kuch der baad use sunayi di wo makhmali aawaz ….. RJ Nisha: Hello Prem! we are about to start the recording. Are you ready? Prem: Yes Yes sure sure ready ready (Nervousness ki parakaashta ho chuki thi, Khair interview shuru hua) RJ Nisha: To awaam! Jaisa ki humne aapse waada kiya tha ki jo bhi banega humare online contest ka winner yaani ki jo banega Bollywood ka Betaaj Baadshah, use milega mauka aapke apne show Direct Dil se par on AIR aane ka. To lijiye, mere saath hai is contest ke winner yaani ki Prem Mittal. Prem welcome to direct dil se. kaise hai aap? Prem: Thank you so much Nisha, mai achha hu aap kaisi hai? RJ Nisha: Mai bhi bohot achhi hu. To kaisa lag raha hai aapko Bollywood ka Betaaj Baadshah bankar Prem: Bohot achha lag raha hai aur usse bhi achha Direct Dil Se par aakar lag raha hai. Isi bahane aapse baat karne ka mauka jo mila. RJ Nisha: bohot bohot shukriya iske liye Prem! To kya aap awaam ko batana chahenge ki iss contest ko jeetne ke liye aapne koi khaas taiyaari ki thi ya phir yuhi aapka Bollywood mai in general interest hai? Prem: Ji maine iske liye koi khaas preparations to nahi ki thi, mujhe in general Bollywood ki filme dekhne ka shauq hai aur ek baar Jo mai information padh leta hu wo mujhe yaad reh jaati hai asaani se (Jhooth ki saari seemaye par ho chuki thi magar Prem bhi kya karta! ab tak jisse impress hota aaya tha aaj use impress karne ki baari thi. Pyaar mai itna to chalta hai!) RJ Nisha: Well that’s impressive. Lagta hai aaj humare beech ek Bollywood ka Jabra Fan aaya hai. Prem: Aap aisa keh sakti hai. Waise kuch credit to aapke show Direct Dil Se ko bhi jaata hai jisme aap humesha Bollywood ki chatpati khabre sunati rehti hai. RJ Nisha: Well lagta hai aap humare show ko bhi kaafi closely follow karte hai. To Prem, aap Humari awaam ko bataenge ki aap karte kya hai? Prem: Well karta to hu mai shero shayriya magar ghar chalane ke liye maine engineering ki Hui hai. RJ Nisha: Waah! Kaafi dilchasp tareeka tha apni hobby aur profession batane ka. Prem: Kya karu, Shayar hu na to bas shabdo se khelne ki aadat hai mujhe. RJ Nisha: To phir kyu na apne shabdo ka ek khel aap humari awaam ko bhi dikhaye.Ek. Ek aapka likha hua sher ho jaaye? Prem: Biklul, kyu nahi, to arz kiya hai Mijaaz-e-Khuda jo shahjahan jaisa hota, To Kaat leta wo apne haath tujhe banane ke baad RJ Nisha: Waah Waah! Kya baat hai! Itna khubsurat sher likha hai aapne to mujhe yakeen hai ki iski koi khubsurat inspiration bhi rahi hogi. To Mr. Prem kiske ke liye likha hai aapne ye sher? Prem: Ji ye sher to maine aap hi ke liye likha tha RJ Nisha: To awaam, dekha aapne ki aapki apni RJ Nisha ke liye ek personalized sher dedicate hua hai abhi abhi. Bohot Bohot shukriya iske liye Prem! Prem: The pleasure is mine! RJ Nisha: Kyunki aap Bollywood ke Jabra fan aur Betaaj Baadshah dono hai to aap batana chahenge humari awaam ko ki aap contest se jeete hue movie vocuhers se konsi film dekhne jaa rahe hai? Prem: Movie to koi bhi chalegi magar agar aap iss weekend free hai to kya aap saath chalengi? RJ Nisha (haste hue): Ji zaroor kyu nahi. To Prem, ab waqt hai aapse vida lene ka lekin jaane se pehle hum aap ki farmaaish ka ek gaana play karenge. To bataiye konsa gaana sunna chahenge aap? Prem: ji mai sunna chahunga 1942 A Love Story movie se gaana “Ek ladki ko dekha to aisa laga” RJ Nisha: Bilkul Prem! Hum ye gaana zaroor play karenge aapke liye aur humari awaam ke liye kyuki ye gaana bhi likha gaya hai Bilkul Direct Dil Se. Prem: Thank you so much RJ Nisha! Ab tak jiski sirf ek tarfa awaaz suni thi, aaj usse baate karke kaafi achha laga. RJ Nisha: I am sure humari awaam ko bhi aapki baate aur aapke sher sunkar kaafi achha laga hoga. Thank you so much for being on Direct Dil Se! To awaam, ye the humare online contest Bollywood ka Betaaj Baadshah ke winner jinhe mila tha mauka On AIR aane ka aapke apne show Direct Dil Se par. Haah! Prem ne jaisa socha tha usse bhi zyada khubsurat lamha tha ye uske liye. Use khud nahi pata chala ki usne interview mai kya kya keh dia tha kyuki wo to RJ Nisha ki awaaz live sunkar aise beh gaya tha jaise wo Zakir Bhai kehte hai na ki sakht launda pighal gaya, bilkul waise! Use bas zindagi se aur kuch nahi chahiye tha. Waise chahne ke liye aur kuch bacha bhi nahi tha kyuki RJ Nisha se milne ka koi raasta use pata nahi tha. Na to uska number pata tha na hi uska pura naam jisse use social media par dhundha ja sake. Isliye Prem ne apni Prem Kahani ka yehi anjaam kubul karke, apne ek tarfa pyaar ko har Ravivaar ki shaam 7 baje hone wali dates ke zariye jaari rahkne ka faisla kiya. Waise bhi kisi gaane ki kya khubsurat line hai ki “Mohtaaj manzil ka to nahi hai ye ek tarfa mera Safar, Safar khubsurat hai manzil se bhi ….) Magar shayad kismat ko kuch aur manzoor tha. Ye kismat bhi na badi shararti chiz hai. Jab jo chaho, uska ulta hi karti hai humare saath. Prem bhala konsa alag tha. Uske saath bhi kuch aisa hi hua. Interview recording ke agle din jab Prem apne office mai baitha kaam kar raha tha tabhi uske phone par ek WhatsApp message ka notification aaya aur saath hi aaya Truecaller ka notification bhi jisme message bhejne wale ka naam tha kyuki message kisi unknown number se aaya tha. Prem ne jab message bhejne wale ka naam dekha to uske hosh udd gaye. Wo aisa naam tha jis naam ko dekhne ki chahat to bohot thi use magar ummeed bilkul bhi nahi. To Jaisa ki aapne guess kar hi liya hai wo naam tha RJ Nisha ka. Prem ne ab tak Message dekha nahi tha kyuki wo to naam dekhkar ki baawla ho gaya aur guess karne laga ki kya pata kya message bheja ho. Shayad “Sher achha tha “ya Shayad “Kab chale movie ke liye” ya phir shayad sirf “HI”. Prem ne jab message padha to usme likha tha “That was so creep of you”. Office mai kuch toota to nahi tha phir bhi kuch tutne ki awaaz to aayi thi. Apni crush se pehla message hi agar ye aa jaaye to kaisa lagega aapko! Khair Prem ne himmat karke pucha…. Prem: Kyu kya hua? Aisa kya kar dia maine Nisha ji? RJ Nisha: Dude! You were trying to hit on me! That too on Radio! Prem: Are kaha? Mai to bas aapke sawaalo ka jawaab de raha tha RJ Nisha: Ha magar aapka har jawaab mujh par hi target ho raha tha. Jaise aap pehle hi mann bana kar aaye ho. Prem: Well, mann bana kar aaya to nahi tha magar kya karu mere tarkash se jitne bhi teer nikal rahe the sab apne aap nishane par lag rahe the, kya karta! RJ Nisha: Kuch bhi karte but aapko ye kehne ki kya zarurat thi ki ye sher maine aapke liye likha hai. Aap apni kisi friend ka naam bhi le sakte the. Prem: Kaise le sakta tha jab wo sher aap ke liye hi likha gaya tha! Aur waise bhi, aap hi to kehti hai na har baar, “aapki apni RJ Nisha” to bas humne humari RJ Nisha ke liye keh dia. RJ Nisha: Waah! We haven’t even met aur aapne mujh par sher bhi likh diya. Waah bohot khoob! Prem: Dekha nahi to kya hua, suna to hai, har Ravivaar ki shaam ko. Waise agar aapko ye sab achha nahi lag raha tha to aapne mere movie ke sawaal par ye kyu kaha ki “ji zaroor chalenge”? RJ Nisha: Wo kya hai na, apni awaam ke saamne mai aapko ye to nahi keh sakti thi ki “Shakal dekhi hai aaine mai kabhi?” Prem: Oh! To kya mai movie ke liye na samjhu? RJ Nisha: Confidence to dekho janab ka! Inhe ab bhi ummeed ho jaise! Prem: Dekha to kabhi khuda ko bhi nahi phir bhi 5 waqt ke namazi hai, Tu mile na mile teri ummeed hi kaafi hai RJ Nisha: Man to isi waqt block karne ka kar raha hai magar sher achha hai isliye maaf kiya. Waise sher to us din wala bhi achha hi tha. Prem: Mujhe pata tha aapko zaroor achha lagega. RJ Nisha: Ha magar AIR pe sunna mujhe thoda akward laga. It’s like I don’t even know you. Prem: Are wo sher to aapke ek fan ne apne star se kaha tha. Aur star to wohi hota hai jise sab jaane par wo kisi ko na jaane. RJ Nisha: Paagal! (Aapko jaankari ke liye bata de ki jab bhi ladke ko apni kisi crush se ye shabd sunne mile to uske chehre pe ek halki si muskaan aa hi jaati hai) RJ Nisha ne message to Prem ko lataadkar use block karne ke liye kiya tha magar Prem mai aur koi talent ho na ho, tha wo ek number ka BaatFarosh. Isliye to RJ Nisha kab conversation mai kho gayi use pata hi nahi chala aur aakhir kaar Prem ko RJ Nisha ka number mil hi gaya. Blessing in disguise ka isse achha example to ho hi nahi sakta. Na Prem unintentionally flirt karta interview mai, na RJ Nisha use message karti aur naahi Prem ko Nisha se dubara baate karna ka mauka milta. Prem ne office mai baithe baithe hi ceiling ki taraf dekhkar bhagwaan ka phirse shukriya adaah kar diya. Ab un dono ke beech 2 tarah se baate hone lagi. Ek wo jo WhatsApp par hoti thi lekin wo koi babu shona types baate nahi hoti thi kyuki conversation ke ek taraf shayar jo tha. Baate kuch is tarah ki hoti thi “Taalibaan ho tum meri zindagi ke, Bemaksad Tabahi macha rakkhi hai “. Aur dusri tarah ki baate hoti thi radio ke zariye jab Prem listener’s choice mai apni farmaaish ke aise aise gaano ki request karta tha jaise maano un gaano ke zariye bhi kuch kehna chah raha ho jo wo shayad uske bina na keh paata. Jaise kabhi ye gaana “Meri awaaz hi pehchaan hai meri” jiske zariye wo batana chah raha ho RJ Nisha ko ki uski awaaz hi uski pehchaan hai Prem ke liye kyuki usne ab tak use dekha nahi tha. Ya phir kabhi ye gaana “Pehli baar hai ji Pehli baar hai ji, is qadar kisi ki dhun sawaar hai ji” jiske zariye wo apna haal-e-dil bata raha ho RJ Nisha ko. Rj Nisha ko Prem ke gaano ki farmaaish ka intezaar to nahi rehta magar ha ummeed zaroor hoti thi. Use ab apne listener’s ki list mai Prem ka naam dekhne ki aadat ho chuki thi . Kuch hafte yehi silsila chala phir aaya naaya saal aur shuru hone wale the ashiqo ke navratre yaani ki Valentine’s Week. Prem ne Nisha ko WhatsApp par message kiya… Prem: Yaar maine ab tak tumhara pura naam pucha hi nahi. Ab tak tumahra number maine RJ Nisha ke naam se save kiya hua hai. Nisha: Hahaha, to kya hua? RJ Nisha ke naam se hi save rehne do, kya fark padta hai! Prem: Are yaar batao na apna pura naam. Nisha: Kyu? FB aur Insta par stalk karna hai? Koi faida nahi hai. I don’t have any profiles on any social media platform. Waise mera naam Nisha Sinha hai. Prem: Lagta hai tumne life mai kaafi paap kiye hai. Nisha: Kyu? Prem: Tabhi to tumhara naam Nisha SINha hai Nisha: Tumhari shayriya sunkar kabhi tumhe block nahi kiya magar tumahre jokes sunkar zaroor tumhe block kar dungi mai ….Paagal Asal mai Prem ne naam pucha to usi karan se tha . Usne socha ki ye kaisi ladki hai jo 2020 mai bhi FB ya insta par active nahi hai. Upar se WhatsApp DP mai bhi RadhaKrishna ki photo laga rakkhi hai. Prem ko ek baar ke liye shaq hua ki parde ke piche koi ladki hai bhi ya phir dream girl ke hero Ayushmaan ki tarah koi ladka hai. Uski Nisha koi Nishant to nahi . Phir Prem ne socha ki uski kismat inti bhi kharaab nahi ho sakti. Ab to Nisha se milna anivaarya ho gaya tha, uske bina use chain nahi milne waala tha. Usne message type to kiya “Will you go out with me on 14th” magar likh kar mita diya. Wo himmat nahi juta paa raha tha kyuki rejection ka darr sataye jaa raha tha. Is waqt Pankaj Udhas ki ghazal ki ye lines Prem ki haalat ko achhi tarah bayaan kar rahi thi... Hatheli pe tumhara naam, Likhte hai mitate hai. Tumhi se pyaar karte hai, Tumhi se hi kyon chupate hai. Juban pe baat Hain lekin, Sunana hi nahin aata. Hume tumse mohabbat hai Batana bhi nahi aata Chhupana bhi nahin aata Jatana bhi nahin aata Mohabbat kaise karte hai Koi toh humko samjhaye Kahin aisa na ho ki pyaar bin Umra kat jaaye Tum se milne ka koi Bahana bhi nahi aata Hume tumse mohabbat hai Batana bhi nahi aata Chhupana bhi nahin aata Jatana bhi nahin aata Lekin Phir use apne ek dost Ajinkya ki kahi ek baat yaad aayi. (Ab chuki hum flashback mai jaa rahe hai to iss scene ko aap Black and white mai visualize kijieaga).Ajinkya ne ek baar usse kaha tha ki “Dekh Bhai agar tu ladki ko date ke liye puchega to 50 % chance hai ki wo ha kahe aur 50 % chance hai ki wo na kahe, magar agar tu puchega hi nahi to tere to zero % chance honge date pe jaane ke .Aur waise bhi 40% mai to humne engineering pass kar li to 50 % ha kehne ke jo chances wo to bohot zyada hai “.(Ab aap phir se colour mai imagine karna jaari rakh sakte hai ). To Phir aakhir kaar himmat karke Prem ne Nisha ne puch hi liya…. Prem: Will you go out with me on this 14th Nisha: LOL Prem: Iska kya matlab hua? Lots of Love? Nisha: Kaha se kharidi aisi bakwaas dictionary? Prem: Are yaar jawaab do na mere sawaal ka! Nisha: Jawaab Na hai! Prem: kyu? Kya problem hai? Nisha: Bas yuhi, ha kehne ki koi wajah nahi hai. Waise bhi you are not my boyfriend jo mai tumhare saath Valentine’s day par date par jaau. Prem: Are yaar boyfriend na sahi to apne fan se milne hi aa jao. I really want to see you, meet you. Nisha: Are! kya hua un sabka? tu mile na mile, dikhe na dikhe,ummeed n all? Prem: Wo ummeed to ab bhi hai isliye to puch raha hu, tumhari ha sunne ki ummeed me. Ek ashiq ko na kehdo but ek fan ko to ha kehdo please. Nisha: Sochungi! Agar aap ek Indian ho to aap ye achhi tarah jaante honge ki parents ka “Dekhte hai” kehna aur crush ka “Sochungi” kehna dono ka ek hi matlab hota hai…..”No, Naa, Nahi” . Prem ke liye bhi ye bhale hi officially ‘Na ‘nahi ho magar “Na” se kam bhi nahi thi aur “Ha” to bilkul bhi nahi thi. Sach hi kaha hai kisi ne “Najane kitne hi Dil Todti hai ye फरवरी Yuhi nahi kisine iske din ghataye honge “. Prem ne socha ki ek aakhri daav khelkar dekhte hai. Whataspp conversation se to Nisha ne milne ke liye ab tak ha nahi kaha tha to ab baari thi RJ Nisha se puchne ki FM 98.3 ke zariye. Jab RJ Nisha ne awaam se kaha ki aap bhej sakte hai hume apni farmaaish humare official WhatsApp number par aur hum play karenge wo aapke liye to Prem ne apni farmaaish mai ye gaana bheja “Teri shirt da mai ta button soniye” aur jab kuch der baad ye gaana play hua to iski ye lines sunkar “O Mar Gaye Yaar Deewane,O Tere Lover Purane.O Die Heart Fan Tere Hain Tuhi Kadar Na Jaane”, RJ Nisha ke chehre par bhi wohi muskaan aayi jaisi muskaan Prem ke chehre par aati thi Nisha se ‘Paagal’ sunkar .Wo samaj gayi ki Prem kya kehna chah raha hai. Ab ek ashiq ko to mana kiya jaa sakta hai magar ek fan ko kaise mana kare? Prem ke phone par RJ Nisha ka ek message aaya jisme likha tha “Konse café mai aana hai?” Prem ki khusi saatve aasmaan par thi. Us khusi ko shabdo mai agar bayaan karna ho to yu keh sakte hai jaise kisi sharaabi ko fokat ki sharaab mil gayi ho (jaante hai thoda ajeeb hai magar filhal isse achha metaphor dimaag mai aa nahi raha). Prem ne jawaab diya Prem: Jaha tum kaho waha. Waise wo movie vouchers abhi bhi expire nahi hue hai: P Nisha: Zyada khush hone ki zarurat nahi hai, it will not be a date. Rather it will be a friendly meetup or shall I say FANly meetup Prem: Oh! To mujhe milne Nisha Sinha nahi balki RJ Nisha aa rahi hai. RJ Nisha: Bilkul Prem! Prem: Achha apni koi photo to bhejo, mai tumhe us din kaise pehchanunga? Nisha: Lo! Mujhe dekhne ki chahat se aa rahe ho to agar maine pehle hi photo bhej di to kya suspense reh jaega. Don’t worry mai tumhe pehchaan jaaungi. Mujhe pata hai how do you look basharte tumne kisi aur ki DP na lagayi hui ho apni profile mai….. Taareekh to pehle se hi mukarrar thi, milne ki jagah bhi tay hui aur phir badi mushkil se katra katra karte karte 14 taareekh aakhir aa hi gai. Waise to ye Prem ki zindagi mai uska 28th Valentine’s Day tha magar iss baar baat kuch aur thi, baat behad khaas thi. Jis pal ka use pichle 5 mahino se intezaar tha akhirkaar wo pal aane hi wala tha. Wo Ik Mulaqat aakhir hone jaa rahi thi. Prem ne socha Nisha ke liye koi tohfa le jaane ka. Magar itne dino mai usne kabhi Nisha se uski pasand na-pasand to puchi hi nahi thi, pura waqt to shero-shayri mai hi nikal gaya. Prem ne ladkiyo ke liye sabse safe tohfa kharida yaani ki chocolates aur waqt se pehle hi café pohoch kar intezaar karne laga Nisha ka. Nisha ke intezaar mai Prem ko aisa lag raha tha ki maano uski ghhadi band pad chuki hai. Akhir kaar uska intezaar khatm hua aur uski table par aayi Nisha. Magar jab Prem ne Nisha ko dekha to wo ek chhote kadd ki sadharan si dikhne wali ek ladki thi, thodi umra bhi zyada lag rahi thi aur wajan mai bhi thodi bhaari thi. Yu to Prem body shaming mai vishvaas nahi rakhta tha magar fark bas itna tha ki Nisha waisi nahi thi jaisa wo uski kalpana mai hua karti thi. Wo kalpana nahi jo hum kisi ki awaaz sunkar uski shakal ki karte hai balki wo kalpana jo ek shayar karta hai, jise sochkar wo apne saare sher likhta hai. Nisha ko dekhkar Prem ke dimaag mai koi gaana bhi nahi baj raha tha. Magar shayad aisa sirf Bollywood ki filmo mai hota hai, real life mai nahi. Aur waise bhi Prem ne pyaar kiya nahi tha Prem ko pyaar hua tha. Aur Prem ka pyaar itna kamzor nahi tha ki roop ko dekhkar badal jaaye. Waise bhi use to Nisha ki awaaz se pyaar hua tha na aur wo to ab bhi wahi thi. Mahez ek jhalak mai itne saare khayaal aa gaye the Prem ke dimaag mai. Prem apni chair se utha aur isse pehle ki Nisha kuch keh paati usne Nisha ko Hug kar liya. Aur tab Nisha ne kaha “Are sir kya kar rahe ho aap. Mai to order lene aayi thi, aap mujhe hug kyu kar rahe ho “? Kya humne aapko bataya ki Prem ko uske kuch dost popat bhi bulate the? Nahi bataya? Koi nahi ab bata rahe hai. Aur wo kyu bulate the ye to aap samaj hi gaye honge . Prem Nisha ke intezaar mai itna bawla ho gaya tha ki usne café ki waitress ko hi Nisha samaj liya. Uska dhyaan uski uniform tak pe nahi gaya aur excitement mai usne waitress ko hi hug kar liya. Women empowerment ka nuksaan agar kisi mard ko sabse zyada hua tha to wo Prem hi tha. Ek or jaha Prem bade hi embarrassing face ke saath waitress ko sorry keh raha tha, ye nazara dekhkar ek ladki ki hasee rukne ka naam hi nahi le rahi thi. Prem ne jab piche dekha to sadharan se kapdo mai khadi ek bilkul asadharan ladki thi. Uska chehra aisa tha jispar se Prem ki nazar hatne ka naam nahi le rahi thi. Uski hasee seedha Prem ke dil par lag rahi thi. Uska roop bilkul aisa tha jaise kisi shayar ki koi kalpana ho, jaise wohi Prem ki Nisha ho. Aur is baar to bakaayda Prem ke dimaag mai background music bhi baj raha tha. Kabhi ye waala “Chand si Mehbooba ho meri kab aisa Maine socha tha, Ha tum bilkul waisi ho jaisa Maine socha tha” to kabhi ye waala “Aayi aisi raat hai jo bohot khushnaseeb hai, chaahe jise durr se duniya wo mere kareeb hai”. Phir se ek hi pal mai itne saare khayaal aa rahe the Prem ke dimaag mai aur aaye bhi kyu na aakhir shayar jo thehra. Khayalo pe hi to pesha chalta hai unka. Prem ko is baar pura yakeen tha ki wohi uski Nisha hai. Usne kaha.. Prem: Hi Kalpana ……sorry sorry I mean Nisha! Nisha (Hasee control karte hue): Hi Prem! Kya baat hai, iss baar sahi pehchaan liya! Prem: Ha, mai ek hi galti dubara nahi karta. Nisha: Ha, tabhi mujhe Kalpana keh rahe the 2 coffee ka order aur bohot saara sorry lekar aur ek judgmental look dekar waitress waha se chali gayi aur Prem aur Nisha baith kar baate karne lage. Prem: I can’t believe, I am actually getting to see you. Nisha: Yakeen to mujhe bhi nahi ho raha ki mai tumhare bulane pe aa kaise gayi. Prem: My god jitna socha tha usse bhi zyada khubsurat ho tum yaar. Nisha: I know kuch aisa batao jo mujhe pata na ho! Prem: Yaar tum kisi bhi social networking sites par kyu nahi ho? Nisha: Yaar social media sites are just a waste of time. Inse bohot negativity bhi hoti hai life mai like jealously, political fights, religious grudge and so much. Prem: Must be very difficult to stay away from these sites. Nisha: No, it’s very peaceful. Tumhe bhi ek baar try karke dekhna chahiye. Prem: Oh! mai to bhul hi gaya tha, ye mai tumhare liye chocolates laaya tha. Nisha: Wow, Ferrero Rocher Chocolates! Tumhe kaise pata mujhe ye wali chocolates bohot pasand hai? Prem: Yehi to hota hai ek fan jo ek star ko usse bhi zyada jaane (Prem ne lagaya to tukka tha magar wo laga teer ki tarah aur BaatFarosh to wo hai hi humesha se ) Nisha: Baate banana to koi tumse seekhe. Well, aayi to mai bhi apne fan se hi milne thi lekin mujhe kya pata tha mil jaega ek deewana. Prem: Mai kuch samjha nahi Nisha: Jab tumne us waitress ko mujhe samaj kar hug kar liya tab mujhe yakeen ho gaya ki tum genuinely mujhe pasand karte ho tumhe isse koi fark nahi padta tha ki mai kaisi dikhti hu (Blessing in disguise number 2) Prem: Ufff! Kya kahu ab mai, mujhe to words hi nahi mil rahe kuch kehne ke liye Nisha: Kya baat hai shayar sahab. Aaj aapke shabdo ka khazana khatam kaise ho gaya? Prem: Kya kare shayriya to dil se hoti hai aur dil ne to kaam karna hi band kar diya hai (Bhai ka epic comeback) Nisha: -------------------- Prem: --------------------- Nisha: -------------------- Prem: --------------------- Nisha: -------------------- Prem: --------------------- Kya hua? Ab kya aapko ek lovey dovey couple ki puri conversation sunaye? Are kuch to apni imagination pe bhi chhod dijiye? Waise bhi jo Kahani ka title tha wo to mukammal ho gaya. Aur hum agar zyada der saath rahe to kahi aisa na ho jaaye ki jis tarah ek RJ se uske ek listener ko pyaar ho gaya usi tarah iss kahani ke reader ko uske writer se pyaar ho jaaye. To agar aapko bhi ye lagta hai ki kisi se bina mile, kisi ko bina dekhe usse pyaar ho sakta hai, kyuki pyaar koi numaaish ki chiz nahi, pyaar to bas ek ehsaas hai jise mehsus kiya jaata hai, to bas iss kahani ko aur logo tak pohcha dena. Spread love! - Pulit Agrawal
0 notes