benaamkhattt
benaamkhattt
Untitled
5 posts
Don't wanna be here? Send us removal request.
benaamkhattt · 1 year ago
Text
When Nasir Kazmi wrote :
Jude hue hain bhut log ek tum bhi sahi ,
Ab itni baat pe kya zindagi haram karey.
1 note · View note
benaamkhattt · 1 year ago
Text
Khudkushi
Shayad wo sab baatein aur tere waadein mera wehem hain
jo kabhi mere saath tha wo aaj mere dil me kahi qaid hain
Ab tere wajood ko kafan pehna kar qabr me dafan kiya hain
Tujhko nazron se girakar ab khud ko mainey abaad kiya hain.
-i.j
#poet
2 notes · View notes
benaamkhattt · 1 year ago
Text
Khamoshi?
is khamoshi ke beech me shor ki kami poori karrhe hain
kabhi musalsal koi gaana sunke toh kabhi
guftagu ke gaddhon ko bhar ke.
toh hain kuch aisa ki khamoshi raas nahi aati hume, sab kuch agar khamosh hojaye toh zehen ki aawaazein shor krna shuru kar deti hain
wo aawazein bhaagti hain shadeed raftaar me
shayad isi liye mamooli se kaam krte hue bhi har waqt kaano me gaano ke alfaazon ki zaroorat si padhti hain.
Agar logo ke saath baithe hain aur baaton ke beech me ek ajeeb sa sannata chaa jaaye toh
ajeeb si kaifiyat hojati hain
kuch na kuch bolne ki koshish hoti hain ki zehen ki aawazein shor na shuru krdey
Shayad mere zehen ke shor se ye logon ki aawazein aur mere pasandeeda gaano ke lafz behtar hain ,
har waqt koshish rehti hain khamoshi se bhaagne ki
bas tumhare saath nahi, tumhare saath ye khamoshi bhi raas aajati hain.
Zehen ke shor se bhaagne ka koi matlab nahi lagta , tumhara saath har shor ko rok deta hai
aur bachti hain toh sirf khamoshi , jo sirf tumhare saath achi lagti hain.
-i.j
#khayaal #poetry #urduadab #khamoshi #poems #kabristaan #khat #benaam #urdu #jaun #selfwritten
3 notes · View notes
benaamkhattt · 1 year ago
Text
“Agar raabta musalsal hain toh faaslon se ghum kaisa?
Dil me agar mohabbat hain toh ibaadat se darr kaisa?”
-i.j
#urdu #urduadab #urdupoetry #mohabbat #ibaadat #jaun #shayar #shayari
0 notes
benaamkhattt · 1 year ago
Text
“Abaad bhi hue barbaad bhi hue aur tujhe chahne ki khatir khud ki qaid me giraftaar bhi hue”
-i.j
2 notes · View notes