#markesh grah ka prabhav
Explore tagged Tumblr posts
aadishaktijyotish · 5 years ago
Text
क्या मारकेश की दशा मृत्यु कारक है ? | markesh ki dasha in hindi | Markesh dasha remedy
Tumblr media
markesh ki dasha,markesh ki dasha ke upay,markesh ki dasha,markesh grah ke upay,markesh dasha,markesh dasha in astrology in hindi,markesh dasha remedy,markesh dasha se bachne ke upay,मारकेश से बचने के उपाय,मारकेश,मारकेश क्या होता है,मारकेश योग क्या होता है,मारकेश शनि के उपाय,markesh grah in hindi,markesh grah ka prabhav,मारकेश…
View On WordPress
0 notes
astrologervinayakbhatt · 6 years ago
Text
Jyotish Yatra 1
Kundali ko dekhane ki ya fal kathan karne ki sahi technic bahot kam log jante hai. Jyotish ke classes join karne se ya jyotish ki kitabo ka adhyayan karne se Jyotish ka ek parichay hota hai lekin ye kafi nahi hai. Jyotish sikhna Budh ke Kshetra me ata hai jo hamare dimag ki memory me information dalta hai jab ki Jyotish ki mastery Guru ke hath me hai jo Budh se mili information ko Dimag se Dil tak le jata hai jaha Gyan ka avishkar hota hai.
Guru yani Brihaspati aur Shukra yani Shukracharya sarva shaastro ke gyata hai. Dono ko acharya ki padvi prapta hui hai. Guru ko Jyotish vidya se jyada lagav hai jab ki Shukra ko Ayurved, Ras vidya or sarva prakar ki Kala ka gyan hai.
'Jyotish yatra' ki is nai shrinkhala me ham jyotish ke alag alag pehalu pe charcha karte rahenge.
Jyotish ko sikhnewale kai students aksar ye saval karte hai ki kundali ka fal kathan ham Dasha antardasha se kare ya Gochar ke graho se kare ? Sab se jyada pradhanya kisko de ?
Ap jante hai ki koi Dasha 6 sal ki hoti hai to koi 20 sal tak chalti hai to itani lambi zindagí sirf ek Grah ke prabhav me kaise chal sakti hai ? Saval ekdam sahi hai.
Gochar ke Graho ke upar jo nirbhar rehte hai vo jante hi hai ki shastro me gochar ka jo fal likha hua hota hai vo practical life me sahi nai bethata ¡¡
Lagna me aya hua Guru saptam sthan ko dekhta hai. Shadi ki umra ho to bhi ye Guru shadi ki koi guarantee nahi deta. Surya ke upar se gujar raha shani kisi ko din me tare dikha deta hai to kisi ko tarakki pe tarakki karata hai. Aisa kyu ?
Sab se pehale to ye bat yad rakho ki har Lagna me Graho ka portfolio alag alag hota hai. Vrishchik lagna me Guru ki Dasha ya Guru ka gochar jitana shubh hai utana Makar lagna me nahi hota. Har lagna me Guru ka shubh fal ek sarikha nahi hota. Vaise hi 12 Lagno me Shani ki bhumika alag hai. Har lagna me 9 Graho ki ministry alag hai. Vrushchik lagna me Mangal khud Doctor ban jata hai to Mithun lagna me vo hi Mangal dard deta hai !!
Dasha aur Gochar ko samjane ke liye 9 Graho ko bariki se janna chahiye. Ek ek khubi janni chahiye. Mangal Shani Rahu or Ketu charo grah pap grah hai, malefic planets mane gaye hai par charo Graho ka dukh dene ka tarika alag alag hai. Ye tarika ap jan gaye to samjo ap master ban gaye.
Dasha aur Gochar ek dusare ke purak hai. Dono ko samje bina ap Dasha ka fal nahi jan paoge. Dasha swatantra tarike se (Independently ) kam nahi karti. Dasha ek platform taiyar karti hai. Ek road map ya blue print banati hai. Dasha me apne pichhale karmo ke anusar kya kya fal milnewale hai uska ek naksha banta hai ki itane salo me ye ye ghatna ghategi. Lekin vo ghatana hone ke liye gochar ke Grah dekhni hi padte hai.
Man lo Makar lagna hai or Chandra ki 10 sal ki Vimshottari dasha chalu hui. Ab Chandra 7th house ka adhipati hai to pati ya patni ko le ke koi na koi issues rahenge or Chandra markesh bhi hai to ye Dasha Laghu Parashari ke hisab se health pe bhi asar karegi.
Lekin 10 sal tak insan bimar nai rehta. Jab Gochar ka Shani badhak sthan me ya Chandra se ashtam sthan me jayega aur usi wakt badhak sthan ka malik Mangal gochar me jab Chandra ya Lagna ko touch karega ya unke upar drishti karega tab bimari ayegi.
Or ye Shani jab Chandra ke upar ya 7th house me jayega tab shadi shuda zindagi me problems honge ya spouse ki health ko le ke problem honge. To is tarah Dasha ka over all trend dekha jata hai or Dasha ke mutabik Gochar ka mulyankan kiya jata hai.
0 notes