Tumgik
Text
🇮🇳I Love My India🇮🇳
Jaha Rahen salamat Rahen khush rahen Allah Pak aap sab ko aur hamare pyare Hindustan ko apni hifazat aur amaan mein rakhe aur rehmaton ke saayban mein rakhe💠💠💠
0 notes
Text
💠Meethe Bol💠
Mohabbatein insaan pichhe chhod aata hai lekin dosti Umar bhar sath rehti hai !
dost beshak ek Ho lekin aisa Ho ke Jo alfaaz se zyada khamoshi ko samjhe !
Rishto ko qaaim rakhne ke liye Raabte zaroori hai Ignore Karne se to apne haathon se lagaye huye ped bhi murjhane lagte Hen !
0 notes
Text
Remember to put me in your dreams and make that dream INTENSE. Love you all
🌺 good night🌺
0 notes
Text
aisa 'q' hota he ???
ki ham jab kisi se naya naya "talluq" banate henn to din raat aapas mein touch rehte Hen ek ek pal ki khabar ek doosre ko dekhte rehte Hain
magar Phir "talluq " hone na hone ke barabar reh jaata He
baat karne ka mood nahi hota
aur Phir ek waqt aisa bhi aata hai
ki "talluq" hi khatam ho jata hai -❇️
0 notes
Text
❇️ronaq e shayry❇️
‏زندگی بھر کوئی ساتھ نہیں دیتا یہ جان لیا ہم نے
لوگ تو تب یاد کرتے ہیں جب وہ خود اکیلے ہوتے ہیں💠
Zindagi bhar Koi sath nahi deta yeh Jaan liya hamne
log to tab yaad karte Hen jab wo khud akele hote Hain 💠
0 notes
Text
Hazrat Qais Bin Saad Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar main kisi ko kisi ke saamne sajda karne ka hukm deta, to aurton ko hukm deta ke wo apne shohron ko sajda karein us haq ki wajah se jo Allah Ta'ala ne unke shohron ka un par muqarrar farmaaya hai.
(Abu dawood)
0 notes
Text
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mazdoor ka pasina khushk hone se pehle us ki mazdoori de diya karo.
(Ibne Majah)
0 notes
Text
Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu reports that Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam in a Hadith Qudsi narrated that Allah the Almighty and Majestic says: I am with My slave when he remembers Me and till his lips move while remembering Me. (ibne-Majah)
0 notes
Text
Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Agar tum logon ke uyoob talash karoge to tum unko bigaad doge. (Abu Dawood) 
Faida: Matlab ye hai ke logon mein uyoob ko talash karne se un mein nafrat, bughz aur bahut si buraiyan paida hongi aur mumkin hai ke logon ke uyoob talash karne aur unhein phailane se wo log zid mein gunahon par jur'aat karne lagein ye saari baatein un mein mazeed bigaad ka sabab hongi. (Bazhl-ul-Majhud)
0 notes
Text
Hadees Shareef
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim:) 
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.
0 notes
Text
 ترقى کےاسباب✨✨✨✨✨✨✨
شیخ الاسلام مفتی محمد تقی عثمانی صاحب دامت معالیہم فرماتےہیں.
" میرےوالدماجدحضرت مولنامفتی محمدشفیع رحمتہ اللہ ایک بڑی زرین بات ارشادفرمایاکرتےتھےکہ
"باطل میں اللہ تعالی نےابھرنے کی صلاحیت نہیں رکھی" قرآن کریم کاارشادہے
" ان الباطل کان زھوقا"
(ترجمہ: باطل مٹنےوالی چیزہے) لہذااگرکسی باطل عقیدےکی قوم کبھی ابھرتی اورترقی کرتی نظرآئےتوسمجھ لوکہ اسےابھارنےوالی چیزاس کاباطل عقیدہ یانظریہ نہیں بلکہ اس نےضرور کسی حق بات کواختیارکیاہے، اوراس حق بات کے نتیجےمیں اسے فروغ نصیب ہواہے.
لہذا(ہم دیکھ سکتےہیں کہ آج) جتنی باطل قوتیں ترقی کررہی ہیں ان کی ترقی کاسبب محنت،جفاکشی،امانت،سچائی اوروقت کی قدرکےساتھ اپنےمشن کےلئےاخلاص ہے. یہ وہ اوصاف ہیں جوقوموں کوابھارکرترقی کی راہ پرگامزن کرتےہیں"
0 notes
Text
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hokar daryaft kiya: Mere husn-e-sulook ka sabse zyaada mustahiq kaun hai? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa. Usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Phir tumhara Baap. (Bukhari)
0 notes
Text
اے ہمارے رب
ہم بھٹکے ہوؤں کو سیدھی راہ دکھا, ہمیں بھی ان لوگوں میں شامل کر جنکو تو ہدایت دکھاتا ہے,اے اللہ ! ہمیں ایسی زندگی گزارنے کی توفیق عطا کر جس زندگی سـے تو راضی ہو جائے , ہمیں رسول اللہ ﷺ کی اطاعت کرنـــــــے کی توفیق عطا فرمائیے....آمین
ए हमारे रब
हम भटके हुऔं को सीधी राह दिखाइये हमें भी उन लोगों में शामिल कर जिनको तू हिदायत दिखाता है ए अल्लाह हमें ऐसी जिंदगी गुजारने की तौफीक अता कर जिस जिंदगी से तू राजी हो जाए हमें हुजूर अलैहिस सलाम की इताअत करने की तौफीक अता फरमाइये🌟अमीन
0 notes
Text
🌟اسماء الحسنیٰ🌟
‏۞الله۞
۞الرحمن۞الرحيم۞الملك۞القدوس۞السلام۞المؤمن۞المهيمن۞العزيز۞الجبار۞المتكبر۞الخالق۞البارئ۞المصور۞الغفار۞القهار۞الوهاب۞الرزاق۞الفتاح۞العليم۞القابض۞الباسط۞الخافض۞الرافع۞المعز۞المذل۞السميع۞البصير۞الحكم۞العدل۞اللطيف۞الخبير۞الحليم۞العظيم۞الغفور۞الشكور۞العلي۞الكبير۞الحفيظ۞ المقيت۞‏الحسيب ۞ الجليل ۞ الكريم ۞ الرقيب ۞ المجيب ۞ الواسع ۞ الحكيم ۞ الودود ۞ المجيد ۞ الباعث ۞ الشهيد ۞ الحق ۞ الوكيل ۞ القوي ۞ المتين ۞ الولي ۞ الحميد ۞ المحصي ۞ المبدئ ۞ المعيد ۞ المحيي ۞ المميت ۞ الحي ۞ القيوم ۞ الواجد ۞ الماجد ۞ الواحد ۞ الأحد ۞ الصمد۞القادر ۞ المقتدر ۞ المقدم ۞
0 notes
Text
Tumblr media
‏اے ﷲ ہم تیری ہی عبادت کرتے ہیں۔اور تیرے ہی آگے سر جھکاتے ہیں ۔ اور تجھ سے ہی مدد مانگتے ہیں ۔ اے ﷲ ہمیں اپنا قرب عطا فرما ۔ آمین
حرم پاک کا خوبصورت منظر✨
0 notes
Text
🌟 Maan Baap 🌟
apne maa baap ko waqt den unhon ne apna sab kuch aap par qurban Kiya hota hai
maa bap se accha saathi aur dost Koi nahi
duniya ke jhoote sahare dhoondne ke bajaye apne maa bap ke sath apna dukh takleef bayan kare maa baap ek aisi nemat hai jiska Koi badal nahi
Qadar Kare : khidmat Kare✨ aur khush rahe
0 notes
Text
bhook Lage to kisi thele wale se le kar khane mein sharam Na Karen
maine aise log dekhe hen jo aapki Adidas se liye gaye shoes ki qeemat mein poore hafte ka rashan Le sakte hain
maine aise log dekhe Hain jo aapki 1 "MAC" ya "KFC" burger ki qeemat mein sare ghar ka khana bana sakte hain ✨✨✨✨
0 notes