#Sher Bhaag Gaya Story
Explore tagged Tumblr posts
Link
Jugdish ka bahot bura haal huwa Vicky ko apne saamne dekh kar. Ussko pehle do doston ki mawt se pata to chal hi gaya tha ke Vicky ne unn donon ko mara hoga, magar iss waqt ussko pata nahin tha ke baaki ke do ussi ghar mein mare pade the. Woh issi liye desh se bhaag raha tha taake Vicky ka haath na lage woh aur maamla ko thanda hone ke baad ya Vicky ke pakre jaane ke baad wapas ata. Ussko apne ACP chacha par bahot bharossa tha ke Vicky pakra jaega aur jail ho jaega ussko aur khud bilkool bach jaega, aur woh apne chacha ke kehne par hi desh se bahar jaa raha tha.
Ab Vicky ke plan aur sab kuch karne ke ilawa uss taraf ACP aur MLA log bhi aapas mein milkar batein kiya karte the ke kia ho raha hai, kia Vicky hi ne unn donon ko mara jab ke un logon ko pata tha ke weh donon Vicky ke saathi the. Aur MLA aur ACP ko yeh bhi pata tha ke Khan sach ka pata laga kar rahega aur weh log pura koshish kar rahe the ke Jugdish pakar mein nahin aaye. Sab mile huwe the aur Khan beech mein pisa jar aha tha isssi liye Khan ne Vicky ke sath milkar kaam karna chaha! Khan ne socha ghalat tarike se hi sahi brasht officers aur MLA ka khaatma to karega, aur phir Rathod ka saath tha Vicky ke saath saath.
To ab Vicky apna Jugdish ke kareeb aakar khada huwa laal enkhon se usske kaampte huwe honth aur darre huwe chehre ko dekhte huwe. Khan nahin chahta tha ke woh usske saamne ussko goli maare ya ussko kuch bhi kare….. yeh Khan ke liye gawara nahin tha, aur socha ke ek police officer ka kaam hota hai logon ko bachana aur naa ke kissi se marwana…Khan ke ragon mein imaandari ka khoon dawd raha tha aur reh reh kar usski zameer ussko koss raha tha ke woh ghalat kar raha hai… kabhi kabhi soch raha tha ke Jugdish ko police station lejaye woh…magar jab ACP aur MLA ko sochta to apne irade ko badal deta tha… ekaat baar usske dimaagh mein kashmakash lagi rehti apne antar aatma se ladte huwe… soch raha tha ke khud se aur apne naukri se ghadaari kar raha hai….. Magar phir bhi Vicky ke plan ke motabik chal kar dekhna chahta tha ke ussko chain milta hai ke nahin……
Khan ne Vicky ko rokte huwe usske aur Jugdish ke beech kaha,
“Vicky zara baahar chalo ek baat kehna hai tumko.”
Aur ussne Vicky ko baahar lejaakar kaha,
“Dekho Sir, aap bade aadmi ho, aap ke paas paisa hai, rutba hai, popular ho. Main thehra ek mamooli Inspector, pariwaar wala, bahot mushkil se izat ki zindagi jee raha hoon halaan ke brasht logon ke bech reh kar saamna to kar raha hoon….aap apne paison ke sahare bach sakte ho magar mera imaan mujhko rok raha hai, reh reh kar meri aatma mujhko dhitkaar rahi hai, lagta hai main kuch ghalat kar raha hoon…aap ka plan sahi hai sab thik ho sakta hai magar usske baad kia sahab? Zindagi bhar mujhko meri zameer kosta rahega ke main ne ek ghalat tarike se iss kaam ko anjaam diya. Main apne zameer se to nahin bhaag paunga Vicky Sir ji, aap to bach jaoge magar mujhko to zindagi bhar iss bojh ko lekar zinda rehna padega, shaayad humko aap ke plan ko badal kar kuch aur karna chahiye!!”
Vicky ko ghussa aya aur kaha,
“Main issi liye aap se na milna na kaam karna chah raha tha. Main akele iss kaam ko anjaam de sakta tha magar aap khud aaye the mujh se milne aur mera saath dene ka wada kiya tha ab kia? Aap ke zameer kahan se beech mein agaya? Gunah karne wale ko saza dena aap ko thik nahin lagta? Aap police walon ka yehi problem hai Khan sahab. Jo imaandaar hote hai kuch ziada hi imaandaar hote hein aur jo brasht hote hein weh to brashtachaar ke samundar mein terte hein aur aap jeise imaandaar police wale unn ke peyron ke niche kuchle jaate ho phir bhi imaandaari ka daaman nahin chorna chahte….. kamaal hai yaaar!!”
Khan sar jhukaaye sharminda mehsoos kar raha tha, aur dhire se kaha,
“Mera dil iss kaam ko anjaam dene ke liye nahin maan raha Sir main kia karun? Aap hi batao, yeh jhoot hoga nah? Main keise ek bekasoor ko aap ki banaye huwe jaal mein ulajhne doon? Kia karun meri samajh mein nahin araha hai?”
Vicky ne Khan ka haath pakar kar ussko khinchte huwe andar wapas legaya aur Jugdish ke saamne khada karke zor se chilla kar kaha,
“Yeh kutta bekasur lagta hai aapko? Iss ne meri masoom behen ki balantkaar kiya mere enkhon ke saamne mujhko bandh kar yeh bekasur lagta hai aap ko? Main till till marta raha uss raat ko aur kuch nahin kar paaya apni maasoom, naazuk behen ke liye aur yeh masoom lagta hai aap ko? Bebus, laachaar tha main Khan sahab, uss waqt kahan thi aap ki zameer? Kahan the aap uss waqt kyun nahin bachaya meri behen ko tab? ………..” Vicky ke enkhon se ensoo behne lage aur chillate huwe woh Khan se sawaal par sawaal kiye jaa raha tha…aur Vicky rote huwe, apne danton ko peeste huwe apna bayaan jaari rakha….. “Meri pyari Sanjana roti rahi, chillati rahi aur main sab dekhta raha yeh kutta apne 5 saathiyon ke saath milkar usski boti boti nochte rahe aur main apni behen ka raksha nahin kar saka, sab mere enkhon ke saamne ho raha tha aur main majboor, ek pinjhre main quaid jaanwar ki tarah tha uss waqt aur yeh kutta hanss hanss ka mazaa lete huwe mere jale par namak chirak raha tha, yeh aap ko bekasur lagta hai Khan sahab? Mujhe to aap ko bhi goli maar dena chahiye ab!!”
Aur Vicky ne apni revolver nikala aur Khan ko aim kiya josh mein aakar phir jaldi se Rathod ne akar Vicky ko sambhala, usske revolver se tanne haath ko niche kiya aur Vicky tut pada, baith kar zoron se rone laga Rathod ke baahon mein inn lavzon ko bilagti awaaz mein kehte huwe, “Meri pyari Sanjana roz mere sapnon mein aati hai usski masoom chehre se aur bachpan ki awaaz mein mujhse sawaal karti hai, ke bhaiya tum ne kyun mujhe nahin bachaya, tum ne kyun mera raksha nahin kiya…aur har raat ko main chohunk kar jaagtaa hoon, chain o sukoon kho chukka hoon main hi jaanta hoon ke keise jee raha hoon… Uss raat wali ek ek pal aaj bhi taazaa hai mere zehen mein, mere enkhon ke saamne aaj bhi sab nazar ata hai jeise kal hi sab huwa ho….. mujhko chain nahin hai ab tak….. apna sukoon kho chukka hoon…main ne to kabhi kissi ka bura nahin chaha tha, main ne to kabhi kissi ka kuch nahin bigara tha, Sanjana ne to kissi ka bura nahin kiya tha, hum to hazaaron logon ka bhala karte rehte the aaye din….to phir hamare saath yeh sab kyun huwa, kyun huwa yeh sab? ……”
Aur phir ghusse mein Vicky, Rathod ke bahon se nikla aur dawd kar Jugdish par jhapta aur usske girehbaan pakar kar ussko iss tarah se khinch kar zameen par patka ke donon rathod aur Khan ussko Vicky ke chungal se nikaal nahin paa rahe the…. Vicky ek junglee jaanwar ki tarah, jeise ek sher ne ek shikaar ko apne jabde mein pakra ho uss tarah se Jugdish ko pakra huwa tha ke do do police officers nahin churra paa rahe the……. Jabke Jugdish thar thar kaamp raha tha chillate huwe, “bachao mujhe bachao, yeh mujhko maar dalega, yeh hosh mein nahin hai, yeh kuch bhi kar sakta hai, Inspector Khan bachao mujhe, bachao mujhe…..”
To be continued………………..
The post Faraar (Completed) Update No 28 appeared first on Desi Stories.
https://ift.tt/eA8V8J
0 notes