aiman-laraib
Untitled
28 posts
Don't wanna be here? Send us removal request.
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Sometimes the Almighty removes a particular person from your life because the relationship no longer serves any purpose. There's no more positive growth. Learn to recognise it. Don't run after that person who is not meant to be part of the next journey in your life. Move on.
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
WAJAHAT :
Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare.
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Arfa – 9 Zil Hijja ka Roza
Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat
Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.“
📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
"Find Allah and happiness will find you."
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Jab tum me se koi Dua kare tou Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi (ﷺ) par Durood bheje Uske baad jo chahe Dua maange.”
📕 Abu Dawood, 1481 (Sahih)
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Jis hisab se garmi pad rhi hai, aisa lg rha k Ab raha nai jayega ye garmi mei. Iss garmi me aisa lgta h k har time AC aur cooler mei rahte..!
Lkn kabhi socha hai ke Jahannam ka Aag kitna bhiyanak hoga? Kabhi hm soch bhi nahi sakte kyuki wha k Aag me aur Duniya k Aag me 70 guna jada rahega..! Duniya ki Aag se 70 guna jada garm😢 Mai jab jab ye sochti hu mera rooh kaanp jata...! Aur fir mai yaha k garmi ko bardasht karti hu bina kuch bole mere Zuban par koi shikayat nahi hoti h k jitni garmi h. Ab raha nai ja rha..! Kaash AC hota, kaash cooler hota, kaash Kabhi electric jata hi nai..! Sirf ye soch krke yaha ki garmi ki tapish kuch hai hi nai Jahannam k Aag k barabar..! Aur Allah se dinbhr me maafi mangti hu😢Aur Jahannam k Aag se bachne k liye ye Dua padhti hu..!
〘 اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ 〙
Allahumma Ajirni Minan Naar
Tarjuma ~ ❝ Aye Allah! mujhe Jahannam ki aag se bacha.❞
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Don't lose yourself in the crowd just because you're trying to fit in. Learn to hold your ground. Remain steadfast in your belief. It's not easy. People will mock you & taunt you. They'll make you feel uncomfortable. Get hold of yourself. The Almighty will lift you.
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Istighfar (Astaghfirullah) is the gateway of relief and happiness. Whenever you are in distress start reciting it and Insha Allah it will take you out of your anxiety and will put you in a peaceful situation and will give you happiness.
Tumblr media
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Assalamualaikum❤️
Sometimes I think, that alhamdulillah we've literally been given the most beautiful gift ever because majority of us are born Muslims I think we forget how perfect and beautiful the gift of islam is. Allah SWT sent us messangers, he sent us role models to look up to and see how we should incorporate Islam into our lives and then he sent us not one but FOUR books because we kept messing up His message, and then he even sent us the beautiful Quran which would be timeless and secure His word and still after all that guidance and help He tells us that we're forgiven everytime we ask.
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
"Ya اللّٰه‎ remove from my heart the love of everything that which you do not love."
0 notes
aiman-laraib · 1 year ago
Text
Most comforting words from Allah.
"Don't be afraid, I'm with you all the time, listening and seeing."
Love this Ayat so much. It's so beautiful how Allah says that he is there with you, aur yah ab tak ki sabse sukoon dene wali baat hai... Apko darne ya kisi se ya kisi chiz se darne ki jaroorat nahi hai, Agar Allah apke sath hai, toh aapke pas sab kuch hai. Apke pas sabse badi takat hai. Allah sab kuch dekh rha hai jo tumhare sath hota hai. Wah aapki har situation aur problem se waqeef hai.. Aur wah tumhra har mamle ka dhayan rakhega..!
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
✅ Sab se Zyada Bhooka rahega
Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke Paas Ek Shaqs ne Dakaar liya toh Aap (ﷺ) ne farmaya : “Tum Apni Dakaar Hum se door rakho Isliye ke Duniya mein Sab se Zyada pait bhar kar Khane wala Qayamat ke Din sab se Zyada Bhooka rahega.”
📕 Jame Tirmizi 2478
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
Duniya me Sab se Zyada Pait bhar kar Khane Wala Qayamat ke Din Kaisa Rahega?
A. Sab se Zyada Bhooka rahega
B. Sab se Zyada Khush rahega
C. Gham ke Maare Ro raha hoga
D. Dozaq ki Aag Kha raha hoga
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
Daleel: Hadees: Anas bin Malik (RA) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya “Jab Aadmi apne ghar se nikle toh ye dua parhe: ❝Bismillahi Tawakkaltu Alallahi La Haula Wa La Quwwata Illa Billah❞ (Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai)
tou usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan uss se door ho jata hai. aur dusra shaitan ussey kahta hai ki uss aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jis ki kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho.
📕 Abu Dawud, Vol 3, Hadith 1654
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
Ghar se Nikalne ki Dua
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismil-lah, tawakkaltu AAalal-lah, wala hawla wala quwwata illa billah.
Tarjuma ~ Allah ke naam ke sath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya. Gunaho se bachane aur neki karne ki taqat sirf Allah hi ki taraf se hai.
📕 Abu Dawud: 4/325, Hadith:5095,
📕 Tirmizi:5/490, Hadith:3426,
📕 Sahih Tirmizi: 3/151
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
Allah ke fazi se hm ramzan ke aakhri ashre me dakhil hue hai aur isme ek aisi raat hai jo hazar mahino se behtar hai aur iski ibaadat pichle saare gunah maaf krwa deti hai to Allah se apne liye aur saari ummat ke liye khoob duaaein kmna usse bakshish talab krna. Yeh mouga har baar nahi milega, na jaane kitno ko yeh iss baar naseeb nahi hua to Allah ki ibaadat krna aur use ranzi krlena aur dekhna apne har kaam ko brite hue, apni duaaon ko qubool hote hue, apni mushkilon ko aasaniyon me badalte hue, dheeron moujazon ko zindagi me shamil hote hue aur zindagi ko khoobsurati se tabdeel hote hue.
0 notes
aiman-laraib · 2 years ago
Text
Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs..!
Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye.
–Shoaib Ul Iman 7445
0 notes